Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Huzoor ﷺ Noor-UL-Bashar (Human & Noor Both)

Aur Isi Tarah Ek Aur Aayate Mubaraka Me ALLAH Ajwazal Irshad Farmata Hai

Aayat No: 2

يَا أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءَكُم بُرْهَانٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَأَنزَلْنَا إِلَيْكُمْ نُورًا مُّبِينًا – 4:174

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai, “Aye Logo ! Behsaq Tumhare Pas ALLAH Ki Tarafse Wajeh Daleel Aayi. Aur Humne Tumhari Taraf Roshan NOOR Utara.

(Al Quran Surah An Nissa, Para 6, Aayat 174)

Yahan In Dono Aayate Mubaraka Me Noor Se Murad Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Zaat-E-Aqdas Hai Aur Roshan Kitab “Quran-E-Kareem” Hai.

Quran Bolta Hai Noori Bashar Hai Aaqa ﷺ
Apni Tarah To Unko Shaitan Bolta Hai

Imam Abdur Razzaq Shagird Hai Imam Malik Ke Aur Imam Ibne Hambal Ke Ustad Hai Aur Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ke Dada Ustad Hai. To Ab Agar (Ma’zallah, Summa Ma’zallah) Wahabi Deobandi Ahle Khabees Ke Nazdik Imam Abdur Razzak Kafir Hai Ya Jhooti Hadeese Bayan Karnewale Hai To Phir Inka Imam Bukhari, Imam Muslim Aur Imam Hambal Ko Manneka To Sawal Hi Nahi. Dar Asl Ye Sab In Bad Aqeeda Jama’ato Ki Chal Hai Aur Inhe Shane Mustafa ﷺ Bardasht Nahi Hoti.

Hadees No: 1

Hazrate Jaabir Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ke Aapne Rehmate Aalam Shafi-E-Mehshar ﷺ Se Sawal Kiya Ke,
Ya RasoolALLAH ﷺ Mere Maa Baap Aap Par Qurban !
ALLAH Rabbul Aalameen Ne Sabse Pehle Kis Chiz Ko Paida Kiya?
Nabi-E-Kareem ﷺ Irshad Farmaya,
Aye Jaabir ! Wo Tere Nabi ﷺ Ka Noor Hai Jise Sabse Pehle ALLAH Ta’ala Ne Paida Farmaya. Mere Noor Ke Saye Me, Mere Noor Ke Bad Rab Ne Har Shay Ko Wazood Ata Farmaya. Mere Noor Ne ALLAH Ta’ala Ke Samne Maqam-E-Qurb Me Qayam Kiya. Rabbe Qaynat Ne Is Noor Ko 4 Hisso Me Taqsim Kiya. Ek Hisse Se Arsh, Ek Hisse Se Qursi, Ek Hisse Se Arsh-O-Qursi Ko Uthane Aur Hifazat Karnewale Farishto Ko Paida Kiya. Jabke Awwal Hissa Aap ﷺ Ki Zate Aqdas Hai. Isi Noor Se Dobara Qayam-E-Muhbbat Karaya Gaya Phir Is Noor Ki 4 Qismein Banayi Gayi Jisse, Loh-E-Mehfooz, Kalam Aur Jannat Ko Paida Farmaya. Ab Dobara Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Maqam-E-Khauf Me Qayam Karaya Gaya Aur Isike Hisso Me Chand Sooraj (Shams-O-Qamar) Aur Farishto Ko Paida Farmaya. Ab Chauthi Martaba Qayam-E-Raza Me Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Qayam Karaya Gaya. Iske Ek Hiise Se Rab Ta’ala Ne Aqal Ko Dusre Se iLM-O-Hikmat Aur Tisre Se Qismat Aur Taufiq Ko Paida Kiya. Fir Dobara Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Maqam-E-Haya Me Qayam Karaya Gaya Yaha Rab Ta’ala Ne Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Nazre Rehmat Se Dekha To Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Pasina Aaya. Jiske Qatre 1,24,000 The. Jiske Har Qatre Se Ek Nabi Yani Rasool Ki Rooho Ko Paida Farmaya. Jab In Rooho Ne Sans Li To Inke Sans Se Waliyo, Shahido, Siddiqeen Aur Ta-Qayamat Ki Roohon Ko Paida Kiya. Har Martaba Qayam Ka Daur 12,000 Sal Hai. Fir Rab Ta’ala Ne 12,000 Hijab Paida Kiye Aur Har Hijab Me Mera Noor 1000 Sal Rakha. Aur Iske Bad ALLAH Ta’ala Ne Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Hazrate Aadam Alaihisaalam Me Pak Pushto Se Pak Rehmo Ki Taraf Yan Yak Ke Hazrate Abdullah Radiallaho Anhu Tak Muntaqil Hota Raha Wahan Se Ye Noor-E-Muhammad ﷺ Sayedda Bibi Aameena Radiallaho Anha Ki God Me Is Duniya Me Jalwa Afroz Hua.

