Muharram

Boo-E-Karbala Mitti Ka Khoon Ban Jana

Ek Roz Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki god me tashrif farma rahe the.

Hazrat Umme fazl bhi paas baithi thi.
Umme fazl ne HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki taraf dekha ki aapki dono chashmane Mubarak se aansu beh rahe the.
Umme fazl ne arz kiya YA RASOOL ALLAH! Yeh aansu kaise hai?
Toh HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne farmaya ki
Jibrail ne mujhe khabar di hai ki mere iss bacche ko meri ummat qatl kar degi.
Jibrail ne mujhe us sarzameen ki jaha yeh baccha sahid hoga surkh mitti lakar di hai.

HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne iss mitti ko sungha aur farmaya
“iss mitti se mujhe BOO-E -KARBALA aati hai
phir wo mitti HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ko de di aur farmaya
Umme Salma iss mitti ko apne paas rakho jab yeh mitti khun ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya.
Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ne us mitti ko ek sisi me band kar liya phir jis din Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu karbala me sahid huye usi roz yeh mitti band sisi me khoon ban gai
(Mishkat Sharif Safa-564, Huzzatul Alal Aalmeen Safa-477)

Hazrat Usamah bin Zaid radiallahu anhu farmate hai ki
ek raat main kisi kaam se Huzoor Nabi-e-Kareem sallallaho alayhi wasallam ki khidmat me haazir huwa to Nabi-e-Kareem sallallaho alayhi wasallam iss tarah bahar tasrif laaye ki Aap kisi cheez ko uthaye huwe the jise main na jaan saka. jab me arze haazat se faarig huwa to daryaft kiya ki Huzoor yeh kya uthaye huwe hai..?
Aap sallallaho alayhi wasallam ne chadar uthayi to maine dekha ki Aap ke dono pehloo me Hazrat Imam hasan aur Hazrat Imam Husain radiallahu anhu hai.
Aap sallallaho alayhi wasallam ne farmaya ye dono mere nawase hai.
YA ALLAH main in dono se mohabbat karta hu
Tu bhi inse mohabbat kar
Aur Jo inse mohabbat kare unse bhi mohabbat kar
(Tirmizi Sharif : jild-2, page-730)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!