Islamic E-Book

Fiqhe Hanafi Quran Wa Hadees Ki Roshni Me

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Fiqhe Hanafiyat Ko Sabit Karne Wali Be’misal La’jawab KITAAB….
“FIQHE HANFI QURAN O HADEES KA HASIL HAI”
           ~☆Musannif☆~
Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
(Khalifah Huzoor Amine Shariat)

Founder- SUNNI JAMI’ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Allah Rabbul Izzat Ki Beshumar Nemato Me Se Insano Ko Jo Sab Se Aala O Arfa Nemat Ata Ki Gai Wo AQAL Aur Sahi Samajh Hai, Is Nemat Ki Qadr Wahi Jaan Sakta Hai Jise Allah Ki Bargah Se Is Nemat Ka Kuch Hissa Ata Hua Ho, Be AQL Bechara AQAL Ki Qimat Kya Jane?

Aur AQAL O FAHAM Eik Chirag Ki Tarah Hai Jisme Agar Quran O Hadees Ka Khalis Or Pak Tel (Oil) Pada Ho To Phir Insan Quran O Hadees Ke Thos Dalayel Aur Marboot Mazameen Neez Mohkam O Qawi Baraheen Ki Barikiyon Ko Samajh Sakta Hai.
Bewaquf Ya Kachchi AQAL Wala Isse Kya Faydah Utahyga?

Lafz TA’FAQQOH FID DEEN ( تفقه في الدين ) Iska Maana Hai Deen Ki Samajh.
Lafze Tafaqqoh Arbi Me Lafze Fiqah Se Mushtaq (مشتق ) Yani Bana Hai,, Aur FIQAH Ke Maana Hai Samajhna Janna..
Lafze Fiqah Ke Maana Janne Ke Bad Ab Quran O Hadees Se Iski Ahmiyat O Azmat Ko Samajhiye.

Irshade Khudawandi Hai,

AL QURAN.

“وما كان المومنون لينفرو كافة، فلو لا نفر من كل فرقة منهم طائفة… ليتفقهو في الدين ولينذرو قومهم اذا رجعو اليهم لعلهم يحذرون.

Tarjama-

Aur Musalmano Se Ye To Ho Nahi Sakta Ki Sab Ke Sab Niklen, To Kyu Na Ho Unke Har Giroh Me Se Eik Jamat Nikle, Ki Deen Ki Samajh (Fiqah) Hasil Karen, Aur Wapas Aakar Apni Qaum Ko Dar Sunayen Is Ummid Par Ki Wo Bachen.
{Para-11, Ruku-4, Sure Taubah Ayat-122}

Allah Tala Ne Is Ayat Me Lafze Ta’allam Ko Chhod Kar Iski Jagah Tafaqqoh Farmaya, Wajah Iski Ye Hai Ki Deen Ka ILM Padh Lena Kafi Nahi Hai Q Ki Wo To Bahot Se Kafir Yahudi Esai Bhi Padhte Hain, Balki Shaitan To Bahot Bada ILM Wala Tha, To Bajaye Ilm Ke Fiqah Hasil Karo Farmaya.

Jaisa Ki Upar Bataya Gaya Fiqah Ke Maana Deen Ki Sahi Samajh Ke Hai Yani ILM To Ho Lekin Fiqah Wala ILM Ho.

Mazkurah Baala Ayat (Jo Upar Bayan Hui) Ki Tafseer Me Sadrul Afazil Fakhrul Amasil Hazrat Maulana Sayyed Nai’muddin Muradabadi (Khalifah Huzoor Alahazrat Barelvi) Farmate Hain.

“Har Sakhs Ko AALIM Wa FAQEEH Banna Zaroori Nahi, Albatta Jo Chizen Bande Par Farz O Wajib Hai Ya Uske Liye Mana Wa Haram Hai Uska ILM Sikhna Farze Ayen Hai, Aur Usse Ziyadah ILM Sikhna Farze Kifayah Hai, Is Ayat Ka Khulasa Yahi Hai Ki Har Shakhs Par Deen Ka Tamam ILM Sikhna Aur Faqeeh Banna Zaroori Nahi, Haan Baz Log DEEN Ki Gehri Samajh Hasil Karen (Tafaqqoh Fid Deen) Aur Baqi Log Jo Aalim O Faqeeh Na Ho Wo Deen Samajhne Me ULMA O FUQHA Ki Taqleed Kare’n”

Fiqah (Deen Ki Sahi Samajh Aur Uska Ilm) Aur Fuqha (Wo Log Jo ILME Fiqah Jante Hain) Ki Fazilat Quran O Hadees Me Jagah Jagah Aai Hai Eik Hadees Me Huzoor Ka Ye Irshad Maujood Hai,

الحديث. عن ابي هريرة رضي الله عنه قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم، خيا رهم فى الجاهلية خيارهم في الاسلام اذا فقهو

Tarjama-

Jo Log Jahilyat (Islam Lane Se Qabal) Behtareen The Wo Islam Me Bhi Behtareen Honge Agar Wo FIQAH (Deen Ki Sahi Samajh) Hasil Karen.
{Sahi Bukhari, Volume-1, Page-479} 

Is Hadees Me Huzoor Ne Logo Ke Behtar O Afzal Hone Ki Khubi Fiqah Ko Qarar Diya Hai, Agar Isse Badh Kar Koi Khubi Hoti To Huzoor Use Zaroor Zikr Farmate, Lihaza Sabit Hua Huzoor E Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Nadeek Momin Ki Behtareen Khubi Uska FIQAH Ki Sifat Se Mausoof Hona Hai, Iski Eik Daleel Ye Bhi Hai Ki Huzoor Ne Hazrat Abdullah Ibne Abbas Ke Liye Dua Farmai اللهم فقهه في الدين Aye Allah Ise Deen Ka Faqeeh Bana De.
(Sahi Bukhari).

Gair Muqallid Aqal Ke Dushman Direct Muhaddis Banne Ke Chakkar Me Fiqah Se Hath Dho Baithe, In Becharo Ko Fiqah Tafaqqoh Fid Deen Ki Hawa Bhi Nahi Lagi Aur Mohaddiso Mujtahid Ban Baithe.

Imame Azam Abu Hanifah  رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Zindagi Ka Sab Se Bada Karnama Jisse Aap Qayame Qayamat Tak Yaad Kiye Jate Rahenge Wo Hai ILME FIQAH Ki Tadveen (Yani Aapne Fiqah Ko Jama Farmaya) Gair Muqallideen Jo Gali Kuchon Me Bakte Phirte Hain Direct Quran Hadees Padho Na Kisi Imam Ki Zarurat Hai Na Kisi Fiqah (Hanafi/Shafai/Malki/Hambali) Ki Zarurat.

Ye Bechare Kharr Dimag Yatimul AQAL Jante Hi Nahi Fiqah Kehte Hi Hain Quran O Hadees Ki Sahi Samajh Ko.

Fiqah Wo Qanoon Hai Jo Quran O Hadees Ki Roshni Se Hasil Kiya Gaya Hai, Aur Faqeeh (Fiqah Ka Janne Wala) Ne Quran O Hadees Ke Samandar Me Dubki Laga Kar Ke Ye Moti Chune Hain.

ILME FIQAH Aur Fuqhaaye Kiram Ki Fazilat O Azmat Insha’Allahul Azeez Hum Aage Quran O Hadees Ki Roshni Me Bayan Karenge Sare Dast FIQAH Kya Hai Uski Tareef Aur Fiqah Ki Zarurat O Ahmiyat Ko Samajhiye.

“FIQAH KI TAREEF”

الفقه لغة العلم بالشىء ثم خص بعلم الشرعية واصطلاحا عند الاصو ليين العلم بالأحكام الشريعة المكتسب من ادلتها التفصيلية. …..

TARJAMA.

ILME FIQAH LUGAT (Dictionary) Me Kehte Hain Kisi Cheez Ka Daryaft Karna, Phir Urf (Ahle Islam Ki Bol Chal Me) Me Fiqah Makhsoos (Khas) Ho Gaya ILME Shariat Ke Sath, Ahkame Shar’ie O Far’ie Ka Tafsili ILM Jo Dalayel Se Hasil Ho Wo Fiqah Kehlata Hai.
{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-19, Qanoone Hanafi Ki Mash’hoor Kitab}

Ahkame Far’ie Kehte Hain Jinka Ta’alluq Amal Se Ho.

Aur Ahkame Asli (Shar’ie) Wo Hain Jinka Ta’alluq Aqide Se Ho, Ahkame Asli O Far’ie Ke Sabhi Masayel FIQAH Se Maloom Hote Hain Aur FIQAH Ki Bunyad Kya Chizen Hain?

Yani Fiqhi Masayel Jo Ulama Bayan Karte Hain Wo Kahan Se Liye Jate Hain???

Fiqhe Hanafi Ki Mash’hoor Kitab Durre Mukhtar Ke Hawale Se Padhiye.

“FIQAH KI BUNYAD”

واستمداده من الكتاب والسنة والإجماع والقياس

TARJAMA-

Aur Fiqah Me Madad Lee Jati Hai Allah Ki Kitab Aur Huzoor Ki Sunnat Aur Ijma Aur Qayas Se. 
{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-20}

Musalman Hone Ki Haisiyat Se Hame Kya Kaam Karne Hain Aur Kis Se Baaz Rehna Hai In Tamam Bataon Ki Tafaseel Hame ILME Fiqah Se Maloom Hoti Hai.

“FIQAH KA TOPIC”

ومو ضوعة فعل المكلف ثبوتااو سلبا

INSAN Apne Ikhteyar Se Kya Kaam Kare Aur Kisse Ruka Rahe Us Har Kaam Ka Hukm Fiqah Bayan Karti Hai. {Durre Mukhtar, Volume-1, Page-20}

Ab Aap Ne Samajh Liya Hoga ILME FIQAH Hai Kya?

Quran O Hadees Ke Mahir Ulama Jo Behrul Uloom (Uloom Ka Samandar) Hain Jinho Ne Quran Fehmi Aur Hadees Daani Me Apni Umre’n Khapa Dee, Aur Khuda O Rasool Ke Irshadat O Farmudaat Aur Unke Kalam Ki Mansha O Murad Ko Sahi Maano Me Samjha In Ulma Ne Quran O Hadees Ijma O Qayas Ke Zarye Jo Masayel Deen Ke Bayan Farmaye Wahi Fiqhi Masayel Yani ILME FIQAH Kehlate Hain.

Ab Chunki Tamam Ahle Islam 4 Imamo Ki TAQLEED (Pairawi/Itteba) Par Jama Huye To Fiqah 4 Hui.

Aksar Musalman Imam Azam Abu Hanifah Ki Fiqah Ko Follow Karte Hain, Mota’riz (Aiteraz Karne Wala) Puch Sakta Hai Ki Fiqah Ki Sanad Kya Hai???

To Lijiye FIQAH Ki Sanad Bhi Hazir Hai.

“ILME FIQAH KI SANAD”

وقد قالو الفقه زرعه عبدالله بن مسعود رضي الله عنه وسقاه علقمه وحصده ابراهيم النخعي وداسه حماد وطحنه امام ابو حنیفہ وعجنه ابو يوسف وخبزه امام محمد رحمه الله وسائرالناس ياكلون

TARJAMA-

Ulma Ne Farmaya, Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Se Quran O Sunnat Ka Beej Lekar Fiqah Ka Khet Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Boya, Aur Hazrat ALQUMA Ne Use Seencha Aur Hazrat Ibrahim Nakhi Ne Uski Fasal Ko Kata, Aur Hazrat Hammad Ne Anaj Aur Bhusa Ko Alag Kiya, Aur Hazrat Imam Abu Hanifah Ne Usko Peesa, Aur Imam Abu Hanifah Ke Shagird Imam Abu Yusuf Ne Use Goondha Aur Muhammad Bin Hasan Ne Uski Rotiyan Pakai,  Aur Baqi Sab Log Usko Khane Wale Hain.
{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-27} 

Dekhiye Allah Ke Pyare Mehboob Hazrat Muhammad  Mustafa صلى الله تعالى عليه وسلم Se Fiqah Shuru Hui Aur Imam Azam Ke Shagid Imam Muhammad Par Khatm Hui, Yani Hamari Fiqhe Hanafi Haqiqatan Fiqhe Muhammadi Hain Ab Aap Samjhen Jo Hanafi Hoga Wo Laziman Muhammadi Hoga.

Deeni Masayel Me Gehri Soojh Boojh Aur Fikr O Tadabbur Ki Badi Takeed Aai Hai, Quran O Hadees Ke Zaaheri Alfaz Ke Maana Ko Lena Aur Usme Chupe Huye Asrar O Rumooz Se Qate Nazar Karna Ye Khuda O Rasool Ke Farman Ke Mukhalif Hai.

Tafaqqoh Fidd Deen (Deen Me Gaor O Fikr) Yani ILME FIQAH Ki Fazilat Quran Se Samajhiye.

Al-Quran.

قد فصلناالايت لقوم يفقهون

Tarjama-

Beshakh Hum Ne Mufassal (Tafsili) Ayaten (Nishaniyan) Bayan Kar Dee Samajh Walon Ke Liye.
{Para-7, Sure Inam Ayat-98} 

Is Ayat Me Allah Pak Ne Lafze Yafqahoon Jo Fiqah Se Bana Hai Irshad Farmaya, Aur Sath Hi Farmaya Diya Quran Fehmi Ka Malka Fuqha Hi Ko Hai Chunki Wo Kamilul Faham Hote Hain.

