Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Huzoor ﷺ Ki Mohabbat Aur ita’at

Musalman Ke Liye Huzoor ﷺ Ki ita’at Aur Aap Se Mohabbat Aapke Hukmo Ki Ta’meel Har Farz Se Bada Farz Hai.
Jo Kuch Huzoor ﷺ Le Kar Aaye Dil Ki Gehrai Se Use Maan Lena Hi iman Hai, iman Ek Zaroori Cheez Hai, Momin Ki Zindagi Ka Aagaz Hi iman Se Hai Agar iman Nahi To Aap Use insan To Keh Sakte Hain Magar Momin Ya Musalman Nahi. Huzoor ﷺ Ki Mohobbat Wa Tazim Iman Ki Dalil Hai.
Huzoor ﷺ Mohobbat Ka Dawa To Har Jama’at Karti Hai. Ab Aap Khud Gaur Kare Ki Kaun Haq Par Hai. Kya Ye Muhabbat Ho Sakti Hai? 
● Jinhe Durood Padhne Par Aitraz Ho
● Jinhe Salato Salam Padhne Par Aitraz Ho
● Jo Log Ma’azALLAH Nauzobillah Astagfirullah Farishto Ke Ilm Ko Huzoor ﷺ Se Jyada Batate Ho
● Jo Huzoor ﷺ Ki Azmat Ko Ghatane Ki Jhooti Bate Gadhte Ho
● Jinke Nazdik Miladun Nabi ﷺ Manana Ek Gunah Ho. 
● Jo Huzoor ﷺ Ko Mansoob Karke Jhoote Kisse Khwab Gadhte Ho
● Jinhe Nabi-E-Kareem ﷺ Ke ILM-E-Gaib Par Aqeeda Na Ho
● Jinko Huzoor ﷺ Ki Azmat Wa Shaano Shaukat Martabe Ki Batain Hazam Na Hoti Ho. 
● Jinke Nazdik Mal’oon La’anti Jahannami Yazeed Aur Qatilane Sohda-E-Karbala Haq Par Ho.
● Jo Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Khulfa-E-Rashidin Ko Aur Aapke Sahaba Ko Ma’azALLAH Astagfirullah Galiya Dete Ho.
● Jinka Galeez Aqeeda Summa Ma’azALLAH Nauzobillah Astagfirullah Ye Hai Ke Huzoor ﷺ Mar Ke Mitti Me Mil Gaye Ya Wo Apni Beti Aur Apni Aal Ko Azabe Ilahi Se Nahi Bacha Sakte.  
● Jo Nabi-E-Kareem ﷺ Ko Apne Bade Bhai Jaisa Ma’azALLAH Nauzobillah Astagfirullah Ek Aam Insan Manta Ho. 
● Jinhone Huzoor ﷺ Ki Azmat Wali Hadees Kitabo Se Nikal Di Ho. Jo Aisi Tamam Hadeeso Ka Inkar Karta Ho Unhe Zaif Kehta Ho Jisme Huzoor ﷺ Ki Shaan Bayan Ki Ho. 
● Jinko Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Ikhtiyarat Pe Unke Mojozat Par Aqeeda Na Ho. 
● Jinhe Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Nam-E-Mubarak Ko Chumnewalo Se Aitraz Ho.
Aise Aur Bhi Kai Tarah Ke Log Hai Yaha Mukhtsar Bayan Kiya Hu. To Kya Ye Log Huzoor ﷺ Se Apni Mohobbat Ka Dawa Karte Hai Wo Sachcha Ho Sakta Hai? Hargiz Nahi. Ikhtelaf Aur Ummat Ka Firqo Me Batna To Is Ummat Ka Muqaddar Hai Wo Ho Kar Rahega. Jiske Bare Me Tafseel Me Article Ke Aakhir Me Bayan Kar Raha Hu. Magar Aap Khud Soche Ke Kya Haq Hai Kya Galat. Aaiye Huzoor ﷺ Ki Mohabbat Ki Ahmiyat Ko Hum Quran Wa Hadees Se Jante Hai. Aur Aapki Tazim Sahaba Kiram Radiallahu Anhuma Ne Kis Tarh Ki Uspar Bhi Nazar Dalenge. 
Hadees No: 1
Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya: 
“Tum Mein Se Koi Shakhs Us Waqt Tak Kaamil Momin Nahin Ho Sakta
Jab Tak Ke Main Us Ke Nazdeek Us Ke Jaan Se Zyada Aziz Na Ho Jaaoon Aur 
Us Waqt Wo Momin Nahi Ho Sakta Jab Tak Wo Apne Ahle Khana Se Zyada Meri Ahle Bait Ko Mehboob Na Samje.”
