Bazme Faizan-E-Raza

ALLAH Ta’ala Ne Sabse Pehle Kis Cheez Ko Paida Farmaya

Ye Sawaal Bhi Bada Ahem Hai Ki ALLAH Ta’ala Ne Sabse Pehle Kis Cheez Ko Paida Farmaya Kyunki Kuchh Aise Jadeed (Latest) Muhaqqiq Paida Ho Gaye Hain Jo Khud Gumrah Hain Aur Awaam Ko Bhi Gumrah Karte Hain
Hazrat Jabir Radiallaho Ta’ala Anho Ne Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Se Puchha Ki, ALLAH Ta’ala Ne Sabse Pehle Kaun Si Cheez Paida Farmayi? To Aapne Irshad Farmaya Ki,
Aye Jabir! Wo Tere Nabi Ka (Yani Mera) Noor Hai
(الجزء المفقود من مصنف عبد الرزاق، حدیث رقم18)
Ye Hadees Aage Bahut Taweel Hai Jisme Takhleeq-E-Qayenat Ka Tafseeli Zikr Hai Aur Is Hadees Ko Imam Abdur Razzaq (211ھ) Ne Riwayat Kiya Hai Jisme Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Aur Imam Abdur Razzaq Ke Darmiyan Teen Raawi Hain Aur Teeno Apne Waqt Ke Aalim, Faqeeh, Muhaddis, Hafiz Aur Muttaqi The
Bahut Se Muhaddiseen, Mufassireen, Ulma Aur Auliya Sadiyo Se Is Hadees Ko Apni Kitabo Mein Likhte Aaye Hain Jin Mein Se Kuchh Ke Naam Darj Zel Hain
Imamul Auliya, Shaykh Abdul Qadir Jilani Ne Is Hadees Ka Zikr Farmaya
(سر الاسرار، ص12)
Imam Qastalani Ne Bhi Is Hadees Ko Apni Kitab Mein Likha
(المواھب اللدنیہ، ج1، ص71)
Imam-E-Rabbani Mujaddide Alfe Sani Ne
(مکتوبات دفتر سوم، مکتوبات نمبر100)
Imam Mulla Ali Qari Ne
(شرح الشفاء، ج2، ص416)
Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Ne
(مدارج النبوت، ج2، باب اول)
Imam Ghazali Ne
(دقائق الاخبار)
Imam Burhanuddin Halabi Ne
(سیرت حلبیہ، ج1، ص50)
Imam Dayaar Bakari Ne
(تاریخ الخمیس، ج1، ص20)
Imam Shaykh Muhammad Mehdi Faasmi Ne
(مطالع المسرات، ص264)
Imam Aalusi Baghdadi Ne
(تفسیر روح المعانی، ج17، ص105)
Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Ne
(فیوض الحرمین، ص98)
Shah Rafiuddin Muhaddise Dehelvi Ne
(الفیض بالحق، ص239)
Imam Ismayeel Haqqi Ne
(تفسیر روح البیان، ج7، ص197)
Imam Shaykh Muhammad Ajlooni Ne
(کشف الخفاء، ص311)
Shaykh Ahmad Qilash Halabi Ne
(حواشی کشف الخفاء)
Hazrat Jabir Radiallaho Ta’ala Anho Ne Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Se Puchha Ki, Allah Ta’ala Ne Sabse Pehle Kaun Si Cheez Paida Farmayi? To Aapne Irshad Farmaya Ki,
Aye Jabir! Wo Tere Nabi Ka (Yani Mera) Noor Hai
(الجزء المفقود من مصنف عبد الرزاق، حدیث رقم18)
Ye Hadees Aage Bahut Taweel Hai Jisme Takhleeq-E-Qayenat Ka Tafseeli Zikr Hai Aur Is Hadees Ko Imam Abdur Razzaq (211ھ) Ne Riwayat Kiya Hai Jisme Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Aur Imam Abdur Razzaq Ke Darmiyan Teen Raawi Hain Aur Teeno Apne Waqt Ke Aalim, Faqeeh, Muhaddis, Hafiz Aur Muttaqi The
Bahut Se Muhaddiseen, Mufassireen, Ulma Aur Auliya Sadiyo Se Is Hadees Ko Apni Kitabo Mein Likhte Aaye Hain Jin Mein Se Kuchh Ke Naam Darj Zel Hain
Shaykh Muhammad Jamaluddin Qasmi Ne
(الفضل المبین، ص337)
Imam Ibne Hajar Haishmi Makki Ne
(فتاوٰی حدیثیہ، ص51)
Maulana Muhammad Saaleh Naqshbandi Ne
(سوانح رسول مقبول، ص5)
Allama Abdul Ghani Damishqi Ne
(الحدیقہ الندیہ، ج2، ص375)
Syed Usman Meer Makki Ne
(الاسرار الربانیہ، ص9)
Allama Noor Bakhsh Mujaddidi Ne
(سیرت رسول عربی، باب اول)
Mufti Inayat Ahmad Kakorwi Ne
(تواریخ حبیب الہ، باب اول)
Imam Ahmad Raza Barelwi Ne
(صلات الصفا، ص38)
Imam Abdur Rehman Jaami Ne
(شواہد النبوہ، ص6)
Shaykh Abul Fazl Jafar Hasani Ne
(نظم المتناثر، ص111)
Syed Husain Shah Alipuri Ne
(الفضل الرسل، ص6)
Haaji Imdadullah Muhajir Makki Ne
(راحت القلوب،)
Syed Muhammad Alawi Makki Ne
(الذخائر المحمدیہ، ص371)
Shah Ahmad Sayeed Mujaddidi Ne
(خیر البیان فی مولد سید الانس والجنان، ص45)
Maze Ki Baat Ye Hai Ki Kuchh Wahabi Ulma Ne Bhi Is Hadees Ko Naqal Kiya Hai
Maulana Tahir Qasmi Nabeera -e- Qasim Nanotwi Ne
(عقائد الاسلام قاسمی)
Maulana Ashraf Ali Thanwi Ne
(نشر الطیب، باب اول)
Maulana Husain Ahmad Madni Ne
(الشہاب الثاقب، ص226)
Maulana Zakariya Ne
(العطور المجموعہ، ص41)
ALLAH Rbbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
“Chahte Hai Ki ALLAH Ka NOOR Apne Muh Se Bujha De Aur ALLAH Na Manega Magar Apne NOOR Ka Pura Karna. Pade(Chahe) Bura Mane Kafir”
(Al Quran Surah Tauba, Para 10, Aayat 32)
ALLAH Rbbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
“Aye Logo ! Behsaq Tumhare Pas ALLAH Ki Tarafse Wajeh Daleel Aayi. Aur Humne Tumhari Taraf Roshan NOOR Utara.”
(Al Quran Surah An Nissa, Para 6, Aayat 174, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Mazkoora Dalail Se Ye Baat Saabit Ho Gayi Ki Allah Ta’ala Ne Sabse Pehle Humare Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Noor Ko Paida Farmaya

Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -E- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.
Bazme Faizan -e- Raza Pvt. Ltd.
(India)

Related Articles

2 Comments

  1. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.

    Content Ki Privacy Ke Liye Copy Paste Option Band Kiya Hua Hai. Aap Sharing Buttons Ka Istemal Kare Aur Jyada Se Jyada Logo Ko Hanare Blog Se Jode. Jitne Log Blog Se Ilmw Hasil Karke Amal Me Layenge In Sha ALLAH Aapko Aur Hame Sawab Milega.
    Dua Ki Guzarish.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!