Faizan-E-Ramdan Kareem

ROZADAAR KE MUH KI BU ALLAH KE NAZDIK MUSHK SE ZIYADA PASANDINA HAI
(TARGEEB)

RAMZAN ME 5 IBAADATE KHUSUSI:
*ROZA
*TARAWEEH
*TILAWAT-E-QUR'AN
*E'TEKAAF
*SHAB-E-QADRA
(TAFSIR-E-NAEEMI)

JANNAT HAR DIN RAZADAARO KE LIYE SAJAAYI JAATI HAI
(TARGEEB)

Aur MUTTAQI Wo Hain Ki Jo Hum Ne Unhe Diya Hai, Usme Se Hamari Raah Me Kharch Karte Hai
(Para:1,SURE BAQRAH Ayat:3)
Tarzuma: Kanzul iman

BESHAQ
JANNAT IBTEDAYI SAAL SE AAINDA SAAL TAK RAMZANUL MUBARAK KE LIYE SAJAYI JAATI HAI
(MISHKAT)

HAZRAT FAATIMA RadiyAllahu Anha:
JAB AURAT GHAR ME HOTI HAI US WAQT ALLAH SE SABSE ZYADA QAREEB HOTI HAI

Pyare Nabi Ne farmaya, Namaze Fajr Ki 2 Rakaat Sunnat goya Duniya Mai jo kuch hai, Subse Behtar Hai.
[MUSLIM]

Jisko Roze ne Khane Ya Pene se Rok Diya Ke Jiski ise Khwaish thi To Allahpak ise Jannati Phalon Mese Khilaega
(Shoibul iman)

Qayamat ke Din Rozadaro Ke Liye 1 Sone Ka Dastarkhwan Rakha Jayega
Halanke Log Hisab Kitab Ke Muntazar Honge.
(Kanzul ummal)

Jisne Allah Ki Raah Me 1 Roza Rakha to Allah iske Chehre ko Jahannam se 70sal ki Musafat Dur Kardega
(Bukhari v2 Page: 265)

MALIK-E-JANNAT Farmate He;
Momin Ki Acchi Sehri Khajoor He.
(Mishkat)

Sab Se Jald Qabul Hone Wali DUA Wo He
Jo DUA Koi Musalman Apne Aise Musalman Bhai Ke Liye Kare
Jo Saam'ne Maujood Na Ho.
(Tirmizi:1980)

ALLAH Ke Rasool Farmate Hain:
Sadqa Wa Khairaat Bimariyon Wa Pesh Aane Waali Musibaton Ko Door Karte Hain.
(Kanzul Ummal) Hadees No.28178)

MASLA:
ZAKAAT Dene Me Ye Kehna Zaroori Nahi Ke Ye ZAKAAT Hai,
Sirf ZAKAAT Ki NIYYAT Kar Lena Kaafi Hai.
(Fatawa Aalamgiri)

NABI-E-PAK NE FARMAYA:
JAB TUM ME SE KOI ROZE SE HO TO USKO ROZA KHAJUR SE KHOLNA CHAHIYE
AUR
AGAR KHAJUR NA HO TO PAAK PAANI SE
(ABU DAWOOD
NISAAI)

RAMZAN KE ISTAQBAAL KE LIYE SARA SAAL JANNAT SAJAAI JAATI HAI
(SHAUBUL IMAAN,JILD.3,SAFA.312)

ROZADAAR KA SONA (SLEEP) IBAADAT HAI
USKI KHAMOSHI TASBIH HAI
AUR
USKA AMAL MAQBOOL HAI.
(TIRMIZI)

SEHRI BARKAT KI CHEEZ HE ALLAH NE ISSE TUMKO NAWAZA HE
ISLIYE TUM ISKO KABI NA CHORNA
(NISAI:2164)

Jo Koi Banda Kuch Bhi Khane Pine Ke Bad ALHAMDULILLAH Keh Kar Qulhuwallahu Ahad Ka Sura 1 Martaba Padhega Uske Ghar Me kabhi Rizq Ki kami na hogi
insaallah

Geebat Zina Se Bhi Sakht Tar Hai.
(Attargib 3:331:24)
Geebat Ki Wajah Se Roze Ki NOORANIYYAT Jaati Rahti Hai
(Bahare shariat H:5 S:611)
Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post