[Majma Uz Zuwa’id “Imam Hesmi” Vol 1, Page 115, Hadees 296]
[Shobul Iman “Imam Bayhaqi” Vol 03 , Page 88 , Hadees 1420]
[Muajamal Kabeer “Imam Tabrani” Vol 07 , Page 86 , Hadees 2216]
[Musnad Ul Firdous “Imam Daylami” Vol 05 , Page 154  , Hadees 7795]
Hadees No: 2
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ بُكَيْرٍ، حَدَّثَنِي اللَّيْثُ، قَالَ حَدَّثَنِي خَالِدُ بْنُ يَزِيدَ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي هِلاَلٍ، عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ، أَنَّ رَجُلاً، عَلَى عَهْدِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم كَانَ اسْمُهُ عَبْدَ اللَّهِ، وَكَانَ يُلَقَّبُ حِمَارًا، وَكَانَ يُضْحِكُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم، وَكَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم قَدْ جَلَدَهُ فِي الشَّرَابِ، فَأُتِيَ بِهِ يَوْمًا فَأَمَرَ بِهِ فَجُلِدَ، فَقَالَ رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ اللَّهُمَّ الْعَنْهُ مَا أَكْثَرَ مَا يُؤْتَى بِهِ‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ لاَ تَلْعَنُوهُ، فَوَاللَّهِ مَا عَلِمْتُ أَنَّهُ يُحِبُّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ ‏”‏‏.
Ameerul Momineen Hazrate Umar Bin Khattab Radiallaho Ta’ala Anhi Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ke Mamana Mubarak Mein 1 Shakhs,
Jin Ka Nam Abdullah Tha Aur 
”HAMAR “ (Gadha ) Ke Laqab Se Pukare Jatay The, Woh Aap Hazrat ﷺ Ko Hansate The Aur Aap Hazrat ﷺ Ne inhen Sharaab Peene Par Mara Tha To inhen Ek Din Laya Gaya Aur Aap Hazrat ﷺ Ne Un Ke Liye Hukum Diya Aur inhen Mara Jaye. 
Aakhri Mein Ek Sahib Ne Kaha ALLAH is Par Laanat Kare!  Kiitni Marrtaba Kaha Ja Chuuka Hai.
Nabi-E-Kareem Hazrat ﷺ Ne Farmaya Ke is Par Laanat Nahi Karo Wallah Mein Ne iske Mutaliq Yahi Jana Hai Ke Yeh ALLAH Aur iske Rasool ﷺ Se Mohabbat Karta Hai.
(Sahi Al Bukhari Hadees No: 6780)
Kisi Shayar Ne Kya Khoob Kaha Hai,
Muhabbt-E-Rasool Deen-E-Haq Ki. Sharte Awwal Hai,
Agar Isi Me Ho Khami,
To Sab Na-Mukammal Hai
Bajuj Hubbe Muhammad Koi
Kamile Imaan Ho Nahi Sakta
Faqat Khuda Ko Mannewala 
Musalman Ho Nahi Sakta.” 
(Dr. Allama Muhammad Iqbal) 
Mutmahan Jaise Jahan Me Koi Insaan Nahi,
Sab Kuch Hai Magar Daulate Imaan Nahi, 
Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Se Jo Muhabbat Na Kare, 
Lakh Sajde Kare Fir Bhi Musalman Nahi
Upar Bayan Ki Gayi Hadeese Pak Se Khoob Roshan Ho Gaya Ki Sabse Pehle Huzoor ﷺ Ki Mohobbat Wa Aqidat Hi Imaan Hai. Ye Agar Nahi Hai To Sab Bekar Hai. Huzoor ﷺ Ki ita’at Aap ﷺ Ki itteba Aapke Hukmo Par Chalna Aur Jisse Aap ﷺ Ne Mana Farnmya Usse Ruk Jana, in Tamam Chizo Ki Hidayat Hame ALLAH Ki Janib Se Quran Me Mil Rahi Hai.
Ayat No: 1
“QURAN”
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا – 4:59

