Muharram

Muharram Ke Masle Masail

Mas’ala:
Muharram me Dhol Tasha Bajana
Nachna
Maatam karna kaale kapde pehanna
Najayez aur GUNAH ke kam Hai
(BAHARE SHARIAT)

Hazrat Fatima Zehra jab apne bachchon ko dudh pilatin to Qur’an ki tilawat karti jati
jiska asar kisi se poshida nahi
na samjhane ki zarurt

MUHARRAM me Baje Bajana
Hazrat Qasim ki mehendi nikalna
Qasid/Faqir ban kar phirna
Is qismki bate KHURAFAT he !
Inse IMAM HUSSAIN khush nahi
(Bahar-E-Shariat)

Huzoor Ne Farmaya:
Ye Mere 2 Bete Hasan aur Husian Jannati Jawano Ke Sardaar Hai
(MISHKAT)

Ashra-E-Muharram me TAZIYADARI Qabro Surat wagyara banana JAEZ Nahi he
(Fatwa-E-Aziziya)

MUHARRAM me baje bajana IMAM HUSAIN ke dushman yazidiyo ki sunnat he
Baja unhone bajaya tha
Hum Husaini he
Yazidi kamo’se tauba kare

Kisi tarah Taziyadari ki madad karna bhi JAEZ nahi he
Kyunki
Ye gunah par madad he
Gunah par madad karna NAJAEZ he
(Fatwa-E-Azizya)

TAZIYADARI NAJAIZ He
Usme Shirkat JAIZ Nahi
(Fatwa-E-Razviya Jild 16)
TAZIYA Muslmano Ki Koi Eid Nahi Balke Jahilo Ne Ise Mausam-E-Matam Bana Rakha He
(FATWA-E-RAZVIYA JILD:21)

TAZIYA bana ke nikalna us ke sath dhol naqqare bajana
qabar ki surat banakar janaze ki tarah nikalna
uspar phul wagyra chadhana NAJAEZ he
(Fatwa-E-Razviya Jild:24)

Mas’ala:
AALAHAZRAT FARMATE HAI
TAJIYA Ko
Hajat Rawa Samajna
Jahalat He
Usse Mannat manna
Bewakufi He
(Risala Mohram-O-Taziyadari)
Ashra-E-Muharram me TAZIYADARI & Qabr-o-surat wagyra banana JAEZ nahi hai
(FATAWA AZIZIYA)

HUZOOR NE UMMUL FAZLSE FARMAYA:
JIBRAIL NE MUJE KHABAR DI ANQARIB MERI UMMAT MERE BACHCHE HUSAIN KO SHAHEED KAREGI
(IBNE MAJA)

SAWAAL:
Kya MOHARRAM Ke Maheene Me Shaadi Karna Jaaiz He Ya Nahi?
JAWAAB:
Jaaiz He
(Bahare Shariat HISSA:16 Safa:258)

ALLAH NE HAZRAT MUSA SE FARMAYA:
APNI KAUM KO HUKM DO KI AASHURA KO MERI BARGAH ME TAUBA KARE
MAI UNKI MAGFIRAT FARMAUNGA
(JAME SAGEER J-3,S-34)

FARMAN-E-NABI-E-PAK:
JO SHAKHS AASHURA KE DIN GUSL KARE TO KISI MARZ ME MUBTALA NA HOGA
SIWAYE MARZ MAUT KE
(GUNYATUT TALIBIN Jild-2,Safa-53)

Hazrat-E-Hasan Aur Husain Jannati Jawano Ke Sardar He
Hazrat-E-Fatima Jannati Aurto Ki Sardar He
(BUKHARI)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!