Hadees

Rajab Ke Roze Ki Fazilat

Basra ki ek Nek Khatoon Ne ba waqte wafaat apne bete ko wasiyyat ki,
ki mujhe us kapde ka Kafan dena jise pahan kar mai Ra-jabul Murajjab me ibadat kiya karti thi.
Baa’d az wafaat bete ne kisi aur kapde me kafna kar dafna diya.
Jab wo Qabristan se ghar aaya to ye dekh kar tharra utha ki jo Kafan usne pahnaya tha wo ghar me maujud tha ! Jab usne ghabra kar Maa ki wasiyyatwale kapde talash kiye to wo apni jagah se gayib the.
Itne me ek gaibi awaaz goonj uthi : “Apna Kafan Wapas Le Lo (jiski usne Wasiyyat ki thi) Humne Usko Usi Kapde Me Kafnaya Hai (kyuki) Jo RAJAB KE ROZE Rakhta Hai Hum Usko Qabr Me Ranjida Nahi Rahne Dete.”
(Nuzhat-ul-Majalis, Jild 1, Safa 208)

Allah عزوجل ki unpar Rahmat ho aur unke sadqe be hisab Magfirat ho.

امين بجاالنبي امين صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم

Hazrate Sayyiduna Anas Bin Maalik رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai ki Rasoolullah صل الله تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshad Farmaya :
“Jannat Me Ek Nahar Hai Jise “RAJAB” kaha Jaata hai Jo Doodh Se Zyada Safed aur Shahed Se Zyada Meethi Hai Toh Jo koi RAJAB ka Ek Roza Rakhe to Allah عزوجل Use Is Nahar se Sairaab Karega.
(Shoabul Imaan, Jild-3, Safha-367, Hadis : 3800).

Tabeyi Buzurg Hazrate Sayyiduna Abu Qilala رضي الله تعالي عنه Farmate Hai : RAJAB ke Rozedaro ke liye Jannat me ek Mahal hai.
(Shoabul Imaan, Jild – 3, Safha-368, Hadis : 3802).

Rajab main aik aisi raat hai ke es me neik amal kernewale ko 100 baras ki neikiyon ka sawab milta hai,
Aur wo rajab ki 27th tareekh hai.
Jo es main 12 rakat namaz es terhan
pàdhe ke her rakat main sura fateha aur koisi ek surat padhe,
Her 2 rakat ke baad qaida kary,
durood padhe aur dua padhne ke baad khary ho jai,
Es tarha 12 rakat poori kary phir
salam phere,
Iske baad 100 times yeh padhe:
ﺳُﺒﺤَﻦَ ﺍﻟﻠﮧِ ﻭَﺍﻟﺤَﻤﺪُ ﻟﻠِﻪِ ﻭَﻻَ ﺍِﻟَﻪَ ﺍِﻟَّﺎ ﺍﻟﻠﻪُ ﻭَﺍﻟﻠﻪُ ﺍَﮐﺒَﺮ
Phir 100 times astaghfar padhe,
Aur apni dunia-o-akhrat sey
jis cheez ki chahy dua mangey aur subah ko rooza rakhe,
To ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ eski tamam duaen qubool fermayga,
Siwai is dua ke jo gunah ke liay ho”.
(Shobul Eman, V:3, Page:374, Hadees:3812)

27th Rajab Ke Rooze Ki Fazeelat:
“Nabi-E-Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ne fermaya,
27th Rajab ko mujhe naboowat atta hui,
Jo es din ka rooza rakhe aur
iftar ke waqt dua kare to yeh 10 baras ke gunahon ka kaffara hai”.
(Fatawa Razavia, V:10, Page:647)

100 Saal Ke Roozey Ka Sawab:
Hazrat Syedna Suleiman Farsi ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ sey riwayat hai, Nabi-E-Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney farmaya:
“Rajab main aik din aur raat hai jo es din rooza rakhe aur raat ko qayam kare to goya es ney 100 saal ke
rozey rakhe,
Aur yeh rajab ki 27th tareekh hai,
Isi din ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ney MUHAMMAD ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ mab’oos fermaya”.
(Shobul Eman, V:3, Page:374, Hadees:3811)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!