Aye imaanwalo Hukm Mano Allah Ka Aur Hukm Mano Rasool (ﷺ) Ka, Aur unka Tum Me Jo Hukumat Wale Hain.

{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٥٩}
Ayat No: 2
“QURAN”
مَّن يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ ۖ وَمَن تَوَلَّىٰ فَمَا أَرْسَلْنَاكَ عَلَيْهِمْ حَفِيظًا – 4:80

Aur Aye Mehboob Hum Ne Tume Sab Logon Ke Liye Rasool Bheja, Aur Allah Kafi Hai Gawah, Jisne Rasool Ka Hukm Mana Beshak Usne Allah Ka Hukm Mana

{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٨٠}
Ayat No: 3
“QURAN”
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَّحِيمٌ – 3:31

Aye Mehoob Tum Farma Do, Logon Agar Allah Ko Dost Rakhte Ho To Mere Farma’bardar Ho Jao. ALLAH Tumhe Dost Rakhega Aur Tumhare Gunaah Baksh Dega Aur ALLAH Bakshnewaala Mehrbaan Hai

{القرآن الكريم، الجزء-٣، سورة ال عمران، الايت-٣١}
Ayat No: 4
“QURAN”
مَّا أَفَاءَ اللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِ مِنْ أَهْلِ الْقُرَىٰ فَلِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي الْقُرْبَىٰ وَالْيَتَامَىٰ وَالْمَسَاكِينِ وَابْنِ السَّبِيلِ كَيْ لَا يَكُونَ دُولَةً بَيْنَ الْأَغْنِيَاءِ مِنكُمْ ۚ وَمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانتَهُوا ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ – 59:7

Aur Jo Kuch Rasool (ﷺ) Tume Ata Farmayen Wo Le Lo Aur Jisse Mana Farmayen Baaz Raho

{القرآن الكريم، الجزء-٢٨، سورة الحشر، الايت-٧}

Ayat No: 5
“QURAN”
لَّقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ لِّمَن كَانَ يَرْجُو اللَّهَ وَالْيَوْمَ الْآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثِيرًا – 33:21

Beshak Tume Rasulullah Ki Pairwi Behtar Hai

{القرآن الكريم، الجزء-٢١، سورة الأحزاب، الآية-٢١}
In Tamam Aayaat Se Maloom Hua Ki Halal O Haram Ka ikhteyar (Power) Huzoor ﷺ Ko Bhi Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki ita’at Hi Allah Ki ita’at Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki Zindagi E Mubarak Tamam Nasle insani Ke Liye Behtareen Uswah (Namuna) Hai, Aur Agar insan Allah Pak Ki Muhabbat Chahta Hai To Uska Zarya Sirf Huzoor ﷺ Ki Sunnat Ka Aapki Shari’at Ka Itteba Hai Aur Aapke Tariqon Par Chalna Hi Hai….
In Qurani Hukmo Par Jinka Amal Hai Wo Ahlesunnat Wa Jamat Ka Giroh Hai Jo Huzoor ﷺ Aur Aapke Sahaba Ki Pairawi Karta Hai.
Ayat No: 6
“QURAN”
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَرْفَعُوا أَصْوَاتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِيِّ وَلَا تَجْهَرُوا لَهُ بِالْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَالُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُونَ – 49:2

Aye Imaanwaalo Apni Aawaz Oonchi Naa Karo Us Gaib Batanewaale Nabi Ki Awaaz Se Aur Unke Huzoor Baat Chillakar Naa Kaho Jaise Aapas Me Ek Dusre Ke Saamne Chillate Ho Ki Kaheen Tumhare Aamal Akarat Naa Hojaye Aur Tumhe Khabar Naa Ho.

(Surah Huzraat Para 26, Ruku 1, Ayat 02, Tarzuma Kanzul Imaan) 

Ayat No: 7
“QURAN”
وَمَن يَعْصِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَيَتَعَدَّ حُدُودَهُ يُدْخِلْهُ نَارًا خَالِدًا فِيهَا وَلَهُ عَذَابٌ مُّهِينٌ – 4:14

Aur Jo ALLAH Aur Uske Rasool Ki Nafarmani Kare Aur Uski Kul Hado Se Badh Jaye, ALLAH Use Aag Me Dakhil Karega Jisme Humesha Rahega Aur Uske Liye Kwari (Zillat) Ka Azab Hai