Al-Quran-

فمال هؤلاءالقوم لا يكادون يفقهون حديثا

Tarjama-

To Unhe Kya Hua Koi Baat Samajhte Maloom Hi Nahi Hote.
{Para-5, Sure Nisa Ayat-78}

Yani Aqal Wale Wo Hain Jo Allah O Rasool Ke Ahkam O Farameen Aur Nasihaton Ko Mante Hain Aur Yahi Log Faqeeh Hain, Aur Kafir Munafiq Agarche Dunyawi Mamlaat Me Bade Hoshiyar Aur Chalak Hon Magar Deen Ki Samajh Se Mehroom Hone Ki Bina Par Be-Aqal Hain.

Huzoor Nabiye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Aaali Qadr Irshadar Bhi Fuqhaaye Kiram Ke Bare Me Pahiye.

Hadees:

من يردالله خير يفقه في الدين

Allah Ta’ala Jiske Sath Bhalai Ka Iradah Farmata Hai Use Deen Ka Faqeeh (Deen Samajhne Wala) Banata Hai.
{Sahi Bukhari, Volume-1, Page-16} 

Is Hadees Ki Sharah Me Sharahe Bukhari Allama Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Wafat 852 Hijri) Farmate Hain, Is Hadees Me Wazeh Taur Par Aalim Ki Tamam Logo Par Aur ILME FIQAH Ki Tamam Uloom Par Fazilat Bayan Ki Gai Hai. {Fatahul Bari, Sharah Sahihul Bukhari, Volume-1, Page-134}

Hadees-

Hazrat Abu Musa Ash’ari Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas  صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya Allah Tala Ne Mujhe ILM Aur Hidayat Ke Saath Bheja Hai (Akhri Nabi O Rasool Bana Kar) Uski Misal Zordaar Barish Jaisi Hai, Jo Zameen Par Barsi, Kuch Zameen Achchi Hai Jisne Pani Piya Aur Jisse Ghas Aur Sabziyan Khoob Ug Aain, Aur Kuch Zameen Sakht Hai Jisne Pani Jama Kiya Aur Allah Ne Us’se Logo Ko Nafa Diya, Jisse Logon Ne Pani Piya Aur Pilaya Aur Khetiyan Sairab Kee, Aur Zameen Ka Kuch Hissa Wo Hai Jo Chatyal Hai Jisme Na Pani Jama Karne Ki Salahiyat Hai Na Sabza Ugane Ki. Pass Ye Misal Us Shakhs Ke Liye Hai Jise Allah Ne Deen Me Faqeeh Banaya Aur Allah Ne Jo Kuch Mujhe De Kar Bheja Us Sakhs Ne Usse Nafa Uthaya Usne ILM Sikha Aur Dusron Ko Taleem Dee.
{Sahi Muslim, Volume-2, Page-247} 

Is Hadees Me 3 Qisam Ke Logo Ki Misal Zameen Ke 3 Mukhtalif Hisson Se Dee Gai Hai.

Eik Zameen Wo Jo Na Pani Jama Kare Na Uspe Kuch Uge Ye Unki Misal Hai Jo Deen Par Tawajjoh Nahi Dete, Dusra Hissa Wo Jo Pani Jama To Karta Hai Magar Uspe Kuch Ugta Nahi Isse Murad Muhaddiseen Hain Jo Hadise Zubani Yaad To Kar Lete Hain Magar Unme Hadees Se Masla Akhaz Karne Ki Salahiyat Nahi Hoti Chunki Wo ILME FIQAH Nahi Jante.

Zameen Ka 3ra Hissa Wo Jisme Pani Jama Karne Aur Anaj Paida Karne Ki Salahiyat Hai Isse Murad Fuqhaaye Kiram Hain Jo Hadison Ko Hifz Bhi Karte Hain Aur Un Ahadees Se Lakhon Masayel Bhi Nikalte Hain Jo Dusron Ke Liye Hidayat Aur Rehbari Ka Zarya Banti Hai.

Dekhiye Imame Azam Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Fiqah Ki Tadveen Nahje Nabuwwat Par Farmai Aur Qayamat Tak Ke Liye Ulma Fuqha Sulha Muhaddiseen Muajaddideen Aur Tamam Ummate Muslema Par Ehsane Azeem Farmaya.

Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale Aur Logo Ko Fiqah Se Rok Kar Direct Hadis Par Amal Ki Dawat Dene Wale Gair Muqallideen Imam Bukhari Ke Is Qaul Ko Bhi Padhe Jinki Kitab Sahi Bukhari Quran Ke Bad Ruye Zameen Par Sab Se Sahi Kitab Hai Wo Farmate Hain.

IMAM BUKHARI-

عليك بل الفقه فانه ثمرة الحديث

ILME FIQAH KO LAZIM JAAN KYU KI WO HADEES HI KA PHAL HAI.
{AL-HITTA FEE SIHA SITTA, PAGE-78, Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Mush’hoor Gair Muqallid Aalim}

Hazrat Imame Shafai رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hain,

العلم علمان، علم الفقه للأديان وعلم الطب للابدان وما وراء ذلك بلغة مجلس.

Tarjama-

Sikhne Ke Layeq To Bas 2 Hi ILM Hain, Eik ILME FIQAH Jiske Bagair Deen Ke Ahkam Se Na’waqifiyat Reh Jati Hai Dusra ILME TIBB (Doctori} Jisse Insani Sahet Ki Tameer Hoti Hai.

Imam Shafai Ke Is Qaul Ka Ye Matlab Hai Ki 2 ILM Har Shakhs Ke Liye Wajib Ke Darje Me Hain Aur Baqi ILM Kifayat Ke Darje Me, Iska Ye Matlab Nahi Ki Baqi Ke Sare ILM Bekar Hain.

Imame Ahlesunnat Mujaddide Deen O Millat Sayyedna Sarkar Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Farmate Hain,

“2 ILM Aise Hain Jo Allah O Rasool Se Sachchi Aqidat O Muhabbat Ki Bina Par Hasil Hote Hain,

ILME FIQAH Wa Radde Wahabiya.

Ilme Fiqah Se Deeni Mamlaat Sudhare Aur Radde Batil Se Logo Ka Iman Bachaye.

Fuqhaaye Kiram Ki Fazilat Par Ba-Kasrat Ahadees Maujood Hain Chunanchah Eik Riwayat Me Aaya Hai.

Hadees-

Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Kaha Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya Allah Pak Us Shakh Ko Taro Tazah Rakhe Jo Meri Baat (Hadees) Sune Aur Use Yaad Rakhe Aur Use Aage Paohcha De (Ilme Fiqah Ke Janne Wale Ke Pas) Aur Jinke Pas Ye Hadees Paohchaya Ho Sakta Hai Wo Is Hadees Ko Paohchane Wale Se Ziyadah Samajhta Ho. {Mishkatul Masabeeh, Volume-1, Page-35}

Is Hadees Se Sabit Hua Quran O Hadees Ko Samajhne Me Eik Faqeeh Alim Ki Baat Hi Hujjat (Daleel) Hai, Jo Faqeeh Nahi Hai Magar Mohaddis Hai Uski Baat Deen Me Hujjat Nahi.

Allah O Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Hame Fuqha Ke Hawale Kiya.

Imame Azam Abu Hanifah Farmate Hain, Jo Shakhs Sirf Hadisen Jama Karta Aur Un Ahadees Se Masayel Ka Istembat Nahi Kar Sakta Wo Shakhs Aisa Hai Jaise Dawaiyan To Tamam Jama Kar Lee Magar Unka Mehle Istemal Aur Taqriqae Istemal Nahi Janta Jab Tak Tabeeb (Doctor) Ke Pas Na Jaye.

Isi Tarah Mohaddis Hadees Ki Fiqah (Hadis Ki Sahi Samajh Ki Is Hadis Se Kya Masla Niklata Hai Aur Kis Masle Me Ye Hadis Daleel Banegi) Nahi Samajh Sakta Jab Tak Faqeeh Ke Pas Na Jaye.
{AL KHAIRATUL HISAN, Page-57} 

Fuqha Ko Chhod Kar Mohaddiseen Ki Andhi Taqleed Karne Wale Gair Muqallideen Kya Jane Jinki Kitabo Se Hadees Lete Ho Wo Khud Fuqha Ke Mohtaj Aur Muqallid Hain.

Imame Tirmizi Farmate Hain,

كذلك قال الفقهاء وهم بمعانى الحديث

Fuqha Ne Farmaya Ki Wo Hum (Muhaddiseen) Se Ziyadah Hadees Ke Muaani Ko Janne Aur Samajhne Wale Hain. {Jame Tirmizi, Baab Gusle Mayyat}

Misal-

Muhaddis Aur Faqeeh Me Aise Hi Farq Hai Jaise Quran Ke Hafiz Aur Quran Ke Muaffasir Me Hai.

Hafiz Jisne Quran Ratt Liya Magar Na Maana Jane Na Shane Nuzool Samjhe Na Arbi Lugat Se Waqif Na Ayat Ke Nasikho Mansookh Ka Ilm Na Ayat Ki Tafsir Janta Hai Na Us Ayat Se Masla Nikalne Ki Salahiyat Hai Na Nikle Huye Masle Ki Barikyun Ko Janta Hai.

Yahi Wajah Hai Ki Jitne Bade Bade Mohaddis Guzre Sab Ke Sab 4 Imam O Fuqha Me Se Kisi Na Kisi Ke Muqallid Rahe Hain.

Aap Fiqah Ki Choti Se Choti Kitab Utha Kar Dekho Usme Aapko Wazu Gusl Taharat Namaz Nikah Talalq Iddat Hajj O Zakat Ke Tamam Masayel Tafseel Ke Sath Milege, Magar Aap Hadees Ki Badi Se Badi Kitab Utha Kar Dekhiye Bhale Bukhari Hi Utha Lo Usme Aapko 5 WAQT Padhi Jane Wali Namaz Ka Mukammal Tariqa Masayel Ke Saath Hargiz Nahi Milega.

Yani Baigar ILME FIQAH Aur Bagair Fuqha Ke Chara Nahi..

Aap Is Baat Ko Zahen Me Khoob Bitah Le’n Ki ILME FIQAH Ke Masayel Quran Wa Hadees Ijma Aur Qayas Ke Zarye Hi Nikale Jate Hain.

Jo Faqeeh Hota Hai Wo Pehle ILME QURAN Ka Mahir Aur Muhaddis Hota Hai Phir Faqeeh Aur Ye Koi Zaroori Nahi Ki Jo Muhaddis Ho Wo Faqeeh Bhi Hoga Jab Ki Faqeeh Ka Muhaddis (Ilme Hadees Ka Janne Wala) Hona Zaroori Hai.

Amirul Momineen Gaizul Munafiqeen Sayyedna Umar Bin Khattab رضى الله تعالى عنه {Wafat 23hijri} Farmate Hain,

تفقهو قبل ان تسود وقال ابو عبدالله وبعد ان تسود 

Tum Sardar (Amir/ Khalifah/ Imam/ Qazi/ Deeni Peshwa) Banne Se Pehle ILME FIQAH Sikho, Aur Kehte Hain Imam Bukhari Sardar Banne Ke Baad Bhi Isko Sikho.
{Sahi Bukhari, Volume-1, Page-17}

Sharahe Bukhari Allama Hafiz IBNE Hajar Asqalani رحمه الله تعالى Farmate Hain,

“Halal O Haram Ka ILM Aur Unke Masayel To Fuqhaye Kiram Hi Se Hasil Kiye Ja Sakte Hain.
{Fatahul Bari, Volume-9, Page-31}

Allam Ibne Jozi Hambali رحمه الله تعالى Farmate Hain “Hadiso Me Badi Barikiyan Aur Pechidgiyan Hoti Hain Jinko Sirf Wahi Ulma Pehchan Sakte Hain Jo FUQHA Hon, Ye Barikiyan Aur Pechidgiyan To Kabhi Unki Riwayat O Naql Me Hoti Hai Aur Kabhi Unki Muaani O Kashf Me.
{Dafe Shubah At’Tashbeeh, Page-26}

Mash’hoor Muhaddis Hazrat Suleman Bin Mehran Al’Amash {Wafat 148 Hijri} Jo Hafizul Hadees Aur Siqah The Aur Apne Zamane Ke Shaikhul Islam Wo Eik Mauqe Par Farmate Hain,

يا معشرالفقهاءانتم الاطباء ونحن الصيادلة

Tarjama-

Aye FUQHA Ki Jamat Tum Tabeeb Ho Aur Hum Attar.
{Jame Bayanul ILM, Volume-2, Page-131}

Medical Store Me Har Type Ki Dawa Hoti Magar Jo Dawa Farsoh (Attar) Hai, Wo Un Dawaon Ke Mehle Istemal Aur Tariqae Istemal Se Nawaqif Hai Wo In Mamlat Me Doctor Ka Mohtaj Hai, Hazrat Imam Amash Ne Fuqha Ko Doctor Aur Muaddiseen Ko Dawa Farosh Keh Kar Saare Masle Ki Wazahat Hi Kar Dee.

Muhaddis Sirf Hadees Jama Karta Hai Us Hadees Ka Sahi Istemal Usse Masle Ka Istembat Faqeeh Hi Kar Sakta Hai.

Haan Ye Zahen Me Rakhiye Bahot Se Muaddiseen Muhaddis Hone Ke Saath Saath Jayyed Faqeeh Bhi Hain Jaise Imam Bukhari Wo Log Attar Nahi Balki Attar O Tabeeb Bhi Hain.

Allama Abu Bakar Muhammad Bin Musa Hamazani Ash’shafai رحمه الله تعالى {Wafat 584 Hijri} Jo Hafizul Hadees The, 2 Mukhtalif Hadison Me Tatbeeq O Tarjeeh Ki Ujuhaat Bayan Karte Huye Eik Wajah Ye Likhte Hain.

