Aqaid-E-Ahle Sunnat

Shab E Meraj Qur’an Wa Hadees Se

ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Nabiyo Ko Koi Na Koi Mozeza De Kar Duniya Me Bheja. Huzoor Sarware Qounain Sallallahu Alaihi Wasallam Ko ALLAH Rabbul Aalameen Ne La Tadaad Mojezat Se Nawaza Hai. Usme Se Sabse Khaas Mozeza Hai Shab-E-Meraj.

ALLAH Rabbul Aalameen Ne Quran-E-Kareem Mein Meraj Ka Zikr In Muqaddas Aayato Ke Zariye Farmaya Hai.

“Paaki Hai Use Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid-E-Haraam (Khana-E-Kaaba) Se Masjid-E-Aksa (Baitul Mukaddas) Tak Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Use Apni Azeem Nishaniya Dikhayi Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”
(Surah Bani Israel, Para 15, Ayat 01, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)

“Is Pyare Chamakte Tare Muhammad Ki  Kasam Jab Ye Meraj Se Utre. Tumhare Sahab Na Behke Na Beraah Chale. Aur Wo Koi Baat Apne Khwahish Se Nahi Karte. Wah To Nahi Magar Wahi Jo Unhe Ki Jati Hai. Unhe Sikhaya Sakht Kuwwatwale Taqatwar Ne. Phir Us Jalwe Se Qasd Farmaya Aur Wah Aasmane Bari Ke Sabse Buland Kinare Par Tha. Fir Wah Jalwa Nazdik Hua. Fir Khoob Utar Aaya. To Us Jalwe Aur Us Mehboob Me Do Hath Ka Fasla Raha Balqi Usse Bhi Kam. Ab “Wahi” Farmayi Apne Bande Ko Jo “Wahi” Farmayi. Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha. To Kya Tum Unse Unke Dekhe Hue Par Jhagadte Ho. Aur Unhone To Wah Jalwa Do Bar Dekha Sidratul Muntaha Ke Pas. Uske Pas Jannatul Mawa Hai. Jab Sidrah Par Cha Raha Tha Jo Cha Raha Tha. Aankh Na Kisi Taraf Phiri Na Had Se Badhi. Beshaq Apne Rab Ki Bohot Badi Nishaniya Dekhi.”
(Al Qur’an-E-Kareem, Sure Al Najm, Para 27, Aayat 1-18, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)

Rehmat-E-Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ek Raat Ke Kuch Hisse Me Masjid-E-Haraam Se Masjid-E-Aqsa Tak Fir Sato Aasmano Se Sidratul Muntaha Se Laa Maqa Se Aapne ALLAH Ta’ala Ka Deedar Kiya Aur Aap Zameen Par Jalwa Afroz Hue. Isi Safar-E-Meraj Me ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aapko Namaz Ka Tohfa Ata Farmaya. Aur Isi Safar-E-Meraj Me Aapne Tamaam Ambiya Alayhissalam Ki Imaamat Ki Aur Unse Mulaqat Ki. Aur Jab Aap Safar-E-Meraj Se Loute To Aapne Masjid-E-Nabwi Shareef Mein Bayan Farmaya. To Sabse Pehle Aapke Safar-E-Meraj Me Deedar-E-Ilahi Ki Shahadat Denewale Hazrate Abu Bakar Siddiq Radiallahu Anhu The Aur Tab Hi Aapko Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Siddiq Laqb Ata Farmaya. SubhanALLAH

Aaj Ke Is Dour Me Kuch Bad Aqeeda Firqe Ke Log Meraj Ka Inkar Karte Hai. Mazallah. Aur Kai Log Sawalat Karte Hai Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Meraj Roohani Hasil Hui Ya Jismani. Kya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Rab Ka Deedar Kiya. Aise Tamaam Sawalat Ke Jawab Daleel Ke Sath Yaha Pesh Kar Raha Hu.

Kya ALLAH Rabbul Aalameen Ka Deedar Mumkin Hai?

Hadees-E-Pak:
“Hazrat Adi ibn Hateem Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Tum Me Se Har Koi Anqareeb Apne Rab Se Kalam Karega Is Haal Me Koi Parda Na Hoga Tum Rab Se Kalam Karoge Aur Be Hijaab Deedar Bhi Karoge”
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees :7443)
(Sunan ibn Majah, Kitabus Sunnah/Kitabul Mukaddamah, Hadees : 185)

