Ramzan

Zakat Ka Bayan Aur Zakat Ki Ahmiyat

Zakat San 2 Hijri Me Musalmano Par Farz Hui. Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Nek Aur Pehle Hi Miskino Ke Hamdard Garibo Ke Bahi Khwah Darmando Ke Gamgusar The. Islam Me Shuru Se Hi Garibo Ki Madad Karne Par Tawajjoh Dilai Jati Thi. Par Iske Liye Koi Mukammal Qayda Nahi Tha. Daulatmand Jo Bhi Karte Apne Dilse Karte The. ALLAH Subhan Wa Ta’ala Ne Zakat Ko Islam Ka 3ra Rukn Karar Diya Aur Ab Musalmano Par Zakat Farz Hui.
ALLAH Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai,
Magar wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le
Hadees:
2 Aurten Huzoor Ki Khidmat aqdas me Hazir Hui,
Unke Haton Me Sone Ke Kangan The.
Huzoor Ne irshad Farmaya Kya Tum Inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki ALLAH Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi.
Farmaya To Zakat Ada Karo
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}
QUR’AN:
AYE IMAANWALO!
HUM NE JO TUMHE RIZQ DIYA HAI
US ME SE KHARCH KARO.
(PARA-2 SURAH-BAQRAH AAYAT-254) 
Mas’ala:
Zakat Farz Hai Uska inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar,
Aur Mardudushsha’hadah Hai (yani agar wo kisi mamle me Gawahi De To uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}
Zakaat Waajib Hone Ki Sharte:
1. Musalman hona
2. Baalig hona
3. Aaqil hona
4. Aazaad hona
5. Maalike nisab hona
6. Pure taur par Maalik hona
7. Nisab ka den se farig hona
8. Nisab ka Hazate Asliya se farig hona
9. Maal ka nami hona
10. Saal guzarna
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 192)
Hajat-E-Asliya Ye Hai:
•Maqan
•Samaan-E-Khanadari
•Pehenne Ke Kapde
•Khadim
•Sawari Ka Janwar
•Hathiyar
•Ahle ilm Ki Kitaabe
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 206)

Mas’ala:
Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai,
Sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya,
Haan Agar Khana Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, isi Tarah Zakat ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya,
To Ada ho gai
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}
Mas’ala:
Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,
• Musalman Hona.
• AAQIL (AQL WALA) HONA.
• BALIG HONA.
• AZAD HONA.
• MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA
AUR
• WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
• Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
• Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}
Mas’ala:
Jo Maal Girwi Rakha Gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo Girwi Raha.
{Bahar-E-shariat, Hissa-5, Safa 877}
Mas’ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Bad Uske Pas Nisab ke Barabar Maal BAQI Nahi rehta To Uspe Zakat Nahi
{Fatawa Hindiya, Volume-1, page-172}
Mas’ala:
Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai,
• Sona Chandi,
• Tijarat Ka Maal,
• Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe fiqah)
Zakat Ke Masle Bariki Se Apne Shehar Ke Sunni Aalim Aur Mufti Se Janle.
Aur Sahi Zakat Sahi Logo Ko Ada Kare.
Zakat Ke Bohotse Masle Humari Site Par Aap Padh Sakte Hai.
Ramzan Page Par Visit Kare.
Talib-E-Dua
JazakALLAHU Khair

Donate Your Zakat To Hamare Nabi Blog.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!