ان يكون رواة الحديثين مع تساويهم فى الحفظ والاتقان فقهاء عارفين باجتناء الاحكام من ثمرات الالفاظ فالاسترواح الى حديث الفقهاء اولى

Tarjama-

2 Hadison Me Se Eik Hadees Ke Rawi Dusri Hadis Ke Rawi Ke Sath Hifz O Itqan Me Barabar Hone Ke ILAWA FUQHA Hon Aur Alfz Ke Mewon Se Ahkam Chunne Ke Mahir Hon To Unki Hadees Ki Taraf Rujoo Karna Aola (Behtar Se Behtar) Hai.
{Kitabul Aitebar, Page-15} 

Dekhiye 2 Alag Alag Hadees Jo Apas Me Takra Rahi Hai To Muhaddisine Kiram Ne Muttafaqa Faisla Farma Diya Agar Eik Hadees Ke Rawiyon Me Fuqha Hon Aur Dusri Hadees Ke Rawiyon Me Fuqha Na Hon To Jo Hadees Fuqhaye Kiram Se Riwayat Ho Kar Aai Amal Uspe Hoga.

Andaza Kijiye 2 Mutazad Hadion Me Tarjeeh Ka Masla Jo Khalis Fanne Hadees Ka Masla Hai Usme Bhi Muahddiseen Ne Fuqha Ka Loha Maana.
(Subhan Allah’hil Kareem)

ILME HADEES Me 2 Chizen Ahem Hain,

1- Hadees Ki Sanad Aur Riwayat.
2- Hadees Ke Maana Aur Darayat.

Hadees Ki Sanad Aur Riwayat Ka Kaam Ummat Ke Muaddiseen Ne Kiya Hai, Jab Ki Maana O Darayat Ka Kaam Ummat Ke FUQHA Ne Anjam Diya Hai.

Ye Baat Zahen Me Rakhiye Fuqha Ko ILME Hadees Par Mukammal Maharat Hoti Hai, Ab Kisi Ke Zahen Me Ye Baat Aa Sakti Hai Ki Fuqha Jab Mahire Hadees Hote Hain To Unki Riwayat (Bayan Ki Hui Hadisen) Kam Kyu Hain???

To Suniye Jo Sirf Muhaddis Hain Faqeeh Nahi Wo Har Type Ki Hadees Likhte Aur Bayan Karte Hain Jaise Qisse Kahaniyan Nasihat Fazayel Jang O Jadal Garaz Ki Har Qism Ki Riwayat Ko Jama Karte Hain.

Jab Ki Wo Muhaddis Jo Faqeeh Bhi Hain Wo Sirf Un Ahadees Se Garaz Rakhte Hain Jinse Kisi Na Kisi Sharie Masle Ka Istembat Hota Hai Yahi Wajah Hai Ki Muhaddiseene Kiram Ke Muqabil Fuqhaye Kiram Ki Riwayat Ki Tadad Kam Hai.

Imam Ahamd Bin Hambal Bade Paye Ke Muhaddis Hain Jinka Ilme Hadis Me Loha Har Zamane Me Mana Gaya Hai Aur Bila Qeel O Qaal Aap Hujjatul Hadees Hain.

4 Imamo Me Yahi Eik Imam Hain Jinki Mujtahidana Aur Faqihana Salahiyat Kam Thi Chunki Aapka Palla Ilme Hadees Me Bhari Hai.

Qazi Ibne Abdul Barr Malki (Wafat 464hijri) Ne Eik Kitab 3 Imamo Ke Fazayel Par Likhi,

“AL INTEQA FI FAZAYELUS SALASATAL AIMMATUL FUQHA” Isme Aapne Imame Azam Abu Hanifah  رحمه الله تعالى Imam Malik رحمه الله تعالى & Imam Shafai رحمه الله تعالى Ke Hi Fazayel Likhe Isme Aapne Imam Ahmad Bin Hambal Ko Chhod Diya.
Allama Tabri Jo Khud Muhaddis O Mujtahid The Unho Me Imam Ahmad Bin Hambal Ka Shumar Mujtahideen Me Nahi Kiya Khair Imam Ahmad Bin Hambal Jo Bade Unche Darhe Ke Muhaddis Aur Ilme Hadis Me Jinka Palla Bhari Tha Unse Eik Shakhs Ne Halal O Haram Ka Eik Masla Pucha Aapne Farmaya Khuda Tujh Par Rahem Kare Kisi Aur Se Puch Usne Kaha Huzoor Masla To Hum Aap Se Hi Puchege Ispar Imam Hambal Ne Irshad Farmaya “Allah Tujhe Salamat Rakhe Masla Fuqhaye Kiram Se Puch Imam Abu Soor Se Puch Wo Faqeeh Hain”
{TARIKHE BAGDADI, Volume-6, Page-66}

Fuqha Ki Har Zamane Me Bartari Tasleem Ki Gai, Quran O Hadees Unki Azmat O Fazilat Ka Bayan Maujood Hai, Ye Jahil Gair Muqallid Chhichhore Chhokre ILM Se Kore Aqal Se Paidal Mardarzad Yatimul AQL Kya Jane Fuqha Ka Maqam O Mansab ??

Qurane Kareem Ke Baad Hadise Pak Ka Jo Maqam O Martaba Hai Wo Kisi Musalman Se Chupa Nahi Hai.

Ye Musalmano Ka Mazhabi Asasa Bhi Hai Aur Deen Ka Madar Bhi Ispe Hai, Isse Dunya Ki Zarurat Bhi Wabista Hai Aur Akhirat Ki Nijat Bhi, Isme Ruhani Amraz Ka Ilaj Bhi Hai Aur Jismani Ka Bhi.

Magar Ahadees Ke Silsile Me 2 Baton Ka Janna Sakht Zaroori Hai Warna Iske Bagair Ahadees Se Istefadah (Faydah Uthana) Na’mumkin Hai.

1- Hai Sanad O Riwayat.
2- Hai Maana O Darayat.

Pehle Chiz Ki Hifazat Muhaddiseen Ne Ki Hai Aur Dusri Ki FUQHA Ne, Jis Tarah Hum Hadees Ke Seht O Zo’af (Sahi O Zaeef) Malum Karne Ke Liye Imam Bukhari Wagera Ke Banaye Huye Usulo Ke Mohtaj Hain Aur Is Silsile Me Unpe Aisa Aitemad Karna Na Shirk Hai Na Bid’at Theek Isi Tarah Hum Hadees Ke Maana O Darayat Me Imam Azam Abu Hanifah Wagera Ke Mohtaj Hain, Phir Bhala Inpe Hadees Ki Sahi Murad Samajhne Me Aitemad Karna Kyu Kar Shirk O Bid’at Hua???

Agar Eik TABQE Ki Mehnat Qabile Sata’ish Hai To Dusre Ki Bhi Layeqe Tehseen O Mustahiqe Aafreen Hai.

Hazrat Shah Abdul Azeez Hanafi Muhaddise Dahelvi (Wafat 1239 Hijri) In Dono Tabqon Ki Zarurat Par Bahes Karte Huye Farmate Hain,

“Isme Zarra Barabar Shak Nahi Ki Sanad Aur Riwayat Ki Hifazat Aur Hadees Ki Sahi Parakh Bhi Deen Ki Badi Khidmat Hai Jiski Jitni Tareef Kee Jaye Kam Hai, Magar Iska Matlab Ye Nahi Ki Fiqah O Darayat Ko Nazar Andaz Kiya Jaye, Aur Agar Gaur Kiya Jaye To Fiqah O Darayat Ka Maqam Aur Ahle Daraya O Fuqha Ka Rutba Sirf Turq O Asaneed Ke Jama Karne Wale (YANI SIRF MUHADDIS JO FAQEEH NA HO) Fiqah O Darayat Se Kore Muhaddiseen Se Bahot Bada Hai.
{Ujalaye Nafe’aa Page-4}

Dekhiye Muhaddiseene Kiram Jo Sirf Hadis Ki Sanad Aur Riwayat Ke Hamil Hai Wo Kisi Lihaz Se Bhi Fuqha Ke Barabar Nahi Ho Sakte, Afsosr Hai Gair Muqallideen Par Jo Bat Bat Me Hadees Ka Hawala Pesh Karte Hain Aur Fiqah Ke Masayel Ka Mazaq Udate Hain In Madarzad Be-Aqlo Ko Pata Hi Nahi Fuqhaye Kiram Ke Bayan Ke Huye Fiqhi Masayel Quran O Hadees Hi Ke Phal Hai Aur Fuqha Muhaddiseen Se Ziyadah Hadees Ke Samjhne Wale Hain.

Imam Ahmad Bin Hambal Jinke Bare Me Pehle Bataya Ja Chuka Hai Ki Aap Fiqah O Ijtehad Me 3no Imam Se Bahot Piche Hain Magar Ilme Hadees Me Aapka Palla Bhari Hai Aap Hafizul Hadees Balki Hujjatul Hadees Hain Aap Se Kisi Ne Masla Pucha To Aapne Farmaya Fuqha Se Pucho.

Imam Subki Eik WAQIYA Naql Karte Hain,

“Muhaddiseen Ki Eik Jamat Baithi Hui Thi Jinme Khususiyat Se Imam Yahya Bin Moin, Abu Hasima, Zaheer Bin Harab, Aur Khalaf Bin Saalim Wagera Maujood The Eik Aurat Jo Murdon Ko Nehlati Thi Usne Aakar Pucha Kya Haiz Wali Aurat Murdah Ko Nehla Sakti Hai Ya Nahi??

Puri Jamat Se Uska Jawab Nahi Ban Pada Utne Me Wahan Se Imam Abu Soor Ka Guzar Hua Sab Ne Kaha Ye Masla Inse Pucho Aurat Ne Pucha To Aapne Farmaya Haan Nehla Sakti Hai Q Ki Eik Khas Mauqe Par Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya Aye Aisha Tera Haiz Tere Hath Me Nahi Hai Aur Ye Bhi Riwayat Me Hai Ki Hazrat Aisha Haiz Ki Halat Me Huzoor Ke Sare AQDAS Par Pani Dala Karti Aur Aapke Baalon Me Maang Nikala Karti Thi, Jab Is Halat Me Zindah Ko Nehla Ja Sakta Hai To Murdon Ko Q Nahi???
Imam Abu Soor Ka Jawab Sunke Sare Muhaddiseen Is Hadees Ki Sanad Aur Turq Par Bahes Karne Lage Aur Kehne Lage Haan Ye Hadis To Falan Se Bhi Marwi Hai Falan Ne Bhi Bayan Ki Hai, Us Aurat Ne Kaha Aye Jamate Muhaddiseen Tum Ab Tak Kahan The?
{At’tabqatul Kubra, Volume-1, Page-229}

Is WAQIYE Se Pata Chala Musalmano Ke Deeni Masayel Ka Hal Sirf Hadees Ki Sanad Aur Riwayat Se Hi Nahi Ho Sakta Uske Liye Fuqahat O Darayat Ki Zarurat Hai, Warna Us Majlis Me Imam Yahaya Bin Moin Jaisa Pukhtakar Muhaddis La’jawab Na Hota Aur Dusri Baat Ye Bhi Maloom Hui Ki Fuqha Ki Azmat Wa Bartari Ko Muhaddiseen Bhi 
Maante Hain Warna Wo Kyu Kehte Ki Imam Abu Soor Faqeeh Se Masla Pucho???

Is Silselawar Mazmoon Se Aap Achchi Tarah Samajh Jaye Nira Muhaddis Bhi Faqeeh Muhaddis Ka Muqallid Hai Aur Fiqah Wo ILM Hai Jo Allah Ki Khas Ata Se Ata Hota Hai Yahi Wajah Hai Ki Bade Bade Muhaddiseen Ne 4 Imamo Me Se Kisi Na Kisi Ki Taqleed Ki Hai Q Ki Ye 4 Imam Sirf Mujtahid O Faqeeh Hi Nahi Balki Ilme Hadees Ke Bhi Mahir The, Haan Inka Ilme Hadees Me Mahir Hona Fuqahat Ke Saath Tha Yanai Maana O Darayat Ke Saath.

Wahabiyon Ke Shaikhul Islam Ibne Taimiyah Hambali (Wafat 728 Hijri) Likhte Hain,

“Imam Ahamd Bin Hambal Ne Farmaya Mujhe Hadees Ki Marifat (Sahi Pehchan) Aur Usme Tafaqqoh (Hadees Me Fiqhi Salahiyat Paida Karna Yani Sanad O Riwayat Ke Sath Mana O Darayat Hasil Karna) Mujhe Sirf Zubani Yaad Karne Se Ziyadah Pasand Hai.
{Minhajus’Sunnah, Volume-4, Page-115}

Huzoor E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ki Sohbate Ba-Barkat Se Faiz Paane Wale Tamam Sahaba Aadil O Rashid Muqattai O Siqah Aur Pakbaz Nek T…Eenat Paaksirat Aur Khuda Parast Buzrug The.

Magar Fehme Quran Aur Tadabbure Hadees Aur Tafaqqoh Fid Deen Me Sab Eik Jaise Nahi The.

Balki Is Lihaz Se Unke Apas Me Mukhtakif Darajaat Aur Maratib The.

Imam Masrooq رحمه الله تعالى (Wafat 63 Hijri) Farmate Hain Mai Ne Sahabae Kiram Se Faize Sohbat Uthaya To Mai Ne Dekha Un Sab Ka ILM Simat Kar 6 Buzrugon Me Aagaya.

