Aqaid-E-Ahle Sunnat

Shafat E Mustafa ﷺ Hadees Wa Quran Se

Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at (Maslak-E-Aalahazrat/Hanfiyat) Ka Ye Aqeeda Hai Ke ALLAH Ta’ala Roze Mehshar Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Khaas Maqam Wa Buland Martaba Ata Farmayega. ALLAH Rabbul Aalameen Roze Mehshar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Maqam-E-Mehmood, Liwaul Hamd Aur Hauze Kausar Ata Farmayega. Jab Nafsi Nafsi Ka Aalam Hoga. Jaha Koi Kisike Kaam Na Aayega. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Hum Gunahgaro Ki Shafa’at Karenge Aur Bakshish Karayenge. Aaj Kuch Bad Aqeeda Jama’at Ke Log Shafa’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Inkar Karte Hai. Ma’zALLAH. Summa Ma’zALLAH Astagfirullah. Tarah Tarah Ki Gustakhiya Karte Hai.
Ahle Khabeeso Gair Muqallid Ka Ye Kehna Hai Ke Ma’zALLAH Summa Ma’zALLAH Astagfirullah Nauzobillah Min Zaliq Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Apni Beti Fatima Zahra Radiallahu Anha Ko Bhi Nahi Bacha Sakte. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Apni Beti Fatima Radiallahu Anhu Se Farmaya Aye Meri Beti Amal Kar. Agar Roz-E-Mehshar Pakad Hui To Me Nahi Bachha Sakta. Ma’zALLAH Summa Ma’zALLAH Astagfirullah Nauzobillah Min Zaliq. Ye Jaahil Aqal Ke Paidal Nasl Ke Gande Abdul Wahab Najdi Ki Najaiz Haraami Aulaad Ko Kya Ye Nahi Maloom Ki Bibi Hazrate Fatima Zahra Radiallahu Anha Ka Wo Martaba Hai Ke ALLAH Ta’ala Ne Aapko Jannati Aurato Ki Sardar Yaani Khatoon-E-Jannat Banaya. Duniya Me Hi Aapko Ye Martaba Wa Muqaam Ata Kiya. Aur Hadees-E-Pak Ke Alfaz Kuch Is Tarah Hai.

Hadees No: 1

Ek Rivayat Me Jisme Hazrat Fatima Khatoone Jannat RadiAllaho Anha Ne Bayan Kiya Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Se Wo Ye Hai. Hazrat Fatima RadiAllaho Anha Farmati Hai Jab Pehli Baar Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sargoshi Ki To Mujhe Ye Khabar Di Ke Har Saar Jibrail Mujh Se Ek Baar Quran Paak Ka Daur Kiya Karte The Is Martaba Unhone 02 Baar Daur Kiya Hai, Ab Mera Ye Guman Hai Ki Mera Wakt Karib Aagaya Hai. Tum ALLAH Se Darna Aur Sabr Karna. Beshak Mai Tumhara Accha Peshwa Hoon. Khatoone Jannat Fatima Radiallahu Anha Ne Kaha :
“Ye Sun Kar Mai Rone Lagi Jab Nabi-E-Karim Sallallaho Alaihi Wassalam Ne Mujhe Girya Karte Dekha To Dobara.”
Mujhse Sargoshi Ki Aur Farmaya, “AYE FATIMA ! KYA TUM IS BAAT SE RAAZI NAHI HO KE TUM TAMAM JANNATIYO KI BIWIYO KI YA TAMAM MOMINO KI BIWIYO KI SARDAR HO. KHATOON-E-JANNAT NE FARMAYA PHIR MUJHE HASI AA GAYI.”

