Ramzan

Roze Ki Qaza Aur Kaffara Lazim Hona

Yah socha tha ki subah na hui aur khaya, piya. Bad me malum hua ki subah ho chuki thi to sirf kaza lazim he yani roze ke badle ek roza rakhna hoga.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Yah soch karke ki Suraj doob gaya he roza iftar kar liya halaki suraj dooba na tha tab bhi kaza lazim he. Kaffara nahi
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Aurat rozdar so rahi thi. Sote me usse sohbat ki gayi to is surat me uspar sirf kaza lazim he. Kaffara nahi.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Bhool kar khaya-piya use ulti ho gayi. Aur yah khayal kiya ki roza jata raha ab chah kar kha-pi liya to sirf kaza farz he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Aansu muh me chala gaya aur nigal gayi agar 1-2 boonde he to Roza na gaya. Aur jyada tha ki uski namkini pure muh me mehsus hui to roza jata raha. Pasine ka bhi yahi huqm he.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Roze me dant ukhadwaya aur khoon nikal kar halak se niche utara agarche sote me aisa hua to roza jata raha.
Uski kaza lazim he.
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti Zewar

Kan se mail nikala aur mail lagi hui salai dusri ya tisri martaba kan me ki roza na jayega ki kan kuredne me salai dimag tak nahi jati.
>Murakiulfalah,Sunni Bahishti Zewar

Nathno se dawa chadhai ya kan me tel dala ya tel chala gaya.
Roza jata raha aur pani kan me chala gaya ya dala roza baki he.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

kulli kar rahi thi bila irada pani halak se utar gaya ya nak me pani chadaya aur dimag me chad gaya.
Roza jata raha. Ha agar wah apna rozdar hona bhool gayi to na tootega. Agarche irade se ho.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Agarbatti wagairah ki khushbu sulagti thi usne muh karib karke dhue ko nak se khicha ya khud chah kar halak tak dhua pohochaya ya wah kisi chiz ka dhua ho aur kisi tarah pohochaya ho roza jata raha.
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti Zewar

Sukhee ungli aurat ne sharmgaah me rakhi to roza na gaya. Ha agar ungli sharmgah ki adrunee ratubat (taree) se aise bheeg gayi ki ab uski gandagee chut kar dusre chiz me lage.
Uske baad ungli baahar karke aise hi gandagi ke haalat me fir ander ki, ki gandagi chut kar sharmgah ke bheetree hisse me lagee to roza jata raha.
Yuhi agar ungli pani ya tel ya dudh ya ghee ya thuk me aise bheegee thi ki us ki tari chut kar farze dakheel me lage aur aurat ne apni sharmgah me kisi bina par dakhil ki to roza fasid ho jayega.
>Raddulmuhtar

Yuhi agar aurat ne apni sharmgaah me pani ya tel tapkaya to roza jata raha.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar
Dabav ke sath istinja kiya yaha tak ki hukna rakhne ki jagah tak panee pahunch gaya to roza jata raha aur itna dabav chahiye bhi nahi ki isse sakhat bimari ka khatra he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Sehri me jyada kha liya ki ab din me khatti dakar aa rahi he to isse roza nahi jata.
>Fatawa Rajwiya,Sunni Bahishti Zewar

Paan khakar so gai aur subah uth kar roza ki neeyat ki to agar paan kha liya tha.
Muh me sirf chand dane chchaliya ke dant me halke rah gaye to roja sahi ho jayega.
Aur agar subah ke baad bhi muh me ugaal maujud tha ki usake ark (Ras) ka thuk ke sath muh me jaane ka pura yakin he to ab roza na hoga.
>Fatawa Rajwiya,Sunni Bahishti Zewar

Dora bata, use bhigane ke liye muh par phera.
Fir dobara, ti bara yuhi kiya, roza na jayega. Magar jabki dore se kuich ratubat(Nami) alag ho kar muh me raha aur thuk ningal liya to roza jata raha. Yuhi muh me rangin dora rakha jis se thuk rangin ho gaya. Fir thuk ningal gaya to roza jata raha.
>Jauhara, Aalmgiree,Sunni Bahishti Zewar

Sukhi dawa kapde me bandh kar sharmgah me rakhi ki wah kapde se chchan kar bhitri hisse me gire. Ya dawa aisi gili ho ki kapde me se tapak kar farze dakhil me lage. Ya hilne ke sabab kapda chadha jaye ki bilkul farze dakhil ke andar gayab ho jaye to in surto me roza jata rahega.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Roze ki halat me (Ramzan ya gair Ramdan) kisi jarurat ke tehat koi dawa sukhi ya gili,roti ya kapda chahe koi chiz aurat ne peshab ke raste me is tarah rakhi ki sharmgah ke andruni hisse (Furuze dakhil) ke andar bilkul gayab kar di to Roza jata raha. Aur agar dawa kisi kapde me bandh kar sharmgah me is tarah rakhi ki kapde ka sira furuze dakhil se bahar raha agarche sharmgah ke bahri parde (Furuze khariz) me gayab ho jaye to Roza na jayega.
>Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!