Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Azmat-E-Auliya Wa Karamat-E-Auliya Hadees-E-Pak Ki Roshni Me Part 3

Read Previous Part: 1
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ*
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ*
*اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ، ﷺ*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Mere Pyare Sunni Islami Bhaiyo Aur Beheno, Alhumdulillah Ham Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Maslake Aalahazrat ALLAH Rabbul Aalameen Ke Mehboob Bande Yani Waliyo Se Dilse Nisbato Muhabbat Karte Hai. Unke Wasile Se ALLAH Rabbul Aalameen Ke Bargah Me Dua Karte Hai. Unki Nazro Niyaz Karte Hai. Magar Kuch Baatil Jama’at Ke Gumrah Log ALLAH Ke Wali Auliya Ki Shaane Aqdas Me Gustakhiya Karte Hai. Un Logo Ki Islah Ke Liye Is Post Ko Likha Gay Hai. Jisme Hadees-E-Pak Ke Hawale Se Auliya-E-Kiram Ki Fazilate Bayan Ki Gayi Hai.

Hadees No: 22
 Hazrat Imam Malik رضي الله عنه   Se Aik Taweel Riwayat Me Marwi Hai Farmate Hain Ki Hazrat Usman رضي الله عنه   Ko Shaheed Kiya Gaya Aur Darwaje Par Hee Un Ka Sare Mubarak Pukaar Raha Tha :
Mujhe Dafan Karo.
Chunanche Un Ke Saathi Un Ki Na’sh Mubarak (Janaaze) Ko Baaghe Kawkab Me Le Gaye Jaha’n Unhone Aap Ki Tadfeen Ki.”
(Tabarani Mu’jam-ul-kabir, 01 Pg:78, Hadees-109,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-kabir, 39 Pg:532,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 09 Pg:95,
Ibn Abd-ul-barr Al-isti’ab, 03 Pg:1047,
Ibn Sa’d At-tabqat-ul-kubra, 03 Pg:77,
Mizzi Tadhib-ul-kamal, 19 Pg:457,
Asqalani Talkhis-ul-hubayr, 02 Pg:145.)

Hadees No: 23
Hazrat Imam Malik رضي الله عنه  Se Marwi Hai Ki Hazrat Usman رضي الله عنه Baaghe Kawkab Ke Paas Se Guzarte To Farmate Ki Yaha’n Aik Nek Insan Dafan Kiya Jaayega (Chunanche Woh Khud Usee Jageh Dafan Kiye Gaye).
(Tabarani Mu’jam-ul-kabir, 01 Pg:78, Hadees-109,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-kabir, 39 Pg:532,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 09 Pg:95,
Ibn Abd-ul-barr Al-isti’ab, 03 Pg:1047,
Ibn Sa’d At-tabqat-ul-kubra, 03 Pg:77,
Mizzi Tahdhib-ul-kamal, 19 Pg:457.)

Hadees No: 24
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه   Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Usman رضي الله عنه   Ne (Apni Shahadat Ke Din) Sub’h Huwi To Farmaya :
Mein Ne Raat Ko Dekha Ki Huzoor Nabi-e-Akram صلى الله عليه وسلم   Ne Farmaya :
Aye Usman!
Aaj Ka Roza Tum Hamare Paas Iftaar Karo.
So Us Din Hazrat Usman رضي الله عنه   Ne Roza Rakha Aur Usi Din Unhein Shaheed Kar Diya Gaya.”
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .
(Hakim Al-mustadrak, 03 Pg:110, Hadees-4554,
Ibn Abi Shaybah Al-musannaf, 06 Pg:181, Hadees-30510, 30511, & 07 Pg:442, Hadees-37085,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 07 Pg:232,
Ibn Sa’d At-tabqat-ul-kubra, 03 Pg:74,
Ibn Hayyan Tabqat-ul-muhaddithin Beasbahan, 02 Pg:98, Hadees-182,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-kabir, 39, 384.)