(Musnade Abdur Razzaq Jild 1 Safa 63)
Imam Qastalani Al Mohebul Ladduniya Jild 1 Safa 71
Musnade Abdur Razzaq Jild Bab Noore Nabi ﷺ Ki Takhliq Ka Bayan Ispar Kul 18 Hadees Hai.
(Imam Ibne Jarir Tabri Ne Tafsire Ibne Jarir)
(Imam Baihaqqi Dalailun Nabuwwat)
(Gause Aazam Radiallaho Anhu Ne Firrul Asrar Safa 6)
(Shah Abdul Haq Muhaddis Dehalvi Madarijun Nabuwwat Jild 1 Safa 76)
Aur Bhi Imam Hai Jinohne Is Hadeese Ko Bayan Kiya Hai.

Sanad:

Imam Abur Razzaq –> Imam Maymar Bin Rashid –> Imam Muhammad Bin Munkanbir –> Hazrate Jaabir Bin Abullah Radiallaho Anhu Ne Nabi-E-Rehmat ﷺ Se Riwayat Kiya Hai.

Sanad Per Tehqeeq:

1. Abdur Razzaq (RAWI)
Pura Naam : ‘Abdur-Razzaq Bin Humam Bin Nafi’ Al-Himyari As-San’ani

Kunniyat : Abu Bakr

Paidaish : 126 AH

Wafat : 211 AH

Grade : Thiqa.

Siha Sitta Me Hadees Rawi Abdur Razzaq

Sahi Bukhari Me 103 ; Sahih Muslim Me 376 ; Sunan Abi Daud Me 170 ; Jame Al Tirmidhi Me 129 ; Sunan An Nasai Me 97 ; Sunan Ibn Majah Me 75

Is Hadees Ko In Chand Kitabon Me Naql Kiya Gaya Hai,

Imam Qastalani ,  Kitab Mawahib Al Laduniyah , Jild 1 , Safa 71

Imam Ajluni ,Kitab Kashaf Al Khifa , Jild 1 ,Safa 311 , Hadees 8 27.

Imam Zarqani , Kitab Sharah Mawahib Al Laduniyah , Jild 1 , Safa 89-91.

Iydarusi , Kitab Tarekh An Nur As Saafir , Jild 1 , Safa 8

Imam Halabi , Kitab As Sirah , Jild 1 , Safa 50.

Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi , Kitab Madarij Al-Nubuwwa , Aur Is Hadees Ki Sanad Ko Thiqa Qarar Diya , Jild 2 , Safa 2 ( Farsi ) , Jild 2 , Safa 13 ( Urdu )

Imam Nabhani , Kitab Jawahir Al Bihar , Jild 3 , Safa 354.

Ashraf Ali Thanvi Deobandi , Kitab Nashr At Tib , Jild 1 , Safa 13.

