Hadees-E-Nabwi

Aabe Zam Zam Aur Pyare Aaqa عليه السلام Ke Mubarak Ungliyon Se Chashme Jaari Hona

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
Hazrate Ibrahim عليه السلام  Ke Farzand Hazrate Ismail عليه السلام  Sarr Zameene Shaam Me Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Ke Shikam Mubarak Se Paida Huwey.
Hazrate Ibrahim عليه السلام  Ki Biwi Saara  رضي الله تعالٰی عنها  Ko Koi Aulaad Na Thi. Is lIye Inhein Rashk Paida Huwa Aur Inhoney Hazrate Ibrahim عليه السلام  Se Kaha Ki Aap In Dono Maa Betey Ko Mere Paas Se Juda Kar Ke Kahin Door Kar Dijiye.
Khudawandey Quddus Ki Heeqmat Ne Ek Sabab Paida Farma Diya. Chunanchhey, Aap Par Wahi Nazil Hui Ki Aap Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها   Aur Ismail عليه السلام  Ko Us Sarr Zameen Me Chorh Aayein Jahan Be Aabo Giyaah Maidan Aur Khushk Pahadiyon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Chunanchey, Hazrate Ibrahim عليه السلام  Ne Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Aur Hazrate Ismail عليه السلام  Ko Saath Le Kar Safar Farmaya Aur Us Jagah Aaye Jahan Ab Kabaa Muazzama Hai. Yahan Us Waqt Na Koi Aabadi Thi Na Koi Chashma, Na Door Door Tak Paani Ya Aadmi Ka Koi Nishaan Tha.
Ek Taushadan Me Kuch Khajoorein Aur Ek Mashk Me Paani Rakh Kar Hazrate Ibrahim عليه السلام  Rawana Ho Gaye.
Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Ne Faryaad Ki, Ki Ae Allahعزوجل Ke Nabi ! Is Sunsaan Biyaban Me Jahan Na Koi Munis Hai Na Gham Khwar, Aap Humein Be Yaaro Madadgar Chorh Kar Kahan Jaa Rahe Hai?
Kayi Baar Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Ne Aap Ko Pukara Magar Aap Ne Koi Jawab Nahi Diya.
Aakhir Me Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Ne Suwaal Kiya Ki Aap Itna Farma Dijiye Ki Aap Ne Apni Mazri Se Humein Yahan La Kar Chorha Hai Ya Khudawandey Quddus Ke Huqm Se Aap Ne Aisa Kiya Hai ?
Toh Hazrate Ibrahim عليه السلام  Ne Farmaya Ki Ae Hajra ! Mein Ne Jo Kuch Kiya Hai Woh Allah Ta’ala Ke Huqm Se Kiya Hai.
Yeh Sun Kar Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها  Ne Kaha Ki Ab Aap Jaiye, Mujhe Yaqeen-E-Kaamil Aur Pura Pura Itminan Hai Ki Khudawandey Kareem Mujh Ko Aur Mere Bachchey Ko Zaaey Nahi Farmayega.
Is Ke baad Hazrate Ibrahim عليه السلام  Ne Ek Lambi Duaa Mangi Aur Wahan Se Mulk-E-Shaam Chaley Gaye.
Chandd Dino Me Khajoorein Aur Paani Khatm Ho Jaane Par Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها Par Bhook Aur Pyaas Ka Galba Huwa Aur In Ke Seeney Me Doodh Khushk Ho Gaya Aur Bachhca Bhook Wa Pyaas Se Tadapne laga. Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها Ne Paani Ki Talash Wa Justuju Me Saat (7) Chakkar Safa Wa Marwa Ki Dono Pahadiyon Ke Lagaye Magar Paani Ka Koi Suraagh Door Door Tak Nahi Mila. Yahan Tak Ki Hazrate Ismail عليه السلام  Pyaas Ki Shiddat Se Aediyan Patak Patak Kar Ro Rahe The. Hazrate Jibraeil عليه السلام Ne Aap Ki Aediyon Ke Paas Zameen Par Apna Payr Maar Kar Chashma Jaari Kar Diya Aur Is Paani Me Doodh Ki Khasiyat Thi Ki Yeh Giza Aur Paani Dono Ka Kaam Karta Tha. Chunanchey, Yehi Zamzam Ka Paani Pi Pi Kar Hazrate Hajra رضي الله تعالٰی عنها Aur Hazrate Ismail عليه السلام  Zinda Rahe. Yahan Tak Ki Hazrate Ismail عليه السلام  Jawan Ho Gaye Aur Shikaar Karne Lagey Toh Shikaar Ke Gosht Aur Zam Zam Ke Paani Par Guzar Basar Hone Lagi.
Reference
(Sahih Bukhari : Hadees 3364
Book ref. : 60, Hadees 43
Eng ref. : Vol. 4, Book 55, Hadees 583
Sahih Bukhari : Hadees 3365
Book ref. : 60, Hadees 44
Eng ref. : Vol. 4, Book 55, Hadees 584
Ajaibul Quran (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 145-146)

