Muharram

Muharram Me Matam Noha Marsi Karna Kaisa

Hazrate Zainab Bint
Hajash (RadiAllahu Anha) Ke Bhai Ka Inteqal Ho Gaya.
Teen Din Ke Baad Unhone Khushboo Mangwaee Aur Usko Lagaya.
Phir Kaha Mujhe Khushboo Ki Zaroorat
Nahi Thi Magar Maine “Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Se Suna Ke Jo Aurat Aur Mard Allah Ta’ala Aur Qayamat Par Imaan Rakhta Ho Uske Liye Halaal Nahi Ke Teen Din Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Kare
“Siwaye Shohar Ke Jiska
Sog 4 Mah (Month) 10 Din Hai.”
(Bukhari Sharif ‘Al’janaez Baab Al’shiyaab
Al’baid Ul Kafan’ Hadees : 1264 ‘ 1271′ 1272′ 1273′ 1287)

ALLAH Ta’ala Quraane Kareem Me Irshad Farmata Hai
Bismillah-Hirrahman-
Nirrahim
“Aur Jo KHUDA Ki Raah Me Maare Jaye
Unhe Murda Na Kaho Balke Woh ZINDA Hai
Haan Tumhe Sha’oor (Khabar) Nahi”.
(Surah: Al Bakrah Aayat 154, Kanzool Imaan)

Ye Aayat Saf Bayan Kar Rahi Hai Ke Shaheed Jo Khuda Ki Rah Me Mare Jaye Wo Zinda Hai.
Isliye Shaheedo Ka Matam Karna Haram Hai.
Aagar Aashura Ke Din Matam Karna
Jayez Hota Tou Sahaba-e-Kiram Aur Tabayeein-e-Kiram Bhi Aisa Karte, Lekin
Unhone Matam Nahi Kiya Balke Aashura Ke
Din Unhone Apne Ghar Walon Par Khaane
Piney Me Farakhi Karte Aur Roza Rakhtey.
(Guniyatuttalibin Part-16 Safa 482)

Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu
Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya:
“Jo Mooh Par Tamache Marey, Kapde Fade, Aur Jaahil Logo Ki Tarah Chilla Kar Roye Wo Hum Me Se Nahi”.
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Tohfa-E-Najat Part-11 Page-50)

Rasool’Allah (Sallallahu Alayhi
Wasallam) Ne Farmaya –
“Kisi Emaan Wale Ke Liye Halaal Nahi Ke
(3) Teen Din Se Jiyadah Shok (Ghum) Kare,
Sirf Beva Aurat Ke Siva, Ke Uske Shok
(Ghum) Ki Muddat Char (4) Mahine Das
(10) Din Hai.
(Bukhari Sharif, Tirmizi Sharif, Tohfa-E-Najat Part-11 Page-49)

Hazrat (Alaihi Rahamtulah) Rizwaan Ne Bhi Mahe Muharram Me Kiye Jaane Wale Burey
Kaamo Ki Sakht Muzammat Farmaayi Hai,
Aap Tahereer Karte Hai:
“Taziya Mamnu’ Hai, Sharah Me Kuch Asal
Nahi Aur Jo Kuch Bida’at Unn Ke Saath Ki
Jaati Hai Sakht Najayaz Hai, Taziya Par Jo
Mithaai Chadhayii Jaati Hai Agarche
Haraam Nahi Ho Jaati Magar Iss Ke Khaane Me Jahilon Ki Nazar Me Ek Amar Najayaz Ki Waqa’at Badhaane Aur Iss Ke
Tarak Me Iss Se Nafartt Dilaani Hai
Lehaza Na Khaai Jaaae, Dhol Bajaana Harram Hai.”
(Fatwa-E-Razviya, Jild 10, Safa 189)

Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya
“Allah Ta’ala Aankh Ke Rone Rone Aur Dil
Ke Pareshan Hone Ki Wajah Se Azaab Nahi
Hota Balki Zuban Ke Chillane Aur Wa’waila
Karne Se Azaab Hota Hai”.
(Bukhari’ Al’janez’ Baab Al’baka’a Indal Mareeda’ Hadees 1304′ Wa Muslim’
Al’janaez’ Baab Al’baka’a Alal May’yati’ Hadees 924)

Hazrate Abdullah Bin Masood (RaziAllah Anhu) Riwayat Karte Hain Ke Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam)
Ne Farmaya –
“Woh Hum Me Se Nahi Hai Jo Rukhsaar Peete, Girebaan Phadhe Aur Jahiliyat Ki
Pukaar Pukare”.
(Yaani Noha Aur Wa’waila Kare).
(Bukhari’ Al’janaez ‘ Baab Lais Mana’min
Shqaul’joyub’ Hadees :1294,1297,1298)

Hazrate Abu Malik Ashari
(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya
“Noha (Matam) Karna Jahiliyat Ka Kaam Hai,
Aur Noha Karne Waali Agar Bina Taubah Ke Mar Jaye Tou Allah Ta’ala Usko Tarkol Ka Libas Aur Dozakh Ke Sholo Ka Kurta Pahnayega”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees 1581 Hasan)

Umma Atiyyah (RaziAllah Anhu)
Se Riwayat Hai Ki,
“Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam)
Ne Hume Noha (Matam) Karne Se Mana Farmaya Hai”.
(Sunan Abu Dawud, Vol 2, Hadees 1350 Sahih)

Jarir Ne Farmaya Ki Sahabi
Muawiyah (RaziAllahu Anhu) Ne Apne Khutbe Me Kaha Ki, “Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Noha Karne Se Mana Farmaya Hai”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees 1580 Sahih)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!