Imam Ibn Hajr Al Haytami , Kitab Fatawa Al Hadithiyyah , Safa 289

Ki Muhammad ﷺ Se Wafa To Hum Tere Hai
Ye Jahan Chiz Hai Kya Lauh-O-Kalam Tere Hai
(Dr. Allama Iqbal)

Ab Gaur Karne Jaisi Bat To Ye Hai Ke Agar Ab Bhi Koi Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Noor Hone Par Ikhtelaf Rakhta Hai Aur Ma’azallah Nabi-E-Kareem Ke Noor Hone Ko Shirk Kehta Ho To Kya Wo Jo Upar Hawale Diye Gaye Sahaba Tabai Tanbe Tabai Aur Digar Imam Ne Shirk Kiya Ma’zallah Summa Ma’zallah Jo Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Daur-E-Mubarak Ke Itne Karib Hai. Aur Ye Aaj Ke Farzi Dhongi Bad Aqeeda Log Khudko Tauheed Ke Thekedar Samajhte Hai. Aap Khud Faisla Karle Ki Haq Kya Hai. Alhumdulillah Humne To Ba Hawala Sabit Kiya Ki Sarkare Do Aalam ﷺ Haqiqatan Noor Hai Aur Jaahiri Me Bashar Hai Yani Noorul Bashar Hai. Ab Jinko Ikhtelaf Hai Wo Sabit Kare Daleel Se Ki Nabi-E-Kareem ﷺ Noor Nahi Hai. Yad Rakhe ! Noor Na Hone Ki Daleel Mangoge Inse To Bashar Hone Ki Daleele Denge. Jabke Humne Pehle Hi Saf Wajeh Kar Diya Hai Ke Bashriyat Me Ikhtelaf Nahi Hai. Noor Hone Par Ikhtelaf Hai. In sha ALLAH Qayamat Tak Ye Jaahil Gustakh Bad Bakht Bad Aqeeda Log Ek Daleel Nahi La Sakte Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Noor Na Hone Par. Aur To Aur In Qazzabo Ne Hadeese Gayab Bhi Kardi Hai Kitabo Se. In Sab Bato Se Inki Gustakhiya Aur Bad Aqeedgi Kharjiyat Sabit Hoti Hai. In Sha ALLAH Inpar Sakht Azab Hai. ALLAH Ta’ala Hum Sabke Imaan Ki Hifazat Farmaye Aur Imaan Par Khatma Nasib Kare.
Aameen. (Awwal Aakhir Durood)

Teri Nasle Pak Me Hai Bachcha Bachcha Noor Ka
Tu Hai Ain-E-Noor Tera Sab Gharana Noor Ka
(Aalahazrat Azimul Barkat Rehmatullah Alaihi)

Hamare Aaqa Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Kabse Nabi Hai?

Hadees No: 2

Hazrat Maysira Al Fajr Ne Nabi-E-Kareem Huzoor ﷺ Se Puccha Ke Aap Kabse Nabi Hai?
Toh Aap Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jab Aadam Alaihissalam Mitti Aur Rooh Ke Darmayan Me The.

Yahi Hadees , Hazrat Abu Hurraira , Abdullah Bin Abbas , Abdullah Bin Shaqeeq , Umar Bin Khattab , Aamir Radialla Taala Anhum Se Bhi Marwi Hai.

Imam Tirmidhi , Kitab As Sunan , Al Manaqib , Baab Fadl An NABI Swallallahualaihiwasallam , Jild 5 , Safa 585 , Hadees 3609.

Imam Ahmad Bin Hanbal , Kitab Al Musnad , Jild 4  Safa 66 Aur Jild 5 , Safa 59 , Hadees 23620

Imam Hakim , Kitab Al Mustadrak , Jild 2 , Safa 665-666 , Hadees 4209-4210.

Imam Ibn Abi Shayba , Kitab Al Musannaf , Jild 7 , Safa 369 , Hadees 36553

Imam Tabrani , Kitab Muajam Ul Awsath , Jild 4 , Safa 272 , Hadees 4175.