(Surah An Nisa, Para 4, Ruku 2, Aayat 14, Tarzuma Kanzul Imaan)
In Tamam Aayate Mubaraka Se Ye Maloom Hota Hai Ki Halal-O-Haraam Ka Ikhteyar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bhi Hai. Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ita’at Hi ALLAH Ta’ala Ki Ita’at Hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mubarak Zindagi Tamaam Imsan Ke Liye Behtarin Uswah (Namuna) Hai. Aur Jo ALLAH Ta’ala Ki Muhabbat Aur ALLAH Ta’ala Ko Raazi Karna Chaha Hai To Zariya Sirf Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Ka Aapki Shariat Ka Itteba Hai. Aur Aapke Tariqon Par Chalna Hi Hai.
Ayat No: 8
“QURAN”
إِذْ جَعَلَ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ الْجَاهِلِيَّةِ فَأَنزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَىٰ رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَىٰ وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا وَأَهْلَهَا ۚ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا – 48:26

Aur ALLAH Ki Sunnat (Dastoor) Jo Pehle Guzar Chuki Aur Tum Hargiz ALLAH Ki Sunnat Ko Badalta Na Paoge

(Surah Al Fatah, Para 26, Ruku 3, Aayat 23, Tarzuma Kanzul Imaan) 
Hadees No: 3
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki 
“Maine Dekha Hajjam (Barbar) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sar Mubarak Ki Hajamat Bana Raha Tha Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Kiram Radiallahu Anho Azmaeen Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ird Gird Ghoom Rahe The Aur Unme Se Har Ek Ki Yeh Koshish Thi Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Koi Ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Unme Se Kisi Na Kisi Ke Haath Me Aajayen” 
(Sahi Muslim, Vol: 04, Pg : 1812, Kitab No 43 : Kitab Al Fazail, Baab No 19 : Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Logon Se Karibi Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tabbarukat Se Barkat, Hadees : 2325)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol:19, Pg:363, Hadees : 12363)
(Abd bin Humaid Vol: 01, Pg:380, Hadees : 1273)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol: 07, Pg: 108, Hadees : 13411)
Is Hadees Ko Padh Kar Andaza Lagaiye Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sahaba-E-Kiram Ko Kis Darja Muhabbat Thi Ki Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ek Baal Mubarak Ko Qayinaat Ki Saari Doulato Se Zyada Pyara Samajhte SubhanA LLAH.. Magar Afsos ! Aaj Ke Logo Ko Sirk Or  Biddat Ke Siwa Kuch Nahi Sujhta.
Nabi Gensoo Tarashwate
Sahaba Lete  Haathon Mein
Zameen Par Girne Kab Dete
Mere Sarkar Ke Gensoo
Hadees No: 4
Ek Aurat Ne Ek Kinarewali Chadar Huzoor Alaihi Wasallam Sallallahu Ki Khidmate Aqdas Mein Pesh Ki Aur Arz  Kiya Ki Ye Maine Aapke Liye Apne  Hath Se Buni Hai To Huzoor Sallallahu  Alaihi Wasallam Ne Isko Qabool Farma Liya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Zarurat Bhi Thi. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam iska Tahbandh Baandh Kar Hum Logo Mein  Tashreef Laaye To Ek Sahab Ko Wo Nihayat Achi Maloom Hui Aur Unhone isko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mang Liya. Sahabae Kiraam Ne  Usse Kaha Ki Tumne Achcha Na Kiya Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Aaj Kal iski Zarurat Thi Aur Tumko Maloom Hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Maangnewalo Ko Mana Nahi Farmate To Wo Sahab Kehne Lage Ki Maine Wo Chadar Khuda Ki Qasam Pehenne Ke Liye Nahi Li Hai Balqi isliye Maangi Hai Taaqi Wo Mera Kafan Ho Jaye.
Hazrate Suhail Radiallahu Anhu Raawi-E-Hadees Farmate Hai Ki Wo Chadar Waqayi Un Sahab Ke Kafan Mein Kaam Aayi.
(Bukhari Shareef Jild 1 Safa 170) 
Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna
Fir Malna Kafan Par Jo 
Mile Unka Paseena Har Dum 
Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena
Hadees No: 5
Israel Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Usman Bin Abdullah Bin Muhab Ne Kahan Mere Aadmiyo Ne Mujhe Paani Katora (BOWL) Leke Umme Salama Radiallaho Anha Ke Pass Bheja.
Hazrat Israel Ne 3 Ungli (Choti Ungli Se Ishara Kiya Jisme Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Baal Mubarak The) Usman Radi Bin Abdullah Radiallaho Anho Bayan Karte Hai Agar Koi Shaks Buri Nazar Ya Dusri Bimariyo Me Mubtela Hota To Pani Ka Katora Leke Umme Salama Radiallaho Anha Ke Paas Jata. Umme Salama Ke Pass Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Baal The Aur Usme Kuch Baal Laal (Red) The.
(Sahi Bukhari, Book 77 : Kitab Al Libas, Baab 66 , Hadees 5957)