(Sahi Bukhari, Vol : 02, Pg : 920, Book No 61, Kitabul Manakib-E-Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees : 3623,3624)
(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih, Vol : 02, Pg : 435, Kitabul Manakib, Baab : Manakib e Ahle Bait e Nabi, Hadees : 6138)
Yaha Hadees-E-Pak Ke Alfaz Zara Gaur Se Padhle. Yaha Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ki Raza Ko Ahmiyat Di Gayi Hai. Aapse Poochha Jaa Raha Hai Ke Kya Aap Isse Razi Hai Ya Isme Izafa Kiya Jaye? Goya Ke ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ki Raza Poochh Rahe Hai Kya Aap Isse Raazi Hai Ya Aur Izafa Kiya Jaye. Ye Muqaam Hai Sayyeda Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ka. ALLAH Ta’ala Ne Aapke Chahnewalo Ko Bhi Jannat Ki Basharat Di Hai. Ab Jo Awaam Ko Gumrah Karne Ki Sazishe Karta Ho Aise Mardudo Par ALLAH Rabbul Aalameen Ki Beshumar Laanat Ho.
Jo Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheeem Rehmatallil Aalameen Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Be Ikhteyar Wa Mazboor Maane Beshaq Wo Aapka Gustakh Hai. Aur Aise Khabeeso Ke Napak Aqaid Ke Radd Me Ye Post Likh Raha Hu. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko ALLAH Ta’ala Ne Wo Shaan Ata Ki Hai Jise Roz-E-Mehshar Puri Qaynat, Tamam Makhlooq, Tamam Ambiya Alaihissalam Dekhengi.
Log Kis Munh Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Bargah Me Jayenge. Jinka Kalma Padhte Hai Unhiki Shaano Shaukat Ka Inkar Karte Hai. Yaha Shafa’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Saabit Kiya Gaya Hai. Shafi-E-Mehshar, Rehmate Aalam, Imaamul Ambiya, Khatamun Nabiyyin, Habeebe Khuda Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Roze Mehshar Shafa’at Farmaynge:
Mujaddide Deeno Millat Ishqo Mohabbat Sarkar Imam Ahmed Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai,
 
Jiske Maathe SHAFA’AT Ka Sehra Raha
Us Jabine Sa’adat Pe Lakhon Salaam

Jabke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Shor,
Jab Kisi Ka Kisi Per Na Chalta Ho Zor,
Kash MEHSHAR Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bhejen Sab Unki Shaukat Pe Lakhon Salaam


Hadees No: 2

Hazrat Anas Radiallahu Anho Se Ek Taveel Rivayat Bayan Farmayi Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
Jab Qayamat Ka Din Hoga To Log Ekhatta Kar Hazrat Adam Alaihissalam Ke Pass Hazir Honge Aur Arz Karenge Ke Aap Apne Rab Ki Bargaah Me Hamari Shafa’at Kijiye, Woh Farmaynge Iske Liye Mai Nahi, Lekin Tum Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ka Daman Pakdo Kyuki Wo ALLAH Kay Khalil Hai, To Wo Hazrat Ibrahim Alaihissalam Kay Pass Jaynge To Wo Bhi Farmaynge Mai Iske Liye Nahi Hoon, Lekin Tum Sayyedina Moosa Alaihissalam Kay Pass Jao Kyuki Wo ALLAH Ke Kalim Hai Wo Farmaynge Mai Iske Liye Nahi,  Lekin Tum Hazrat Isaa Alaihissalam Ki Bargaah Me Jao Kyuki Wo Roohullah Hai Wo Bhi Farmaynge Mai Isliye Nahi Hoon, Lekin Tum Hazrat Sayyadina Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Bargaah Me Chale Jao, Woh Mere Pass Aayenge Mai Farmaunga, “Mai Hi To Shafa’at Karne Ke Liye Hoon” Phir Mai ALLAH Ta’ala Se Izazat Talab Karunga To Mujhe Izazat Milegi Aur ALLAH TA’ALA MERE KALB ME AISI HAMD DALEGA KE JO MERE ILM ME HAZIR NAHI,
Mai Un Hamdo Se Hamd Karunga Aur ALLAH Ke Huzoor Sazde Me Gir Jaunga, Kaha Jayega “AYE Mehboob Maango Ata Kiya Jayega” M
Arz Karunga
“YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT”
To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat Ke Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Jav Ke Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Taala Ke Huzoor Sazde Me Gir Jaunga Kaha Jayega,

AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI  MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFA’AT KIJIYE KABOOL KI JAYGI” Mai Arz Karunga,
“YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT


To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat Ke Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Rai Ke Daane Ke Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga, Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Ta’ala Ke Huzoor Sazde Me Gir Jaunga Kaha Jayega,

AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI  MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFA’AT KIJIYE KABOOL KI JAYGI

Mai Arz Karunga
“YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT”
To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Jiske Dil Me Rai Ke Daane Se Bhi Kamtar Imaan Ho, Usse Bhi Aag Se Nikal Lijiye, Chunache Mai Jaunga Aur Aisa Hi Karunga”