Imam Tabrani , Kitab Muajam Al Kabeer , Jild 12 , Safa 92 , Hadees 12571.

Imam Abu Nuy’m , Kitab Hilyatul Auliya , Jild 7 , Safa 122 Aur Jild 9 Safa 53.

Imam Bukhari , Kitab Tarikh Al Kabeer , Jild 7 , Safa 374 , Hadees 1606.

Imam Ibn  Abi Asim , Kitab As Sunnah , Jild 1 Safa 179 , Hadees 411

Imam Shaybani , Kitab Ahaad Wal Mathani , Jild 5 , Safa 347 , Hadees 2918.

Imam Abdullah Bin Ahmad Bin Hanbal , Kitab As Sunnah , Jild 2 , Safa 398 , Hadees 864.

Imam Ibn E Sa’ad , Kitab Tabqaat E Kubra , Jild 1 Safa 148.

Imam Ibn Hibban , Kitab Thiqqat , Jild 1 , Safa 47.

Imam Daylami , Kitab Musnad Al Firdous , Jild 3 , Safa 284 , Hadees 4845.

Imam Ibn Asakir , Kitab Tarikh E Damishq Al Kabeer , Jild 26 , Safa 382.

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdeeb At Tahdheeb,Jild 5 , Safa 147 ,Hadees 290 Aur Kitab Al Asabah , Jild 6 , Safa 239 Aur Kitab Ta’jeel Al Munfi’ah  , Jild 1 , Safa 542 , Hadees 1518.

Imam Ibn Abdul Barr ,Kitab Al Isti’ab , Jild 4 , Safa 1488 , Hadees 2582.

Imam Zahabi , Kitab Sayyir Al ‘Alaam An Nubala , Jild 7 , Safa 384.

Imam Jalal Ud Din Suyuti , Kitab Khasai Al Kubra , Jild 1 , Safa 18 Aur Kitab Alhawi Lil Fatawa , Jild 2 , Safa 100

Imam Ibn E Katheer , Kitab Al Badayah Wan Nahayah , Jild 2 , Safa 307

Imam Jarjani , Kitab Tareekh E Jarjaan , Jild 1 , Safa 392 , Hadees 653.
Imam Qastalani , Kitab Mawahib Al Laduniya , Jild 1 , Safa 60.

Imam Haitami , Kitab Majma’ Az Zawaid , Jild 8 , Safa 122.

Imam Abu Sa’d An Neshaburi , Kitab  Sharaf Al Mustafa , Jild 1 , Safa 286 , Hadees 75.

Upar Peshkarda Aayate Kareema Aur Hadeese Pak Se Wajeh Ho Gaya Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Haqiqat Noor Hai. Ab Isme Logon Ka Ikhtelaf Hai. Ahle Sunnat Rehmate Aalam ﷺ Ko Noorul Bashar Mante Hai Yani Bashar Aur Noor Dono Mante Hai. Jabke Bad Aqeeda Log Awam Me Ahle Sunnat Ke Namse Jhoot Gadhte Hai Ke Hum Aaqa ﷺ Ko Bashar Nahi Mante. Ham Nabi-E-Rehmat ﷺ Ko Bemisl Bashar Mante Hai.

Aayat No: 3

فَاَرْسَلْنَاۤ اِلَیْهَا رُوْحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرًا سَوِیًّا(۱۷)

To Uski Taraf Hamne Apna Roohani (Jibril Alaihissalam) Bheja. Wah Uske Samne Ek Tandrust Aadmi Ke Roop Me Jaahir Hua

(Surah Mariyam Para 16 Aayat 17)

Hadees No: 3

Hazrate Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ke Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Ne Irshad Farmaya,
ALLAH Ta’ala Ne Maut Ke Farishte Ko Hazrate Musa Alaihissalam Ke Bargah Me Insani Jism-Shaklo Surat Me Bheja.

