Ramzan

Tadad-E-Rakate Taraweeh With Proofs

Dunya Ke Sare Gair Muqallideen Bhi Agar Jama Ho Jayen Tab Bhi In’sha Allah 8 Rakat Taraveeh Ba’hisabe Lughat Aur Ahadees Ki Roshni Me Sabit Kar Hi Nahi Sakte, 8 Rakat Ke Silsile Me Gair Muqallideen Jo Hadees Pesh Karte Hain Wo Sahi Bukhari Ki Ye Riwayat Hai.
عن ابی سلمة بن عبد الرحمن انه سأل عائشة كيف كانت صلوة رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان فقالت ما كان يزيد فى رمضان ولا فى غيره على احدى عشرة ركعة يصلى اربعافلا تسأل عن حسنهن وطولهن ثم يصلى ثلاثا
Tarjamah-
Abu Salma Bin Abdur Rehman Ne Hazrat Aishah Se Daryaft Kiya Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ramzanul Mubarak Me Namaz Kaisi Hoti Thi?
Aap Farmati Hain, Aap Ramzan Aur Gaire Ramzan Me 11 Rak’aton Se Ziydah Nahi Padhte The, Pehle 4 Rakat Padhte (ek salam Se) phir Kuch Na Pucho Wo Kitni Haseen Aur Taveel Hoti, Phir 4 Padhte Aur Uske Bhi Husn O Tawalat Ka Haal Na Pucho, Phir 3 Rakat (witr) Padhte The
(صحيح بخارى. ج-١، ص-١٥٤، صحيح مسلم، ج-١،ص-٢٥٤)
Ye Hai Gair Muqallideen Ki Sab Se Badi Daleel Aap Khud Dekhen Kya Is Hadees Se Sarahat Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Ho Rahi Hai?
1= Hazrat Aisha Siddiqah رضى الله تعالى عنها Farma Rahi’n Hain Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ramzan Aur Gair Ramzan Me Hamesha Mamool Tha 11 Rakat Padhne Ka, Kya Taraveeh Saal Bhar Padhi Jati Hai????
2= is Hadees Me 4+4 Rakaton Ko eik Salam Se Padhne Ka Zikr Hai Jab Ki Taraveeh Me 2+2 Rakat Par Salam Phera Jata Hai, Phir Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Kaise Hui?
3= Aur Is Hadees Me Huzoor Ka Tanha 11 Rakaten Padhna Sabit Hai Jab Ki Huzoor Ne 3 Din Taraveeh Jamat Se Ada Farmai  iski Hadees Aage Aarahi Hai….
4= Ye Hadees Taraveeh Ke Muta’alliq Nahi Balki Tahajjud Se Muta’alliq Hai Chunki Tahajjud Hi Ramzan wa Gair e Ramzan Me Padhi Jati Hai….. Aur Jise Tahajjud Padhni Ho uske Liye Afzal Ye Hai Ki wo Witr Ko Tahajjud Se Milaye Huzoor Ne 8 Tahajjud Aur 3 Witr is Tarah 11 Rakat Ada Farmai.
5=Agar Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Hi Hai To Gair Muqallideen Batayen Sahi Muslim, Abu Dawood, Tirmizi,  Nisai, Sahi Ibne Khuzaimah Motta imam Malik Me Ye Hadees Taraveeh Ke Bayan Me Kyun Nahi NAQL Ki Gai???
Khud Gair Muqallideen Ke imam O Peshwa ibne Qaiyyim Hambali Ne Apni Mash’hoor Kitab Zadul Mee’aad Ke Volume-1, Page-86 Me Ye Hadees Tahajjud Ke Bab Me NAQL Kee Hai……
Sharahe Bukhari Allama Ibne Hajar Asqlani رحمه الله تعالى is Hadees Ke Hawale Se Farmate Hain
قال القرطبي اشكلت روايات عائشة على كثير من اهل العلم حتى نسب بعضهم حديثها الى الاضطراب
imam Qartabi Ne Farmaya Hazrat Aisha Ki Riwayat Se Bahot Se Ahle ilm Ko Mushkilen Aai, Yahan Tak Ki Unme Se Baz Ne Use IZTERAB Ki Taraf Mansoob Kar Diya
(فتح الباری،  ج-3، ص-21)
Jab Hadees Hi Muztarib Ho To Usse Gair Muqallideen Kaise 8 Rakat Ko Finally  Adad Qarar De Rahe Hain?
Iske ilawah Jo 8 Rakat Taraveeh Ki Riwayaten Hain wo sab Zaeef Aur Na Qabile istedlal Hain is Liye unka Zikr Aur Tafseel Zaruri Nahi Gair Muqallideen Ki Sab Se Mazboot Daleel Yahi Hadees Hai……..
Aaj Kal Gair Muqallideen Kehne Lage Hain Sahab Taraveeh Aur Tahajjud Ek Hi Namaz Hai. Ajeeb Baat Hai Jo Tahajjud Ki Namaz 11 Maah Nafl Rahi, Jo Ghar Me Padhi Jati Rahi, Rat Ke Akhri Hisse Me Padhi Jati Rahi, Aur Akle Padhi Jati Rahi, Wo Achanak Ramzan Me Pahoch Kar Sunnate Mo’akkeda Ho Gai?
Ba Jamat Padhi Jane Lagi Aur Uska Naam 11 Maah Tahajjud Tha Aur Ramzan Me Taraveeh Ho Gaya?
Koi Apni Biwi Ko 11 Maah Biwi Kahe 1 Maah Amma Kahe To Chalega?