(Sahi Bukhari, Vol :09, Kitabut Tawheed, Baab : Kalam Al Rabbi Yaum Al Kiyamati, Hadees : 7510) 
(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 307, Kitabul Imaan, Baab : ىندأ ُلهأ ُةنجلا ُةلزنم ﺎهيف, Hadees : 311)
(Miratul Manajih Shara E Mishkat Al Masabih Vol : 07, Pg : 417)
Phir Issi Tarah Ki Rivayat Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Kay Turk Se Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne Apni Sahi Me Rivvayat Ki Hai.
(Sahi Bukhari Vol : 06, Pg: 23, Kitabut Tafseer, Hadees : 4476)
(Sahi Bukhari Vol : 08, Pg: 302, Kitab Ar Riqar Baab : Jannat Aur Jahannam Kay Sifaat, Hadees : 6565)
(Sahi Bukhari Vol : 09 , Pg :304, 325, Kitabut Tawheed Hadees : 7410, 7440)
Is Rivayato Me Logon Ka Hazrat Nooh Alaihsalam Kay Pass Jaane Ka Bhi Zikr Hai.
Phir Hazrat Nooh Unhe Hazrat Ibrahim Kay Pass Bhejenge.
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Bhi Is Tarah Ki Rivayat Marvi Hai.
(Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 188, Kitabut Tafseer, Hadees : 4712)
(Sahi Bukhari Vol : 04,  Pg : 341, Kitabun Nabi, Hadees : 3361)
(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 323, Kitabul Imaan, Hadees : 194)
(Sunan Tirmizi Vol 04, Pg : 442 , Kitab Shafat E Kayamat Ar Riraak Wal Wara Rasool Allah, Hadees : 2434)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Hadees : 1866)
Hazrat Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu Se Marvi Bhi Rivayat Jikso Imam Muslim Ne Apni Sahi Me Rivayat Kiya Hai.

Sabhi Rasool Ne Kaha Iz Habu Ila Gairi,
Ana Laha Ka Ye Muzda Sunane Aaye Hai,
Raoof Aise Hai Aur Ye Raheem Hai Itne,
Ke Girte Padto Ko Seene Lagane Aaye Hai


Hadees No: 3

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Ibne Umar رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
”Jis Se Ho Sakey Ki Woh Madina Me Marey Toh Waheen Par Marey Kyunki Jo Madina Me Marega Us Ki Mein Shafa’at Karunga.”

(Jamia Tirmizi : Eng ref. : Vol. 1, Book 46, Hadees 3917
Arabic ref. : Book 49, Hadees 4296)

Hadees No: 4

Hazrat Awf Bin Malik Al Ashja Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Mere Rab Ki Taraf Se Ek Aanewaala Farishta Mere Pass Aaya Aur Kaha Ki, “ALLAH Ne Aapko Do Cheezon Kay Darmiyan Ikhteyar Diya Hai Ki Yaa To Aapki Aadhi Ummat Ko Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye Yaa Phir Aapko Shafa’at De Di
Jaaye To Maine Shafa’at Ko Ekhteyar Kiya Aur Ye Un Sabke Liye Hogi Is Haal Me Mar Jaaye Ki ALLAH Kay Saath Kisi Ko Sharik Nahi Karta Ho”

(Jamai Tirmizi Vol : 04, Pg : 429-430, Kitab Shafat-E-Qayamat Ar Rikaaq Wal Wara Rasool ALLAH ىلص ُالل ُهيلع ملسو, Baab No 13, Hadees : 2441)
(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 409, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr-E-Shaafat, Hadees : 4317)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :01, Pg : 135, Hadees : 221)
(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol : 18, Pg : 68, Hadees : 126)
(Imam Tabarani Musnad-Ush-Shamiyyin, Volume : 01, Pg : 326, Hadees : 575)

Hadees No: 5

Hazart Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya:
“Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam Alaihissalam Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa Alaihissalam Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Se Madad Maangeinge.”

(Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509)
(Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884)  
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677)

Hadees No: 6
Hazrat Ibn Umar Radiallaho Anho Farmate Hai Qayamat Ke Din Log Apne Ghutne Ke Bal Honge Aur Har Ummat Apne Ambiya Ki Pairvi Karegi Aur Kahegi Aye Fala Aye Fala ALLAH Ta’ala Se Hamari Sifarish Farmade’in, Yaha Tak Ke Shafa’at Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Ata Ki Jaygi Aur Wo Din ALLAH Ta’ala Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Maqam Al Mahmood Ata Karega”

(Sahi Bukhari Vol :06, Pg :195, Kitabut Tafseer,  Hadees : 4718)

Hadees No: 7

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Ibne Umar Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Tum Me Se Jo Yeh Kar Sakey Ki Woh Madiney Me Aa Kar Marey To Woh Aisa Zaroor Kare Isliye Ki Mein Madiney Me Marney Waley Ke Haqq Me Gawahi Doonga.”

