Ramzan Ka Roza Rakhna Islam Ke 5 Arkaan Mese 1 Rukun Hai
Ramzan ka Roza Rakhna Islam ke 5 arkaan Mese 1 rukun He.
(Bukhari)
~IBAADAT KA YE SILSILA BANAYE RAKHNA~
~DIL ME IMAAN BASAYE RAKHNA~
~KHUSHNASIBI SE HAI RAMZAN MILA~
~GUNAHO SE KHUD KO BACHAYE RAKHNA~
MAS’ALA:
Roze Ki Halat Me “Injection” Lagwaya To Bhi Roza Nahi Toota
(Fatwae Faize Rasool Jild-1)
SIRF KHANE PEENE SE BAAZ RAHNE KA NAAM ROZA NAHI
BALKE ROZA TO YE HAI KI
BEHUDA BAATO SE BACHA JAYE
(HAAKIM)
Masa’la:
Makkhi Halaq Se Chali Gayi Roza Na Gaya
&
Jaan Bujh Kar Nigli To Roza Chala Gaya
(Alamgiri J;1 S;203)
Jab Tak Log Iftar Me Jaldi Karte Rahenge Inki Halat Me Behtari Hoti Rahegi
(Bukhari J;1 H;908)
NABI-E-PAAK NE FARMAYA:
JAB TUM ME SE KOI ROZE SE HO TO USKO ROZA KHAJUR SE KHOLNA CHAHIYE
AUR
AGAR KHAJUR NA HO TO PAAK PAANI SE.
(ABU’DAWOOD/
NISAAI)
Mas’ala:
Tarawi Me Pura QURAN-E-PAAK
Padhna Aur Sun’na Sunnat-E-Muakeda Hai.
(Fatawa-E-Razviya Jild:7 Safa:458)
JIS NE RAMZAN SHARIF ME 10 DINO KA ETAKAAF KAR LIYA..
TO WOH AISA HAI JAISE USNE DO HAJJ AUR DO UMRE KIYE.
(BAIHAQI)
Roza Rakhne Kelye Sehri KhaKar Quwwat Hasil Karo Aur Din ke Waqt Aaram karke Raat Ki ibadat Kelye Taqat Hasil Karo
(ibne Maja)
Mariz ko maraz badh jaane ka gumane galib hoto ijazat he ki us din roza na rakhe
(DURRE MUKHTAR)
Aamir Bin Rabi’a Ka Bayan Hai Ki Mai Ne Beshumar Baar Roza Me Huzoor Ko Miswak Karte Dekha
(Tirmizi Hadis No:725,Vol:2,Page:176)
Jis shakhs ka inteqal hojaye aur ispar roze baaqi hon to uski taraf say uska wali roze rakhe
(Abu dawood)
¤ NAMAZ ¤
IS TARAH PADHO JAISE ALLAH KA DEDAAR KAR RAHE HO
¤ DAROOD ¤
AISE BHEJO JAISE AAQA-E-KAINAT (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) SUN RAHE HO
¤ DUA ¤
AISE MAANGO JAISE ALLAH SE BHEEK MAANG RAHE HO
¤ PAISE ¤
AISE KHARCH KARO JAISE EK-EK PAISE ME PASINE KI BOO AARAHI HO
* DAULAT *
AISE IKHATTA KARO JAISE EK-EK PAISE ME ZAKAT KI MAHEK AARAHI HO
¤ ROZA ¤
AISE RAKHO JAISE ZINDAGI K GUNAAH EK HI ROZE ME KHATAM HO.
Ya ALLAH Hume AmaL Karne Ki Tofik Ata Farma
ALLAH aur Uske FIRISHTE SAHRI Khaane Waalon Par RAHMAT NAAZEEL Farmaate Hai
(Sahih Ibne-Habbaan J:5 S:194 H:3458)
JO SHAKHS KISI ROZADAR KO IFTAAR KARAYE TO YE GUNAH KI MAAFI AUR DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIYA HAI
(BAIHAQI)
RAMZANUL MUBARAK KE AANE SE KHUSH HONE WALE KO
ALLAH TA’ALA QIYAMAT KE GHAM SE BACHAYEGA
(ANISUL WAEZEEN)
MOMIN RAMZAN ME MARTA HAI WOH SIDHA JANNAT ME JAATA HAI
USKE LIYE DOZAKH KA DARWAZA BAND HAI
(ANISUL WAEZEEN)
Bache ki UMAR 10 saal ki hojaye aur usme roza rakhne ki Taqat hoto usse ramzan me roza rakhwaya jaye.
(Raddul mukhtar J;3)
Mas’ala
Roze ki Halat me Naak me Dawa chadhai to roza tuth gaya aur iski Qaza Lazim he
(Durre mukhtar)
BLAA SE HIFAZAT:
Jo shabe qadr me sure qadr 7 bar pdhta he ALLAH use har balaa se mahfuz farma deta he
(NUZAHATUL MJALIS)
Jo ROZADAR Ko Paani Pilayega
ALLAH Use Mere HAUZ Se Pilayega
Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Pyasa Na Hoga.
(Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887)
ALLAH TA’ALA RAMZAN KI HAR RAAT ME IFTAR KE WAQT 1 LAKH AISE DOZAKHIYO KO AAZAD FARMATA HAI
JIN PAR AZAB WAAJIB HOTA HAI
(TIRMIZI)
1.Har Cheez ki ZAKAAT Hai & BADAN Ki ZAKAAT ROZA Hai.
ROZA Nisf Sabr Hai.
2.ROZA Mere Liye Hai
Aur Mai Hi us Ki Jaza Hoon.
(IBN-E-MAJA)
MAS’ALA:
SAHRI Me Ta’akhir Karna MUSTAHAB Hai
Magar Itni Ta’akhir Karna MAKROOH Hai
Ke SUBH Hone Ka SHAK Ho Jaaye
(FATAWA-E-ALAMGIRI)