Bukhari Shareef Ki Yeh 3 Ahadees Mubaraka Padh Kar Har Aashiq-E-Rasool Kahega.
Ungliyan Payi Woh Pyari Pyari
Jin Se Dariya-E-Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai
Jab Gham Khwaari
Tishne Sairaab Hua Karte Hai.
Ungliyon Se Paani Ke Chashmey Jaari Hona
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Anas رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ki Khidmat Me Paani Ka Ek Bartan Pesh Kiya Gaya Aur
Aap “Zawra” Ke Maqam Par They.
Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Bartan Ke Andar Apna Mubarak Haath Rakh Diya Toh Aap Ki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Ke Chashmey Phoot Padey
Aur Sab Logon Ne Wuzu Kar Liya.
Hazrate Qatada رضي الله تعالٰی عنه  Kehte Hain Ki Maine Hazrate Anas رضي الله تعالٰی عنه  Se Maloom Kiya Ki Aap Log Kitne They ??
Hazrate Anas رضي الله تعالٰی عنه  Ne Jawab Diya Ki 300 Ya 300 Ke Lag Bhag.
References
(Sahih Bukhari : Hadees 3572
Book ref. : 61, Hadees 81
Eng ref. : Vol. 4, Book 56, Hadees 772)
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Salim bin Abi Aj-Jad  رضي الله تعالٰی عنه  Rivayat Hai Ke Hazrate Jabir رضي الله تعالٰی عنه  Ne Farmaya Ki Suleh Hudaibiya Ke Mauqe Par Logo Ko Pyaas Lagi Thi. Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ke Samne Pani Ka Ek Chota Sa Matka (Pot) Rakha Hua tha. Aap Ne Us Pani Se Wuzu Farmaya.  Jab Log Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Paas Aaye Toh Aap Ne Logo Se Farmaya Kya Baat Hai?
Logo Ne Kaha Ki Jo Paani Aap Ke Samne Hai Us Pani Ke Siwa Na Toh Hamare Paas Wuzu Ke Liye Koi Doosra Pani Hai Aur Na Peeney Ke Liye.
Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Apna Haath Jaise Hi Us Paani Ke Matke Me Dala , Aapki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Chashmey (Springs) Ki Tarah Nikalne Laga.
Hum Sab Logo Ne Us Paani Ko Piya Aur Us Se Wuzu Bhi Kiya.
Maine Hazrate Jabir رضي الله تعالٰی عنه  Se Poocha Ki Aap Log Kitni Tadad Me They?
Aap رضي الله تعالٰی عنه  Ne Kaha Ki Agar Hum Ek Lakh Bhi Hotey Tab Bhi Woh Paani Kaafi Ho Jata Waise Hamari Tadad Us Waqt 1500 Thi
References
(Sahih Bukhari : Hadees 5639
Book ref. : 74,  Hadees  65
Eng ref. : Vol. 7, Book 69,
Hadees 543)
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate  Abdullah bin Masood رضي الله تعالٰی عنه  Se Rivayat Hai Ki Hum Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Saath Ek Safar Me They Aur Pani Taqreeban Khatam Ho Gaya.
Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya Jo Kuch Bhi Pani Bach Gaya Hai Usey Talash Karo, Phir Log Ek Bartan Me Thoda Sa Paani Laaye , Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Apna Haath Bartan Me Daal Diya Aur Farmaya Barkat Wala Paani Le Lo Aur Barkat Toh Allah Ta’ala Ki Taraf Se Hoti Hai.
Meine Dekha Ki Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Fawwarey (Fountain) Ki Tarah Phoot Raha Tha Aur Hum Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ke Zamane Me Khaate Waqt Khaane Ko Allah Ki Tasbeeh  (Allahعزوجل Ka Zikr) Kartey Huwey Bhi Suna Karte They.
References
(Sahih Bukhari : Hadees 3579
Book ref. : 61, Hadees 88
Eng ref. : Vol. 4, Book 56, Hadees 779)
Ungliyan Payi Woh Pyari Pyari
Jin Se Dariya-E-Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai
Jab Gham Khwaari
Tishne Sairaab Hua Karte Hai.
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing: www.hamarenabi.in
www.facebook.com/HumarenNabi
World’s Best Islamic Blog
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!