Aqaid-E-Ahle Sunnat

Firqa Kisne Banaya Aur Firqo Ki Pehchan

Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Jaisa Ke Hamare Kuch Log Kehte Hai Ke Mera Koi Firqa Nahi. Firqaparasti Jaiz Nahi. Me Sirf Musalman Hu. Aise Jaahilo Ke Liye Yaha Bahawala Post Likh Raha Hu. 73 Firqe Hone Ka Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Zamane Mubarak Me Ilm-E-Ghaib Ko Zahir Kar Diya.  Ab Jo Iska Inkar Kare Wo Farmane Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Munkir Hai. Ab Kuch Log Kehte Hai Ek Ho Jao. To Un Logo Se Mera Yahi Kehna Hai Ke Hamne Kisiko Alag Nahi Kiya Firqe Me Nahi Banta. 1400 Salme Ek Hi Jama’at Ahle Sunnat Hi Par Sab Qayam The. Kuch Aqal Ke Paidal Nasal Ke Gande Apne Sade Gale Galeez Aqaid Ki Gandagi Is Duniya Me Failaye. Aur Khud Apne Naye Firqe Bana Liye Hai. Qur’an-E-Kareem Wa Hadees Se Ek Baat Sabit Hai Ke Ek Hi Firqa Hamesha Haq Par Rahega In Sha ALLAH Chahe Jitne Ikhtelaf Ho Jaye Duniya Me Wo Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Maslake Aalahazrat Hai.
Ye Log Sirf Ahle Sunnat Se Fatiha Darood Salato Salaam Aur Dargah Jane Par Ikhtelaf Nahi Rakhte. Ye Inke Baatil Kufriya Aqeede Ki Buniyad Par Alag Jama’at Qayam Kiye Hai. Isliye Aqaid-E-Ahle Sunnat Ka Sikhna Behad Zaroori Hai. Aqaid-E-Ahle Sunnat Par Behtarin Kitab Play Store Se Hamare Nabi Download Kijiye. Is Kitab Ko Khoob Share Kare Ki Logo Ki Islah Ho.
Is Ummat Ka Firqon Me Batna Girohon Me TAQSEEM Hona MUQADDAR Ho Chuka Hai, Aur Jo Kahe Main FAQAT MUSALMAN Hun Mera Koi Firqah Nahi Hamare NAZDEEK WO BATIL FIRQON Ka Majoone Murakkab Yani MUNAFIQ Hai.
Beshak islam Hi Deen E HAQ Hai Lekin Islam Par Amal Ahlesunnat Wa Jamat Ke Bina Mumkin Hi Nahi Hai,,
Huzoor E Pak ﷺ Ne Is ummat Ke Girohon Aur FIRQIN Me Batne Ki Peshangoi Pehle Hi Farma Dee Hai, Agar Ye FIRQA Bandiyan Na Hoti To Deene Islam Ko Pehchan Ke Liye Ahlesunnat Ka Naam Bhi Nahi Diya Jata, Chunki Ye Tamam Batil Firqe Musalmano Me Hone The, Ye Sab Quran O Hadees Ka Naam Le Kar Uthne Wale The, Ye Sab ALLAH Wa Rasool ﷺ Ke Deen Par Chalne Ka Dawa Karne Wale The Lihaza Zaroori Hua Ki Jab Sabhi islam Ka Naam Lekar Uthe’n To Unme WAQAI Jo HAQ Par Ho use Eik Khas Naam Se Pukara Jaye Aur BAQI Tamam Batil Firqon Ki Nishaniyan Bhi Batai Jaye….
Phir Wo Jamat Jo HAQIQATAN ALLAH Wa Rasool Ke Deen Ke Taabe Rahi Use Ahlesunnat Wa Jamat Ka Naam Diya Gaya, Aur Aisa Hargiz Nahi Hai Ki Ye Naam Kisi Molvi Maulana Ya imam O Mujtahid Ka Diya Hua Ho, Balki iski Asl Quran O Hadees Me Maujood Hai Aur Ye Naam Khud ALLAH Ke Pyare Mehboob ﷺ Ne Ata Farmaya……
Huzoor Farmate Hain.
وان بنى إسرائيل تفرقت على ثنتين وسبعين ملة وتفترق امتى على ثلاث وسبعين ملة كلهم فى النار، الا ملة واحدة قالو من هى يا رسول قال ما انا عليه واصحابى
Tarjamah:
Bani isra’eel 72 Firqon Me Bat Gaye The Meri ummat Zaroor 73 Firqon Me TAQSEEM Hogi, unme Se 72 Dozakhi Honge Sirf Eik Hi Firqa Jannati Hoga, Sahaba Ne Arz Kiya Wo Kaunsa Firqa Hoga ?
Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Jis TARIQE Par Main Aur Mere Sahaba Hain Us Par Qa’im Rehne Wale
{مشكوة شريف، باب الاعتصام بالكتاب والسنة صفحه-٣٠،، ترمذی شریف، جلد-٢، صفحه-٨٩،، ابو داؤد شریف، جلد-٢، صفحه-٢٧٥،، ابن ماجه شريف صفحه-٢٩٦}
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Beshak Bani Israyeel Ke Bahattar (72) Firke Ho Gaye The Aur Meri Ummat Ke Tihattar (73) Giroh Ho Jayenge Jinme Se 72 Giroh Dozakhi Honge Aur Ek (1) Giroh Jannati Hoga
Sahaba-E-Kiraam Ne Arz Kiya Ki, Ya Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam! Wo Ek Jannati Giroh Kaun Hoga?
Humare Pyaare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tariqe Par Hoga

