Ramzan

Zakat Na Dene Ka Azab Aur Zillaten

Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me.
Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayege Magar Maal Daron Ke Hathon,
To Aye Maldaro Sun Lo,
ALLAH Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega
الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.
Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Ek Wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se ALLAH Ka HAQ Ada Nahi Kiya
 صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار…..إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.
Hadees:
Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain,
Hame Hukm Hua Namaz Padhe Zakat Den,
Jisne Zakat Na Dee uski Namaz Qubool Nahi
المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.
Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Ek Martaba Huzoor  صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya.
Qasam Hai Uski (ALLAH Ki) Jiske Hath Me Meri Jaan Hai,
Isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya,
To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru Kiya,
Hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai,
Phir Huzoor Ne Apna Sar-E-Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar Jhalak Rahe The,
To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui,
Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya,
Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai,
Ramzan Ka Roza Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti ke Saath Dakhil Ho Ja
سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435
SubhanALLAH
Hadees:
Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya.
Tumhare Islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do
مجمع الزوائد،  كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة،  جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.
Hadees:
Hazrat Abdullah ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne.
“Jo Allah O Rasool Pe Imaan Laya,
Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare,
Jo Allah O Rasool Pe Imaan Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/Jhagda) Zaban Se Na Nikale,
Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo apne Mehman Ki Izzat Kare
المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.
Hadees:
2 Aurten Huzoor Ki Khidmat aqdas me Hazir Hui, Unke Haton Me Sone Ke Kangan The.. huzoor Ne irshad Farmaya Kya Tum inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki Allah Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi….
Farmaya To Zakat Ada karo
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}
Tareef:
ALLAH Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana zakat Kehlata Hai,
Magar wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul juda Kar Le,
Mas’ala:
Zakat Farz Hai Uska inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha’hadah Hai (Yani Agar Wo kisi mamle Me Gawahi De To uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}
Mas’ala:
Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai,
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe fiqah)
Aye Logo Government Ke Dar Se Tum Income Tax Dete Ho.
Na Doge To Police Pakad Legi.
Saza Katni Padegi.
Are Aye Nadaano !
Laraj Jaao Dar Jao..!
Hume Police Ka Dar Hai
Kya Hume ALLAH Ka Jara Bhi Khauf Nahi Hai?
Agar Zakat Ada Na Karoge To Dardnak Azab Hai.
Apne Maal Ko Zakat De Kar Paak Karlo.
ALLAH Aur Barkat Ata Farmayega
In Tamam Muqadsas irshadat Ko Padhne Ke Bad Bhi Koi Kam Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Na Samjhe Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Pak Na Kare To Us Badbakht Ka Kya ilaj ?
Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is pak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain Jinke Ghar Chulha Nahi Jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Pas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi Ki Un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.
Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hain Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain imaan O islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi Inki Bhi Khabar Le.
Hum Musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada Farz Allah O Rasool Ke Faraman Ke Aage Sar Kham Karna Hai.
Hame Musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni chahiye.
Insha’Allah ispe Amal Hua To Amaan hi Amaan Qayam Hoga.
ALLAH Hum Sabko Nek Taufiq De Ki Hum Zakat Ada Karte Rahe.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.

Donate Your Zakat To Hamare Nabi Blog.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!