Sahaba-E-Kuram Azmaeen Kitna Adab-O-Ehtaram Karte The Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ke Aapke Ek Baal Mubarak Ko Zameen Par Na Girne De Aur Aapke Baal Mubarak Ko Duniya Ki Tamaam Chizo Se Jyada Mehbeeb Samze. Aur Umme Salma Radiallahu Anha Aur Digar Sahaba-E-Kiram Ka Bhi Yahi Aqeeda Tha Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tabarrukat Yani Aapke Baal Mubarak Ke Waseele Se ALLAH TA’ALA Shifa Ata Farmayega. SubhanALLAH..
Hazrate Umme Salma Radiallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zouja-E-Mohtarma (Paak Biwi) Hain Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Baal Ko Dhowan Mareezo Ko Pilati Thi Aur Mareez Sheefa Paate The Aur Ye Sahaba Ka Zamana Tha Lekin Kisi Ne Ye Nahi Kaha Ki Ye Shirk-O-Bid’at Aur Naa Jayaz Hai. Ye Aqeeda Rakhna Agar Shirk-O-Biddat Hota To Kya Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Sahab-E-Kiram Azmaeen Ko Mana Na Farmate. Dar Asl Ye Kisi Musalman Ka Aqeeda Ho Hi Nahi Sakta. Kya Aajke 4 Kitabein Padhe Log Khudko Sahab-E-Kiram Aur Ummul Momineen Bibi Umme Salma Radiallahu Anha Se Bhi Badh Kar Samzte Hai? 
Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo-E-Mubarak Ko
Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensoo
Hadees No: 6
Bis’aat Ke 11ve Saal Hizrat Se 2 Saal Pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif Ke Din Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Namaze Isha Ada Karne Ke Baad Apni Chacha Jaad Behan Umme Hani Radiallahu Anha Ke Ghar Aaram Farma Rahe The Ke Daulat Khana -E-Aqdas Ki Chhat Khuli Aur Hazrat Jibril Alaihissalam Ne Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Umme Haani Radiallaho Anha Ke Ghar Se Masjid-E-Haram Me Laake Hatim-E-Kaaba Me Leta Diya”
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham  Vol : 02, Zikre Asra Wal Meraj, Pg : 38) 
(Futuhool Baari Shara-E-Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam, Vol : 07, Pg : 256, Hadees: 3887) 
Chumte Hai Jo Aa Kar Talwa Mere
Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ka 
Puchiye Jibril Se Rutba Mere Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ka
Hadees No: 7
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyail Mursaleen Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aamad Baitul Mukkadas Me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihissalam Ko Pehle Se Hi Jama Kiya Gaya Tha Sarakre Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekh Sabne Khushaamdeed Kaha Aur Namaz Ke Waqt Sabne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Imamat Ke Liye Aage Hone Ko Kaha Aur Phir Jibrail E Ameen Alayhissalam Ne Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dasta Mubarak Pakad Kar Aage Badha Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tamam Ambiya Alaihissalam Ki Imamat Farmayi”
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Page : 81, Hadees : 448) (Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Page : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi Rehmatullah Alihi Farmate Hai. Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya Jaise Makdoom Apne Khadimo Ke Aage Hote Hai
Imame Ahle Sunnat Muzaddid-E-Deeno Millat AalaHazrat Imam Ahmad Raza Khan Radiallahu Anhu iski Tashreeh Karte Hai 
Namaz-E-Aksa Me Ye Tha Yehi Sirr,  I’yaa Ho Maniye Awwal Aakhir Ki Dasta Basta Hai Pichhe Haazir, Jo Saltanat Aage Kar Gaye The
Ahlesunnat Wo Jama’at Hai Jo Huzoor ﷺ Ki Sunnat Aur Aapke Khulafae Rashedeen Ki Sunnat Par Chalne Wali Jama’at Hai. Alhumdulillah Ye Wo Haq Jama’at Hai Ke Jiske Liye Jannat Ki Basharat Hadees Se Sabit Hai. Hadees Me 73 Firqo Ka Zikr Hai Jisme Se Sirf 1 Firqa Jannati Hai Aur Uska Nam “Ahle Sunnat” Aaya Hai. To Ab Har Jama’at Apna Nam Ahle Sunnat Bata Rahi Hai.
Isliye Ulma-E-Ahle Sunnat Ne Ek Faisla Kiya Ki Alhe Sunnat Ko Ab “Maslake Haq” Namse Jana Jaye. Par Ek Bat Khoob Zehnashi Farmale, Ye 73 Firqe Ke Talluqse Muqaddas Irshadat Sarware Qaunain Rehnate Aalam ﷺ Ke Hai Jo Ke Jahir Ho Kar Rahenge. Ye Hamare Jam’at Ke Kisi Ulma Ka Fatwa Nahi Hai. Lihaza Jo Log Kehte Hai Ke Ummat Ko Mat Banto, Mera Koi Firqa Nahi, Me Kisi Jamat Se Nahi, Me Kisi Maslak Se Nahi Vagira Vagaira. To Aise Gumrah Logo Ko Yaha Hadeese Pak Par Gaur Karne Ki Zaroorat Hai. 
Hadees No: 8
Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya,
Kaum-E-Yahud 71 Ya 72 Firko Me Ba’nti, Isai 71 Ya 72 Firke Me Ba’nte Aur Meri Ummat 73 Firqe Me Ba’nt Jayegi”
(Sunan Abu Dawood, Pg : 830, Kitabul Sunnat, Baab : Sharaye Sunnah, Hadees : 4596)
(Jamai Tirmizi Vol : 03, Book No 40, Kitabul Imaan Aana Rasool Allah ﷺ, Hadees : 2640)
(Sunan ibn Majah, Pg : 659 Kitab Al Fitan, Baab : Ummat k Firqe Me Ba’nt Jaane Ka Bayan, Hadees : 3991)