Aik Riwayat Me Hazrat Usman رضي الله عنه   Ki Jawza Mohtaram Se Marwi Hai Ki Hazrat Usman رضي الله عنه   Ne
Farmaya :
Mein Ne Huzoor Nabi-e-Akram صلى الله عليه وسلم   Aur Hazrat Abu Bakr Aur Umar رضي الله عنهم   Ko Dekha Woh Sab Mujhe Keh Rahe They (Aye Usman!) Aaj Raat Tumhari Iftari Hamare Saath Hai.”
(Hakim Al-Mustadrak, 03 Pg:110, Hadees-4554,
Ibn Abi Shaybah Al-musannaf, 06 Pg:181, Hadees-30510, 30511, & 07 Pg:442, Hadees-37085,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 07 Pg:232,
Ibn Sa’d At-Tabqat-ul-Kubra, 03 Pg:74,
Ibn Hayyan Tabqat-ul-muhaddithin Beasbahan, 02 Pg:98, Hadees-182,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39, 384.)

Hadees No: 25
Hazrat Sulaiman Bin Yasar رضي الله عنه   Se Marwi Hai Ki Jahjaah Al Ghafaari Ne Hazrat Usman رضي الله عنه Ka Asa Jis Par Tek Lagaate They Apne Ghutane Par Rakh Kar (Gustakhi Ke Saath) Tod Diya To Us Ke Ghutane Par Foda Nikal Aaya.”
(Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-kabir, 39 Pg:329,
Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 01 Pg:124, Hadees-70,
Ibn Abd-ul-barr Al-isti’ab, 01 Pg:269,
Razi At-tafsir-ul-kabir, 21 Pg:88.)

Hadees No: 26
Hazrat Abu Rafe’ رضي الله عنه  Jo Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم   Ke Aazaad Kardah Ghulaam They Riwayat Farmate Hain Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrate Ali كرم الله وجهه الكرم  Ko Apna Jhanda De Kar Khaibar Ki Taraf Rawaana Kiya To Hum Bhi Un Ke Saath They Jab Hum Qila-e-Khaibar Ke Paas Pahunche Jo Madinah Munawwarah Ke Qareeb Hai To Khaibar Waale Achaanak Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Par Toot Pade Aap Bemisaal Bahaaduri Ka Mujaahira Kar Rahe They Ki Achaanak Un Par Aik Yahoodi Ne Chot Kar Ke Un Ke Haath Se Dhaal Gira Dee.
Us Par Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Ne Qile Ka Aik Darwaaza Ukhed Kar Apni Dhaal Bana Liya Aur Use Dhaal Ki Haisiyat Se Apne Haath Me Liye Jung Me Shareek Rahe.
Bil Aakhir Dushmanon Par Fateh Haasil Ho Jaane Ke Baad Us Dhaal Numa Darwaaje Ko Apne Haath Se Phaink Diya Us Safar Me Mere Saath Saat Aadami Our Bhi They Aur Hum Aath Ke Aath Mil Kar Us Darwaaze Ko Ulatne Ki
Koshis Karte Rahe Lekin Hum Woh Darwaza (Jise Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Ne Tanha Ukheda Tha) Na Ulat Sake.”
(Ahmad Bin Hanbal Al-musnad, 06 Pg:08, Hadees-23909,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 06 Pg:152,
Tabari Tarikh-ul-umam Wal-muluk, 02137,
Ibn Hisham Sirat-un-nabawiyyah, 04 Pg:306.)

Hadees No: 27
Hazrat Zaadaan رضي الله عنه   Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Guftagoo Farmayi To Aik Shakhs Ne Unhein Jhuthlaaya Us Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Farmaya :
Agar Too Ne Jhooth Bola Ho To Mein Tujhe Badduaa Doo’n?
Us Ne Kaha Ha’n Badduaa Karein.
Chunanche Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Us Ke Liye Badduaa Ki To
Woh Shakhs Abhi Us Majlis Se Uthane Bhi Na Paaya Tha Ki Andha Ho Gaya.”
(Tabarani Al-mu’jam-ul-awsat, 02 Pg:219, Hadees-1791,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 09 Pg:116,
Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 01 Pg:126, Hadees-73.)

