Ramzan

Zakat Na Denewalo Ko Dardnak Azab Hai

Zakat Ki Tareef:
ALLAH Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka
Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai,
Magar Wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam,
Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le ,
ALLAH Rabbul Izzat Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai
“QURAN”
Neki Iska Naam Nahi Ki Tum Apna Muh Mashriq Ya Magrib Ki Taraf Karo,
Neki To Uski Hai Jo Allah Aur
Pichle Din (Qayamt) Aur Malayekah (Farishton) Aur Kitab (Jo Aasman Se Utri) Aur Ambiya (Hazrt Aadam Se
Huzoor Tak) Par Iman Laya.
Aur Maal Ki Mohabbat Par Rishtedaron Aur Yatimon Aur Miskino Aur Musafir Aur Saaileen Aur Gardan Chhudane Me Diya…
Aur Namaz Qayam Kee Aur Zakat Dee, Aur Nek Wo Log Hain Jab Koi Moahedah Kare To Apne Ahed (wade) Ko Pura Kare,
Aur Takleef Aur Musibat Ke WAQT Sabr Karne Wale, Wo Log Sachche Aur Wahi Log Muttaqi Hain.
(Tarjama Kanzul Iman Sharif, Para-2, Sure Baqrah, Aayat-177)
“QURAN”
Jo Log Sona & Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, Jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge,
Aur Unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye
Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha,
To Ab Chakho Jo jama Karte The,
(Kanzul Iman Sharif, Para-10, Sure Taubah Aayat-35)
Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka
Azab Hoga Huzoor Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Irshade Pak Ye Hai
✒HADEES:
Jo Sone & Chandi Ka Malik Ho Aur uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga Uske Liye Aag Ke Patthar Banaye Jayenge…
Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi,
Aur Unse Uski Karwat Aur Peshani Aur Peeth Dagi Jayengi,
Jab Thande Hone Par Aayenge Phir Waisa Hi Kiya Jayega…
Ye Mamla Us Din Ka Hai Jiske Ek Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai
(Qayamat Ka Din) Aur Oontun Ke Bare Me Farmaya
Jayega Jo Uska HAQ Ada Nahi Karta Qaymat Ke Din Use Ek Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont
Mote Mote Hoke Aayge Aur use Pairon Se Kuchlege Aur Danton Se Katege,
Jab Oonton Ki Jamat Khatm
Hogi To Phir Gaye (Cow) & Bakriyan Aayengi Aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi
( ﺻﺤﻴﺢ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺑﺎﺏ ﺯﻛﺎﺓ ﺍﻟﺒﻘﺮ، ﺟﻠﺪ 1- ،
ﺻﻔﺤﮧ 492- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 1460 )
✒ Hadees:
Huzoor Akram ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Farmate Hain,
Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela
Hogi (Tarah Tarah Ki Bimariyan Aasmani Afaten Khuskh
Saali Wo Deegar Masayeb ‏)
(ﺍﻟﻤﻌﺠﻢ ﺍﻷﻭﺳﻂ، ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ 276- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .4577-)
✒ Hadees:
Hazrat Umar Farooq Se Riwayat Hai Huzoore Pak ﺻﻠﻰ
ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Irshade Aali Hai,
“Jo Maal Kushki (Zameen Pe) Aur Tari (Pani Me) Talf (Barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.”
(ﺍﻟﺘﺮﻏﻴﺐ ﻭﺍﻟﺘﺮﻫﻴﺐ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﺪﻗﺎﺕ، ﺍﻟﺘﺮﻫﻴﺐ ﻣﻦ ﻣﻨﻊ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ،
ﺟﻠﺪ1- ، ﺻﻔﺤﮧ 308- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .16-)
Zakat Na Dene Ke Azabat Aur Zillaten Huzoor Nabiye
Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam
ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Irshadaat Ki Roshni Me …..
✒Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayege Magar Maaldaron Ke Hathon,
To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega
(ﺍﻟﺘﺮﻏﻴﺐ ﻭﺍﻟﺘﺮﻫﻴﺐ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﺪﻗﺎﺕ، ﺟﻠﺪ 2- ، ﺻﻔﺤﮧ 275- ، ﺭﻗﻢ
ﺍﻟﺤﺪﯾﺚ5- .)