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Hadees No: 1339)

Yaha Mulahiza Farmaye Ke ALLAH Ta’ala Ne Hazrate Jibril Alaihissalam Ko Hazrate Bibi Maryam Alahissalm Ki Bargah Me Insani Shakl Me Bheja. Aur Isi Tarah Maut Ke Farishte Ko Hazrate Musa Alaihissalam Ke Bargah Me Bheja. Isse Saf Jahir Hota Hai Ke Noor Aur Bashar Ek Hi Makhlooq Me Paye Ja Sakte Hai. Yaha To Farishto Ka Ye Aalam Hai To Beshaq ! Nabi-E-Kareem ﷺ To Imamul Ambiya Hai. Ab Jo Har Chiz Ko Apni Aqlo Salim Se Tolte Ha Unke Liye Unke Tariqe Se Samajhte Hai. ALLAH Ta’ala Ne Nabi-E-Rehmat ﷺ Ko Bashriyat Me Hi Isliye Paida Farmaya Ki Log Aapko (Ma’zallah) Khuda Na Samzle. Jaisa Ke Hazrate Isa Alaihissalam Ko Isaiyo Ne (Ma’zallah) Khuda Ka Beta Man Liya. Aur Log Nabuwwat Ko Manne Se Atiraz O Inkar Na Kare Isliye Bashriyat Me Paida Farmaya. Aap ﷺ Jaahiri Me Bemisl Bashar Hai Aur Baatin Me Noor Hai.

Aage ALLAH Ajwazal Kalame Mazeed Me Farmata Hai,

Aayat No: 4

يُرِيدُونَ أَن يُطْفِئُوا نُورَ اللَّهِ بِأَفْوَاهِهِمْ وَيَأْبَى اللَّهُ إِلَّا أَن يُتِمَّ نُورَهُ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ – 9:32

Chahte Hai Ki ALLAH Ka NOOR Apne Muh Se Bujha De Aur ALLAH Na Manega Magar Apne NOOR Ka Pura Karna.
Pade (Chahe) Bura Mane Kafir

(Al Quran Surah Tauba, Para 10, Aayat 32)

Hadees No: 4

Sayyiduna Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai Ke Rehmate Aalam ﷺ Jab Guftagoo Farmate To Hum Aapke Dandane Mubarak (Teeth) Ke Bichki Jagah Se Noor Ko Dekha Karte.

(Jami Us Sagir, Safa 403, Hadees No: 6482)
(Isi Tarah Ek Hadees Hazrate Abu Huraira Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Musnade Abdur Razzaq Me Vol. 10, Safa 242, Hadees No: 20657)

Hadees No: 5

Ummul Momineen Sayyeda Hazrate Bibi Aayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai,
Jab Rat Ke Andhere Me Ek Martaba Sui (Needle) Gir Gayi To Aap Use Talashne Lagi. Us Waqt Noor-E-Mujassam ﷺ Ke Chehra-E-Anwar Ke Noor Se Roshni Hui Aur Aapne Sui Ko Dhoond Liya.

(Al Qaulul Badi, Safa 302)

Ab Kuchh Bad Aqeeda Logon Ko Ye Hadeese Pak Par Aitraz Hoga. Kyunki Aksar In Baagiyo Se Aisi Chize Bardasht Nahi Hoti Jaha Sarkare Do Aalam Ne Apni Azmat Ko Zahir Kiya Ho. Itni Daleelo Bad Ab Aitraz To Aur Kuchh Karne Se Raha To Makkar Qazzab Kahenge Ke Sihah Sitta Se Daleel Do. To Aaiye Ham Agli Hadeese Pak Par Roshni Dalte Hai Jo Sihah Sitta Se Hai. Tajjub Ki Bat Hai Jo Imam Abdur Razzaq Ustado Ke Ustad Hai Inhiki Bayan Karda Hadees Ke Ye Munkir Hai.

