Nikah

Hadees Of Sohbat

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Hazrat Abu Musa Asha’ari Radiallahu anhu se riwayat he ki Huzoor Akdas Sallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya:
Jab koi Aurat Khushboo laga kar logo me nikalti he to woh Aurat Jaaniya(Balatkar karnewali Peshawar) He.

(Abu Dawood Jild 3 Safa 264)


Imame Ahle Sunnat Azimul Barkat Aalahazrat radiallaho anhu ne farmaya
“Sohbat ke waqt apni biwi ke pistan (Stan) muh me lena jaiz he balki nek niyat se ho to sawab ki ummid he.
Agar Aurat dudhwali ho to chusna na chahiye jisse dudh halak me chala jaye aur agar muh me aa jaye aur halak me na jane de to harj nahi ki aurat ka dudh haram he,Najis nahi”

(Fatwa-E-Razviya Jild 9 Safa 72)

ALLAH Rabbul izzat irshad farmata hai:
Rozo ki rato me apni aurat ke pas jana tumhare liye halal hua.

(Kanzul Iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 187)

Hazrat Abijar Radiallahu anhu se riwayat he ki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Pakhane ke mukam me Aurat se Sohbat karna haram hai

(Munsade imame aazam Safa 223)


Hazrat Abu Huraira radiallahu anhu se riwayat hai
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat ki usne yakinan kufra kiya

(Abu Dawood)


Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Allah tala Qayamat ke din aise shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega.
Jisne apni Aurat ke piche ke mukam se sohbat ki

(Bukhari sharif,Tirmizi,Ibne maja)

Tumhari Aurate tumhare liye khetiya hai.
To aao apni khetiyo me jis tarah chaho.
Aur apne bhale ka kam pehle karo.

(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!