Nikah

Nikah Ki Hadees | Hadith Of Marriage

Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta’ala Anho Se Riwayat he ke
Sarkar Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
“Aye Jawano, Jo tum me se Aurato
ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta he. To wo Nikah jarur kare
Kyunki Nikah Nigah Ko Zukata he
Aur Sharmgah ki hifazat karta he
Aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe. Kyunki ye Shahwat Ko kam karta he.
SUBHANALLAH
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52)
(Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)
Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya, Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do Aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba Muhammad Mustafa Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
“Nikah Meri Sunnat He”
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913,
Safa 518)
ALLAH Rabbul izzat irshad farmata he
“Aur Nikah me lao, Jo aurate tumhe khush aaye”
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)
Hazrate Sahal bin sa’ad Radiallahu anhu se riwayat he ke
Nabi-E-Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
“Nikah karo chahe  (Meher dene ke liye)
Ek Lohe ki Anguthi hi ho
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)
Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan
ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
“Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho  Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!