Is Hadees-E-Pak Se Ye Sabit Hua Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ka Deedar Mumkin Hai. ALLAH Jise Apne Noor Ko Dekhne Ki Kuwwat Ataa Karde Wo Deedar Jaroor Kar Sakta Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Aur Jo Moosa Humare Wade Par Hazir Hua Aur Usse Uske Rab Ne Kalaam Farmaya. Arz Ki Aye Mere Rab ! Muze Apna Deedar Dikha Ki Main Tuze Dekhu. Farmaya Tu Muze Hargiz Na Dekh Sakega. Ha Is Pahad Ki Taraf Dekh Yah Apni Jagah Par Thehra Raha To Unkarib Tu Muze Dekh Lega. Fir Jab Uske Rab Ne Pahad Par Apna Noor Chamkaya Use Pash Pash Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Fir Jab Hosh Hua Bola Paaki Hai Tuze Main Teri Taraf Rujoo Laya Aur Main Sabse Pehla Musalman Hu.
(Sure A’araf, Para 9, Aayat 143, Ruku 17 Tarzuma Kanzul Imaan)

Aur ALLAH Rabbul Aalameen Ne Quran-E-Kareem Me Irhsad Farmaya “Kuch Muh (Faces) Us Din Taro Taaza Honge Apne Rab Ko Dekhte”
(Surah Qiyamah Ayat 22 – 23, Surah No 75, Para 29, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)

Kya ALLAH Ke Nabi Ba Hayat Hai Yani Zinda Hai?

Hadees-E-Rasool:
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyail Mursaleen Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aamad Baitul Mukkadas Me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihissalam Ko Pehle Se Hi Jama Kiya Gaya Tha Sarakre Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekh Sabne Khushaamdeed Kaha Aur Namaz Ke Waqt Sabne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Imamat Ke Liye Aage Hone Ko Kaha Aur Phir Jibrail E Ameen Alayhissalam Ne Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dasta Mubarak Pakad Kar Aage Badha Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tamam Ambiya Alaihissalam Ki Imamat Farmayi”
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Page : 81, Hadees : 448)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Page : 160, Hadees : 3879)

Hadith-E-Nabvi:
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Safare Meraj Me Gujar Hazrate Moosa Alayhissalam Ki Qabr-E-Mubarak Ke Pass Se Jo Raith Ke Surkh Teele Ke Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Qabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail-E-Moosa Alayhissalam, Page : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai,  Vol : 2, Page : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Alayhissalam Hadees: 1630/1636) Gair Mukallid Ke Idara Darusalam Ne Bhi Is Hadees Ko Sahi Likha Hai.
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Ne : Al-Musnad, Vol : 03, Pg-148, Hadees: 12526, 13618)

Imaamul Ambiya Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Pehle Aasman Me Hazrat Aadam Alayhissalam Se Mulakat Ki. Dusre Aasman Me Hazrat Yahya Alayhissalam Aur Isaa Alayhissalam Se Mulakat Ki. Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf Alayhissalam Se Mulakat Ki Chauthe Aasman Me Hazrat Idrees Alayhissalam Se Mulakat Ki Panchwe Aasman Me Hazrat Haroon Alayhissalam Se Mulakat Ki Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah Alayhissalam Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah Alayhissalam Se Mulakat Ki.
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Radiallahu Anhu iski Tashreeh Karte Hai
“Namaz-E-Aksa Me Ye Tha Yehi Sirr,  I’yaa Ho Maniye Awwal Aakhir Ki Dasta Basta Hai Pichhe Haazir, Jo Saltanat Aage Kar Gaye The”

Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Unhone Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Pucha Kya Aap Ne Rab Ta’ala ko Dekha? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Wo NOOR Hai (ٌرون ),
Maine Usse Dekha ( ٌهارأ ىنأ )”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)

Word To Word Translation:

رون   = Wo Noor Hai (He Is Light)

ىنأ  = Mai, Mujhe, Mai Khud (I, Me, Myself)

 ٌهارأ  = Dekha Usse (Saw Him)

Aaj Is Hadees Shareef Ka Galat Tarzuma Badmazhabo Ne Is Tarah Kiya Hai Ke Aam Log Gumrah Kiya Jaye. ” Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon” Aaiye Ab Ham Is Hadees Shareef Ki Agli Hadees Par Roshni Dalte Hai. Jisse Ye Bilkul Saf Ho Jayega Ki Badmazhabo Ne Is Hadees Ka Galat Tarzuma Kiya Hai.

Hazrat Abdullah Bin Shaqik Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Kaha Agar Mai Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekhta To Mai Aap Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Puchta. Hazrat Abu Jarr Radialllahu Anhu Farmate Hai “Aye Shaqik ! Tum Kya Puchte?” Farmaya, “Mai Puchta Aye ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Aapne ALLAH Ko Dekha Hai?” Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Farmate Hai, “Aye Shakik ! Maine Pucha Tha” Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “MAINE NOOR KO DEKHA”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)

Hazrat Anas Radialllahu Anhu Se Rivayat Hai “Pura Meraj Ka Wakya Bayan kiya” Fir Kehte hai “Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye Aur Izzatwala Jabbar (ALLAH) Yaha Tak Ke Karib Huwa Aur Nazdik Aaya Ke Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)

Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai “Beshak ! Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Ka Deedar Kiya”.
(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko HASAN Kaha Hai.