Hazrat Umar رضى الله تعالى عنه 
Hazrat Ali رضى الله تعالى عنه
Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله تعالى عنه
Hazrat Muaaz Bin Jabal رضى الله تعالى عنه
Hazrat Abu Darda رضى الله تعالى عنه
Aur
Hazrat Zaid Bin Sabit رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ 

Phir Mai Ne In 6 Hazraat Ki Sohbat Ikhteyar Ki To Dekha In Sab Ka ILM Hazrat Ali Aur Hazrat Abdullah Bin Masood Par Khatam Ho Gaya.
{TAB’QATE IBNE SA’AD, Volume-2, Page-25}

Imame Shabi رحمه الله تعالى(Wafat 103 Hijri) Jo Hafizul Hadees Imam Zamana Faqeeh Aur Alllamtut Tabeen Hain Wo Farmate Hain,

“Sahaba Ki Jamat Me Deeni Masayel Ka Faisla Karne Wale 6 Sahaba The.
Madine Me Hazrat Umar, Hazrat Ubai Bin Ka’ab, Hazrat Zaid Bin Sabit, Aur Koofa Me Hazrat Ali, Hazrat Ibne Masood, Aur Hazrat Abu Moosa Ashari.
{Mustadrik Page-465}

Mash’hoor Gair Muqallid Aalim Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali (Maut 1307 Hijri) Likhte Hain,

“Jin Sahabae Kiram Se Deen ILM Aur Fiqah Khoob Phaila Unme Hazrat Abdullah Bin Masood Hazrat Zaid Bin Sabit Hazrat Abdullah Bin Abbas Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Pesh Pesh The.
(Al’junnah Fil Uswatil Hasanah Bissunnah Page-5)

Imame Shabi ( شعبى ) Jinke Bare Me Kaha Gaya Hadees Me Unse Bada Aalim Koofa Basra Aur Hijaz Me Koi Nahi Tha Imam Muhammad Bin Sireen Kehte Hain Imam Shabi Sahaba Ki Badi Jamat Ke Samne Fatwa Diya Karte The.
Abu Haseen Ka Bayan Hai Mai Ne Imame Shabi Se Bada Faqeeh Kisi Ko Nahi Paya, Allama Zahbi Kehte Hain,
وهو اكبر شيخ لا ابى حنيفة
Imam Shabi Hi Imam Abu Hanifah Ke Bade Ustaz Aur Shaikh The.
{Tazirah, Volume-1, Page-75}

Dekhiye Kis Tarah Silselawar Ilme Fiqah Sinaye Nabuwwat Se Sahaba Ki Jamat Me Muntaqil Hua Aur Sahaba Se Ajalla Tabeen Me Aur Sahaba O Tabeen Se Imam Azam Abu Hanifah Tak Ilme Fiqah Paohcha Aur Phir Isi Fiqah Me Kamal Paida Farma Kar Aur Isme Maharat Hasil Faram Kar Imame Azam Abu Hanifah Ne Iski Tadveen Farmai Aur Qayamat Tak Ke Liye Musalmano Ke Masayel Hal Farmane Ka Rasta Paida Farmaya.

Imam Shabi Farmate Hain,

ما كنت اعرف فقهاء الكو فة الا اصحاب عبدالله بن مسعود

Mai Koofa Me Abdullah Bin Masood Ke Shagirdon Ke Siwa Kisi Ko Faqeeh Nahi Janta (Nahi Samajhta)
{Tazkiratul Huffaz, Volume-1, Page-78}

Hazrat Ali رضى الله تعالى عنه Jab Koofa Tashrif Laye To Dekha Hazrat Abdullah Bin Masood Logo Me Deen Aur Fiqah Ka Jazba Paida Kar Rahe Hain Aur Koofa Ki Masjid Me 400 Ke Qareeb Dawaten Rakhi Hui Hai Jin Se Talba (Students) Masle Likhne Me Masroof Hain To Aapne Khush Ho Kar Farmaya,

لقد ترك ابن ام عبد يعنى ابن مسعود هؤ لاء سراج الكوفه

Abdullah Bin Masood Ne Koofa Ko Roshan Charag Bana Kar Rakha Hai.
{Manaqibe Maufiq, Volume-2, Page-140}

Koofa Ko Hadees Aur Fiqah Se Roshan Charag Sahaba Ne Banaya Usi Koofa Ke Rehne Wale Imame Azam Abu Hanifah Hain.

Imam Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ka Watan Koofa Shaher Hai Jo Iraq Me Waqe Hai, Gair Muqallideen Chunki Imame Azam Se Hasad Rakhte Hain Is Liye Wo Apni Taqrir O Tehrir Me Hamesha Ye Bakwas Karte Hain Ki Imam Azam Ko Kul Hadisen 17 Hi Yaad Thi, Aur Kufa Wale Na Hadees Jante The Na Arbi Zuban Balki Yahan Tak Kehte Hain Kufa Me 2-3 Hi Sahaba Aaye Aur Kufa Ka Daman Quran O Sunnat Ke ILM Se Khali Hai.

Kufa Walo Ki Hadees Me (Jo Unse Riwayat Hui) Noor Nahi Hai Kul Mila Kar Ye Ki Ahle Kufa Hadees Nahi Jante The Bas Qayas Hi Se Masla Bayan Karte The.

Aaiye Hum Tarikh Ke NA’QABILE Tardeed Hawalo Se Inki Is Bakwas Ka ILMI Wa Tehqiqi Jayezah Len.

Hamare Pesh Kardah Hawalo Ko Galat Sabit Karne Walo Ko Muh Manga Inam Tanzeem Ki Janib Se Diya Jayega.

“Koofa Hadees O Fiqah Ka Markaz Kaise Bana”

3re Khalifah Hazrat Usman Gani رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Mazlumana Shahadat Ke Bad Jab Ahle Madina Ne Hazrat ALI رضى الله عنه Ko Khalifahe Rashid Tasleem Kiya To Kuch Aise Halaat Kharab Huye Aur Aisi Musibat O Mushkilaat Ka Samna Karna Pada Ki Hazrat Ne Apna Darul Khilafat Madine Se Muntaqil Kar Ke IRAQ Ke Shaher Koofa Ko Apna Darul Khilafat (Capital) Banaya Aur Aapne Apni Khilafat Ke 4 Saal Koofa Me Guzare Isi Dauran Aapne Koofa Me ILM Ki Ziya Pashiyan Ki Aur Bahot Ahem Shari Faisle Koofa Me Kiye.

Gair Muqallideen Ke Shaikhul Islam Ibne Taimiyah Hambali Likhte Hain,

وانما ظهر على وفقه في الكو فة بحسب مقامه فيها عندهم مدة خلافته 

Yani Hazrat Ali Ka Ilm Aur Unki Fiqah Koofa Me Unki Khilafat Ke Zamane Me Zahir Hui.
{Minhajus’Sunnah, Volume-4, Page-137}

Hazrat Ali رضى الله تعالى عنه Ki Koofa Aamd Se Pehle Bhi Ahle Koofa Quran O Hadees Ka Bahot Ilm Rakhte The Gair Muqallidon Ke Shaikhul Islam Ibne Taimiyah Hambali Likhte Hain “Hazrat Ali Ka Beshtar (Ziyadah Tar) Ilm Koofa Me Hi Raha Magar Ahle Koofa Hazrat Ali To Kya Hazrat Usmane Gani Ke Khalifah Hone Se Bhi Pehle Quran O Sunnat Ka ILM Rakhte The.
{Minhajus’Sunnah, Volume-4, Page-139}

Aur Aage Likhte Hain,

“Jab Hazrat Ali Koofa Tashrif Le Gaye To Unse Qabal Hi Ahle Koofa Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqas Hazrat Abdullah Bin Masood Hazrat Huzaifah Hazrat Ammar Hazrat Abu Moosa Ashari رضوان الله عليهم أجمعينٰ Jinko Hazrat Umar رضى الله تعالى عنه Ne Koofa Bheja Tha, Deen O ILM Hasil Kar Chuke The.
{Minhajus’Sunnah, Jild-4, Page-157}

Aur Padhiye Ibne Taimiyah Ka Hawala,

فان اهل الكوفة التي كانت داره كانوا قد تعلمو الايمان والقران وتفسيره والفقه والسنه عن ابن مسعود وغيره قبل ان يقدم علي على الكوفة 

Ahle Koofa Ne Jo Hazrat Ali Ka Darul Khilafat Tha Hazrat Abdullah Bin Masood Wagera Se Imaan, Quran, Tafseer, Fiqah, Aur Sunnat Ka ILM Hazrat Ali Ke Koofa Aane Se Pehle Hi Sikha Tha.
{Minhajus’Sunnah, Volume-4, Page-143}

In Akabir (Bade) Sahaba Ke ILAWA Bhi Bahot Se Sahaba Iraq Ke Is Ba’Barkat Shaher Koofa Me Tashrif Le Gaye.

Chunanche Imam Haakim رحمه الله تعالى (Wafat 405hijri, Aap Imamul Muhaddiseen The) Bayan Farmate Hain,

“49 Sahaba Aise Hain Jo Koofa Me Tashrif Laye”
{MA’RIFAT ULOOMIL HADEES Page-191}

Allama IBME SA’AD رحمة الله تعالى عليه (Wafat 230hijri, Aap Alhafiz Allama Aur Kasirul Ilm The) Likhte Hain,

“70 Badri Sahaba (Wo Sahaba Jinho Ne Islam Ki Pehli Jang Me Shirkat Ki) Aur 300 Bai’ate Rizwan Me Sharik Hone Wale Sahaba Koofa Me Tashrif La Chuke Hain.
{Tabqate Ibne Sa’ad, Volume-6, Page-4}

Imame Nowi Shafai رحمه الله تعالى (Wafat 676 Hijri, Aap Alhafiz Aur Shaikhul Islam The) Farmate Hain,

وهى دارالفضل ومحل الفضلاء

Koofa Fazilat Ka Ghar Aur Fuzala (Danishwaron) Ka Mahel Hai.
{Share Sahi Muslim, Volume-1, Page-185}

Imam Sufyan Bin Uyeynah (Wafat 19 Hijri, Aap Allama Alhafiz Shaikhul Islam The) Farmate Hain,

“Af’aale Hajj O Manasik Tum Ahle Makkah Se Sikho Aur Qirat Ahle Madinah Se Lekin Halal Aur Haram Ke Masayel Kufiyon Se Sikho Q Ki Jo Fiqah Sikhna Chahta Hai Uske Liye Kufa Hi Hai”
{Manaqibe Sadrul Aimmah, Volume-2, Page-64}

Yaad Rahe Shaher Kufa Sirf Fiqah O Ijtehad Ke Liye Hi Mash’hoor Nahi Tha Balki Wo ILME Hadees Ka Bhi Markaz Tha Imam Muhammad Bin Sireen رحمه الله تعالى (Wafat 110 Hijri Aap Zahid Faqeeh Muhaddis Siqah Aur Fanne Tabeer Ke Jayyed Alim The) Farmate Hain,

قدمت الكوفة وبها اربعة الاف يطلبون الحديث 

Mai Jab Koofa Gaya To Wahan 4000 Talba Hadees Padhne Wale Maujood The.
{Tadribur Rawi, Page-275}

Gair Muqallideen Jinki Andhi Taqleed Karte Hain Aur Baat Baat Me Jinki Kitab Se Hawala Talab Karte Hain Yaani Amirul Momin Fil Hadees Hazrat Imam Bukhari رحمه الله تعالى (Wafat 256 Hijri) Ne Jab Hadees Jama Karne Ke Liye Islami Sheron Ka Safar Kiya To Aap Bar Bar Kufa Aur Bagdad Aaye Wo Khud Farmate Hain,

لا احصى كم دخلت الى الكوفة وبغداد مع المحدثين 

Mai Gin Nahi Sakta Ki Mai Muhaddiseen Ke Sath Kufa Aur Bagdad Kitni Baar Gaya.
{Hadyus Sari Muqadma Fathul Bari, Volume-2, Page-479} 


Is Silsile Me Hum Hawalo Ke Dher Laga Sakte Hain Ki Koofa Fiqah O Hadees Ka Markaz Tha Aur Agar Koofi Riwayaat Ko Nikal Diya Jaye To Phir HADEESO Ke Majme Khatm Ho Jayen.

Pehle Hi Bataya Ja Chuka Hai Ki ILME Fiqah Ka Madaar Quran O Hadees Hai.

Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ka Sab Se Bada Karnama Ye Hai Ki AAPNE ILME FIQAH Ki Tadveen Ki.

Aap Par Gair Muqallideen Ki Janib Se Kammiyate Hadees (Hadis Kam Janna) Ka Ilzam Hai.

Kuch Gair Muqallid Ulma Ka Kehna Hai Imam Sahab 3 Hi Hadees Jante The Koi Kehta Hai 7 Koi Kehta Hai 10 Aur Koi Bahot Maherban Ho Jaye To 17 Hadison Ka Janne Wala Imam Sahab Ko Batata Hai.

Imam Azam Abu Hanifah Ke FIQHI Karname Ko Samajhne Ke Liye Aapke MAQAM ILME HADEES Ko Samajhna Hoga.

Imame Azam Ki Muhaddisana Haisiyat Par Baat Karte Huye Mukhalifeen Ne Tarah Tarah Ki Baten Kahi Hain Jaise Aap Ki Girift Ilme Hadees Par Kamzoor Thi Aap Hadees Ke Hote Huye Masla Qayas Aur Raye Se Bayan Karte Aur Hadees Ki Mukhalifat Karte Aur Ye Hadees Na Janne Ki Bina Par Tha.

Imam Azam Ki Zaat Par Ye Sare Ilzamaat Sarsar Be-Bunyad Hain, Imam Azam Ki ILME HADEES Me Kya Khidmaat Hain Use Samajhne Ke Liye Un Muhaddiseen Ki Suniye Jin Par Imam Azam Ke Mukhalifeen Aur Hasideen Bhi Muttafiq Hain Jinhe Ummat Ne Ba-Taure Muhaddis Qubool Kiya Hai.

Inme Khususiyat Se Hazrat Sufyan Soori, Hazrat Abdullah Bin Mubarak, Hazrat Mis’ar Bin Kidam, Hazrat Yahya Bin Moin,  Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Wagera Shamil Hain.

