Durood-O-SalaamHadees: Durud Sharif

Darood Sharif Ki Beshumar Fazilate

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Neh Farmaya,
Agar Koi Shaks Pareshani Mai Ho Toh Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhah Kare Uski Har Pareshani Door Hojayegi Aur Har Khwahish Puri Hogi.
(Dalail Ul Khariat Cawnpuri Page:14 Nuzhat Un Nazireen Page:31 Aab E Kauther English Version Page:109)

Hazrath Umar Farooq Radiallahutalaa Anhu Neh Farmaya, Dua Asman Aur Zameen Keh Bich Reh Jati Hai. Jab Durood E Pak Padh Kar Dua Mangi Jaye To Wo Saato Aasaman Tak Pohoh Jati Hai.
(Trimizi Mishkat Page: 87 Aab E Kauther English Version Page: 110)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Sahaba-E-Kiram Radiallahutalaa Anhu Ke Giroh Ne Farmaya,
Ki Jab Hum Durood-E-Pak Padhte Hai To Waha Ek Bhoat Hi Ziyada Khusboo Aati Thi.
(Dalail Ul Khariat Page: 13  Sa’adat Ud Darain Page: 143 Aab E Kauther English Version Page: 111)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jab Tak Tum Mujh Par Durood-E-Pak Na Padhoo Tumhari Dua Qabool Nahi Hogi.
(Sa’adat Ul Darain Page: 73 Aab E Kauther English Version Page: 118)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Tumhara Naam Aur Tumhare Chehra Meri Bargah Mai Pesh Kiye Jate Hai Mujh Par Durood-E-Pak Sahi Andaz Mai Bhejo.
(Sa adat Ud Darain Page: 62 Aab E Kauther English Version Page: 119 )

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Mujh Par Rozana 1000 Martaba Durood-E-Pak Padhega Ba Roza-E-Qayamat Jannat Ke Darwaze Par Us Shaks Ka Kandha (Shoulder) Mere Khandhe Ko Chhuega.
(Sa adat Ud Darain Page:80 Al Qaul Ul Badi Page:108 Aab E Kauther English Version Page: 120 )

Jo Shaks Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood-E-Pak Partah Hai ALLAH Ta’ala Us Bande Par Rehmateh Nazil Farmata Hai.
(Kashful Ghamma Vol: 1 Page: 269  Aab E Kauther English Version Page:120)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Yeh Durood E Pak Padhehga
“Allahumma Salli `ala Roohi Sayyidina Muhammad fi ‘l-Arwaahi Wa `Ala Jasadihi fi ‘l-Ajsaadi Wa `Ala Qabrihi fi ‘l-Quboori Wa `Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim.”
Uskoh Khwab Mai Meri Ziyarat Hogi Aur Jisneh Mujhe Khwab Mai Dekhah Woh Mujhe Qayamat Keh Din Bhi Dekhega Aur Jisne Mujhe Qayamat Keh Din Dekhegah Mai Uski Shafa’at Karonga Aur Woh Shaks Houz-E-Kauser Se Pani Piyega Aur ALLAH Ta’ala Uske Jism Koh Jahannum Se Azaad Kar Dega.
(Kashful Ghamma Vol : 1  Page: 269 Al Qaul Ul Badi Page: 43 Aab E Kauther English Version Page: 121)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Roz-E-Mehshar Tum Me Se Sabse Ziyada Karib Woh Shaks Hoga Jisneh Mujh Par Sabse Zyada Durood E Pak Padhah Hoga
(Kashful Ghamma Vol: 1, Page: 271 Aab E Kauther English Version Page 122)

Kasrat Se Durood-E-Pak Padhne Se Us Durood E Pak Padhnewale Ka Dil Saaf Hota Jataa Hai Munafiqat Door Hoti Hai.
(Kashful Ghamma Vol: 1 Page: 271 Aab E Kauther English Version Page:122)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Mujh Par Durood E Pak Padhta Hai 70 Rehmat Keh Darwaze Khol Diyeh Jateh Hai. ALLAH Ta’ala Logo Keh Dil Mai Uske Liye Mohabbat Daldeta Hai Sirf Munafiq Hi Durood E Pak Padhnewale Ke Khilaf Hota Hai.
(Kashful Ghamma Vol: 1 Page: 271  Aab E Kauther English Version Page:123)

Jo Mera Liye Durood E Pak Nahi Padhta Hai Uskan Imaan Nahi Hai
(Kashful Ghamma Vol: 1 Page: 271 Aab E Kauther English Version Page:123)

ALLAH Ta’ala Ne MUSAA Aalahisalam Se Irshad Farmaya,
O MOSAA Kiya Tumhe Qayamat Kel Din Pani Ki Pyas (Thirst) Se Bachnah Hai?
MOSAA Aalahisalam Neh Kaha Haa.
ALLAH Ta’ala Ne Farmaya
Tum Mere Habeeb Hazrath Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood E Pak Padho.
(Al Qaul Ul Badi Page: 124. Sa’adat Ul Darain Page: 87 Aab E Kauther English Version Page:126)