ALLAH Jab Deen Leta Hai
To Aqal Bhi Cheen Leta Hai

Hadees No: 6

Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Waajib Hui?
Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
(Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi.
(Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Taa’lluq Bhi Abhi Qaayam Naa Huaa Tha).”

(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Fazail E Nabi SallAllahu Alaihwasalam, Page : 821, Hadees : 3609)
(Imam Bukhari Tarikhul Kabir Jild 1 Safa 374)
(Musnade Imam Ibne Hambal Jild No 5 Safa 59)
(Imam Tabrani Ne Majamul Kabeer Jild 20 Safa 353)
(Imam Hakim Al Mustadraq Volume : 02, Page : 665 / 66, Hadees  : 4210)
(Imam Baihaqqi Dalail Nabuwwat)
(Imam Jauji Al Wafa)
(Imam Jalaluddin Suyuti Al Khasaisul Kubra)
(Imam Qastlani Al Mahebul Ladduniya)
(Ibne Kaseer Al Bidaya Wan Nihaya)

SubhanALLAH.. Kya Shaan Hai Mere Aaqa ﷺ Ki. Aap Us Waqt Bhi Nabi The Jabke Hazrate Aadam Alaihissalam Ki Rooh Bhi Unke Jism-E-Aqdas Me Na Thehri Thi. Aap Hi Awwal Hai Aap Hi Aakhir Hai. Beshaq ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aap Jaisa Kise Banaya Hi Nahi Apni Har Khoobi Me Tanha Aap Hai. Ab Is Hadeese Pak Se To Bad Aqeeda Logon Ko Sabak Hasil Karna Chahiye Ke Chahe Wo Jitni Napak Koshishe Karle Magar Hargiz Shane Mustafa ﷺ Ko Kabhi Zarra Bara Bar Ghata Na Sakenge. Aur Itne Daleelo Ke Bad Bhi Agar Kisika Dil In Hadeese Pak Par Yaqin Karne Razi Na Ho To Samajhle Ki Dilon Par ALLAH Ki Karafse Kufr Ki Muhar Lag Chuki Hai.

Aalahazrat Azimul Barkat Muzaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Kya Khoob Farmate Hai,

Wo Jo Na The To Kuchh Na Tha
Wo Jo Na Ho To Kuchh Na Ho,
Jaan Hai Wo Jahan Ki,
Ke Jaan Hai To Jahan Hai

Hadees No: 7

Rehmat-E-Aalam Shafi-E-Mehshar Sarkar-E-Madina Huzoor ﷺ Ne Farmaya:

“Han, Main Ibrahim Alaihissalam Ki Dua Hun Aur Hazrat Esa Bin Mariyam Alaihissalam Ne Meri Basharat Di Thi Aur Mere Wiladat Kw Waqt Mere Walidah Muhtarmah Sayyeda Bibi Aamina Radiallaho Anha Ne Apne Badan Say Aisa NOOR Nikalty Hue Dekha Jis Say Un Par Shaam (Syria) Ki Muhallat Tak Roshan Ho Gaay Thi.”

Imam Haakim Ne Farmaya:

Yeh Hadith Sahi Al Asnaad Hai Aur Imam Zahabi Ne Imam Haakim Ki Taed Ki Hay !!

Imam Hakim , Kitab Al Mustadarak , Jild 2 , Safa 656 , Hadees 4175.

Imam Ibn E Sa’ad , Kitab Tabqat Al Kubra , Jild 1 , Safa 150.

Imam Bayhaqi , Kitab Dalail An Nabuwwah , Jild 1 , Safa 83.

Imam Tabrani , Kitab Jami Al Bayan , Jild 1 ,Safa 556.

Imam Qurtabi , Kitab Jami’ Al Ahkaam Al Quran , Jild 2 , Safa 131.

Imam Tabari , Kitab Tareekh Al Umam Wal Mulook , Jild 1 , Safa 458.

Imam Ibn E Katheer , Kitab Tafseer Al Quran Al Azeem , Jild 4 , Safa 361.