Mash’hoor Muhaddis Hazrat Mis’ar Bin Kidam رحمه الله تعالى (Wafat 155 Hijri) Bayan Farmate Hain,

طلبت مع ابى حنيفة الحديث فغلبنا واخذنا فى الزهد فبرع علينا وطلبنا معه الفقه فجاء منه ما ترون 

Hum Ne Aur Abu Hanifah Ne Sath Me Hadees Sikhna Shuru Kiya To Wo Hum Se Badh Gaye, Phir Hum Zuhad Me Lage To Wo Phir Aage Nikal Gaye Phir Hum Ne Fiqah Shuru Kee To Usme Unka Kamal Chupa Nahi Hai (Yanai Imam Azam To Fiqah Hi Se Dunya Me Roshan Huye Usme To Unka Hampalla Koi Nahi) 
{Mamaqibe Abi Hanifah,  Page-27, Az- Allama Zahbi}

Gaor Kijiye Choti Ka Muhaddis Aur Siha Sitta Ka Markazi Rawi Kis Shane Sakhawat Se Ilme Hadees Me Imame Azam Ki Bartari Tasleem Kar Raha Hai.

Shaikhul Islam Allama Ibne Abdul Barr Malki  رحمه الله تعالى Farmate Hain,

وروى حماد ابن زيد عن ابى حنيفة احاديث كثيره 

Hammad Ibne Zaid Ne Imam Abu Hanifah Se Bahot Si Hadisen Riwayat Ki Hain.
{Al Inteqa, Page-130} 

Agar Imam Sahab 17 Hi Hadise Jante The To Bahot Hadisen Riwayat Ki Ka Kya Matlab????

Imame Azam Ke Mash’hoor Shagird Imam Makki Bin Ibraheem Hanafi (Wafat 215hijri) Aap Imam Bukhari Ke Ustaz Hain Aur Sahi Bukhari Me Jo 22 Salasiyaat (Bukhari Sharif Ki Sab Se Unchi Aur Aala Riwayaat Jisme Imam Bukhari Se Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Tak Sirf 3 Waste Hain, 
1-Tabe Tabai, 2-Tabai, 3-Sahabi, Aisi Riwayaat Ko Salasilyaat Kaha Jata Hai) Hain Unme Se 11 Riwayaten Ibaram Makki Hanafi Ki Hain, 6 Riwayaten Imam Abu Asim An’nabeel Hanafi Se Hain, 3 Hazrat Muhammad Bin Abdullah Ansari Hanafi Se Hai, 1 Hazrat Khallad Bin Yahya Koofi Hanadi Se Hai, Aur 1 Asim Bin Khalif Alhamsi Hanafi Se Marwi Hai.

Sahi Bukhari Ki Sab Se Unchi Riwayaat Yani Salalsiyaat Jo 22 Hain Unme Se 20 Salasiyaat To Imame Azam Ke Shagirdon Ki Hai Aur Ye Sab Imam Bukhari Ke Ustaz Hain.

Gair Muqallidon Tum Bukhari Ki Dhons Jamate Ho??

Ahmaqo Suno Imam Bukhari Khud Hi Imam Azam Ke Shagirdon Ke Shagird Hain Aur Sahi Bukhari Ki Aala Darje Ki Hadisen Hi Hanfiyon Ki Riwayt Kardah Hai.

Ye To Sahi Bukhari Ki Baat Thi Insha’Allah Aage Hum Batayenge Hadees Ki Aur 5 Sahi Kitabon Me Hanafi Shuyookh (Buzrugon) Ki Kis Qadar Riwayaat Hain.

Sahi Bukhari Me Hazrat Makki Bin Ibraheem Ki 11 Salasiyaat Hain Aur Aapne Imame Azam Ki Bargah Me 10 Saal Reh Kar Ilm Hadees Aur Fiqah Ko Sikha Aur Imame Azam Se Ba-Kasrat Hadise Riwayat Ki.
{Manaqibe Maufiq,  Page-217}

Allama Khateeb Badhdadi Apni Sanad Ke Sath Muhaddis Bishar Bin Moosa Se Riwayat Karte Hain Wo Apne Ustaz Hazrat Imam Abdur’rahman Almuqri Ka Qaul Naql Farmate Hain Ki Mai Ne Imam Abu Hanifah Se 900 Hadisen Suni Aur Jab Wo (Abdur Rahman Almuqri) Hum Se Imam Abu Hanifah Ki Sanad Se Koi Riwayat Bayan Karte To Yun Kehte,

وكان اذا احدث عن ابى حنيفة قال حدثنا شا هنشاه 

Hum Ne Shahenshah (King Of Hadees Imam Abu Hanifah) Se Ye Hadees Suni.
{Tarikhe Bagdad, Volume-13- Page-245} 

Andaza Kijiye Eik Azeem Muhaddis Aur Shaikhul Islam Hamare Imame Azam Ko ILME HADEES Ka Shahenshah Keh Rahe Hain.

Jo Apne Zamane Me ILME HADEES KA Shahenshah Ho Uske Muhadise Azam Aur Hafizul Hadees Hujjatul Hadees Aur Haakimul Hadees Hone Me Koi Shubah Reh Jata Hai?????

Gair Muqallidon Ab Bhi WAQT Hai Tauba Kar Lo Warna Mere Imam Ke Hasid Ko Kafan Naseeb Nahi Hota.

Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ke Maqame ILME Hadees Ki Chand Nazire’n Piche Jo Hum Ne Pesh Ki Is Silsile Me Is Qadar Mawad Hai Agar Likha Jaye To Daftar Ke Daftar Tayyar Hon.

Is Topic Par Chand Shawa’hid Mazeed Pesh Kiye Ja Rahe Hain.

Imam Abdullah Bin Dawood (Wafat 213hijri) Farmate Hain,

يجب على اهل الاسلام ان يد عو الله ابى حنيفة في صلوتهم قال وذكر حفظهزعليهم السنن والفقه 

Musalmano Par Wajib Hai Ki Wo Apni Namazo Me Imam Abu Hanifah Ke Liye Dua Karen, Aur Farmaya Ki Wo Is Liye Ki Unho Ne Sunnat O Hadees Aur Fiqah Ko Musalmano Ke Liye Mehfooz Kiya.
{Al-Badaya Wan Nahaya, Volume-10, Page-107}

Jarah Wa Tadeel Ke Imam Hazrat Yahya Bin Saeed Imam Abu Hanifah Ke Bare Me Farmate Hain,

انه والله لا علم هذه الامة بما جاء عن الله ورسوله 

Allah Ki Qasam Imam Abu Hanifah Is Ummat Me Allah Tala Aur Uske Rasool Se Jo Kuch Waarid Hua Hai Uske Sab Se Bade Aalim Hain.
{Ibne Maja Aur Ilme Hadees, Page-167}

Sochiye Agar Imame Azam Ko Ilme Quran O Hadees Par Kamaal Hasil Na Hota To NAQIDE FANNE RIJAL Aur Muhaddiseen Ke Saron Ke Taj Kabhi Ye Baat Qasam Utha Kar Kehte?

Sharahe Bukhari Hazrat Mulla Ali Qari Imam Muhammad Bin Sama’a Se NAQL Karte Hain Unho Ne Farmaya,

“Imam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ne Apni Tasaneef Me 70 Hazar Se Kuch Upar Hadisen Bayan Ki Hain Aur Unme Se 40 Hazar Ko Chun Kar Kitbul Aasar Ka Intekhab Kiya.
{Manaqib, Jild-2, Page-95} 

Ye Kis Qadr Zulme Azeem Aur Na’insafi Ki Baat Hai Jo Imam Apni Kitabon Me 70 Hazar Se Ziyadah Hadise Likhe Uske Bare Me Kaha Jaye Ki 17 Se Ziyadah Hadees Nahi Jante The.

Allama Ibne Hajar Makki Farmate Hain,

“Allama Zahbi Wagera Ne Imam Abu Hanifah Ko Huffaze Hadees Ke Tabqe Me Likha Hai, Aur Jisne Unke Bare Me Khayal Kiya Ki Wo Hadees Me Kam Shan Rakhte The To Uska Ye Khayal Ya To Tasahul Par Mabni Hai Ya Hasad Par”
{Alkhairat, Page-60}

Imam Abu HANIFAH Akibre Millat Ki Nigah Me Sirf Muhaddis Hi Nahi Balki Hadees Janne Walo Ke Imam Hain.

Magar Dekhiye Unke Bare Me Gair Muqallideen Ki Mash’hoor Kitab Me Ye Ye Kizbe Abyaz (Safed Jhoot) Likha Hai,

“Ye Haqiqat Hai Ki Imam Abu Hanifah Ke Naam Ke Sath Muhaddis Ya Fanne Hadees Ka Imam Baraye Naam Bhi Kutbe Tarikhe Islam Aur Asma’ur Rijal Wa Tabqat Me Kahi Maujood Nahi”
{Nataijut’Taqleed, Page-189}

Dunya Me Dayanat Ka Shayed Isse Ziyadah Kahi Khoon Kiya Gaya Ho Tamam Gair Muqallideen Ne Milkar Khana Saz Meeting Me Faisla Kar Diya Ki Islam Ki Tareekh Me Imam Sahab Ko Mujaddis Ki Haisiyat Se Kahi Yaad Nahi Kiya Gaya.

Ye Tarikhe Islam Bhi Inhi Ke Ghar Ki Bani Hai Jo Upar Se Chali Aarahi Hai Wo Nahi Warna Usme To Sab Me Imam Sahab Ki Hadees Daani Ka Loha Maana Gaya Hai.

Allama Shamsuddin Abu Abdullah Az’zahbi Jo Maslakan Shafai Aur Aiteqadan Hambali The Jo TABQATE RIJAAL AUR NAQIDE FANNE RIWAYAT KE JABALE AZEEM THE Unho Ne Eik Kitab Jo 4 Jildon Me Hai “Tazkiratul Huffaz” Likhi Usme Unho Ne Mustaqil Unwanat Ke Tahet Sirf Unhi Hazraat Ko Shamil Kiya Hai Jo Hafize Hadees The.

Iski Jild-1, Page-158 Par Wo Imame Azam Ko Bhi Huffaze Hadees Ki Saf Me Shamil Karte Huye Likhte Hain,

ابو حنيفة الامام الاعظم فقيه العراق….إلخ 

Zikr Sab Se Bade Imam Ka Jo Faqihe Iraq Hai.

Gair Muqallidon Kuch To Sharam Karo.

Abhi Tak Aapne Andaza Kar Liya Hai Ki Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ka ILME HADEES AUR Fanne Riwayat O Darayat Me Kya Maqam Hai.

Aur Muhaddiseene Kiram Ne Is Fann Ke Silsila Me Imam Sahab Ki Shan Me Kya Tareefi Wa Tausifi Kilimaat Irshad Farmaye Hain,

Magar Intehaai Hairat O Hasrat Ki Baat Hai Ki Iske Bawajood Imame Azam Par Qalilul Hadees (Hadees Kam Janne Wala) Ka Ilzame Be-Bunyad Hai.

Balki Baaz Bad-Bakhton Ne To Aapko Yateem Fil Hadees Ke Laqab Se Yaad Kiya Aur Ye Hawa Udai Gai Ki Imam Sahab 17 Se Ziyadah Hadees Nahi Jante The.

Muhammad Bin Yusuf Salehi Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain,

“Imam Abu Hanifah Bawajood Hafizul Hadees Hone Ke Unki Riwayaat Is Liye Kam Hai Ki Wo Istembate Masayel Me Mashgool Rehte The.
Halaki Imam Shafai Wa Imame Malik Ki Nisbat Unki Riwayaat Kam Hain, Jis Tarah Hazrat Abu Bakar Wa Hazrat Umar رضى الله عنهم Ki Riwayaten Unke ILM O Ittela Ki Nisbat Kam Hain Halaki Unse Kam Martabe Ke Sahaba Se Riwayaten Ziyadah Hai.
{Tanibul Khateeb, Page-156} 

Gaor Kijiye Imam Shafai رحمه الله تعالى Ke Muqallid Imam Hafiz Yusuf Ne Imame Azam Ki Hadison Ko Kam Riwayat Ko Aihtiyaat Bataya Aur Misal Me Hazrat Abu Bakar Wa Hazrat Umar Ka Naam Pesh Kiya Aur Iska Bhi Bar-Mala Elan Farmaya Jaise Ye Dono Sahaba Tamam Sahaba Me Afazal O Aala Hain Imam Sahab Bhi 4ron Imamo Me Sab Se Afzal O Aala Hain.

Mardon Me Sab Pehle Imaan Lane Wale Hazrat Abu Bakar Hain Aur Ta-Hayat Huzoor Ke Sath Rahe Phir Bhi Kis Qadar Kam Hadisen Unse Riwayat Hain Jab Ki Hazrat Abu Hurairah Jo Hijri 7 Me Iman Laye Aur 4 Saal Huzoor Ke Sath Rahe Aur Unki Marwiyat 5374 Hain.
To Kya Ab Keh Diya Jaye Ki Hazrat Abu Hurairah Ka Maqam Hadees Janne Me Hazrat Abu Bakar Se Badh Kar Hai??

Isi Tarah Hazrat Imame Azam Se Agar Riwayaat Kam Marwi Ho To Usse Aapke Hafizul Hadees Hone Ka Inkar Nahi Hota.

Aap Bawajood Hafizul Hadees Hone Ke Istembate Masayel Me Masroof Rahe Is Liye Riwayat Kam Hain.

Aur Pehle Bataya Ja Chuka Hai Ki Imam Sahab Ki Kitabo Me 70 Hazar Hadisen Maujood Hain (Jo Aapne Imla Karwai) Aur Kitabul Aasaar Me Un 70 Hazar Ka Intekhab 40 Hazar Hadise Hain.