(Sunan Ibn Majah :  Eng ref. : Vol. 4, Book 25, Hadees 3112
Arabic ref. : Book 25, Hadees 3231)

Hadees No: 8

Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Mai Roze-E-Qayamat Tamam Aulad-E-Aadam Ka Sardar Rahunga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
ALLAH Ki Hamd Ka Jhanda Mere Dast-E-Karam Me Hoga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
Qayamat Ke Din Saare Ambiya Khwah Aadam Sab Mere Jhande (Liwaul Hamd) Kay Saaye Honge,  Sabse Pahle Jameen Mere Liye Kholi Jaygi Aur Mai Ispe Koi Fakr Nahi Karta”

(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 315, Kitab Al Manaqib, Hadees : 3615)

SubhanALLAH Is Hadees-E-Pak Me Shafi-E-Mehshar, Rehmate Aalam, Khatamun Nabiyyin Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Shaano Shaukat Ka Behtarin Bayaan Hai. 
Ishqo Mohabbat Sarkar Imam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Farmate Hai,

Saba Wo Chale Ke Bagh Phale
Wo Phool Khile Ke Din Hon Bhale
Liwa Ke Tale Sana Mein Khule
Raza Ki Zaban Tumhare Liye.

Dr. Allama Muhammad Iqbal Kya Khoob Farmate Hai

Faqat Itna Sabab Hai Inqaade Bazme Mehshar Ka,
Ke Unki Shaan-E-Mehboobi Dikhai Jaanewali Hai


Hadees No: 9
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai
Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
”Jo Shakhs Madiney Ki Bhookh Aur Sakhti Bardasht Karega
Qayamat Ke Din Mein Us Ka Shafe’i Ya Gawah Banunga.”

(Jamiat Tirmizi : Eng ref.  Vol. 1, Book 46, Hadees 3824 Arabic ref. : Book 49, Hadees 4303)

Hadees No: 10
“Hazrat Abu Hurraira Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Nabi-E-Akram ىلص ِالل ِهيلع ملسو Se Is Aayat,
“Karib Hai ki Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Kare Jahan Sab Tumhari Hamd Karein”
(Surah Bani Israel / Isra – Ayat 79) Kay Baare Me Pucha Gaya To Irshad Farmaya, SHAFA’AT”

(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg : 442,  Kitabut Tafseer,  Baab : Wama Surah Bani Israel, Hadees 3137)

Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Hai.   

Hadees No: 11
Bukhari Shareef Me Hai Ke Hazrate Zaid bin Aslam رضي الله تعالٰی عنه  Ne Apney Walid Se Suna Ki Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه  Ye Kaha Kartey They 
”Ya ALLAH Mujhe Tere Raastey Me Shahadat Naseeb Farma Aur Tere Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Sheher (Madina) Me Maut Naseeb Farma.”

(Sahih Bukhari : Hadees 1890

Book ref. : 29, Hadees 24 Eng ref. : Vol 3, Book 30, Hadees 114)

Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ki Dua Qubool Ho Gayi:
Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه Ne Apney Baad Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ko Khalifa Muntakhab Farmaya Aur 10 Baras 6 Maah 4 Din Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Takht-E-Khilaafat Par Raunak Afroz Ho Kar Jaa Nasheeni-E-Rasool Ki Tamam Zimmedariyon Ka Ba Husn-E-Wujuh Anjaam Diya.
26 Zul Hijjah 23 Hijri Ko Namaz-E-Fajr Me Abu Lulu Firoz Majoosi Kafir Ne Aap رضي الله تعالٰی عنه Ko Shikam Me Khanjar Mara Aur Aap Yeh Zakhm Khaa Kar Sharf-E-Shahadat Se Sarfaraz Ho Gaye. Ba Waqte Wafaat Aap رضي الله تعالٰی عنه Ki Umr Shareef 63 Baras Ki Thi.
Hazrate Suhaib  رضي الله تعالٰی عنه  Ne Aap Ki Namaz-E-Janaza Padayi Aur Roza-E-Mubaraka Ke Andar Hazrate Siddiq-E-Akbar Ke Pehlu-E-Anwar Me Madfoon Huwey. 