Imam Ibn E Ishaaq , Kitab Seerat An Nabwiyyah , Jild 1 , Safa 28.

Aaiye Ab Zara In Khabeeson Ke Khudke Gharke Molviyon Ki Kitabon Par Bhi Ek Nazar Dali Jaye,
Dar Asl Inka Maqsad Humesha Se Awam Ko Gumrahi Me Mubtala Karna Hi Raha Hai,

1. Deoband Ka Alim Mohammad Ashiq Ilaahi Mirthi Apni Kitab Imdad Us Sulook Safa 157-158 Per Likhta Hai.

“Insaan Ka Nafs Noorani Hojaata Hai Aur Yahi Baat Hai K Haq Taala Ne Apne Habib Swallallahualaihiwasallam Ki Shaan Me Farmaya Hai “ Beshak Aaya Tumhare Paas Haq Taala Ki Taraf Se Noor Aur Wazeh Kitab” Aur Noor Se Muurad Habib E Khuda Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat Hai”

2. Deoband Ke Mufti Sayed Najm Ul Hasan Amrohi Ka Fatwa Najm Al Fatwa Jild 1 Safa 315-316 Per Ek Sawal Ke Jawab Me Likhte Hai :

Tafseer Ruh Ul Bayan Jild 2 Safa 370 , Nabi-E-Kareem ﷺ Se Riwayat Kiya Gaya Hai Ke Aap Ne Farmaya Hazrat Adam Alaihissalam Ki Paidaish Se 4000 Saal Pehle Me Apne Rab Ke Saamne Noor (Ki Soorat) Tha Aur Farishto Ki Tasheeh Is Noor Ki Tasheeh Ke Mutabik Thi.

Phir Jab ALLAH Taala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Ko Paida Farmaya Toh Is Noor Ko Inki Salb (Haqeeqat) Me Shamil Kardiya .

Isi Tarah Hazrat Thanvi Ne Apni Kitab “Nashrat Ut Tib Fee Zikr An Nabi Habib Sallallaho Alaihi Wasallam” Ki Pehli Fasl Me Jo Noor E Mohammadi ﷺ Ke Unwaan Se Qayam Hai, In Riwayat Ko Jama Kiya Hai, Jin Se Malum Hota Hai Ke Hazrat Mohammad Huzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Noor Se Paida Hue .

3. Deoband Ke Bahut Bade Ali Ashraf Ali Thanvi Ki Kitab Nashrat Ut Tib Fee Zikr An Nabi Habib ﷺ Me Safa 20-21,269

Is Kitab Me Ashraf Ali Thanvi Ne NABI Huzoor ﷺ Ko NOOR Maana Hai.

Alhamdulillah Issey Saaabit Hai Deoband Ke Bade Alim Bhi Mante Hai Ke ALLAH Ta’ala Ne Sabse Pehle Apne Habib Huzoor ﷺ Ke Noor Ko Paida Farmaya Aur Aap Nabi-E-Kareem ﷺ Noor Hai.

Ab Aakhri Bat Kuchh Logon Ka Ye Aqeeda Hai Ma’azALLAH Rabbul Aalameen Ki Huzoor ﷺ Hamare Jaise Aam Bashar Hai Ya Hamare Bade Bhai Jaise Hai. Summa Ma’azALLAH. To Ispar Khud Hamare Aaqa Huzoor ﷺ Ke Muqaddas Irshadat Par Gaur Farmaye,

Hadees No: 8

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah Radiaallhu Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne “Bagair Kuch Khaye Piye Rozey Se Roza Mila Kar Rakhne Se Mana Farmaya”

Toh Sahaba Radiallahu Anhu Ne Arz Kiya Ki

“Ya RasoolAllah ﷺ ! Aap Toh Isi Tarah Rozey Rakhte Hain”

To RasoolAllah ﷺ Ne Irshaad Farmaya:

“Mein Tumhare Jaisa Nahi Hoon, Mein Toh Is Haal Me Raat Guzaarta Hoon Ki Mera Rabb Mujhe Khilaata Aur Pilata Hai”

Ek Aur Riwayat Me Hai Ke Aaqa-E-Do Jahaan ﷺ Ne Farmaya,

‘”Wisaal Se Bacho..!!’” (Wisaal Yeh Hai Ke Iftaar Ke Waqt Kuch Khaye Piye Bagair Musalsal Roze Rakhna)

Sahaba Radiallahu Anhu Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! 