Hadees No: 28
Hazrat Aasim Bin Zmara رضي الله عنه   Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Hazrat Imam Hasan رضي الله عنه   Ne Aik Khutbe Me Irshad Farmaya :
Aye Ahle Koofa (Ya Farmaya) Aye Ahle Iraq Aaj Tumhare Darmiyan Woh Shakhs Shaheed Kar Diya Gaya Jis Se Elm Me (Ummat Ke) Awwalin Bhi Sabqat Nahin Kar Sake Aur Aakhireen Me Se Bhi Koi Un Ke Muqaam (Martabe) Ko Na Pahunch Sakega.
Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم  Jab Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم Ko Kisi Jihaad Kee Muhim Par Rawaana Farmate To Un Kee Daayi Taraf Hazrat Jibra’il Aur Baayi Taraf Hazrat
Mika’il عليه السلام   Raha Karte They Aur Woh Kabhi Bhi Fateh Haasil Kiye Baghair Nahin Laut’te They.”
(ibn Abi Shaybah Al-musannaf, 06 Pg:369, Hadees-32094,
Hindi Kanz-ul-ummal, 06 Pg:412.)

Hadees No: 29
Hazrat Ammara Bin Umair رضي الله عنه   Bayan Karte Hain Ki Jab (imam Hussain رضي الله عنه   Ke Qatil) Ubaidullah Bin Ziyaad Aur Us Ke Saathiyon Ke Sar La Kar Masjid Ke Baraamade Me Rakhe Gaye Aur Mein Us Waqt Un Logon Ke Paas Pahuncha Jab Woh Log Keh Rahe They Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya.
Itni Der Me Aik Saanp Kahin Se Aaya Aur Un Ke Saron Par Ghusna Shuroo Kiya Aur Ubaidullah Bin Ziyaad Ke Nathane Me Ghusa Aur Us Me Thodi Der Thaher Kar Phir Baahar Aa Gaya Aur Kahin Chala Gaya Yaha’n Tak Ki Woh Kahin Ghaayab Ho Gaya.
Phir Achaanak Woh Kehne Lage Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya.
Woh Saanp Phir Aaya Aur Yahin Amal Us Ne Do² Ya Teen³ Baar Dohraaya.”
رواه الترمزي والطبراني .
وقال : أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح .
(Tirmidhi As-sunan, 05 Pg:660, Hadees-3780,
Tabarani Al-mu’jam-ul-kabir, 03 Pg:112, Hadees-2832,
Mubarakpuri Tuhfat-ul-ahwadhi,)

Hadees No: 30
Hazrat Qurra Bin Khalid Farmate Hain Ki Mein Ne Suna Hai Ki Hazrat Abu Riza Ataaridee Farma Rahe They :
Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Aur Us Khanwada-E-(Nubuwwat) Ko Gaaliya’n Mat Do Hamara Aik Padosee Jo Ki Bil Hajeem Se Tha Kehne Laga :
Kya Tum Yeh Nahin Dekhte (ma’azAllah) Ki Us Faasik Husain Ibn Ali Ko ALLAH Ta’ala Ne Qatl Kar Diya (Us Ka Yeh Kehna Hee Tha Ki) Usee Waqt ALLAH Ta’ala Ne (Aasmaan Se) Us Kee Donon Aankhon Me Do² Sitaare Maare Aur Woh Andha Ho Gaya.”
رواه الطبراني .
إسناده حسن ورجاله رجال الصحيح .
(Tabarani Al-mu’jam-ul-kabir, 03 Pg:112, Hadees-2830,
Haythami Majma‘-uz-zawa’id, 09 Pg:192,
وقال : ورجاله رجال الصحيح .