(Al Kamaal Fi Asma ul Rijaal, Hurf Ul Ayn, Fasl Fi As’haabat , Safha 602)

(Karamate Sahabaرَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 73)


Hadees No: 12
Hazrat Abu Hurraira Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Sabse Pahle Zameen Mere Liye Khulegi Aur Mai Jannat Se Aaye Libas Jebtan Karunga,
Phir Mai Arsh Ke Sidhe Jaanib Khada Rahunga,
Makhlook Me Mere Elawa Us Makam Pe Koi Nahi Rahega.”

(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 312, Kitab Al Manaqib, Hadees : 3611) Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Hai.

(Jamai Tirmizi, Hadees : 3148)  (Sunan Abu Dawood Hadees : 4673) 


Hadees No: 13
Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat Ke Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj Ke Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg Karne Chal Pade. Unhone Kaha Hum Madina Se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo Ko Masjid-E-Nabvi Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Me Hadees-E-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Dars De Rahe The.
Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafa’at-E-Rasool Ka Bayan) Maine Kaha Aye Sahabie Rasool Ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho? Jabki Quran Me ALLAH Farmata Hai,
Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo Ka Koi Madadgaar Nahi

(Surah Al Imraan Ayat 192)
Phir Ek Aur Aayat Padhi
 

Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge



(Surah Sajdaah Ayat 20)

Quran Ye Kehta Hai Aur Tum Kya Kehte Ho? Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane?
Hazrate Jabir Bin Abdullah Radiallaho Ne Farmaya,
Itminaan Se Pucha Kya Tumne Quran Padha Hai? Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh Me Aake Kaha) Jabir Bin Abdullah Ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM-E-MEHMOOD Ke Bare Me Kuch Padha Hai?
“Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare”
(Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) Yazid Al Faqir Kehte Hai, Ha Humne Padha Hai.
Jabir Bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai.
Makam-E-Mehmood Wo Makam Hai Jo ALLAH Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara Denge. 
Phir Uske Baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi Lekin Itna Mere Jahen Me Hai Log Jahannam Se Nikale Jaeynge Aur Kaha Is Tarah Syaah (Kaale) Honge (Yaani Jahannam Ki Aag Se Jalke). Phir Unhe Jannat Ki Naher Me Daala Jayga Waha Se Jab Niklenge Bilkul Safed Kagaz (White Paper) Ki Tarah Ho Jayenge.
Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sunne Ke Baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado Ke Pass Pahuche Unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka. Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta Ke Aise Noorani Chehre Waala Sahabi Bhi ALLAH Kay Rasool Kay Baare Me Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek Kay.

(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 313, Kitabul Imaan  Hadees : 191, English : Book 01, Hadees : 381, 371) 


Hadees No: 14
“Hazrat Awf Bin Malik Al Ashja Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Tum Jaante Ho Raat Mere Rab Ne Mujhe Kya Ikhtiyaar Diya Hai?
Hum Ne Arz Kiya :
ALLAH Ta’ala Aur Us Ka Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Sab Se Behtar Jaante Hain.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
Us Ne Mujhe Yah Ikhtiyaar Diya Hai Ki Agar Mein Chaahun To Meri Nishf Ummat Ko (Bila Hisab-O-Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye
Ya Yah Ki Mein Shafa’at Karoo’n, Meine Shafa’at Ko Pasand Kiya Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) !
ALLAH Ta’ala Se Hamaare Liye Duaa Farma’ein Ki ALLAH Ta’ala Hamein (Bhi) Shafa’at Ke Haquedaron Me (Shaamil Kar De.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
Wo Har Musalman Ke Liye Hai.”

(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 409, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shaafat, Hadees : 4317)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :01, Pg : 135, Hadees : 221)

(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol : 18, Pg : 68, Hadees : 126)

(Imam Tabarani Musnad-ush-shamiyyin, Vol : 01, Pg : 326, Hadees :575)


Hadees No: 15
Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Har Nabi Ke Liye Ek Dua Aisi Hoti Hai Jo Bahot Khas Hoti Hai., 
Jisko Khuda Wand Taa’la Kabool Farmata Hai Aur Mai Apni Ye Dua Ko Qayamat Ke Din Kay Liye Mehfooz Rakhi Hai Jis Se Kay Apni Ummat Ki Shafat Karunga”

(Sahi Bukhari Volume: 08, Page: 178, Kitabut Duwat, Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo ALLAH Ta’ala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6304) 

(Sahi Muslim Vol :01, Pg : 331, Hadees: 487)

(Sahi Bukhari Vol :08, Pg :178, Kitabut Duwat, Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo ALLAH Ta’ala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6305 Rivayat Hazrat Anas Ibn Malik)  