“Imam Tabrani Radiallahu Anhu Ne Likha Sayyidina Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Ne Farmaya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH KO DEKHA. Hazrat Ikrama Radiallahu Anhu , Ne Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Pucha, “Kya ALLAH Ke Rasool Ne ALLAH KO DEKHA?” Hazrat Abdullah Ibn Abbas Ne Farmaya, “HAA, ALLAH NE MOOSA Alayhissalam SE KALAM KIYA, HAZRAT IBRAHIM Alayhissalam KO DOST BANAYA AUR RASOOL ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallm KO APNA DEEDAR KARAYA”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 9392, Print : Maktaba Maarif Riyadh)

Hadith-E-Nabwi
Hazrat Anas Bin Malik Radialllahu Anhu Se Meraj Ki Tavil Rivayat Hai Jab Ye Tohfa-E-NAMAZ Ummat Ke Liye Jo 50 Wakt Thi Leke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Aa Rahe The To “Aate Huwe Jab Aap Hazrat  Moosa Alaihissalam Ke Pass Pahuche To Wo Arz Guzar Huwe Ke Aap Ke RAB Ne Aapki Ummat Pe Kya Farz Farmaya? RASOOLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “50 Namazein.” Is Par Moosa Alayhissalam Ne Arz Ki Ke Wapas Jaaye Aur Apne RAB Se Kami Ka Suwal Kare Kyuki Aapki Ummat Se Ye Na Ho Sakega. Maine Bani Israil Ko Aazma Kar Dekh Liya Hai Unka Tazurba Kar Liya Hai. Chunache Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam RAB Ta’ala Ki Baargah Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya  “Aye Mere Rab ! Meri Ummat Par TAKHFEEF Farma. ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ne 5 Namaze Kam Kardi. Aap Wapas Hazrat Moosa Alaihissalam Ke Pass Tahreef Laaye Aur Farmaya 5 Kam Kardi Hai. Hazrat Moosa Ne Phir Wohi Arz Kiya Ke Aapki Ummat Se Ye Na Ho Sakega Apne RAB Ke Pass Wapas Jayiye Aur Kami Ka Suwal Kijiye. Ye Silsila Yuhi Chalta Raha Ke Aap Rab Ta’ala Ki Bargaah Me Hazir Hote Aur Rab Ta’ala Har Bar 5 Kam Kardeta. Phir Hazrat Moosa Ke Pass Tashrif Laate Wo Aur Kami Ka Arz Kar Wapas RAB Ki Bargaah Me Bhej Dete. Hatta Ki ALLAH Ne Farmaya “Aye Muhammad ! Din Aur Raat Me Ye 5 Namaze’in Hai Har Namaz Ka Sawab Dus Gunah Hai Is Tarah Ye 50 Namazein Huwi.” Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Baat Hazrat Moosa Ko Batayi Unhone Phir Wohi Arz Ki Ke Jaaiye Aur Kami Ka Suwal Kijiye. Is Par Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “MAI APNE RAB KE PASS ITNI BAAR GAYA HOON KE AB MUJHE HAYA AATI HAI.”
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 08 Kitab Us Salat, Baab : Kaifa Furuzati Salatal Isra, Hadees : 349)
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab Ut Tawheed, Hadees : 7517)
(Sunan  Nasai, Vol : 01, Kitabus Salat, Hadees : 448)

Badmazhab Aksar Logo Ko Behkate Hai Ke Shabe Meraj Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Jibrail Alaihissalam Ka Deedar Kiya ALLAH Ta’ala Ka Deedar Na Kiya. Aye Kam Aqal Insano ! To Shabe Meraj Me Namaz Ka Tohfa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jibrail Ameen Ne Diya? Kya Jibrail Alaihissalam Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Namaze Kam Karayi. Mazallah Astagfirullah.

Kisi Shayer Ne Kya Khoob Likha Hai “Be ISHQ-E-Muhanmad Jo Padhte Hai BUKHARI,
Aata Hai Bukhar Unko BUKHARI Nahi Aati.”