Hadees No: 31
Hazrat Umme Salma رضي الله عنها  Riwayat Karti Hain Ki Jab Hazrat Fatima رضي الله عنها  Apne Marze Wisaal Me Mubtila Huwi To Mein Un Ki Teemardari Karti Thi.
Beemaari Ke Us Poore Arse Ke Dauraan Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai Aik Sub’h Un Ki Haalat Qadre Behtar Thi (Kuchh Thik Thi) Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Kisi Kaam Se Baahar Gaye Sayyada-E-Qa’inat Ne Kaha :
Aye Amma Mere Ghusl Ke Liye Paani Laaye, Mein Paani Laayi Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai (Us Din) Unhone Behtareen Ghusl Kiya.
Phir Boli :
Amma Jee Mujhe Naya Libaas De.
Mein Ne Aisa Hee Kiya.
Phir Woh Qibla Rookh Ho Kar Let Gayi Haath Rookhsaar Mubarak Ke Neeche Kar Liya Phir Farmaya :
Amma Jee Ab Meri Wafaat Ho Jaayegi Mein (Ghusl Kar Ke) Paak Ho Chuki Hoo’n Lihaaza Mujhe Koi Na Khole Pas Usee Jageh Un Ki Wafaat Ho Gayi.
Hazrat Umme Salma Farmati Hain Ki Phir Hazrat Ali كرم الله وجهه الكرم  Tashreef Laaye To Mein Ne Unhein Saari Baat Sunaayi.”
(Ahmad Bin Hanbal Al-musnad, 06 Pg:461, Hadees-27656, 27657,
*الدولابى فى الذرية الطاهرة، ١١٣ Pg: ١,*
*Zayla’i Nasab-ur-rayah, 02 Pg:250,*
*ومحب الدين فى ذخائر العقبى، ١٠٣ Pg:¹،*
Haythami Majma’-uz-zawa’id, 09 Pg:210,
Ibn Athir Asad-ul-ghabah, 07 Pg:221.)


Hadees No: 32
Hazrat Khaisama رضي الله عنه   Se Riwayat Hai Ki Hazrat Khalid Bin Walid رضي الله عنه   Ke Paas Aik Aadami Laaya Gaya Us Ke Paas Sharaab Ki Suraahi Thi, Aapne Farmaya :
Aye ALLAH Ise Shahad Bana De.
To Woh Sharaab Fauran Shahad Me Tabdeel Ho Gayi.”
 “Aur Aik Riwayat Me Hai Ki Jab Hazrat Khalid Bin Walid رضي الله عنه   Hurra Ke Maqaam Par Aaye To Un Ke Paas Zahre Qaatil Laaya Gaya, Unhone Use Hatheli Par Daala Aur Bismillah Kar Ke Pee Gaye (Magar Us Zahar Ne Un Par Koi Asar Nahin Kiya).”
رواه اللالكاءي والذهبي والعسقلاني .
وقال : رواه أبو يعلى وابن سعد وابن أبي الدنيا بإسناد صحيح .
(Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 02 Pg:254, Hadees-94, 97,
Dhahabi Siyar A’lam-un-nubula’, 01 Pg:375, 376,
Asqalani Al-isabah, 02 Pg:254,
Razi At-tafsir-ul-kabir, 21 Pg:89.)

Hadees No: 33
Hazrat Abu Khalda Taba’i Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Abu Aaliya Se Poochha :
Kya Hazrat Anas رضي الله عنه   Ne Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم Se Hadithon Ki Sama’at Kee Hain?
Abu Aaliya Ne Farmaya :
Hazrat Anas رضي الله عنه   Ne Das-10 Saal Huzoor Nabi-e-Akram صلى الله عليه وسلم   Ki Khidmat Kee Aur Rasoolullah صلى الله عليه وسلم   Ne Un Ke Liye Duaa Farmayi Jis Kee Wajeh Se Hazrat Anas Ka Baagh Saal Me Do² Martaba Fal Deta Tha Aur Un Ke Baagh Me Aik Khushboodar Pauda Tha Jis Se Unhein Kastoori Ki Khushaboo Aati Thi.”
رواه الترمزي. وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن .
(Tirmidhi As-sunan, 05 Pg:683, Hadees-3833,
Dhahabi Siyar A’lam-un-nubula’, 03 Pg:400,
Asqalani Al-isabah, 01 Pg:127,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 02 Pg:401, Hadees-5952.)