Hadees No: 16
Hazrat Ibn Umar Radi Allaho Anho Farmate Hai Kayamat Ke Din Log Apne Ghutne Ke Bal Honge
Aur Har Ummat Apne Ambiya ki Pairvi Karegi Aur Kahegi Aye Fala Aye Fala ALLAH Ta’ala Se Hamari Sifarish Farmade’in, 
Yaha Tak Ke Shafat Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Ata Ki Jaygi
Aur Wo Din ALLAH Ta’ala Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Maqam Al Mahmood Ata Karega”

(Sahi Bukhari Vol :06, Pg :195, Kitabut Tafseer, Hadees : 4718)


Hadees No: 17
Hazrat Jabir Ibn Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Jo Shaks Azaan Ke Baad Ye Dua Kahe.
اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ، حَلَّتْ لَهُ شَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ
Aye ALLAH Is Dawa’t E Taa’mma Aur Salat E Ka’eema Kay Malik Tu Hamare Sardar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Waseela Aur Fazilat Aur Bahot Buland Darja Ata Farma
Aur Unko Makam-E-Mehmood Me Khada Farma Jiska Tune Unse Waada Farmaya Hai,
Us Shaks Ko Baroz E Kayamat Meri Shafat Milegi”

(Sahi Bukhari Vol :01, Pg :318, Kitabut Azaan Baab : Azaan Ke Baad Dua Ka Bayan Hadees : 614)

(Sahi Bukhari Vol :06,  Pg :194  Kitabut Tafseer, Hadees : 4719)

(Sunan Nasai Vol :01,  Pg : 400, Kitabul Azaan Hadees : 681)

(Sunan Abu Dawood Vol :01, Pg : 330, Kitabus Salat Baab : Azaan Kay Baad Dua ka Bayan, Hadees : 529)

(Jamai Tirmizi Vol :01,  Pg :236, Kitabus Salat,  Hadees : 211 )

(Sunan Ibn Majah Volume : 01, Pg :477, Kitabul Azaan Wa Sunnati, Baab :

Mu’azzin Ke Azaan Pukarne Pe Kya Kahe, Hadees : 722 )

(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail,  Hadees : 1039) 


Hadees No: 18
Hazrat Abu Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya:
Mujhe Yah Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Khwaah Mein Qayamat Ke Din Shafa’at Ko Chun Loo’n Ya Meri Aadhi Ummat Ko (Bina Hisaab Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye
To Meine Us Me Se Shafa’at Ko Ikhtiyaar Kiya Hai Kyon Ki Aam Aur (Poori Ummat Ke Liye) Kaafi Hogi Aur Tum Shaayad Yah Khayal Karon Ki Wo Parhezgaaron Ke Liye Hogi?
Nahin. Balki Wo (Meri Shafa’at) Bahut Zyaada Gunahgaron, Khatakaron Aur Bura’iyon Me Mubtila Hone Waalon Ke Liye Hogi.”

(Sunan Ibn Majah Volume : 05, Page : 404, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shafaat, Hadees : 4311)

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 02, Pg : 75, Hadees : 5452)

(Imam Bayhaqi Kitab Al Aiteqaad Volume : 01, Pg : 202) 

(Imam Haythami Mazma uz Zawaid Volume : 10, Pg : 378)


Hadees No: 19
Hazart Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya:
Meri Shafa’at Meri Ummat Ke Un Afraad Ke Liye Hai Jinohne Kabeera Gunaah Kiye”

(Sunan Abu Dawood Vol : 05, Pg :233, Kitab ul Sunnat, Baab : Fi Shafaat, Hadees : 4739)

(Jamai Tirmizi Vol : 04,  Pg : 446, Kitab Sifaat Al Kiyamati, Hadees : 2435)

(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 404, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shafaat, Hadees : 4311)  

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg : 139, Hadees : 228)

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين 

(Imam Abu Yaala Al Musnad  Vol : 06, Pg : 40,  Hadees : 3284)

(Imam Tabarani Al Muajam Us Sageer Vol : 01, Pg : 272, Hadees : 448)


Hadees No: 20
Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Har Nabi Ke Liye Ek Dua Aisi Hoti Hai Jo Bahot Khas Hoti Hai., 
Jisko Khuda Wand Taa’la Kabool Farmata Hai Aur Mai Apni Ye Dua  Ko Qayamat Ke Din Kay Liye Mehfooz Rakhi Hai.
Jis Se Kay Apni Ummat Ki Shafa’at Karunga”
(Sahi Bukhari Vol :08, Pg :178, Kitabut Duwat, Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo ALLAH Ta’ala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6304) 
(Sahi Muslim Vol :01, Pg : 331, Hadees: 487)
(Sahi Bukhari Vol :08, Pg :178, Kitabut Duwat, Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo ALLAH Ta’ala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6305 Rivayat Hazrat Anas ibn Malik)
ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai

Aayat No: 1

Aur Raat Ke Kuch Hisso Me Tahajjud Ada Karo Yeh Khas Tumhare Liye Zyada Hai, Karib Hai Ki Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Kare Jahan Sab Tumhari Hamd Karein


(Surah Bani Israel / Isra – Ayat 79)


Aayat No: 2

Aur Agar Jab Woh Apni Jano’n Per Zulm Karein,
To Aye Mehboob! Tumhare Huzoor Hazir Hon,
Aur Phir ALLAH Se Ma’afi Chahain, Aur Rasool Unki SHAFA’AT Farmaye, To Zaroor ALLAH Ko Bahut Tauba Qabool Karnewala Meherban Payein

(Surah Al Nisa, Aayat No. 64)


Aayat No: 3

Log Shafat Ke Malik Nahi Magar Wohi Jinhone Rehman Ke Pass Karar Rakha Hai


(Surah Maryam Ayat 87)


Aayat No: 4

Us Din Kisi ki Shafat Kaam Na Degi Magar Jise Rehman Ne Izazat De Diya Hai Aur Uski Baat Pasand Farmayi


(Surah Taha Ayat 109)


Aayat No: 5

Aur Jab Unse Kaha Jaata Hai Ki Aao ALLAH Kay Rasool Tumhare Liye Maafi Chahe To Sar Ghumate Hai Aur Tum Unhe Dekho Ki Gaur Karte Huwe Moo’nh Pher Lete Hai


(Surah Munafiqun, Aayat 05)


Aayat No: 6

Log Shafat Ke Malik Nahi Magar Wohi Jinhone Rehman Ke Pass Karar Rakha Hai


(Surah Maryam Ayat 87)


Aayat No: 7

Us Din Kisi Ki Shafa’at Kaam Na Degi Magar Jise Rehman Ne Izazat De Diya Hai Aur Uski Baat Pasand Farmayi


(Surah Taha Ayat 109)
In Aayat E Karima Se Maloom Hua Kay ALLAH Ta’ala Apne Bando Ko Shafat Ka Haq Dega Kay Baroze Qayamat Dusre Gunaahgaro Ki Shafa’at Karwake Unhe Jannat Le Jaaye. Ahle Sunnat Ka Aqeeda Hai Huzoor Rehmat E Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Kay Elawa Auliya, Ulema, Fuqaha, Huffaz, Huzzaz Wagaira Bhi Shafa’at Karenge ALLAH Ta’ala Kay Izn Se.

Aayat No: 8
Aur Jab Unse Kaha Jaata Hai Ki Aao ALLAH Kay Rasool Tumhare Liye Maafi Chahe To Sar Gumate Hai 
Aur Tum Unhe Dekho Ki Gaur Karte Huwe Moo’nh Pher Lete Hai

(Surah Munafiqun Ayat 05) 
Ye Ayaat E Karima Me ALLAH Ta’ala Ne Munafikeen Ki Ek Khasiyat Batayi Kay Jab Unko Kaha Jaata Hai.
Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Bargaah Me Aao Kay Rasool  Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Tumhare Haq Dua Kare To Ulta Pair Hojate Hai To Aaj Bhi Dekhle Kay Jinko Kaha Jaaye Aao Quran Kay Farmane Kay Mutabik.


Aayat No: 9

Aur Humne Koi Rasool Na Bheja Magar Isliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski Ita’at Ki Jaaye
Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasool Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye

(Surah Nisa Ayat 64)

Rasool ALLAH ﷺ Ki Bargaah Me Kay Apne Gunaho Ki Maafi Mange Kay Rasool ﷺ Tumhare Haq Dua Kare To Aajke Munafiq Bhi Ulte Pair Hojate Hai To Quran Bata Raha Hai Kay Huzoor ﷺ Se Bhagnewaale Quran Ki istelah Me Munafiq Hai Aaj Bhi Dekhlo Aajke Munafiq Kaise Bhagte Hai Jab Kaha Jaaye Aao Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ki Bargaah Me To Chahre Ka Rang Badal Jaata Hai.

Shafaat Kinki Nahi Hogi ?