Jab ALLAH Ta’ala Ne Hazrat Aadam Aalahisalam Koh Paida Farmaya.
Aadam Aalahisalam Ne Aankheh Kholi Arsh Par Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Naam Dekha.
Aadam Aalahisalam Ne Arz Ya ALLAH Mere Se Bhi Ziyada Koi Kharib Hai Aapke?
Is Par ALLAH Rabbul Aalameen Ne Farmaya,
Jin Ka Naam Tumne Arsh Par Dekhah Hai Woh Mera Sabse Ziyada Karib Hai. Maine Mere Habeeb Ke Liye Aasman Zameen Jannat Jahannum Banaya Hai.
ALLAH Ta’ala Ne Aadam Aalahisalam Ki Pasli (Rib) Se Bibi Hawwa Aalahisalam Ko Paida Kiya. Jab Aadam Aalahisalam Ne  Bibi Hawwa Aalahisalam Ko Dekha To ALLAH Ta’ala Ko Kaha Ki Mai Use Nikah Karna Chahta Hoo.
ALLAH Ta’ala Ne Farmaya Nikah Keh Liye Tumhe Mehar Denah Hoga Bibi Hawa Ko. Aadam Aalahisalam Ne Farmaya,
Ya ALLAH Mujhe Kya Dena Hoga?
ALLAH Ta’ala Ne Farmaya,
Mera Habeeb Hazrath Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par 10 Martaba Durood E Pak Padhoo. Phir Adam Aalahisalam 10 Martaba Durood E Pak Padheh Aur Unka Nikah Hogaya.
SubhanALLAH.
(Sa’adat Ud Darain Page: 88 Aab E Kauther English Version Page: 127)

Hazrath Abu Bakr Siddiq Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya, Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Kasrat Se Durood E Pak Padhne Se Gunah Maaf Hote Jaisa Pani Aag Ko Bujha Deta Hai. Kasrat Se Durood E Pak Padhne Se Shaheed Hone Ka Sawab Milta Hai.
(Al Qaul Ul Badi Page: 12. Sa’adat Ul Darain Page: 88 Aab E Kauther English Version Page: 127)

Kasrat Se Durood E Pak Padhna Jannat Ka Rasta Hai
(Sa’adat Ul Darain Page: 88 Aab E Kauther English Version Page: 128)

Hazrath Zaid Bin Wahab Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya,
Jumma Ke Din 1000 Martaba Durood E Pak Padhna Mat Chhoado.
(Al Qaul Ul Badi Page: 190 Sa’adat Ul Darain Page: 88 Aab E Kauther English Version Page: 128)

Kasrat Se Durood E Pak Padhne Se Durood E Pak Padhnewale Ke 4 Pushto (Childers Of Childers ) Mai Barkat Rehti Hai.
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Aab E Kauther English Version Page: 128)

Hazrath Wahb Bin Muhaba Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya,
Kasrat Se Durood E Pak Padhna Ibadat Hai
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Aab E Kauther English Version Page: 129)

Hazrath Imam Zain Ul Abedeen Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya Kasrat Se Durood E Pak Padhna Ahle Sunnat Wal Jama’at Ki Nishani Hai.
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Aab E Kauther English Version Page: 129)

Hazrath Imam Jafar Sadiq Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya Jumma Aur Jummarat Ko Kasrat Se Durood E Pak Padho Kyuki Ye Din Faristeh Zamin Par Aate Hai. Unke Pass Soneh Keh Qalam Aur Chadi Keh Kagaz Hote Hai Wo Tumhare Durood E Pak Likhte Hai.
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Al Qaul Ul Badi Page: 195 Aab E Kauther English Version Page: 129)

Imam Shafi Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya,
Mujhe Yeh Pasand Hai Ki Kisi Bhi Halat Mai Durood E Pak Padha Kare.
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Aab E Kauther English Version Page: 130)

Kasarat Se Durood E Pak Padneh Se Duniya Aur Akhirat Ki Kamiyabi Hai
(Sa’adat Ul Darain Page: 89 Aab E Kauther English Version Page: 130)

Waliyo Ke Wali Huzoor Shaik Abdul Qadir Jeelani Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya,
Aye Imaanwalo Apni Masjido Ko Durood E Pak Ki Mehfil Se Sajateh Raho.
(Fath E Rabbani Page: 12 Aab E Kauther English Version Page: 131)

Allama Aqlaishi Rehmatulah Ne Farmaya,
Kasrat Se Durood  E Pak Padhna Bohot Badi Ibadat Hai.
Subha Shaam Durood E Pak Padhne Auliya ALLAH Ka Tariqa Hai. Kasrat Se Durood E Pak Padhne Se Qayamat Ke Din Ki Pareshani Ko Door Karta Hai.
(Al Qaul Ul Badi Page: 136 Sa’adat Ul Darain Page: 90 Aab E Kauther English Version Page: 132)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!