Hadees No: 34
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه   Se Marwi Aik Taweel Riwayat Me Hai Ki Hazrat Khubaib رضي الله عنه   Ne Ghazawa-E-Badr Me (Sardare Quraish) Haaris Ko Qatl Kiya Tha (Baad Ke Aik Waaqiye Me) Hazrat Khubaib (Giraftaar Ho Kar) Un Ke Qaidee Ban Gaye.
Haaris (jise Hazrat Khubaib رضي الله عنه   Ne Qatl Kiya Tha) Ki Aik Beti Kaha Karti Thi Ki Mein Ne Hazrat Khubaib رضي الله عنه   Se Zyaada Achchha Aur Nek Koi Qaidee Nahin Dekha Aur Beshak Mein Ne Hazrat Khubaib رضي الله عنه   Ko (dauraane Qaid) Angoor Ka Khoosa (guchchha) Khaate Huwe Dekha Halan Ki Un Dino Makka Me Koi Fal Nahin Milta Tha (ya’ni Falon Ka Mausam Bhi Nahin Tha) Aur Waise Bhi Woh Zanjeeron Me Jakade Huwe They.
So Yeh Woh Rozee Thi Jo ALLAH Ta’ala Unhein (Ghaib Se) Ata Farmata Tha.”
(bukhari As-sahih, 04 Pg:1499, Hadees-3858, & 03 Pg:1108, Hadees-2880,
Ahmad Bin Hanbal Al-musnad, 02 Pg:310, Hadees-8082,
Abd-ur-razzaq Al-musannaf, 05 Pg:353, Hadees-9730,
Tabarani Al-mu’jam-ul-kabir, 04 Pg:221, Hadees-4191,
Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 01 Pg:101, Hadees-53,
Asqalani Fat’h-ul-bari, 07 Pg:384,
Ibn Abd-ul-barr Al-isti’ab, 02 Pg:779, Hadees-1305,
Tabari Tarikh-ul-umam Wal-muluk, 02 Pg:78.)

Hadees No: 35
 “Hazrat Jaabir رضي الله عنه  Se Riwayat Hai Ki Jab Ghazawa-E-Uhad Ka Waqt Aa Gaya To Mere Waalid (Hazrat Abdullah رضي الله عنه  ) Ne Mujhe Raat Ke
Waqt Bulaaya Aur Farmaya :
Mein Yahin Dekhta Hoo’n Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم  Ke Ashaab Me Sab Se Pehle Mein Shaheed Kiya Jaoonga Aur Mein Apne Baad Kisi Ko Nahin Chhod Raha Hoo’n Jo Rasoolullah صلى الله عليه وسلم  Ke Alaawa Mujhe Tum Se Zyaada Azeez Ho Mujh Par Qarz Hain Ise Ada Kar Dena Aur Apni Bahnon Ke Saath Achchha Sulook Karna.
Subah Huwi To Sab Se Pehle Vahi Shaheed Kiye Gaye.
Aur Aik Doosare (Shaheed) Ke Saath Dafan Kiye Gaye.
Phir Mera Dil Us Par Rajaamand Na Huwa Ki Unhein Doosaron Ke Saath Chhode Rakhoo’n Lihaaza (Tadfeen Ke Baad) Chhe-06 : Mahinon Ke Baad Mein Ne Unhein Nikaala To Woh Usee Tareh (Tarotaaaza) They Jaise Dafan Karne Ke Din They, Siwaye Aik Kaan Ke Jo Ki Jung Ke Dauran Shaheed Ho Gaya Tha.”
رواه البخاري .
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم .
(Bukhari As-sahih, 01 Pg:453, Hadees-1286,
Hakim Al-mustadrak, 03 Pg:224, Hadees-4913,
Bayhaqi As-sunan-ul-kubra, 06 Pg:285, Hadees-12459,
Asqalani Muqaddimah Fat’h-ul-bari, 01 Pg:270,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 02 Pg:399, Hadees-5945.)

Hadees No: 36
“Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه  Se Aik Lambi Riwayat Me Marwi Hai Ki Kuffare Quraish Ne (Dhokhe Se Shaheed Karne Ke Baad) Aik Daste Ko Shinaakht Ke Liye Hazrat Aasim رضي الله عنه  Ki Laash Me Se Tukada Kaat Kar Laane Ke Liye Bheja.
Hazrat Aasim رضي الله عنه  Ne Ghazawa-E-Badr Me Un Ke Bade Sardaaron Me Se Aik Ko Qatl Kiya Tha So (Us Daste Ke Pahunchte Hee) ALLAH Ta’ala Ne Un Kee Laash Ke Paas Bhidon (Laal Rang Ke Tataiyon) Ki Tareh Koi Jaanwar Bhej Diye Jinhone Kisi Ko Un Ke Laash Ke Paas Bhi Aane Nahin Diya Aur Woh Un Ke Jism Ka Koi Hissa Le Jaane Me Kamyab Na Ho Sake.”
(Bukhari As-sahih, 04 Pg:1499, Hadees-3858, & 03 Pg:1108, Hadees-2880,
Ahmad Bin Hanbal Al-musnad, 02 Pg:310, Hadees-8082,
Abd-ur-razzaq Al-musannaf, 05 Pg:353, Hadees-9730,
Tabarani Al-mu’jam-ul-kabir, 04 Pg:221, Hadees-4191,
Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 01 Pg:101, Hadees-53.)

