Ramzan

Roza Todnewali Chizon Ka Bayan

Mas’ala:
Huqqa cigarette Se Roza Toot Jata Hai Agar Che Iska Dhuwan Halaq Tak Nahi Pahochta Hai.
isi Tarah Tambaku Pan in sab chizon Se Roza Toot Jata Hai…
Agar Che iski Peek Thook Dee Jati
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-986}
Mas’ala:
Aisi Chiz Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jati Ho Muh Me Rakh Ke Thook Nigal Gaya To Roza Toot Gaya… jaise Shakar Wagera, Yun Hi Danton Me Koi Cheez Chane Barabar Ya Zayadah Thi Use Kha Gaya To Roza Toot Gaya…
Yun Hi Danton Se Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra Aur Khoon Thook Se Ziyadah Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Me Mahsoos Hua To in sab Surton Me Roza Toot Gaya… aur agar Khoon Thook Se Kam Tha Aur Uska Maza Nahi Maloom Hua To Roza Nahi Toota
{الدرالمختار، كتاب الصوم، باب ما يفسد وما لا يفسد، ج-1، ص-424}
Mas’ala:
Naak Ke Nathnon Se Dawa chadhai ya Kaan Me Tel dala Ya Tel Chala gaya To Roza Toot Gaya Aur Pani Kan Me Dala To Nahi Toota
{الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب الرابع فيما يفسد، ج-1، ص-203}
Mas’ala:
Kulli Kar Raha Tha Aur Pani HALAQ Se Utar Gaya Ya Nak Me Pani Chadhaya Aur Dimagh Me Chadh Gaya Roza Toot Gaya.
Agar Rozadar Hona Yad Nahi Tha To Nahi Toota… kisi Ne Rozadar Ki Taraf Koi Chiz Phenki Aur wo uske HALAQ Me Chali Gai To Roza Toot Gaya
{المر جع السابق}
Mas’ala:
Neend Me Pani Pee Liya Ya Kuch Kha liya Ya Muh Khula Tha Aur Pani Ka Qatra Ya Baraf Halaq Me Chala Gaya To Roza Toot Gaya
{المرجع السابق}
Mas’ala:
Muh Me Rangeen Dhaga Rakha Tha Jisse Thook Rangeen Hua Phir Thook Nigal Liya To Roza Toot Gaya….
{المرجع السابق}
Mas’ala:
Aansu Ya Pasina muh Me Gaya Agar Qatra 2 Qatra Tha To Roza Nahi Toota… agar ziyadah Tha Jiski Namkeeni Pure Muh Me Mahsoos Hui  To Toot Gaya
{المرجع السابق}
MASALA:
AGAR KOI ZIYADA BIMAR HO JAAYE
TO ROZA TOD SAKTA HAI
QAZA LAAZIM HOGI KAFFARA NAHI.
(BAHAR-E-SHARIAT)
*ROZE KA KAFFARA*
EK GULAAM AAZAD KARNA
YA
MUSALSAL 60 ROZE RAKHNA
YA
DO WAQT 60 MISKINO KO KHANA KHILANA.
(BAHAR-E-SHARIAT)
APNE HAATH SE AGAR KISI ROZADAAR NE MANI NIKAALI
TO
USKA ROZA TUT JAATA HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119)
MUJHE APNE BANDO ME SAB SE ZYADA PASAND WOH HAI
JO IFTAAR ME JALDI KARNE WAALA HO.
(TIRMIZI SHARIF Jild:1 Safa:150) 
Mas’ala:
Is Guman Me Ke Sahri Ka Time Baaqi Hai Kha Pee Liya Phir Maloom Huwa Ke Time Hochuka Tha Tab Roze Ki Qaza Lazim Hai
(Durre Mukhtar)
Hukka
Bidi
Sigret
Charut
Sigar
Pan
Tambakhu
Inse Roza Tut jata he
Dant me chane barabar chiz thi & Ningal gaya
Roza Tut Gaya
(Qanoon-E-Shariat)
Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gaya
Agar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na Tuta
Aurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho
(Qanoon-E-Shariat)
Danto se Khun nikal kar Halak se niche utara aur khun thuk se Jyada ya kam tha magar uska maja Halak me malum hua To Roza Tut Gaya
(Qanoon-E-Shariat)
Khane-Pine Ya Jima Karnese Roza Tut jata he
Jubki Rozdar hona Yad ho
Agar Bhool se Hua to roza nahi Tuta
(Qanoon-E-Shariat)
Mas’ala:
ROZE Ki Haalat Me
TOOTH PASTE(Colgate) Nahin Karna Chaahiye
Agar UsKe Baarik Ajza Halq Se Utar Gaye Tou ROZA Tut Jayega.
(Fatawa Bahrul Uloom)
MAS’ALA:
Roze Me INHALER Ka Istemal Krne Se Roza Toot Jaega
(Kutube Fiqa) 

Related Articles

6 Comments

  1. Asslamo alay koom…. Shohar Agar apni biwise bat kre bina use touch kiye or uski sharmgah se mazi nikalne lagi or use sohbat krne ka man hua fir or zyada mazi nikle ( mani nahi ) to kya roza tut gaya.? Agar ha to uspr kya lazim hua kaffara ya kaza.? Or gusal b farz hua k nai uspr or uske kapde b napak hue ya nai.? Islam is k bare me kya kehta he zara roshni dale

  2. Walekum Assalam
    Agar Mazi Nikali To Roza Nahi Tuta Aur Na Hi Gusl Farz Hua.
    Mas'ala:
    Bosa (kiss) Liya Magar Inzal Na hua (mani nahi nikli) To Roza Nahi Toota… Yun Hi Aurat Ki sharmgah Ki taraf Nazar ki Magar Hath Na Lagaya aur inzal Ho Gaya agarche Bar Bar Nazar Karne & jima Karne Ke Khayal Se inzal Hua agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota
    {Bahar-E-Shariat Hissa-5}

  3. Mazi:
    Shahwat ke waqt shuru me jo chiz sharmgah se safed rang ki nikalti he aur uske nikalne se josh kam nahi hota balki khwahish aur badh jati he use Mazi kehte he.
    (Sunni bahishti zewar Safa 34)

    Mani:
    Shahwat ke bad jab khub lajjat aati he to gadha padarth (virya-sperm) sharmgah se nikalta he use Mani kehte he.
    (Sunni bahishti zewar Safa 34)

    Note: Mazi se Gusl farz nahi hota.
    Mani ke nikalne par gusl farz hota he.
    (Sunni bahishti zewar Safa 34)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!