“Jab Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Wakya-E-Meraj Ka Bayan Kiya Log Daudte Huwe Ye Baat Ko Leke Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anu Ke Pass Pahuche Aur Kahne Lage Kya Aap Is Baat Ki Tasdeek Kar Sakte Hai Ke Aapke Dost Ne Ye Baat Kahi Ke Raato Raat Masjid-E-Haram Se Masjid-E-Aqsa Ka Safar Kar Liya? Unka Gumaan Ye Tha Ke Shayad Ye Baat Se Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu, Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Saath Chod Denge. Ye Wo Baat Thi Jisko Aqal Maanne Ko Tayyar Na Thi Par Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu Ne Bila Jhijak Tasdeek Kardi Rivayat Me Aaya Hai Abu Bakr Radiallahu Anhu Ne Logo Se Ye Baat Puchi Kya Wakayi Me Unhone Aisa Kaha Hai? JI HAA. Hazrate Abu Baqr Radiallahu Anhu Ne Farmaya Agar Unhone Aisa Farmaya Hai To YAKINAN SACH FARMAYA HAI. Logo Ne Phir Pucha Kya Aap Is Baat Ki Tasdeek Karte Hai ? Farmaya, “YE TO KUCH NAHI MAI TO AAP SE AASMANO KI KHABRO KI BHI SUBAAH SHAM TASDEEK KARTA HU AUR YAKINAN WO TO IS BAAT SE ZYADA TAZZUB KHEZ HAIRAN KUNN HAI ”
(AL Mustadrak Lil Hakim, Vol : 04, Pg : 20, Kitab AL Marifatu Sahaba, Baab : Zikr Abu Baqr , Hadees : 4010) Us Din Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “AYE ABU BAQR ALLAH Ne Tumhe SIDDIQ Ka Lakab Diya Hai “ Iske Baad Aap Siddiq Ke Naam Se Mashoor Hogaye.
(Imam Jalaludin Suyuti Al Khasaisul Kubra Vol : 01, Pg :294)
(Sahih Muslim : Hadees 172, Book ref. : 1, Hadees 337, Eng ref. : Book 1, Hadees 328)
(Sahih Bukhari : Hadees 233, Eng ref. : Vol. 6, Book 60, Hadees 233, Arabic ref. : Book 65, Hadees 4710)
(Sahih Muslim : Hadees 170, Book ref. : 1, Hadees 335, Eng ref. : Book 1, Hadees 326)
(Jamia Tirmizi : Hadees 3133, English ref.: Vol. 5, Book 44, Hadees 3133, Arabic ref. : Book 47, Hadees 3425)
(Al’Mustadrak A’l As’sahi’heen : Hadees : 4515 , Jild 4 , Safha 25) (Me’raj Ke Waqiyat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 20-22)

SubhanALLAH Ye Aqeeda Tha Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhu Ka Ki Unhe “Siddiq” Laqab Se Nawaza Gaya.

“EK Arabi Ke Kahne Ka Maine Kaha Maana Hai Bin Dekhe AYE RAB ! Maine Tujhe KHUDA Maana Hai ALLAH Ka Ek Hona TUMNE Maan Liya Ke ALLAH Ek Hai Bataya Kisne?
USI NABI Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Batane Pe Phir MERAJ Pe Sawal Kyu?’

Jara Ise Bhi Padhiye:
Aaj Kai Log Aapko Aise Milenge Jo Merajun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Inkar Karte Hai. Unki Misal Un Munafiqo Jaisi Hai. Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Meraj Ka Bayan Kiya. To Un Logo Ko Ye Baat Hazam Na Hui. Dar Asl Dilo Me Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kiye Bugz Tha Isliye Aapki Is Shaano Shaukat Se Aitraz Kiye. Ab Aap Jara Gaur Farmaiye. Hazrate Moosa Alaihissalam Ko Kalimullah Ka Laqab Hai. Yani Aapne ALLAH Rabbul Aalameen Se Kalam Kia. Kalimullah Yani ALLAH Rabbul Aalameen Se Kalaam Karewala. Ab Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam To Habibullah Hai. Yani ALLAH Rabbul Aalameen Ke Habeeb Hai. Jab Moosa Alaihissalam ALLAH Rabbul Aalameen Se Kalaam Karte Hai. Mere Aaqa To Tamaam Nabiyo Ke Sardar, Khatamun Nabiyyin, Imamul Ambiya Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Apne Habeeb Ko Apna Deedar Karaye To Isme Konsi Tajjub Ki Baat Hai. In Logo Ko Moosa Alaihissalam Ke ALLAH Ta’ala Se Kalam Karne Par Imaan Hai Par Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Meraj Se Aitraz Hai. Dar Asl Inke Dilo Me Jo Bugz Pal Raha Hai Usse Inko Mere Aaqa Ki Shaan-O-Shaukat Dekhi Nahi Jaati. Aur Ek Aakhri Baat Agar Meraj Ki Koi Haqiqat Na Hoti Ma’zALLAH To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Qur’an-E-Kareem Me Meraj Ka Zijr Kyu Farmaya? Faisla Aapka Hai. Sochiye ALLAH Ka Kalaam Sachcha Hai. Ya In Makkaro Par Aapko Aitbar Zyada Hai. Dua Ki Guzarish. Apni Dua Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karna Na Bhoole.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!