Durood-O-SalaamHadees: Durud SharifJumma Mubarak

Jumma Mubarak Kehna Kaisa

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aaj Ye Post Likhne Ka Ye Maqsad Hai Ke Aapko Ye Bataya Jaye Ke Jumma Mubarak Kehna Kaisa Hai. Jumma Ka Din Momineen Ke Liye Eid Hai. Hadees-E-Pak Me Juma Ke Din Ki Khoob Fazilate Aayi Hai. Me Yaha Chand Ahadees Aapki Khidmat Me Pesh Kar Raha Hu. Qaume Wahabiya/Deoband/Ahle Hageez Ko Bas Din Rat Biddat Hi Dikhai Deti Hai. Jabke Inke Khudke Amal Me Itni Biddate Hai Ke Ham List Nikale To List Khatam Na Ho. Phir Bhi Aa Jate Hai Muh Uthake Biddat Ka Fatwa Lekar.

Jumma Ke Din Ki Fazilate Hadees Se:


Hadees No: 1
حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ، قَالَ أَخْبَرَنَا شُعَيْبٌ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو الزِّنَادِ، أَنَّ عَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ هُرْمُزَ الأَعْرَجَ، مَوْلَى رَبِيعَةَ بْنِ الْحَارِثِ حَدَّثَهُ أَنَّهُ، سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ “‏ نَحْنُ الآخِرُونَ السَّابِقُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، بَيْدَ أَنَّهُمْ أُوتُوا الْكِتَابَ مِنْ قَبْلِنَا، ثُمَّ هَذَا يَوْمُهُمُ الَّذِي فُرِضَ عَلَيْهِمْ فَاخْتَلَفُوا فِيهِ، فَهَدَانَا اللَّهُ، فَالنَّاسُ لَنَا فِيهِ تَبَعٌ، الْيَهُودُ غَدًا وَالنَّصَارَى بَعْدَ غَدٍ ‏
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ Se Marwi Hai, Farmate Hain Huzoor ﷺ, Hum Dunya Me Tamam Ummato’n Ke Baad Aane Ke Ba’wajood Qayamat Me Sab Se Aage Rahenge, Farq Sirf Itna Hai Ki Unhe Kitab Hum Se Pehle Dee Gai Thi, Yahi Juma Wo Din Hai Ki Unpe Bhi Farz Kiya Gaya Tha, Yaani Ye Ki Iski Tazeem Kare’n Lekin Wo (Yahud-O-Nasara) Iske Khilaf Ho Gaye, Aur Hum Ko ALLAH Ta’ala Ne Bata Diya, Dusre Log (Yahud-O-Nasara) Hamare Taabe Hain,  Yahud Ne Dusre Din (Sanichar) Ko Wo Din MUQARRAR Kiya Aur Nasara Ne Tisre Din (ITWAR) Ko.
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg: 303, Hadees: 876)
{صحیح بخاری، ج-١، ص-٣٠٣، الحديث-٨٧٦}

