Hadees-E-Nabwi

ALLAH Ta'ala Ko Cheenk (Sneez) Pasand Hai

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله
Baaz Log Cheenk Ko Badd Shaguni Samajhte Hain. Agar Kisi Kaam Ke Liye Jaatey Waqt Khud Ko Ya Kisi Aur Ko Cheenk Aa Gayi Toh Log Yeh Badd Faali Letey Hain Ki Yeh Kaam Nahi Hoga. Yeh Bahot Badi Jahalat Aur Be Aqali Ki Daleel Hai.
Aa’la Hazrat Mujaddid-E-Deen-O-Millat رحمة الله تعالي عليه   Ne Farmaya : Cheenk Achchi Cheez Hai, Isey Badd Shaguni Jaanna Mushriqeen-E-Hind Ka Napaak Aqeeda Hai.
Hadees Me Hai Aur Hazrate Umar bin Al-Khattab رضي الله تعالٰی عنه Ka Qaul Hai Ke “Baat Ke Waqt Cheenk Aadil Gawah Hai” Yani Jo Kuch Bayan Kiya Jata Ho Jis Ka Sidq Wa Kizb (Yaani Sachcha Aur Jhoota Hona) Maloom Nahi Aur Us Waqt Kisi Ko Cheenk Aaye Toh Woh Is Baat Ke Sidq (Yani Sachcha Hone) Par Daleel Hai.
Aur Yeh Aaya Hai Ki Dua Ke Waqt Cheenk Aana Daleel-E-Qubool Hai.
Garaz Cheenk Mahboob Cheez Hai Magar Woh Ki Hadees Me Hai Ki Jab Namaz Me Aaye Toh Shaitan Ki Taraf Se Shumaar Farmaya Hai.

Allama Abdul Mustafa Aa’zmi  رحمة الله تعالي عليه  Likhtey Hain Ab Ghaur Karo Ki Jab Cheenk Ko Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Shaahid-E-Adal (Yani Aadil Gawaah) Ka Laqab Diya Toh Phir Bhala Cheenk Manhoos Aur Badd Shaguni Ka Saaman Kaise Ho Sakti Hai? Is Liye Logo Ko Is Aqeedey Se Tauba Karni Chahiye Ki Cheenk Manhoos Aur Badd Faali Ki Cheez Hai.
Khudawandey Kareem Musalmano Ko Itteba-E-Sunnat Aur Pabandi-E-Shairat Ki Taufeeq Bakhshey. Ameen
Ref.
( Bukhari, Jild:4, Safha:163, Hadees :6226
 Sunan Abi Dawud : Hadees 5028
Book ref. 43, Hadees 256
Eng ref.  : Book 42, Hadees 5010
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref. : Book 43, Hadees 2972
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref.: Book 43, Hadees 2972
Jannati Zewar : Safha 431
Malfuzaat : Safha 319-322
Badd Shaguni (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha : 60-61
Zawadar Usool , 2/774, Hadees 1064
 Kanz’ul’Umaal, 9/69 , Hadees 25533
 Al Mu’jam Al Kabeer, 22/336 , Hadees 843)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
                Hamare Nabi
          www.hamarenabi.in
      World’s Best Islamic Blog
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!