✒ Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik Wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se ALLAH Ka HAQ Ada Nahi Kiya
(ﺻﺤﯿﺢ ﺍﺑﻦ ﺧﺰﻳﻤﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺑﺎﺏ ﺫﻛﺮ ﺇﺩﺧﺎﻝ ﻣﺎﻧﻊ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ
ﺍﻟﻨﺎﺭ ….. ﺇﻟﺦ، ﺟﻠﺪ 4- ، ﺻﻔﺤﮧ 8- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .2249-)
✒ Hadees:
Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood
ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame
Hukm Hua Namaz Padhe Zakat Den, Jisne Zakat Na
Dee Uski Namaz Qubool Nahi
(ﺍﻟﻤﻌﺠﻢ ﺍﻟﻜﺒﻴﺮ، ﺟﻠﺪ 10- ، ﺻﻔﺤﮧ 103- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .10095-)
✒ Hadees:
Hazrat Abu Hurairah ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat Hai
Eik Martaba Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Khutba Padha Aur Farmaya……
Qasam Hai Uski (Allah Ki) Jiske Hath Me Meri Jaan Hai,
Isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya,
To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru Kiya,
Hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai,
Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke
Aasar Jhalak Rahe The,
To Hame Ye Baat Laal Oont Se
Ziyadah Pyari Maloom Hui,
Aap ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz
Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye
Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti ke Saath Dakhil Ho Ja
(ﺳﻨﻦ ﺍﻟﻨﺴﺎﺋﻲ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺑﺎﺏ ﻭﺟﻮﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺻﻔﺤﮧ 399- ،
ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 2435-)
✒ Hadees:
Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya….
Tumhare islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki
Zakat Do
(ﻣﺠﻤﻊ ﺍﻟﺰﻭﺍﺋﺪ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺑﺎﺏ ﻓﺮﺽ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺟﻠﺪ 3- ،
ﺻﻔﺤﮧ 198- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .4326-)
✒ Hadees:
Hazrat Abdullah Ibne Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se
Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ
ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne…..
Jo Allah O Rasool Pe imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare,
Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo
HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/Jhagda) Zaban Se Na Nikale,
Jo Allah O Rasool Pe
Iman Laya Wo Apne Mehman Ki Izzat Kare
(ﺍﻟﻤﻌﺠﻢ ﺍﻟﻜﺒﻴﺮ، ﺟﻠﺪ 12- ، ﺻﻔﺤﮧ 324- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ .13561-)
In Tamam Muqadsas Irshadat Ko Padhne Ke Bad Bhi
Koi Kam Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Na Samjhe Aur
Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Pak Na Kare To Us
Badbakht Ka Kya ilaj?
Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is Pak Mahine Me
Kitne Musalman Aise Hain Jinke Ghar Chulha Nahi jalta
Aur Koi To Wo Hai Jiske Pas Rakhne Ki Jagah Nahi
Magar use YE TAUFEEQ Nahi ki un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le…..
Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hain Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain
Imaan O Islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi Inki Bhi Khabar Le…..
Hum Musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada Farz Allah O Rasool Ke Faraman Ke Aage Sar Kham Krna
Hai.
Hame Musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni chahiye Insha’Allah
Ispe Amal hua To Amaan Hi Amaan Qayam Hoga
✒Hadees:
2 Aurten Huzoor Ki Khidmat aqdas me Hazir Hui,
Unke Haton Me Sone Ke Kangan The.. SARKAR-E-DO AALAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ne irshad
Farmaya Kya Tum Inki Zakat Ada Karti Ho?
Arz Ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki ALLAH Rabbul Aalameen
Tumhe Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi….
Farmaya To Zakat Ada karo
( ﺟﺎﻣﻊ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ، ﺃﺑﻮﺍﺏ ﺍﻟﺰﻛﺎﺓ، ﺑﺎﺏ ﻣﺎ ﺟﺎﺀ ﻓﻲ ﺯﻛﺎﺓﺍﻟﺤﻠﯽ،
ﺟﻠﺪ 2- ، ﺻﻔﺤﮧ .132- ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 637-)
Ramzan Mubarak Ke Tamam Masle Masil Quran Wa Hadees Ke Roshni Me Janiye Hamare “Ramzan Page” Par.
Like Kijiye Hamara Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!