Ramzan

Fazilat-E-Taraweeh Hadees Ki Roshni Me

Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Khilafat Ke Daur Me Hazrate Abdur Rehman bin Abdul Qari  رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain Ki Woh Ramzan Ki Raat Me Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Saath Masjid Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Namaz Padhtey Hue Paya Aur Kuch Mil Kar Padh Rahe The.
Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Yeh Dekh Kar Farmaya: Mein Munasib Samajhta Hoon Ke Sab Ko Ek Imam Ke Saath Jama Kar Doon Toh Behtar Hai.
Aap Ne Sab Ko Jama Farmaya Aur Hazrate Ubayy bin Ka’b رضي الله تعالٰی عنه Ko Imamat Ka Huqm Diya.
Aur Phir Ek Aur Raat Me Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Saath Masjid Chala Gaya Aur Humney Logo Ko Imam Ke Pichey Namaz Adaa Karte Dekha.
Is Par Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya :
نِعْمَ الْبِدْعَةُ هَذِهِ،
(Yani Kitni Achchi Biddat Hai)
Reference:
Sahih Bukhari : Hadees 2010
Book ref : 31, Hadees 3
Eng ref. : Vol. 3, Book 32, Hadees 227)
Taraveeh Wo Namaz Hai Jo Ramzane Pak Ke Mahine Me Isha Ki Namaz Ke Bad Ba-Jamat Padhi Jati Hai,
Chunanche Sharahe Bukhari Hazrat Hafiz Hajar Asqalani رحمه الله تعالى Farmate Hain.
سميت الصلوة فی الجماعة فی لیالی رمضان التراويح
Ramzan Ki Raton Me Namaz Ba Jamat Ka Naam Taraveeh Hai
{فتح الباري شرح صحيح البخاري، جلد-4، صفحہ-250}
✒HADEES:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Riwayat Karte Hain….
كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يرغب فى قيام رمضان من غير ان يامرهم فيه بعزيمة فيقول من قام رمضان ايمانا واحتسابا غفرله ما تقدم من ذنبه فتوفى رسول الله صلى الله عليه وسلم والامر على ذلك ثم كان الامر على ذلك فى خلافة ابى بكر وصدرا من خلافة على عمر من ذلك

Tarjamah-
Rasulullah صلى الله عليه وسلم Qayame Ramzan (Taraveeh) Par Ubharte The, Bagair Uski Had Aur Takeed Ka Hukm Diye, Chunanche Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate The, Jisne Ramzan Ki Raton Me imaan O Ehtesab Ke Sath Namaz (Taraveeh) Padhi uske Agle Gunah (sagerah) Muaaf Kar Diye Jayenge, Pas Rasulullah صلى الله عليه وسلم is Dunya Se Tashreef Le Gaye Aur Ye Mamla Chalta Raha Phir Hazrat Abu Bakar Ki Khilafat Aur Hazrat Umar Ki ibtedai Aimmaye Khilafat Me Bhi isi Tarah Raha
(صحیح بخاری، ج-1، ص-269، صحیح مسلم، ج-1، ص-259، سنن ابی داؤد، ج-1، ص-210)