Hadees No: 37
“Hazrat Anas رضي الله عنه   Riwayat Farmate Hain Ki Do² Aadami Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم   Ki Bargah Se (Majlis Khatm Hone Ke Baad) Andheri Raat Me (Ghar Jaane Ke Liye) Nikale To (Us Andheri Raat Me) Achaanak Aik Noor Un Ke Samne Aa Gaya (Aur Woh Un Ke Saath-Saath Roshani Ke Liye Raha) Aur Jab Woh Donon Aadami (Apne-Apne Ghar Jaane Ki Wajah Se) Alag-Alag Raah Par Chal Pade To Woh Noor Bhi Un Donon Ke Saath (do² Hisso Me Bat Kar) Alag-alag Ho Gaya.
Hazrat Anas رضي الله عنه   Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم   Ki Bargah Se (Andheri Raat Me Ghar Jaane Waale Woh Donon Aadami Hazrat Usayd Bin Huzayr Aur Abbaad Bin Bishr They) .”
(Bukhari As-sahih, 03 Pg:1384, Hadees-3594, & 01 Pg:177, Hadees-453, & 03 Pg:1331, Hadees-3440,
Abu Ya’la Al-musnad, 05 Pg:361, Hadees-3007,
Bayhaqi Al-i’tiqad, 01 Pg:310,
Nawawi Riyad-us-saleheen, 01 Pg:566, Hadees-1506,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 02 Pg:399, Hadees-5944.)

Hadees No: 38
“Hazrat Aaisha Siddiqua رضي الله عنها  Riwayat Farmati Hain Ki Jab Hazrat Najjashi رضي الله عنه   (Shaahe Habsha) Faut Ho Gaye To Hum Bayan Karte They Ki Un Ki Qabr Par Hamesha Noor (Barasta) Dekha Jaata Hai.”
(Abu Dawood As-sunan, 03 Pg:16, Hadees-2523,
Dhahabi Siyar A’lam-un-nubula’, 01 Pg:430,
Asqalani Al-isabah, 01 Pg:206,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 02 Pg:400, Hadees-5947,
Ibn Kathir Tafsir-ul-qur’an Al-azeem, 01 Pg:444.)

Hadees No: 39
“Hazrat Safeena رضي الله عنه   Se Marwi Hai Ki Mein Samandar Me Kashtee Par Sawaar Huwa.
Woh Kashtee Toot Gayi To Mein Us Ke Aik Takhte Par Sawaar Ho Gaya Us Ne Mujhe Aik Aisee Jageh Faink Diya Jo Sher Ki Kachchh’haar (Sher Ke Rehne Kee Jageh) Thi.
Vahi Huwa Jis Ka Dar Tha (Achanak) Woh Sher Saamne Tha, Mein Ne Kaha Aye Abul Haaris (Sher) Mein Rasoolullah صلى الله عليه وسلم   Ka Ghulaam Hoo’n To Us Ne Fauran Apana Sar Kham Kar Diya Aur Apne Kandhe Se Mujhe Ishaara Kiya Aur Woh Us Waqt Tak Mujhe Ishaara Aur Rehnumayi Karta Raha Jab Tak Ki Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Na Daal Diya.
Phir Jab Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Daal Diya To Woh Dheemi Aawaaz Me Gur Guraaya.
So Mein Samajh Gaya Ki Woh Mujhe Alwida Keh Raha Hai.”
رواه الحاكم والبخاري فى الكبير والطبراني والبغوي في شرح السنة .
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .
(Hakim Al-mustadrak, 02 Pg:675, Hadees-4235, & 03 Pg:702, Hadees-6550,
Bukhari Tarikh-ul-kabir, 03 Pg:195, Hadees-663,
Tabarani Al-mu’jam-ul-kabir, 07 Pg:80, Hadees-6432,
Ibn Rashid Al-jami’, 11 Pg:281,
Lalka’i Karamat-ul-awliya’, 01 Pg:158, Hadees-114,
Baghawi Sharh As-sunnah, 13,313, Hadees-3732,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 02 Pg:400, Hadees-5949.)