Ayat No: 10

وَلَقَد أوحِيَ إِلَيكَ وَإِلَى الَّذينَ مِن قَبلِكَ لَئِن أَشرَكتَ لَيَحبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكونَنَّ مِنَ الخاسِرينَ
 

AgarTumne Shirk Kiya To Zaroor Tumhare Amal Barbaad Hojaynge Aur Tum Nuksaan Uthane Waalon Mein Se Hojaoge


(Surah Al Zumar Ayat 65)

Munafiqo Ke Daleel Shafa’at Ki Mukhalfat Me:

Aayat No: 11

Aur Daro Us Din Se ki Koi Jaan Dusre Ka Badla Naa Hogi Aur Naa Usko Kuch Lekar Chode Aur Naa Kafir Ko Koi Sifarish Nafa De Aur Naa Unki Madad Ho


(Surah Baqraah Ayat 123)

Aayat No: 12
Aur Is Quran Se Unhe Darao Jinhe Khauf Ho ki Apne Rab Ki Taraf Yu’n Uthaye Jaaye
Ki ALLAH Kay Siwa Naa Unka Koi Himayati Ho Na Koi Sifarish Is Ummid Par Ki Wo Parhezgaar Ho Jaayen

(Surah Anam Ayat 51)
Is Tarah Ki Hi Aayat Jo Shafa’at Kay Inkaar Me Nazar Aati Hai Unhe Aajke Khwarij Musalmano Kay Aage Padhte Hai aur Shafa’at Ka Inkaar Karte Hai. Darasal Aayat Sahi Quote Ki Gayi Par Maane Galat Liye Gaye In Jaise Tamam Aayat Ka Talluk Kuffaro Mushrikeen Se Hai. Jo Apne Butho Kay Muttalik Ye Aqeeda Rakhte Huwe Unki Ibadat Karte The Kay Unke Buth Baroze Qayamat ALLAH Ta’ala ki Bargaah Me Inki Shafa’at Karenge Inki Sifarish Karenge Jiska Zikr Khud Quran Me Rab Ta’ala Karta Hai.

Aayat No: 13

ALLAH Kay Siwa Aisi Cheez Ko Pujte Hai Jo Unka Bhala Naa Kare Aur Kahte Hai Ki Ye ALLAH Kay Yaha Hamare Sifarish Hain


(Surah Yunus Ayat 18)
To Pata Chala Kay Shifarish Ki Ummid Se Mushrikeen Apne Butho Ko Pujte The Aur Unki Shafa’at Qabool Na Hogi. Musalman Sirf ALLAH Ta’ala Ki Ibadat Karta Hai. Uske Siwa Kisiko Apna Mabood Nahi Manta. Kisiko Apna Rab Nahi Manta. Ab Ye Jaahil Munafiq Kaafiro Par Nazil Hui Aayato Ko Imaanwalo Par Chipka Rahe Hai. Jabke Qur’an-E-Kareem Se Me Alhumdulillah Shafa’at Ki Daleel Pesh Kar Chuka Hu. ALLAH Ta’ala Hame In Khabeeso Ke Fitne Se Mehfooz Rakkhe.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
Zara Ye Bhi Padhle:
Alhumdulillah Maine Aapke Samne Shafa’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Hadees Wa Qur’an-E-Kareem Ki Roshni Me Bahawala Sabit Kiya Hai. Ab Aap Khud Soche Ki Kon Haq Par Hai. Wo Jama’at (Ahke Hageez, Deobhangi, Tableegi, Wahabi Aur Digar Baatil Firqe) Jo Hamesha Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Wa Azmat Ko Ghataane Ki Napak Koshish Karte Rehte Hai. Ya Wo Jama’at Jo Din Raat Apne Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Azmat Wa Shaano Shaukat Ko Bayan Karte Hai (Ahle Sunnat Wal Jama’at/Maslake Aalahazrat) Aur Aapke Gustakho Ko Munh Tod Jawab Dete Hai. ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Ke Hamari Aur Hamare Aanewali Naslo Ki In Baatil Badmazhabo Ke Makro Fareb Se Hifazat Aur Hume Imaan Par Khatma Naseeb Farmaye. Aur Roz-E-Mehshar Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheeem Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shafa’at Hame Ata Farmaye. 
Aameen.
Awwal Aakhir Durood. 
Aala Hazrat Rahmatulah Alaih Isliye Farmate Hai
Aaj Le Unki Panah
Aaj MADAD Maang Unse,
Phir Naa Maanege
Qayamat Me Agar Maan Gaya.
Chun Chunke Karenge Shafa’at
Har Ek Gulaam Ka Chehra Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Jaante Hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!