is Hadees E Pak Se Jahan Namaze Taraveeh Ki Fazilat Sabit Hui Wahi Yeh Bhi Pata Chala Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ramzan Me Taraveeh Ka Shaoq Dilaya Magar uski Koi Tadad Rakato Ki Fix Nahi Kee….
Na Koi Takeed Ki is Liye Ki Kahi Ye ummat Pe Farz Na Ho Jaye.. Balki Har Shakhs Ki Himmat Pe Ise Aap صلى الله عليه وسلم Ne Chhoda jisse Jitna Ho sake Padhe Kam Ya Ziyadah Ya Padhe Ya Na Padhe… Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki hayate Zaheri Me Bhi Yahi Halat Rahi Yahan Tak Hazrat Abu Bakar Siddiq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Muddate Khilafat Me Bhi Yahi Haal Raha Phir Hazrat Umar Farooq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ka Zamana Khilafat Aaya, Aap Eik Raat Masjid Me Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Padhte Paya Aur Kuch Log Mil Ke Padh Rahe The… Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Ye Dekh Kar Farmaya Mai Munasib Samajhta Hun Sab Ko Eik imam Ke Sath Jama Kar Dun To Behtar Hai, Aap Ne Sab Ko Jama Farmaya aur Hazrat Ubai Bin Ka’ab رضی اللہ تعالٰی عنہ Ko imamat Ka Hukm Diya Aapne 20 Rakat Taraveeh Logo Ko Ba-jamat Padhai
{صحيح البخاري” كتاب صلاة التراويح، باب فضل من قام رمضان، جلد-1، صفحہ-658، الحديث-2010}
Ye Bada Almiyah Hai Ki Log Ramzan Me Kasrat Se ibadat Ko Haram O Jayez Aur Bid’at Se Tabeer Kar Rahe Hain…..
Qayamat Me Fara’iz Ki Kami Nawafil Se Puri Hogi Aur Hadise Qudsi Me Rab Ka irshad Hai Ki Bandah Nawafil Se Mera Qurb (Nazdeeki) Hasil Karta Hai Magar Ajeeb Mamla Hai Ramzan Me Kuch Log Ziyadh Namaz Padhne Se Rokte Hain Aur Khud Bhi Nahi Padhte Aur Isi Kaam Naam in BE’AQLON Ne Amal Bil Hadees (Hadees Par Amal) Rakha Hai…..
Awwal To Huzoor صلى الله عليه وسلم؛ Se 8 Rakat Namaze Taraveeh Sabit Hi Nahi Hai Uske Bawajood 8 Padhne Wale Aur 20-Rakat Taraveeh Par Challenge Challenge Chillane Wale GAIR MUQALLIDEEN Se Faqeer-e-Hanfi Kaleem Razvi Ka Sirf Eik Sahi HADEES Ka Mutalbah Hai Agar Pesh Kar Sake To Wazan Barabar American Dollar’s & Saudi Riyal inaam Me Dunga…
Gair Muqallideen Ahlesunnat Wa Jamat Par Ye Bohtan Bandhte Hain Ki Hum Quran O HADEES Chhod Kar imamo Ki Baat Mante Hain is Liye Hum Gumrah Hain.