Inke insano Wali Khopdi Me AQAL To Gadhon Wali Hai Aur Dawa Hai Quran Fehmi Aur Hadees Daani Ka..
is Baat Ko Achche Se Zahen Nasheen Kar Len Ki Sarkare 2 Alam صلى الله عليه وسلم Se Tarveeh Ki Na 8 Sarahat Se Sabit Hai Aur Na 20 Jo 2no Qism Ki Riwayaat Hain Wo Zo’af Aur Ehtemaal Se Khali Nahi.
Imam Jalaluddin Suyuti رحمه الله تعالى Farmate Hain..
ان العلماء اختلفوافى عددها ولو ثبت ذالك من فعل النبى صلى الله عليه وسلم لم يختلف فيه
Ulma Ne Taraveeh Ki Rak’aat Me ikhtelaf Kiya Hai, Aur Agar Ye (Taraveeh Ki Fixed Rakaten) Huzoor Ke Amal Se Sabit Hoti To Ye Ikhtelaf Na Hota
(تحفة الاخيار ص-٤٢)
Allama Tajuddin Subki Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain….
اعلم انه لم ينقل كم صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فى تلك الليالى هل هو عشرون اوأقل
Tum Ko Maloom Hona Chahiye Ki Rasulullah صلى الله عليه وسلم Se Ye MANQOOL Nahi Ki in Raton Me Kitni Rakaten Padhe’n 20 Ya Kam
(تحفة الاخيار، ص-١٩٦)
Ab Raha Hum 20 Kyun Padhte Hain?
To Beshak 20 Wali Hadees Bhi Zaiful isnaad Hai Magar is Amal Ko TAQAT Milti Hai Ijamaye Sahaba Se, Tawatur Se, Ummat Ki 1400 sala Tareekh Me 20 Hi Par Amal Hota Aaya Hai, Aur Sahaba 20 Hi Rakat Ke Qayel The Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Wale Sahaba Hain, Unki Sannaton Par Chalne Wale Sahaba Hain, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ke Shareh Sahaba Hain, islam Ke Awwaleen Mukhatib Sahaba Hain, Aur Deen Me Mujtahid Sahaba Ka Amal Bhi Hujjat Hai, Ab Aaiye 20 Rakat Taraveeh Ki Ahdees Aur Amale Sahaba Wa Taba’een Salf O Saleheen Aur Puri 1400 Sala Tareekhe Islam Par Eik Sar Sari Nazar Dalen…..
✒HADEES:
عن ابن عباس ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلى فى رمضان عشرين ركعة والوتر انتهى
Tarjamah-
Hazrat ABDULLAH BIN ABBAS Farmate Hain Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ramzanul Mubark Me 20 Rakate Aur Witr Padha Karte The
{بحوالہ— مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-2،صفحہ-394،،،،! بيهقی، جلد-2، صفحہ-496،،،،! المعجم الكبير الطبراني، جلد-3، صفحہ-148،،،! منتخب مسند حميد بن حميد، جلد-1، صفحہ-73،،،! وغيره}
Note-Iske Silsilae Sanad Me Bhi Eik Zaeef Rawi ibraheem Bin usman Maujood Hai..
Jabki 8 wali Hadees Me 2 Zaeef Rawi Hain,,
Khulasa Ye Ki Huzoor صلى الله عليه Se Taraveeh Ki 20 Ya 8 Rakat Sarahat Ke Saath Kisi Sahi Hadees Me Maujood Nahi Hai.
Aur 20 Rakat Padhna Sahaba Wa Tabaeen Aur Jumla Ulamae Mohaqqiqeen Se Sabit Hai Aur Jamhoor Ka Yahi Mazhab Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.
Aur 20 Rakat Padhne Ka Saboot Sahi Sanado Se Hazrat Umar Hazrat usman Hazrat Ali & Jumla Sahaba Ke Amal Se Maujood Hai… Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ummat Ko Hukm Farmaya Ki Meri Aur Mere Khulafae Rashideen Ki Sunnat Par Chalo
{جامع الترمذي، أبواب العلم، باب ماجاء في الأخذ بالسنة……إلخ، جلد-4، صفحہ-308، الحديث-2658}
Challenge-
Naam Ke Ahlehadees Hame 8 Rakat Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Kar Dikhayen Aur Eik Marfoo Hadees Is Silsile Me Pesh Karen aur is Faqeer Kaleem Razvi Se Muh Manga Inam Lete Jaye..
Insha’Allah Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Ki Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale Gair Muqallideen is Silsile Me Eik Bhi Sahi Sareeh Marfoo Hadees Me Huzoor Ke Amal Se Ramzan Me 8 Rakat Taraveeh Padhne Ki Hadees Pesh Kar Payen…..
Kyu Ki inke Shaikhul islam IBNE TAIMIYAH  Hambali Ne Khud Iska IQRAR Kiya Hai. 
من ظن ان قيام رمضان فيه عدد معين مؤقت عن النبي صلى الله عليه وسلم لا يزاد عليه ولا ينقص فقد أخطأ

