Hadees-E-Nabwi

Hazrat Umar Farooq-E-Aazam Ki Shaan Wa Martaba

Hadees-E-Paak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate  Uqbah Bin Amir  رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ke Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Hazrate Sayyeduna Umar رضي الله تعالٰی عنه  Ke Baare Me Farmaya:-
“Mere Baad Agar Kisi Ka Nabi Banna Muqaddar Hota Toh Woh Umar Bin Khattab Hotey.”
(Jamia Al Timirzi : Jild. 1, Book 46, Hadees 3686. Arabic ref : Book 49, Hadees 4050)
Hazrat Abu Saeed Khudari Radiallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Har Nabi Key Liye Do Wazeer Aasmaan Waalon Mey Sey Aur Do Wazeer Zameen Waalon Mey Sey Hotey Hain To Aasmaan Waalon Mey Sey Merey Do Wazeer Jibrail Aur Mikail Alaihimussalam Hain Aur Zameen Waalon Me Se Mere Do Wazeer Abu Bakr Aur Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Hain.”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 290, Hadees : 3046/3047)
Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Sahi Ul Isnaad hai. (Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 3680) (Imam Ibn Ul Jaad Al Musnad Hadees 2026) 
Hazrat Abdullah Bin Hantab RadiAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Dekha To Farmaya :
“Yeh Donon (Merey Liye) Kaan Aur Aankh Ki Haysiyat Rakhtey Hain.” 
(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg : 354 , Kitabul Manakib, Hadees : 3671) 
Hazrat Anas ibn Malik  Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam  Ne Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Sey Aur Hazrat Umar Radiallahu Anhu Kay Baarey Mey Farmaya Yeh Donon Ambiya Wa Mursaleen Alaihimussalam Kay Elaawa Awwalin Wa Aakhireen Mey Sey Tamam Umar Raseeda Jannatiyon Key Sardar Hain.”
(Jamai Tirmidhi Vol : 06, Pg : 349, Kitabul Manaqib, Hadees : 3664, 3665) (Sunan Ibn Majah , Vol : 01 Pg : 36, Kitab Al Mukadamah, Hadees :95, 100) (Musnad Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01 Pg : 425, Hadees : 602) (Sahih Ibn Hibban Vol : 15, Pg : 330, Hadees : 6904), (Imam Abu Yala Al Musnad, Vol : 01 Pg : 405,Hadees : 533

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!