Aur Khud Ke Bare Me Ye Dawa Karte Hain Ki unka Har Amal Quran O Hadees Ke MUTABIQ O MUWAFIQ Hai Aur Wo Quran Aur Sahi Hadees Ke Khilaf Nahi Karte Aur Jo Karte Hain Use Quran Aur Sahi Hadees Se Sabit Bhi Kar Sakte Hain….
20rakat Taraveeh Par Hame Challenge Karne wale Gair Muqallideen Jinka Ramzan Me Ye Amal Hai…
Taraveeh 8 Rakat padhte Hain,
Aur Jamat Ke Sath Padhte Hain,
Chand Nazar Aane Ke Bad Se Shuru Karte Hain,
Isha Ke Faoran Bad Padhte Hain,
Har Masjid Me Pura Mahina Padhte Hain,
2+2 Rakat Se Padhte Hain,
Aur 27wi Shab Ko Taraveeh Me Khatme Quran Karte Hain.
Apne is Amal  Ko Dunya Bhar Ke Tamam Gair Muqallideen Mil Kar Quran Ya Sahi Hadees Ya Sahaba Ke Amal Se Sabit Karen Agar WAQAI Apni Maa Ka Doodh Piya Ho Kisi Kutya Ka Nahi To Sabit Karne Wale Gair Muqallid Ko Hasbe Wada inam Diya Jayega.
“TADADE RAKAT TARAVEEH”
Dunya Ke Sare Gair Muqallideen Bhi Agar Jama Ho Jayen Tab Bhi In’sha Allah 8 Rakat Taraveeh Ba’hisabe Lughat Aur Ahadees Ki Roshni Me Sabit Kar Hi Nahi Sakte, 8 Rakat Ke Silsile Me Gair Muqallideen Jo Hadees Pesh Karte Hain Wo Sahi Bukhari Ki Ye Riwayat Hai.
عن ابی سلمة بن عبد الرحمن انه سأل عائشة كيف كانت صلوة رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان فقالت ما كان يزيد فى رمضان ولا فى غيره على احدى عشرة ركعة يصلى اربعافلا تسأل عن حسنهن وطولهن ثم يصلى ثلاثا
Tarjamah-
Abu Salma Bin Abdur Rehman Ne Hazrat Aishah Se Daryaft Kiya Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ramzanul Mubarak Me Namaz Kaisi Hoti Thi?
Aap Farmati Hain, Aap Ramzan Aur Gaire Ramzan Me 11 Rak’aton Se Ziydah Nahi Padhte The, Pehle 4 Rakat Padhte (ek salam Se) phir Kuch Na Pucho Wo Kitni Haseen Aur Taveel Hoti, Phir 4 Padhte Aur Uske Bhi Husn O Tawalat Ka Haal Na Pucho, Phir 3 Rakat (witr) Padhte The
(صحيح بخارى. ج-١، ص-١٥٤، صحيح مسلم، ج-١،ص-٢٥٤)
Ye Hai Gair Muqallideen Ki Sab Se Badi Daleel Aap Khud Dekhen Kya Is Hadees Se Sarahat Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Ho Rahi Hai?
1= Hazrat Aisha Siddiqah رضى الله تعالى عنها Farma Rahi’n Hain Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ramzan Aur Gair Ramzan Me Hamesha Mamool Tha 11 Rakat Padhne Ka, Kya Taraveeh Saal Bhar Padhi Jati Hai????
2= is Hadees Me 4+4 Rakaton Ko eik Salam Se Padhne Ka Zikr Hai Jab Ki Taraveeh Me 2+2 Rakat Par Salam Phera Jata Hai, Phir Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Kaise Hui?
3= Aur Is Hadees Me Huzoor Ka Tanha 11 Rakaten Padhna Sabit Hai Jab Ki Huzoor Ne 3 Din Taraveeh Jamat Se Ada Farmai  iski Hadees Aage Aarahi Hai….
4= Ye Hadees Taraveeh Ke Muta’alliq Nahi Balki Tahajjud Se Muta’alliq Hai Chunki Tahajjud Hi Ramzan wa Gair e Ramzan Me Padhi Jati Hai….. Aur Jise Tahajjud Padhni Ho uske Liye Afzal Ye Hai Ki wo Witr Ko Tahajjud Se Milaye Huzoor Ne 8 Tahajjud Aur 3 Witr is Tarah 11 Rakat Ada Farmai.
5=Agar Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Hi Hai To Gair Muqallideen Batayen Sahi Muslim, Abu Dawood, Tirmizi,  Nisai, Sahi Ibne Khuzaimah Motta imam Malik Me Ye Hadees Taraveeh Ke Bayan Me Kyun Nahi NAQL Ki Gai???
Khud Gair Muqallideen Ke imam O Peshwa ibne Qaiyyim Hambali Ne Apni Mash’hoor Kitab Zadul Mee’aad Ke Volume-1, Page-86 Me Ye Hadees Tahajjud Ke Bab Me NAQL Kee Hai.
Sharahe Bukhari Allama Ibne Hajar Asqlani رحمه الله تعالى is Hadees Ke Hawale Se Farmate Hain
قال القرطبي اشكلت روايات عائشة على كثير من اهل العلم حتى نسب بعضهم حديثها الى الاضطراب
imam Qartabi Ne Farmaya Hazrat Aisha Ki Riwayat Se Bahot Se Ahle ilm Ko Mushkilen Aai, Yahan Tak Ki Unme Se Baz Ne Use IZTERAB Ki Taraf Mansoob Kar Diya
(فتح الباری،  ج-3، ص-21)
Jab Hadees Hi Muztarib Ho To Usse Gair    Muqallideen Kaise 8 Rakat Ko Finally  Adad Qarar De Rahe Hain?
Iske ilawah Jo 8 Rakat Taraveeh Ki Riwayaten Hain wo sab Zaeef Aur Na Qabile istedlal Hain is Liye unka Zikr Aur Tafseel Zaruri Nahi Gair Muqallideen Ki Sab Se Mazboot Daleel Yahi Hadees Hai……..
Aaj Kal Gair Muqallideen Kehne Lage Hain Sahab Taraveeh Aur Tahajjud Ek Hi Namaz Hai. Ajeeb Baat Hai Jo Tahajjud Ki Namaz 11 Maah Nafl Rahi, Jo Ghar Me Padhi Jati Rahi, Rat Ke Akhri Hisse Me Padhi Jati Rahi, Aur Akle Padhi Jati Rahi, Wo Achanak Ramzan Me Pahoch Kar Sunnate Mo’akkeda Ho Gai?
Ba Jamat Padhi Jane Lagi Aur Uska Naam 11 Maah Tahajjud Tha Aur Ramzan Me Taraveeh Ho Gaya?
Koi Apni Biwi Ko 11 Maah Biwi Kahe 1 Maah Amma Kahe To Chalega?
Inke insano Wali Khopdi Me AQAL To Gadhon Wali Hai Aur Dawa Hai Quran Fehmi Aur Hadees Daani Ka..
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Taraweeh With Proofs Are Available On Ramzan Page)


Challenge To​ All Badmazhab Ahle Khabees/Wahabi To Prove 8 Rakah Tarawih Salat


25 Lacs Reward Declared By Fikr-E-Raza Management & Radde Whabiyat 24.


Prove Tarawih 8 Rakah Salat From Bukhari Shareef & Take This Reward Of 25 Lacs Indian Rupees.


We Know They Can’t Prove Till The Day Of Judgement. 



Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!