TARJAMAH-
Jo Ye Samjhe Ki Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Silsile Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Koi Muta’aiyyan (Fixed) Adad Manqool hai Jisme Na Kuch Kam ho Sakta hai Na ziyadah Wo Galti Par Hai
{مرقات، ج-٢، ص-١٧٥)

inke Ek Aur Bade Allama Qazi Shokani Likhte Hain.
والحاصل الذين دلت عليه احاديث الباب وما يشابهما هو مشروعية القيام فى رمضان والصلوة فى جماعة وفرادى فقصر الصلوة المسماة با لتراويح على عدد معين وتخصيصها بقرأة مخصوصه لم ترد به سنة

TARJAMAH-
Ramzan ka Qayam (taraveeh) Mashroo Hai, aur Namaz Jamat Se Padhi Jayegi aur Tanha Bhi, Pas Taraveeh Ko Kisi Muta’aiyyan Adad ke Sath Khas Karne  Aur Kisi Bhi Qirat Se Khas Karne Ki Koi Hadees Maujood Nahi
{نيل الاوطار، ج-٣،، ص-٥٣}

Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Taraweeh With Proofs Are Available On Ramzan Page)

Challenge To​ All Badmazhab Ahle Khabees/Wahabi To Prove 8 Rakah Tarawih Salat

25 Lacs Reward Declared By Fikr-E-Raza Management & Radde Whabiyat 24.

Prove Tarawih 8 Rakah Salat From Bukhari Shareef & Take This Reward Of 25 Lacs Indian Rupees.

We Know They Can’t Prove Till The Day Of Judgement.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!