Asal Me Hadison Ke Mamle Me Imame Azam Bahot MOHTAT (Aihtiyaat Karne Wale) The Aur Wo Usi Hadees Se Garaz Rakhte The Jisse Masle Ka Istembat Ho Unke Aihtiyaat Ko Samjhne Ke Liye Imame Bukhari Ke Dada Ustaz Hazrat Abdullah Bin Mubarak Ka Ye Qaul Padhiye Wo Farmate Hain Mai Ne Imam Sufyan Bin Soori Se Suna,

كان ابو حنيفة شديد الاخذ للعلم ذابا عن حرم الله ان تستحل يلغذ بما صح من الاحاديث التى كانت يحملها الثقات وبالاخر من فعل رسو ل الله صلى الله تعالى عليه وسلم وبما ادرك عليه علماء الكو فه ثم شنع عليه قوم يغفر الله لنا ولهم 

Imam Abu Hanifah ILM Ke Hasil Karne Me Bade Mohtat Aur Hudoode Ilahi Ki Be-Hurmati Karne Par Behad Mudafiyat Karne Wale The, Aur Wo Sirf Wahi Hadees Lete The Jo Siqah Rawiyon Se Marwi Aur Sahi Hoti Thi.
Aur Huzoor Ke Akhri Fel (Kaam) Ko Liya Karte The Us Fel Ko Jis Par Unho Ne Koofa Ke Ulma Ko Amal Karta Paya Phir Bhi Unpe Eik Qaum Ne Ta’an Kiya Allah Pak Hamari Aur Unki Magfirat Faramaye.
{Al’inteqa Page-142} 

Isse Imam Sufyan Soori Ke Nazdeek Imam Sahab Ka Mohtat Fil Hadees Hona Sabit Hota Hai.

Sirajul Ummah Imame Ahlussunnah Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Koofi رضى الله تعالى عنه Ki Wlidat Hijri-80 Me Koofa Shaher Me Hui.

Ye Wo Zamana Tha Ki Huzoor Pak  صلى الله عليه وسلم Ki Sohabat Yafta Jamat Ke Kuch Buzrug Yaani Sahabae Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Bhi Maujood The.

Kuch Mu’arrikheen Imame Aali Maqam Ka Sanne Wiladat Hijri-61 Batate Hain, Aur Aksar Hijri-70 Batate Hain, Magar Hijri-80 Par To Sab Ka Ittefaq Hai. Baher Haal Imam Sahab Ke Zamane Me Aksar Sahaba Hayaat The Aur Aapne Bahot Se Sahaba Ki Ziyarat Kee.

Is Liye Aap Tabai Hain Yani Wo Khush Naseeb Jisne Ba-Halate Iman Nabi صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Walo Ko Dekha.

Allama Zahbi رحمه الله تعالى Se Manqool Hai,

“Sahi Riwayat Se Sabit Hai Ki Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ne Bachpan Me Hazrat Anas Bin Malik Ka Didar Kiya”
{Al-Khairatul Hassan, Page-73}

Allama Jalauddin Shafai Suyuti Farmate Hain,

“Imam ABU Hanifah رحمه الله تعالى Ne 7 Sahaba Ki Ziyarat Kee”

Khud Imame Aali Maqam Sayydna Imame Azam Abu Hanifah Farmate Hain Mai Ne 7 Sahaba Se Ahadees Suni Hai.
{MANAQIB, Page-60}

Durre Mukhtar Me Hai Ki Imam Sahab Ne 20 Sahaba Ki Ziyarat Ki, Aur Khulasae Akmaal Fi Asma’aur Rijaal Me Likha Hai Aapne 26 Sahaba Ki Ziyarat Kee.
Imame Azam Ke Tabai Hone Me Kisi Ka Koi Ikhtelaf Nahi.

Imam Suyuti, Imam Ibne Hajar Makki, Allama Haskafi رحمهم الله تعالى Farmate Hain,

“Khulasa Ye Ki Imame Azam Tabai Hain Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Is Farman Ke Misdaq Hai”

Hadees-

Meri Ummat Me Sab Se Behtareen Mere Zamane Wale Hain (Sahaba) Phir Unke Bad Wale (Tabaeen) Phir Unke Baad Wale (Tabe Tabaeen).
{Sahi Bukhari & Sahi Muslim}

Hadees-

Us Musalman Ko Aag Na Chhuwegi Jisne Mujhe Dekha Ya Mere Dekhne Walo Ko Dekha.
{Mishkatul Masabeeh}

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Iman Ki Halat Me Dekhne Wala Aur Is Dunya Se Usi Halat Me Jane Wala Sahabi Hai Aur Sahabi Ko Iman Ki Halat Me Dekh Kar Iman Par Dunya Se Jane Wala Tabai Hai Aur Alhamdulliah Imamul Muslimeen Sayyedna Imam Azam Is Sharf Se Musharraf Hain.

Imam Azam Ne Sahaba Ki Ziyarat To Farmai Magar Ilme Deen Sahaba Aur Akabir Tabaeen Se Hasil Farmaya…. Quran O Sunnat Aur Fiqah Ke ILME Me Wo Kamaal Paida Kiya Ki Sab Ne Mukhalif Wa Mawafiq Ne Aapki FUQAHAT Ka Loha Maana.

Imame Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain,

ومن ارادالفقه فهو عيال ابى حنيفة

FIQAH Chahne Wale (Sikhne Wala) Imam Abu Hanifah Ka Mohtaj Hai.
{Al-Inteqa, Page-136}

Aur Farmate Hain,

كان ابو حنيفة وقوله في الفقه مسلماله فيه 

Imam Abu Hanifah Ka Qaul (Baat) Fiqah Me Musallam Hai.
{Al-Inteqa, Page-135}

Neez Imame Shafai Faramate Hain Imam Malik Se Pucha Gaya Kya Aapne Imam Abu Hanifah Ko Dekha?

Aapne Farmaya,

Haan Dekha Hai, Wo Aise Shakhs The Agar Tujh Se Is Sutoon (Samne Ladki Ka Ek Khamba Dikha Kar Bole) Ke Bare Me Kehte Ki Ye Sone (Gold) Ka Hai To Zaroor Apni Hujjat Me Kamyab Rehte.
{Wa Akmaal Fi Asma’aur Rijaal, Page-625}

Bade Bade Aimmah Ne Imam Azam Ki Zahanat O Fatanat Aur Aapke ILM O TAFAQQOH Ka Loha Maana Hai.

Imam Yahya Bin Moin Farmate Hain,

Ulama (Haqiqat Me Ilm Rakhne Wale) To Sirf 4 Hi Hain, Sufyan Soori, Abu Hanifah, Malik, Aur Auzai رحمهم الله تعالى {Al-Badaya Wan Nahaya, Volume -10, Page-116}

Imam Sadrul Aimmat Makki Hanafi Apni Sanad Se Imam Abdur Rahman Bin Mahdi Se Riwayat Karte Hain Unho Ne Farmaya,

“Mai Sirf Naqqale Hadees Tha (Hadis Likhne Wala) Aur Sufyan Soori Ulma Ke Amirul Momineen, Aur Sufyan Bin Uyeynah Amirul Ulama, Aur Shaba Ayyarul Hadees (Hadis Hasil Karne Ke Liye Dorne Wala) Aur Abdullah Bin Mubarak Sarraful Hadees, Aur Yahta Bin Saeed Qaziyul Ulama The”

Aur Farmate Hain,

وابا حنيفة قاضى القضاة العلماء ومن قال لك سوى هذا فارمه في كناسة بنو سليم 

Imam Abu Hanifah To Ulma Ke Qaziyul Quzat The Jo Shakhs Tujhe Iske Alawa Koi Aur Baat Kahe To Tu Use Banu Sulaim Ki Gandagi Phenkne Ki Jagah Phenk.
{Manaqib, Volume-2, Page-25}

Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ki Shane Aqdas Me Ummat Ke Bade Bade Ulma Sufiya Auliya Ratbul Lisan Hain.

Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ke Manaqible Jaleelah Aur Ausafe Hamidah Par Tarikhe Islam Ke Daftar Ke Daftar Bhare Hain.

Mash’hoor Mu’arrikh Muhammad Bin Is’haq Bin Nadeem Farmate Hain,

والعلم برا و بحر وشرقا و غرباوبعد و قربا تدوينه رضى الله عنه 

ILM Behr O Barr (Zameen Aur Pani Me) Mashriq O Magrib (Dunya Ke Eik Kinare Se Dusre Kinare Tak) Qurb O Bu’ad (Door Aur Nazdeek) Jitna Tadveen (Jama) Hua Wo Abu Hanifah Ke Zarye Jama Hua.
{Fehrist IBNE NADEEM, Page-299} 

SUBHAN ALLAH

Mash’hoor Mu’arrikhe Islam Allama Ibne Khuldoon Likhte Hain,

“Fiqah Me Imame Azam Ka Maqam Itna Baland Hai Ki Koi Dusra Unki Nazeer (Tarah) Nahi Ho Sakta Unke Zamane Ke Ulma Ne Unki Is Faizilat Ka IQRAR Kiya Khususan Imam Malik Aur Imam Shafai Ne”
{Muqdma, Page-447}

Sayyedna Imam Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain,

من اراد ان يعرفاد الفقه فليلزم ابا حنيفة وأصحابه فان الناس كلهم عيال عليه في الفقه 

Jo Shakhs Fiqah (Deen Ki Sahi Samajh) Sikhna Chahta Hai Wo Abu Hanifah Aur Unke Shagirdon Ke NAQSHE Qadam Par Chale Q Ki Tamam Log ILME FIQAH Me Imam Sahab Ke Baal Bachche Hain.
{Tarikhe Bagdad, Volume-13, Page-346}

Imam Yazeed Bin Haroon رحمه الله تعالى 
(Wafat 206-Hijri, Aap Hafizul Hadees Aur Shaikhul Islam The, Bade Aabid O Zahid, 40 Saal Ke Arse Se Ziyadah Tak Isha Ki Azan Se Fajr Ki Namaz Padhi, Tazkiratul Huffaz, V-1, P-292} Se Kisi Ne Sawal Kiya Imam Abu Hanifah Ki Kitabe Dekhni Chahiye Ya Nahi?

Farmaya,

انظروا فيها ان كنتم ترويدون ان تفقهوا فانى ما رأيت احد امن الفقهاء يكره النظر في قوله 

Agar Tum FIQAH Hasil Karna Chahte Ho To Unki Kitabon Ko Zaroor Dekho Kyu Ki Mai Ne FUQHA Me Se Kisi Eik Ko Bhi Aisa Nahi Paya Jo Unke Qaul Ko Dekhna Pasand Na Karta Ho.
{Tarikhe Bagdad, Volume-13, Page-342}

Ilme Hadis Me Imame Bukhari Ke Dada Ustaz Hazrat Abdullah Bin Mubarak Ke Samne Kisi Ne Imam Abu Hanifah Ko Bura Kaha To Aap Shere Babar Ki Tarah Garajte Huye Bole.

Afsos Tu Us Shakhs Ke Bare Me Bura Kehta Hai Jisne 45 Saal Tak 5won Namaze Eik Hi Wazu Se Padhi, Aur Jo Raat Ko Pura Quran 2 Rakaton Me Khatm Karta Raha Aur Phir Farmaya,

وتعلمت الفقه الذى عندي من ابى حنيفة

Mai Ne Jo FIQAH Ka ILM Sikha Hai Wo To Abu Hanifah Hi Se Sikha Hai.
{Manaqib, Jild-1, Page-236}

Allama Tarihul Hanafi (Wafat Hijri-586} Farmate Hain,

Agar Allah ﷻ Ke Nazdeek Abu Hanifah Ka Khas Maqam Na Hota To Aadhi Ummat Unki TAQLEED Par Kabhi Jama Na Hoti.
{Majma, Jild-3, Page-547}

Imam Azam Se Hasad Karne Walo Thande Dimag Se Socho Aalame Islam Me Sab Se Ziyadah Muqallid Kis Imam Ke Hain?

Bila Shubah Imame Azam Ke Hain.

Is Hindustan Me Islam Lane Wale (Mehmood Gaznawi) Hanafi Hai, Ilme Hadees Lane Wale (Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi) Hanafi Hain, Islam Phailane Wale (Huzoor Gareeb Nawaz) Hanafi.

Aur ISLAM Ko Bachane Wale Hazrat Mujaddide Alfe Sani, Hazrat Aurangzeb Alamgeer, Hazrat Shah Abdul Azeez Dahelvi, Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Ye Sab Ke Sab Hanafi Hain.

Tum Kya Imame Azam Ki Shan Jante Ho?

Unki TAQLEED Ka Patta Gale Me Daal Kar Log Maqame Guasiyat O Qutbiyat Ko Paohche Aur Unse Hasad O Bughz Rakh Kar Jahannam Me.