“Aap Bhi Toh Wisaal Karte Hain.” Toh RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,

“Mujhe Toh Mera Rabb Khila Aur Pilaa Deta Hai, Utna Nek Amal Karo Jitni Tumhein Taqat Hai”

(Sahih Bukhari : Hadees 7299 Book ref. : 96, Hadees 30 Eng ref. : Vol. 9, Book 92, Hadees 402)

(Sahih Bukhari : Hadees 1966 Book ref. : 30, Hadees 73 Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 187)

(Jamia Tirmizi : Hadees 778 Book ref. : 8, Hadees 97 Eng ref. : Vol. 2, Book 3, Hadees 778)

Is Hadeese Pak Par Gaur Kare Ke Aap ﷺ Ne Bina Kuch Khaye Roze Rakhne Se Mana Farmaya. Aur Aap ﷺ Aksar Bina Khana Tanawul Farmaye Roze Rakha Karte Hai. To Jab Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhu Ne Aap ﷺ Se Pucha Ke

“Ya Rasoolullah ﷺ Aap Bhi To Aise Roze Rakhte Hai. Huzoor-E-Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya,

“ALLAH Rabbul Aalameen Aapko Khilata Bhi Hai Aur Pilata Bhai Hai.” Beshaq ! Aap ﷺ Jaisa Koi Nahi Hai. Ab Aage Mulahza Farmaye Ki Kis Qadar Nabi-E-Kareem Rehmate Aalam ﷺ Ne Ummat Ko Apni Fazilate Se Tarruf Farmayi Hai.

Hadees No: 9

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya: 

“Mere Naam Par Apne Naam Rakho Magar Meri Kunnyat (Abu’l Qasim) Ikhtiyar Na Karo.

(Kyunki) ALLAH Ta’ala Deta Hai Aur Mein Taqseem Karta Hoon.”

(Sahih Muslim : Hadees 2133 Book ref. : 38, Hadees 6 Eng ref : Book 25, Hadees 5319)

(Sahih Muslim : 2133 Book ref. : 38, Hadees 4 Eng ref : Book 25, Hadees 5317)

(Al-Adab Al-Mufrad : Hadees 844 Book ref. : 35, Hadith 3 Eng ref. : Book 35, Hadees 844)

Is Hadeese Pak Wajeh Taur Par Aaqa ﷺ Ne Apni Ummat Ko Aagah KIya Hai Ke Meri Kunniyat Ikhteyar Na Karo. Me Tumhari Tarah Nahi Hu. ALLAH Ta’ala Ata Farmata Hai Aur Aap ﷺ Taqseem Farmate Hai. Beshaq!

ALLAH Ta’ala Apne Habib ﷺ Ke Nalain Ke Sadqe Hume Sirate Mustaqim Par Qayam Rakhe Aur Is Faani Duniya Se Imaan Par Ruksati Naseeb Farmaye. Apni Aakhri Sanson Tak Hamare Aaqa Huzoor ﷺ Ki Zaat-E-Aqdas Ki Tazim Karne Ki Aur Unki Azmato-Shaan-O-Shaukat Tamam Aalam Tak Pohchane Ki Taufeeq Ata Farmaye. 

Aameen. Summa Aameen.

(Awwal Aakhir Durood)

Aakhir Me Mere Peero Murshid Imame Ahle Sunnat Muzaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Ke Kalam Ko Aapke Khidmat Me Pesh Kar Apne Is Unwan Ko Khatm Karta Hu. 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!