Hadees No: 40
“Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه   Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم  Ne (Hazrat Sa’d Bin Muaaz Ansaari رضي الله عنه   Ke Mut’alliq) Farmaya :
Yeh Woh Hastee Hai Jis Ki Wafaat Se Arsh Bhi Hil Gaya, Aasmaan Ke Darwaaze Khol Diye Gaye Aur Sattar Hajaar Farishte Us Ke Janaze Me Shareeq Huwe.
Aik Dafa Qabr Ne Use Dabaaya Phir Kushaada (chaudi) Kar Dee Gayi.”
“Aur Aik Riwayat Me Aap صلى الله عليه وسلم   Ne Farmaya :
Tamam Tareefe ALLAH Ke Liye Hee Hai Agar Koi Qabr Ke Dabaane Se Bach Sakta To Sa’d Bin Muaaz Bhi Zaroor Us Ke Dabaane Se Bach Jaate.
(Momineen Aur Saaliheen Ke Liye Qabr Ka Dabaana Ba’ise Raahat Hota Hai Jaise Maa Bachche Ko God Me Le Kar Muhabbat Se Dabaati Hai.”
وقال العسقلاني : ورجاله ثقات محتج بهم في الصحيح .
(Nasa’i As-sunan, 04 Pg:100, Hadees-2055,
As-sunan-ul-kubra, 01 Pg:660, Hadees-8182,
Tabarani Al-mu’jam-ul-awsat, 02 Pg:199, Hadees-1707,
Al-mu’jam-ul-kabir, 06 Pg:10, Hadees-5333,
Ibn Rahawayh Al-musnad, 02 Pg:552, Hadees-1127,
Zayla’i Nasab-ur-rayah, 02 Pg:286,
Suyuti Sharh Ala Sunan-un-nasa’i, 04 Pg:101, Hadees-2055,
Asqalani Al-qawl-ul-musaddad, 01 Pg:81.)

Hadees No: 41
“Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه   Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم  Ke Kisi Sahabi Ne Aik Qabr Par Khaima Lagaaya Unhein Maaloom Na Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Pata Chala Ki Yeh Qabr Hai Aur Us Ke Andar Koi Aadami Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak (Us Sahaabi Ne Suna Ki) Use Padhane Waale Ne (Qabr Ke Andar) Mukammal Soorah Mulk Padhi (Yeh Sun Kar) Woh Sahabi Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم   Ki Khidmat Me Haazir Huwe Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah صلى الله عليه وسلم
Mein Ne (Bhool Kar) Aik Qabr Par Khaima Lagaaya Aur Mujhe Yeh Khayaal Nahin Tha Ki Yeb Qabr Hai Achaanak Suna Ki Aik Aadami Qabr Me Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak Ki Mein Ne Suna Us Ne Mukammal Soorah Mulk Padhi. Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه وسلم  Ne Farmaya :
Yeh (Soorah Mulk Azaabe Qabr Ko) Rokne Waali Hai Aur Azaabe Qabr Se Nizaat Dene Waali Hai.”
رواه الترمزي والبيهقي .
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن .
(Tirmidhi As-sunan, 05 Pg:164, Hadees-2790,
Bayhaqi Shuab-ul-iman, 02 Pg:495, Hadees-2510,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-masabih, 01 Pg:405, Hadees-2153,
Mundhiri At-targhib Wat-tarhib, 02 Pg:247, Hadees-2266,
Ibn Kathir Tafsir-ul-qur’an Al-azeem, 04 Pg:396,
Qurtabi Al-jami’ Li-ahkam-ul-qur’an, 18 Pg:205.)

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*جزاك الله خيرا…*
          Keep Visiting & Sharing:
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ*
*ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ*
*صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ*
*صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم*
*صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Download Our Free Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!