Hazrat Shah Waliullah Muhaddise Dahelvi Farmate Hain,

Huzoor ﷺ Ke Zaman Me Ahkam Ki Qisme Nahi Thi, Huzoor ﷺ Sahaba Ke Samne Wazu Karte Aur Aap  ﷺ Unhe Nahi Batate Ki Isme Kansa Amal Wajib Tha Aur Kaunsa Mustahib, Sahaba Aapko Dekh Kar Isi Tarah Wazu Karte Namaz Ka Bhi Yahi Haal Tha Sahaba Farz O Wajib Ki Tafseel Me Nahi Jate Jis Tarah Huzoor ﷺ  Ko Padhta Dekhte Khud Bhi Padhte.
Ibne Abbas رضى الله عنهما Kehte Hain Mai Ne Huzoor ﷺ Ke As’haab Se Badh Kar Kisi Qaum Ko Nahi Dekha Lekin Unho Ne Bhi Huzoor Ki Zindagi Me 13 Maslo Se Ziyadah Nahi Puche Jo Sab Ke Sab Quran Me Maujood Hai.
Huzoor ﷺ Ke Wisale Zaheri Ke Bad Islami Saltanat Ka Dayrah Badhta Gaya Waqiyat Is Kasrat Se Pesh Aaye Ki Ijmali Ahkam Ki Tafseel Ki Taraf Tawajjoh Karni Padi.
Masa’lan Eik Shakhs Ne Namaz Me Koi Amal Chhod Diya Ab Bahes Ye Pesh Aai Ki Namaz Hui Ya Nahi Jo Amal Chhuta Wo Farz Tha Ya Wajib Ya Sunnat Ya Mustahab Is Liye Sahaba Ko Tafreeq Karni Padi Namaz Me Kitne Farz Hain Kitne Wajibaat Aur Kitne Masnoon Hain Aur Kitne Mustahibbat.
In Tamam Kamo Ke Beech Sahaba Ka Apas Me Ikhtelaaf Hua Aur Aksar Maslo Me Sahaba Ki Raaye Eik Dusre Se Mukhalif Hui.
Bahot Se Aise Waqiyat Pesh Aaye Jinka Asar Huzoor ﷺ Ke Zamane Me Nahi Paya Gaya Tha. Sahaba Ko In Surton Me Istembat Aur Qayas Se Kaam Lena Pada (Chunki Wo Masle Quran O Hadis Me Maujood Nahi The Aur Agar The Bhi To Hukm Wazeh Nahi Tha) Is Zamane Me Sahaba Me Ikhtelaf Paida Huye. Garaz Sahaba Ke Zamane Me Hi In Masayel Ka Daftar Ban Gaya Magar Tariqe Juda Juda The.
{Siratun Noman, Page-219}

Sahaba Ki Jamat Me Jin Logon Ne Ijtehad Or Istembat Se Kaam Liya Unme 4 Buzrug Bahot Mash’hoor Huye.,

Hazrat Umar, Hazrat Ali, Aur Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas,  رضوان الله عليهم أجمعين Inme Se Hazrat Abdullah Bin Masood Koofa Shaher Me Rahe Aur Ba-Qaydah Fiqah Wa Hadees Ki Taleem Dete The.

Unke Pas Bahot Se Talamezah (Students) Ka Majma Rehta Tha.

Unke Shagirdon Me Mash’hoor Log Ye Huye,

Hazrat Aswad, Hazrat Ubaidah, Hazrat Alquma,  & Hazrat Haaris.

Hazrat Alquma Aur Aswad Ke Inteqal Ke Bad Koofa Me Hazrat Abdullah Bin Masood Ki Masnade Hadees O Fiqah Par Unke Janasheen Ki Haisiyat Se Hazrat Ibraheem Nakhi Baithe Unho Ne ILME Fiqah Ko Bahot Phailaya Yahan Tak Ki Unhe “FAQIHUL IRAQ” Ka LAQAB Mila.

Imam Shabi Jinka Laqab “Allamatut Tabaeen” Hai Wo Ibraheem Nakhi Ki Wafat Par Kehte Hain Nakhi Se Bada Alim Aur Faqeeh Koi Nahi Tha Na Hasan Basri Na Ibne Sireen Aur Basra Koofa Sham Aur Hijaz Me Unse Bada Koi Alim Nahi Tha.

Hazrat Ibraheem Nakhi Ke Zamane Me Fiqah Ke Masayel Ka Eik Mukhtasar Se Majmua Tayyar Hua Jo Hadise Rasool ﷺ Aur Hazrat Ali & Hazrat Ibne Masood Ke Aqwal Se Bataye Gaye Fatwo Par Mushtamil Tha.

Hazrat Ibraheem Nakhi Ke Wisal Ke Bad Ye Masnad Unke Khas Shagird Aur Hamare Hazrat Imam Abu Hanifah Ke Ustaz Hazrat Hammad Ko Mili Aur Jab Hazrat Hammad Ka Inteqal Hijri-120 Me Hua To Is Masnad (Gaddi) Par Imame Aali Maqam Imame Azam Sirajul Ummah Hazrat Noman Bin Sabit Koofi رضى الله تعالى عنه Ko Bithaya Gaya.
{Ainahe Fiqhe Hanfi, Volume-1, Page-15}

Dekhiye Kis Tarah Allah Ke Pyare Mehmoob  ﷺ Ke Noore Ilm Se Sahaba Roshan Huye Aur Tamam Sahaba Ka Faizan Aur Huzoor ﷺ Ke Ilme Pak Ki Ziya Lekar Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Koofa Me Ilme QURAN HADEES TAFSEER AUR FIQAH Ka Charag Roshan Kiya Aur Unki Is Gaddi Par Jaanasheen Ki Hasiyat Se Imame Azam Ko Bithaya Gaya.

Imame Azam Abu Hanifah Ko Fiqah Ki Tadveen (Jama Karne Ka) Ka Khayal Kyu Aaya?

Tarikh Ke Mutale Se Malum Hota Hai Jab Aapke Ustaz Hazrat Hammad Ne Hijri-120 Me Wafat Paai Aur Phir Unki Jagah Imame Azam Masnad Par Jalwa Afroz Huye To Ye Wo Zamana Tha Jab Ibadaat Aur Mamlaat Ke Muta’alliq Waqiyat Kasrat Se Paida Hote Ja Rahe The Aur Qanune Shari’at Ka Jo Majmua Aapse Pehle Murattab Kiya Gaya Tha Wo Aapke Zamane Aur Aindah Zamane Ke Liye Kafi Nahi Tha.

Aapki Bargah Me Rozana Saikdon Sawal Door Door Se Aate.

Aur Aap Dekh Rahe The Ki Qazi Aur Hukkam (Judges) Faislon Me Aksar Galtiyan Karte Inhi Saari Ujoohat Aur Masayel Ke Peshe Nazar Imame Azam Ke Dil Me Is Khayal Ne Zor Padka Ki Kyu Na Ba-Qaydah In Juzyaat Ko Usool Ke Sath Tarteeb De Kar ILME Fiqah Ki Tadveen Ki Jaye Aur Hamesha Ke Liye Ulma Aur Fuqha Quzat Aur Hukkam Ko Islami Shariat Ke MUTABIQ Logo Ke Deeni Wa Dunyawi Masle Hal Karne Ke Liye Eik Dastoor Tayyar Kiya Jaye.

Taki Har Zamane Ke Log Iski Roshni Me Ba-Asani Faisla Kar Saken.

Imam Azam Ne Usoole Ilme Fiqah Bana Kar Phir ILME FIQAH Se Musalmano Ke Tamam Deeni Masayel Wazeh Aur Shaffaf Tariqe Se Likhwa Diya Is Azeem Karname Ki Wajah Se Ummat Ikhtelaf Aur Inteshar Se Bach Gai Jo Ikhtelaf Nazaryaat Ka Hazrat Abu Bakar Se Shuru Ho Kar 1 Sadi Tak Musalmano Me Raha Wo Khatm Ho Gaya.

Imame Shafai رحمه الله تعالى Ke Shagird Imam Muzni Farmate Hain,

ابو حنيفة اول من دون علم الفقه وافرده با التاليف من بين الأحاديث النبوية وبوبه فبدء بالطهارة ثم بالصلوة ثم باالسائر العبادات ثم المعاملات الى ان ختم الكتاب بالمواريث وقفاه في ذلك مالك بن انس وقفاه ابن جريج وهشيم

Imam Abu Hanifah Wo Pehle Hain Jinho Ne ILME Fiqah Ki Tadveen Ki, Ahadise Nabiyah ﷺ Ke Darmiyan FIQAH Ki Mustaqil Kitab Likhi (Isse Phele Log Sirf Hadis Jama Karte Aur Hadis Ki Kitab Likhte, Magar Imam Sahab Ne Un Hadiso Me Gaur O Fikr Kar Ke Zamane Ke Masayel Hal Farmaye) Imam Abu Hanifah Ne Iski Shuru’at Taharat Ke Masayel Se Ki Phir Namaz Phir Hajjo Zakat Aur Dusri Ibadat Ke Tama Tafsili Masle Bayan Kiye Aur Phir Mamlaat (Nikah Talaq Iddat Tijarat Eik Dusre Ke Kya Huqooq Hain) Ke Masayel Likhe Aur Use Kitabul Fara’iz (Miras K Masle) Par Khatm Ki.
Unke Bad Imam Malik Aur Unke Bad Jurej Aur Hisham Ne Is Maidan Me Kaam Kiya.
{Tarikhe Fiqh, Page-16}

Fiqah Ki Tadveen Se Pehle Is Masle Par Bahes Hui Ki Is Majlis Ko (Jo Fiqah Ka Qanoon Banayegi) Kaha Qayam Kiya Jaye?

Bahot Gaor O Fikr Ke Bad Koofa Shaher Ko Tarjeeh Dee Gai.

Kyu Ki Koofa Is Kaam Ke Liye Sab Se Ziyadah Behtar Jagah Thi.

Wahan Arbi Wa Ajmi Tehziben Maujood Thin, Tarah Tarah Ke Masayel Wahan Aaye Din Uthte Rehte The.

Iske Ilawa Arab Ke Dusre Shehron Ki Tehzeeb Khalis Arbi Thi.

Eik Qanoon Saaz (Roles Banane Wala) Ke Liye Zaroori Hai Ki Wo Dunya Ki Tamam Tehzibon Ka Ba-Gaor Mutala Kre Aur Unse Paida Hone Wale Masayel Aur Zaruriyaat Aur Hajaton Ko Nazar Andaz Na Kare.

Jagah To Achchi Mili Ab Is Majlis Ke Members Is Layeq Talshe Gaye Aur Eik Majlise Shura (Parliament) Banai Gai Jo Dar Asal Majlise Mubahesa Thi.

Jaha New New Masayel Par Quran O Sunnat Aur AQWALE Sahba Ke Gawwas Afraad Jo Darjae Ijtehad Ko Paohche Huye The Behso Mobahesa Karte.

Allama Mofiq رحمه الله تعالى Farmate Hain,

فوضع ابو حنيفة مذهبه شورى بينهم لم يستبد فيه بنفسه دونهم

Imam Sahab Ne Apne Mazhab (Mazhabe Hanafi) Ko Shura Par Rakha (Raye Mashware Par, Ye Nahi Ki Khud Hi Qanoon Banaya) Aur Majlis Se Kat Kar Fiqah Ko Sirf Apni Zaat Par Maoqoof Nahi Rakha.
{Almakki, Volume-2, Page-133}

Tadveene Fiqah Ke Liye Koofa Shaher Ke Inktekhab Ke Bad Majlise Shuraa Ki Tashkeel Ka Marhala Tha Chunanche Imam Sahab Ne Apne Hazzaron Shagirdon Me Se 40 Mahireene Fann Ko Chuna.

Imam Tahavi Farmate Hain,

Is Majlis Ke Arkaeen (Jo Ilme Fiqah Ke Usool Banane Wale The) Ki Tadad 40 Thi, Ye Sab Ke Sab Hazraat Darjaye Ijtehad Ko Pohche Huye The.

In 40 Hazraat Me Se 12 Logon Ko Lekar Eik Aur Khususi Majlis Banai Gai Jiske Rukn Khud Imame Azam Bhi The.

Majlise Tadveene Fiqah Ke Muta’alliq Mash’hoor Muhaddis Wakee Bin Jarrah Farmate Hain.

“Imam ABU Hanifah رحمه الله تعالى Se Kaise Galti Ho Sakti Hai? Jab Ki Unke Sath Qayas Wa Ijtehad Ke Mahir Imam Yusuf Aur Imam Muhammad The. Aur Ilme Hadees Ke Mahireen Habban Yahya Bin Zakarya Aur Hafas Bin Gayas Maujood The. Aur Arbi Zuban Ke Mahir Qasim Bin Mo’an The. Taqwa Parhezgari Rakhne Walo Me Dawood Bin Naseer Taai Fuzail Bin Ayaz The. Jiske Sath Itne Aur Aise Log Hon Wo Galti Kaise Kar Sakta Hai?
Aur Agar Kare Bhi To Ye Log Haq Ki Taraf Pherne Wale The.
{Jami’ul Masaneed, Page-33}

Fiqhe Hanafi Ko Galat Kehne Walo Is Fiqah Ke Masayel Ka Mazaq Udane Walo Hanafi Mazhab Ko Sunnat Ke Khilaf Batane Walo Dekho Imame Azam Ne Tadveene Fiqah Ke Waqt Apne Zamane Ke 40 Anmol Hiron Ko Chuna Aur Unse QANOON SAZI Kee. Un Mahireene Funoon Ke Mashwaron Se Quran O Sunnat Ki Roshni Me Islami Ibadaat Aur Mamlaat Ke Masayel Akhaz Kiye Gaye.

Islami Dastoor (Qanoon) Ka Ye Silsila Hijri-121 Me Shuru Hua Aur Imam Sahab Ke Jel Me Qaid Hone Tak Chalta Raha.

Jo Jo Masle Hal Hote Uhne Kitab Ki Shakl Me Faoran Chap Diya Jata.
Jo “Kutbe Fiqhe Abi Hanifah” Ke Naam Se Chapte.

Shibli Nomani Likhte Hain,

IMAM ABU HANIFAH رحمه الله تعالى Ne Jis Qadar Masayel Mudawwin Kiye Unki Tadad 12 Lakh 90 Hazar Se Ziyadah Thi, Imam Muhammad Ki Jo Kitaben Aaj Maujood Hain Unse Uski Tasdeeq Ho Sakti Hai.
{Siratun Noman, Page-109} 

Imam Abu Hanifah Ne Masayel Ke Istembat (Masla Ke Hal Kaise Aur Kahan Se Nikala Jaye) Ka Ye Tariqa Muqarrar Kiya Ki Pehle Qurane Kareem Me Masle Ka Hal Talasha Jaye, Phir Ahadise Nabiyah ﷺ Me, Wahan Bhi Na Mile To Sahaba Ke AQWAL Se, Wahan Bhi Na Mile To Phir Qayas Kiya Jaye Aur Ye Qayas Apne Zamane Ke Sab Se Bade Alim Ka Qayas Hota Tha Aur Tamam Mujtahideen O Muhaddiseen Ke Rubaru Hota, Gair Muqallideen Ka Ye Kehna Fiqhe Hanafi Ke Masayel Sirf Qayasi Hai Quran O Sunnat Se Nahi Ye Unki Junoon Ki Boli Hai Jo Unki Kamiyate AQAL Par Dalalat Karti Hai.