Hadees No: 2
ALLAH Pak Ne Israeli Aur Esai (Christian) Ko Ye Din Ata Farmaya Tha Par Unho Ne Ise Chhod Kar Sanichar & Itwar Ko Muqaddas Din Banaya, Phir ALLAH Pak Ne Juma Ka Din Is Ummat Ko Ata Farmaya.
أَخْبَرَنَا إِسْحَاقُ بْنُ مَنْصُورٍ، قَالَ حَدَّثَنَا حُسَيْنٌ الْجُعْفِيُّ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ يَزِيدَ بْنِ جَابِرٍ، عَنْ أَبِي الأَشْعَثِ الصَّنْعَانِيِّ، عَنْ أَوْسِ بْنِ أَوْسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ إِنَّ مِنْ أَفْضَلِ أَيَّامِكُمْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ فِيهِ خُلِقَ آدَمُ عَلَيْهِ السَّلاَمُ وَفِيهِ قُبِضَ وَفِيهِ النَّفْخَةُ وَفِيهِ الصَّعْقَةُ فَأَكْثِرُوا عَلَىَّ مِنَ الصَّلاَةِ فَإِنَّ صَلاَتَكُمْ مَعْرُوضَةٌ عَلَىَّ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَكَيْفَ تُعْرَضُ صَلاَتُنَا عَلَيْكَ وَقَدْ أَرَمْتَ أَىْ يَقُولُونَ قَدْ بَلِيتَ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ قَدْ حَرَّمَ عَلَى الأَرْضِ أَنْ تَأْكُلَ أَجْسَادَ الأَنْبِيَاءِ عَلَيْهِمُ السَّلاَمُ ‏”‏
Aos Bin Aos رضی اللہ عنہ Se Riwayat Hai, Farmaya Huzoor ﷺ Ne Tumhare Afzal Dino’n Me Juma Ka Din Hai, Isi Din Aadam Paida Huye Isi Me Inteqal Kiya, Isi Me Pehli Baar Soor Phunka Jayega, Isi Din Dusri Baar Soor Phunka Jayega, Is Din Kasrat Se Mujh Par Darood Padho, Ki Tumhara Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai, Logon Ne (Sahaba Ne) Arz Kiya Jab Huzoor ﷺ Inteqal Farma Chuke Honge To Aap Par Durood Kaise Pesh Hoga?
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Allah Ne Zameen Par HARAM Qarar Diya Ki Wo Ambiya علیہم السلام Ke Jismo’n Ko Khaye.
(Sunan An Nisai, Hadees: 1371)
{سنن النسائي، ص-٢٣٧، الحديث-١٣٧١}
Hadees No: 3
وَحَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى، وَأَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَأَبُو كُرَيْبٍ قَالَ يَحْيَى أَخْبَرَنَا وَقَالَ الآخَرَانِ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ مَنْ تَوَضَّأَ فَأَحْسَنَ الْوُضُوءَ ثُمَّ أَتَى الْجُمُعَةَ فَاسْتَمَعَ وَأَنْصَتَ غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهُ وَبَيْنَ الْجُمُعَةِ وَزِيَادَةُ ثَلاَثَةِ أَيَّامٍ وَمَنْ مَسَّ الْحَصَى فَقَدْ لَغَا.
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلی الله عليه وسلم Ne Jisne Achchi Tarah Wazu Kiya Aur Phir Juma Ko Aaya Aur Khutbah Suna Aur Chup Raha (Khutbe Me) Uski Maghfirat Ho Jayegi Un Gunano’n Se Jo Usne 2 Juma Ke Beech Kiye, Aur 3 Din Aage Ki, Aur Jisne Kankari Uthai Usne Bekar Kaam Kiya.
(Sahih Muslim, Hadees: 859)
{صحیح مسلم، کتاب الجمعة، فضل من استمع وأنصت في الخطبة، الحديث-٨٥٧}
Hadees No: 4
حَدَّثَنَا أَبُو غَسَّانَ الْمِسْمَعِيُّ حَدَّثَنَا الضَّحَّاکُ بْنُ مَخْلَدٍ عَنْ ابْنِ جُرَيْجٍ قَالَ أَخْبَرَنِي أَبُو الزُّبَيْرِ أَنَّهُ سَمِعَ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ يَقُولُا سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الشِّرْکِ وَالْکُفْرِ تَرْکُ الصَّلَاةِ
Hazrat Jabir Bin Abdullah Kehte Hain Ki Mai Ne Huzoor ﷺ Ko Farmate Suna Hai, Ki Aadmi Aur Uske Kufr O Shirk Ke Beech FARQ Namaz Hai.
(Sahi Muslim, Volume-1, Hadees No-153)

Hadees No: 5
Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.”

(Sunan Abu Dawood Volume : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Page : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Page : 101 Hadees: 1374)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume:1 Page: 216-217 Hadees: 589)
(Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume 06, Book: As Salah Chapter : 795 Page : 40,Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 445 Hadees: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Page-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 345 Hadees: 1085)
(Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Volume: 26 Page:84 Hadees: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Page : 353 Hadees: 5993)
Hadees No: 6
Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda Radiallahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sallalahu Alaihi Wasallam! (ﷺ) ) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)? Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi, (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Phir ALLAH Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Ibn Maajah, Volume -01 , Page-524, Kitab No 06 – Kitab Al Janaiz, Hadith-1637)
(Mundhiri Tahdhib-Ul-Kamal, Volume -10, Page-23, Hadith-2090)
Juma Ka Din Momeeno Ki Eid Hai:
Hazrat Ibn Abbas ِRadiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya,
“Beshak Yaum-E-Juma Eid Ka Din Hai”

(Sahi ibn Khuzaima, Volume 03, Page : 315, 318 Hadees : 2161, 2166)

Hadees No: 7
Hazart Aws Bin Aws ِRadiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya:
Beshak! Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai”