Hadees No: 9
Hazrat Anas bin Malik Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim ﷺ Ne Farmaya
Bani Israil 71 Hisso Me Bant Gayi Aur Mera Ummat 72 Hisso Me Bantegi,
Sab Jahannam Me Jaynge Siwaye Ek Ke, Jo Jama’at Hai”
(Sunan Ibn Majah, Pg : 659, Kitab Ul Fitan, Baab : Ummat K bant Jaane Ka Bayan, Hadees : 3993) (Sunan Ibn Majah Hadees : 3992 Rivayat Hazrat Auf Ibn Malik Radiallahu Anhu)
(Jamai Tirmizi, 490, Kitab No 33 Kitab al Fitan, Hadees : 2166)

Hadees No: 10
Hazrat Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu Se rivayat Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya ﷺ Beshak Kaum E Bani Israel (Kaum E Moosa ) 72 Firke Me Ba’nt(Divide) Gayi Aur Meri Ummat 73 Firko’n Me Ba’nt Jaygi, Sab k Sab Jahannami Honge Sirf Ek Firqa Jannati Hoga.
Sahaba E Kiram Radi Allahu Anhu Azmain Ne Arz Kiya YA RASOOL ALLAH  ﷺ
Wo Jannati Firqa Konsa Hoga ?
Nabi E Karim  ﷺ Ne Irshad Farmaya,
“Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tarike Par Chalega”
(Jamai Tirmizi, Pg : 595-96, Kitab No 40 Kitab Al Imaan Aana Rasool Allah, Baab : مَا جَاءَ فِي افْتِرَاقِ هَذِهِ الأُمَّةِ ,  Maa Jaa Fi Aftaraki Haaja il Ummah, Hadees :2641)

Hadees No: 11
Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega Ya Ye Farmaya,
Ummat E Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega) Aur Jama’at ALLAH Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka DASTEQUDRAT Hai Aur Jo Shakhs Jama’at Se Juda Ho Woh Aag Ke Taraf Juda Ho.”
(Jamai Tirmizi, Pg : 490, Kitab al Fitan, Hadees : 2167)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg :201, Hadees : 397)
In Tamam Ahadeese Pak Se Ye Khoob Roshan Hota Hai Ke Ummat Me 73 Firqe Honge Aur Unme Sirf Ek Jama’at Haq Par Hogi. Aur Hume Us Jama’at Ke Sath Bane Rehna Hai. Jo Jama’at Se Juda Hua Usne Jahannam Ke Raste Ko Chun Liya.
Jo Muhammad ﷺ Ki Ulfat Ka Qayal Nahi
Dono Aalam Me Uska Guzara Nahi
Khud Khudawande Kareem Ne Farma Diya
Jo Nabi ﷺ Ka Nahi Wo Hamara Nahi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!