Hamare Imam Sahab To Pehle Kitabullah Phir Ahadees Phir Aqwale Sahaba Ko Tarjeeh Dete Agar Isme Se Kahi Hal Na Milta Tab Aap Qayas Farmate.

Kya Gair Muqallideen Waqai Apne Tamam Deeni Masle Sirf Quran Or Hadees Se Hi Hal Karte Hain?

Aur Aaj Ke Zamane Ke Masayel Jab Unke Manne Chahne Wale Apne Mulla Se Puchte Hain To Kya Ye Log Sirf Quran O Hadees Se Hi In Masayel Ka Hal Nikalte Hain?
Qayas Nahi Karte?

Gair Muqallideen Hame Bas 2 Hi Maslo Ka Hal Quran O Hadees Se Batayen,

Bhains Khana Halal Hai Kahan Likha Hai?
Quran Hadees Se Jawab Den.

Kutta Khana Haram Hai Iska Jawab Quran Hadees Se Den Qayas Na Kare’n.

Masla Hal Karne Par Insha’allah Faqeer Kaleem Razvi Muh Manga Inam Dega.

Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Jab Iska Jawab Ye Quran O Hadees Se De Payen.

Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ne Tadveene Fiqah Ke Liye 40 Afrad Par Mushtamil Jo Majlis Qayam Ki Thi Wo Sab Ke Sab Imam Sahab Ke Talamezah (Students) The, Jinki Imam Sahab Ne Apne Madarse Me Saalha Saal Tak Me Tarbiyat Ki Thi.

Aur Unhe Qanooni Masayel Sochne ILMI Tarz Par Tehqeeqat Karne Aur Dalayel Se Nata’ij Ka Istembat Karne Ki Tarbiyat Dee Thi. Inme Se Har Ek Imam Sahab Ke ILAWA Bhi Us Zamane Ke Bade Bade Ulma Se Quran Hadees Fiqah Aur Lugat ILME Naho Adab Tarikh (History) Ki Taleem Hasil Kar Chuka Tha.

Masa’lan Kisi Ko Qayas O Ijtehad Me Aala Maqam Hasil Tha To Kisi Ke Pas Ahadees Aur Sahaba Ke Fatawe Mujood The Kisi Ko Tafseer Me Maharat Thi To Kisi Ko Quzat Ki Malumaat Thi.

Imam Sahab Ke Ye Sab Shagird Kis Maqam Ke The Khud Imam Sahab Se Suniye,

يقول هؤلاء ستة وثلاثون رجلا منهم ثمانية وعشرون يصلحون للقضاء،  وستة يصلحون للفتوى واثنان ابو يوسف وزفر يصلحان لتاديب القضاء وارباب الفتوى 

Ye 36 Aadmi Hain Inme 28 Qazi Hone Ke Layeq Aur 6 Fatwa Dene Ki Salahiyat Rakhte Hain, Aur 2 Yusuf Aur Zufar Is Layeq Hain Ki Qazi Aur Mufti Paida Kar Sake.
{Al-Makki, Volume-2, Page-246}

Ibne Bazaz Alkurdi Farmate Hain,

Unke Shagird (Imam Sahab Ke Students) Eik Masle Par Dil Khol Kar Bahes Karte, Aur Har Fann Ke Nuqta Nazar Se Guftagu Karte Is Dauran Imam Sahab Khamoshi Se Unki Taqriren Sunte, Phir Us Masle Par Imam Sahab Apni Taqrir Shuru Karte To Majlis Par Aisa Sukoot Hota Goya Koi Baitha Hi Na Ho.
{Al-Kurdi, Volume-2, Page-108}

Amirul Momineen Fil Hadees Hazrat Abdullah Bin Mubarak رحمه الله تعالى Farmate Hain,

Mai Subah O Sham Hazrat Ki Mehfil Me Jata, Eik Martaba Maslaye Haiz Par Musalsal 3 Din Bahes Hui, 3re Din Sham Me Jab Allahu Akbar Ki Awaz Suni To Pata Chala Is Masle Ka Faisla Ho Gaya.
{Al-Makki, Volume-2, Page-54}

22 Saal Tak Raat O Din Ki Kadi Mehnat Ke Baad Ummat Ke Samne Qayamat Tak Ka Mukammal Dastoor Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zota Koofi رضى الله تعالى عنهم Aur Unke Layeq Wa Fayeq Shagirdon Ki Koshisho Kawisho Ka Samrah Aaya Jo 83000 Masayel Ka Majmua Tha, Jisme 38000 Masayel Sirf Ibadaat Ke Muta’alliq The Aur 45000 Ka Ta’alluq Mamlaat (Business & Relationship Etc) Aur UQOOBAAT (Punishment) Se Tha.

Imam Azam Ne Har Masle Ko Abwab Aur Faslo Ke Tahet Bayan Farmaya.

Taharat Wazu Gusl Namaz Namaze Eidan Wa Juma Musafir Ki Namaz, Namaze Janaza, Nikah Talaq Iddat, Zakat Roza Hajj, Umrah, Sadqat Garaz Ki Har Ibadat Ki Puri Tafseel Puri Tehqeeq Bayan Farmai Aur Aur Insan Ki Dunyawi Zaruriyaat Ke Bhi Jumla Masayel Karobar Siyasat (Political System) Jaydad Ki Taqseem Jurm Aur Uski Saza Ka Qanoon National & International Law (Qanoon) Diwani Fojdari Qanoon Shahdahat Zabtaye Adalat & Qazi (Judges) Ki Zimmedariyan Garaz Ki Aur Koi Shoba (Department) Imame Azam Abu Hanifah رحمه الله تعالى Ne Nahi Chhoda Jisme Kaam Na Kiya Ho.

Quran Hadees Aqwal Sahaba Ki Roshni Me Imame Azam Ne Deen E Islam Ka Eik Mukamal Law Dunya Ke Samne Pesh Kiya Jiska Badla Unhe Siwaye Allah ﷻ Ke Koi Nahi De Sakta.

Aaj Hamara Koi Masla Ho Hum Mufti Se Puche Wo Mufti Alim Fiqah Ki Kitab Dekh Kar Faoran Masle Ko Hal Kar Deta Hai.
Agar Ye Fiqah Na Hoti To?

Fiqah Hanafi Kya Ha?

Ye Dunya Ke Har Musalman Ki Zarurat Ko Kaise Puri Karta Hai Dekhna Hai To In Kitabo Ko Dekho,

Hadaya, Durre Mukhtar, Alamgiri, Fatawa Razviya, Bahar E Shariat Etc, Iski Misalen Hain.

Allah ﷻ Ka Irshad Hai,

“Aur Unka Kaam Unke Apas Ke Mashware Se Hai”
{Para-25, Sure Shura Ayat-38}

Ye Sahaba Ke Bare Me Farmaya Gaya Ki Wo Apas Ke Kaam Mashware Se Karte Hain,

Hadees:

Huzoor Aqdas ﷺ Ka Irshad Hai,

Jis Masle Me Quran O Sunnat Ka Wazeh Hukm Na Ho Usme Tum Ibadat Guzar Fuqha Se Mashwara Kiya Karo Aur Kisi Eik Ki Raye Par Mat Chalo.
{Majmauz Zawaid, Babul Ijma}

Quran Wa Hadees Ki Pairwai (Itteba/Taqleed) Karte Huye Hamare Hazrat Imame Azam Ne 40 Jayyed Fuqha Ki Majlis Qayam Ki Aur Unke Zarye Fiqah Ki Tadveen Ki.

Fiqahe Hanafi Ko Ye Aizaaz Hasil Hai Ki Ye Inferadi Fiqah Nahi Balki Shurai Fiqah Hai Jab Ki 3no Imamo Ki Fiqah Inferadi Ijtehad Ka Natija Hai.

Aur 3no Imamo Ke Maslak Ki Nisbat Hanafi Mazhah Me Ziyada Taqwa Aur Aihtiyaat Ka Pehlu Numayan Hai.

Qurane Kareem Ke Bad Imam Sahab Hadis Se Masla Bayan Farmate Aur Aapko Hadeese Rasool ﷺ Se Is Qadar Muhabbat Hai Ki Aap Zaeef Hadees Ke Hote Huye Qayas Ko Jayez Nahi Samajhte.

Jab Ki Imam Shafai Zaeef Hadees Ke Hote Qayas Ko Tarjeeh Dete Hain.

Bhala Sochiye Jo Imam Zaeef  Hadees Ke Hote Qayas Na Kare Aur Zaeef Hadees Par Amal Ka Hukm De Kya Wo Sahi Hadees Ki Mukhalifat Karega?

Inhi Khususiyaat Aur Infiradiyat Ki Bina Par Mazhabe Hanfi Ko Urooj Hasil Hua.

Muhaddis Kirmani Farmate Hain,

فلو لم يكن لله سر خفى فيه لماجمع له شرط الاسلام او ما يقاربه  على تقليده حتى عبدالله بفقهه وعمل برائه الى يو منا ما يقارب أربعمائة وخمسين سنة وفيه اول دليل على صحته 

Agar Hanafi Mazhab Me Allah Ki Maqbuliyat Ka Raaz Chupa Na Hota To Aadhe Musalman Is Mazhab Ke Muqallid Na Hote Hamare Zamane Tak (Imam Kirmani Ke Zamane Tak) Imam Sahab Ko 450 Saal Ho Gaye Unki FIQAH Ke Mutabiq Allah ﷻ Ki Ibadat Ho Rahi Hai Aur Unki Raye Par Amal Ho Raha Hai Isse Fiqah Hanafi Ke Sahi Hone Ki Pehli Daleel Milti Hai.
{Al-Mughni, Page-80} 

Aur Ab Imam Sahab Ko 1350 Saal Ho Gaye Wo Baat To Imam Sahab Ke Wisal Ke 450 Sal Bad Ki Thi.

Ye Masayel Jo Fiqhe Hanafi Ke Naam Se Mausoom Hain Nihayat Tezi Se Tamam Mamalik (Countries) Me Phail Gaye.

Sindh Se Aeshiyae Kochak (Minor Sea) Tak Imame Azam Hi Ka Maslak Phaila, Hindustan, Kabul, Bukhara, Pakistan, Bangladesh Etc Me To Unke Ijtehad Ke Siwa Kisi Ka Ijtehad Maana Hi Nahi Gaya.

Hindustan Ke Kuch Ilaqo Me Agarche Shafai Hazraat Hain Magar Bahot Qaleel Tadad Me.

Dusre Mamalik Me Agarche Shafai Hambali Mazahab Hain Magar Wahan Bhi Hanafi Mazhab Ko Daba Na Sake Kyu Ki Aksar Hukmraan Hanfiyul Mazhab The.

Abbasi Khulafa Me Sab Se Bada Shayer Aur Fanne Badee Ka Mojid Abdullah Bin Almotiz Hanfi Mazhab Par Tha.

Abbasiyon Ke Bad Jitni Hukumate Aai Sab Hanafi Mazhab Par Thi, Khandane Saljuqi Jisne Eik Lambe Zamane Tak Hukumat Ki Kashghar Se Baitul Muqaddas Tak Aur Qustuntuniya (Constantine) Se Bilade Khazar (Cospine Sea) Tak Hukumat Ki Ye Sab Ke Sab Hukmraan Hanafi The.

Mehmood Gaznawi Ko Kaun Nahi Janta Hanfi Mazhab Ke Bahot Bade Alim The Aapki Kitab “AT’TAFREED” Fiqhe Hanafi Me 60000 Masayel Par Mushtamil Hai.

Hazrat Nuruddin Zangi رحمت الله تعالى عليه Ko Kaun Nahi Janta?

Jisne Dunya Me Sab Se Pehle Darul Hadees Qayam Kiya Baitul Muqaddas Ko Azad Karane Me Usi Ka Hath Tha Wo Bhi Hanafi Tha.

Salateene Turk Jinki Hukumat Dunya Ke Kai Hisson Par Thi Sab Ke Sab Hanafi The.

Hamare Old Hindustan (Pakistan, Afghanistan, Bangladesh, Srilanka, Bhotan) Me Aale Taimoor Shahane Mughaliyah Sab Ke Sab Hanafi The.

Magar Yaad Rakhiye Hanafi Mazhab Me Sirf  Badhshah, Khulfa, Umra, Hi Nahi Guzre Hain Balki Auliya, Sufiya, Ulama, Sulha, Aqtab, Agwas, Autad, Abdal, Mujaddideen, Muhaddiseen, Mufassireen, Bhi Itne Guzre Hain Jinka Koi Shumar Nahi.

Ye Gair Muqallideen Hum Se Kya Baat Karege Jinki Paidaish Hi Angrez Ke Napak Qadam Hindustan Me Padne Ke Baad Hui Hai.

Allah Pak Apne Mehboobe Azam ﷺ Ke Sadqe Hum Sab Ko Islam Par Zindah Rakhe Aur Ahlesunnat Hanafi Mazhab Par Qayam Rakhe Bil’khusus Maslake Alahazrat Par Jo Is Zamane Ahlesunnat (Hanafi, Shafai, Malki, Hambali) Ki Sahi Pehchan Hai.

Aur Allah Pak Hamare AAQA Wa Maula Huzoor Pur’Noor Siraje Ummat Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zutaa Koofi رضى الله تعالى عنه Ki Qabre Pak Ko Noor Se Bhar De Aur Unke Sadqe Hamari Maghfirat Farmaye..

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:     
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم 
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!