(Sunan Abu Dawood Volume : 01, Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai, Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374) (Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume: 1 Pg: 216, 217 Hadees: 589)
(Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40, Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi, Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah, Book : As Salah Wa Sunnah Feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(Imam Bayhaqi, Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)
Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (Wordly Meaning) Hai “Khushi” Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega “Eid”.
Ise Samjhane Ke Liye Quran Ki Ek Aayat Peshe Khidmat Hai,
Al Quran-E-Kareem:

Isa ibn-E-Mariyam Alaihissalam Ne Arz Ki Aye ALLAH !
Aye Rab Hamare !
Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
Ka Din) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglon Aur Pichhlo Ki


(Surah Maida, Para 7, Aayat 114, Tazuma: Kanzul Imaan)

Ab Batao Agar Eidein Me Mubarak Bad Dena Jaiz Hai To Kaise Usse Afzal Din Par Mubarakbad Dena Biddat Hoga?
Kya Aisi Jahalat Bhari Baatein Kehnewalon Ko Aapne Aapko Musalman Kehte Hue Sharm Nahi Aati?
Aapni Jahalat Ki Wajahse Lakhon Musalmanon Ko Bas Yun Hi Gunaahgar Keh Dena Kahan Ki Samajhdari Hai?
Woh Kehte Hain Na Ki,

Jab ALLAH Deen Leta Hai To Aqalein Chheen Leta Hai

Aur Jo Ye Kehte Hain Inse Kahein Itne Bhi Doodh Ke Dhule Na Bane Ki Har Chiz Karne Ka Saboot Quran-O-Hadees Se Chahiye Agar Aisa Hai To Mujhe Jawab Do,
📌 Masjid Par GUMBAD Banana Kis SAHABI Se Sabit Hai?
📌 Masjid Main Aoqat Makhsoos kerna kis sahabi sey SABIT hai ?
📌 Masjid Me Air-Conditioner Lagane Ki Dalail Do Quran-O-Hadees Se?
📌 Aalishan Jamiat Aur Islamic School Ki Tmeer Ki Dalil Lao.
📌 Khatm-E-Bukhari Karna Aur Saudi Day Manana Kahan Se Sabit Hai? Tum Saudi Day Ke Mubarakbad Do Wo Jaiz Aur Musalman Jumma Ke Din Ko Mubarakbad De Wo Najaiz?
📌 Aur To Aur Khana-E-Kaba Par Gilaf Chhadhana Kaisa.? Laao Daleel.
Yeh Bila Wajah Aetrazaat Hain Agar Hum Bhi Aisa Karne Par Aa Jayein Toh Subh-Qayamat Tak Jawab Dhundhte Reh Jaoge Magar Jawab Na La Paoge !
Hamara Kaam ALLAH عزوجل Aur Uske Rasool ﷺ
Ki Rizawale Kaam Karna Hai, Woh Hum Kar Rahe Hain,
Zikr Karte Rahenge Aur Durood Padhte Rahenge.
ان شاءالله عزوجل
Mean While,
Jisse Abhi Bhi Meri Baaton Se Aitraaz Hai Wah Upar Diye Gaye Sawaalon Ke Jawabat Laye Aur Particularly In Sawaalon Ke, Ye Sawalat Unse Hai Jo Har Waqt Biddat Ki Ratt Lagaye Rehte Hai.
📌 Aeroplane Par Namaz Jaiz Hai Ya Nahi?
📌 Loud Speaker Par Namaz Jaiz Hai Ya Nahi?
📌 Insurance Jaiz Hai Ya Nahi?
📌 Alcohol Aamizish Dawa Jaiz Hai Ya Nahi?
Yaad Rahe Jawaab Sirf Aur Sirf “Quran-O-Hadees” Se Chahiye.
Jis Din Jawaab Le Aao Hamare Samne Aakar Baat Karna Warna Bobara Muh Mat Kholna. Aap Hi Apne Aqal Se Soche Jis Dinki Fazilate Quran Wa Hadees Me Aai Ho Us Din Ki Mubarakbad Dena Galat Ya Gunah Kaise Ho Sakta Hai?
Jo Log Aapke Samne Biddat Ki Ratt Lagte Rehte Hai Inko Pata Kya Hai Biddat Ke Bare Me. Inhi Ke Ghar Ki Kitab Se Achchi Biddat (Biddat-E-Hasana) Ka Saboot Hai Hamare Pas Ye Article Zaroor Padhe.
ALLAH عزوجل Humein Haq Samajhne Aur Uspe Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye !
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!