(جامع ترمذی، ج2، ص93)

(مشکٰوت، باب الاعتصام، ص31)
Hazrat Mulla Ali Qari Rehmatullahi Ta’ala Alaih Is Hadees Paak Ko Bayaan Karke Farmate Hain Ki,
Is Baat Mein Koi Shako Shuba Nahin Ki Wo Jannati Giroh Ahle Sunnat Wa Jama’at (Sunni) Hi Hai

(مرقات، شرح مشکٰوت، ج1، ص248)
Imamul Auliya Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Irshad Farmate Hain Ki,
Jo Giroh Najaat Paane Waala Hai Wo Ahle Sunnat Wa Jama’at Hai

(غنیتہ الطالبین، ص164)
Hujjatul Islam Sayyiduna Imam Ghazali Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ahle Sunnat Wa Jama’at Ke Baare Mein Farmaya Ki Jis Tariqe Par Main Aur Mere Sahaba Hain

(احیاء العلوم، ج3، ص161)

(الملل والنحل للشھر ستانی، ج1، ص13)
Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Deen -E- Islam Mein Sawaad -e- Aazam (Wo Badi Jama’at Jo Najaat Paane Waali Hai) Se Murad Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Hai

(اشعت اللمعات، فارسی، ج1، ص141)
Imamul Hind Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Farmate Hain Ki,
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sawaad -e- Aazam Ki Itteba Karne Ka Hukm Irshad Farmaya Aur Ab Siwaye In 4 Mazahib (Hanfi, Shafayi, Hambali Aur Maaliki) Ke Sab Khatm Ho Gaye To Ab Inki Itteba Karna Hi Sawaad -e- Aazam Ki Pairwi Karna Hai Aur Isse Baahar Hona Sawaad -e- Aazam Se Katna Hai

(عقد الجید، ص33)
Ek Riwayat Mein Hai Ke Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Najaat Paane Waala Giroh Hai

(الملل النحل، ج1، ص20)
Ek Riwayat Mein Humare Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Wo Hoga Jo Meri Ahle Bait Ki Muhabbat Mein Marega

(تفسیر ابن عربی، ج2، ص212)
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ye Bhi Irshad Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Ke Chehre Safed Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge

(تفسیر در منثور، ج2، ص76)
Qazi Sanaullah Panipatti Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Ahle Sunnat Ke Chehre Raushan Honge Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge

(تفسیر مظھری، ج2، ص116)
Hazrat Abdullah Bin Abbas Ka Bhi Irshad Hai Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Ke Chehre Safed Aur Noorani Honge Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge

(تفسیر ابن کثیر، ج1، ص390)
Imam Muhammad Bin Sireen Tabayi Farmate Hain Ki,
Sahaba -e- Kiraam Sanad -e- Hadees Ki Tehqeeq Nahin Karte The Lekin Jab Deen Mein Fitne Paida Huye To Log Sanad Ki Tehqeeq Karne Lage Aur Jis Hadees Ki Sanad Mein Ahle Sunnat Raawi Hote To Use Qubool Karte Aur Agar Ahle Bidd’at Raawi Hote To Use Chhod Dete

(مقدمہ صحیح مسلم، ج1، ص9)
Imam Jalaluddin Suyooti Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Faqeeh Ismayeel Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki Maine Khwab Mein Haafiz Abu Hakim Ahmad Ko Dekha Aur Puchha Ki Tumhare Nazdeek Najaat Paane Waala Firqa Kaun Sa Hai?
Unhone Kaha Ki “Ahle Sunnat”

(شرح الصدور، ص140)
Is Hadees Ke Aakhiri Jumle Mein Gaur Karein Ki Allah Ke Nabi Ne Irshad Farmaya Ki,
Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tariqe Par Hoga
(Whatever I Am Upon And My Companions)
Yani Jo Meri (Sunnat) Aur Mere Sahaba Ke Tariqe (Jama’at) Par Hoga
Is Hadees Se Ye Baat Waazeh Ho Gayi Ki Humari Jama’at Ka Naam (Title) Humein Kahin Aur Se Nahin Mila Balki Humein Allah Ke Rasool Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ye Naam Diya Hai Aur Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Ahle Jannat Hai
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Mukhalif Door Ho,
Hum Rasoolullah Ke Jannat Rasoolullah Ki
—Imam Ahmad Raza Qadri Barelvi

(حدائق بخشش)
Bholi Bhali Awam Ko Khushnuma Naaro Ke Zarye Yun Behkaya Jata Hai…
ALLAH Aur Rasool ﷺ Ka Kalma Padhne Wale Sab Musalman Hain Aur Apas Me Bhai Bhai Hain, Quran Ne Hame Islam Par Chalne Ki Takeed Ki Firqon Me Batne Se Mana Kiya,, Sahaba Sirf Musalman The Sunni Wahabi Deobandi Nahi, Lihaza Mera Koi FIRQAH Nahi Main Sirf Musalman Hun Aur Main Har Us Shakhs Ko Musalman Janta Hun Jisne ALLAH Wa Rasool ﷺ Ka Kalma Padha,Quran Hame Kehta Hai..
“ALLAH Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aur Apas Me Phoot Na Dalo”

(القرآن الكريم)
Sunne Me Ye Baten Kitni Bhali Maloom Hoti Hai Aur Aam Logon Ka isse Muta’assir Hona Bhi Ta’ajjub Ki Baat Nahi,,,
Hum Puchte Hain Kya Sirf Zabani Dawe Se Islam Ke TAQAZE Pure Honge????
Zuban Ko Harkat Dee Aur Kalime Ka Wird Kiya To Musalman Ho Gaya???
Dr IQBAL Kehte Hain.
Zuba’n Se Keh Bhi Diya LA ILAH To Kya Hasil.
Dil O Nigah Musalman Nahi To Kuch Bhi Nahi
Log Keh Rahe Hain Ke Hum Ahle Sunnat Ke Logon Ne Musalmano Ko Firqon Main Baant Dala Aur Aaj Bhi Firqe Banake Ummat Ko Taqseem Kar Rahe Hai…Haqeeqat Bilkul Alag Hai.
● Wo Mohammad Ibn Abdul Wahab Najdi Tha. Jisne 250 Saal Pehle “Wahabism” Firqa Paida Kiya.
● Wo Rasheed Ahmad Gangohi Tha 
Jisne 1860’s Me “Deobandi” Firqa Paida Kiya.
● Wo Ilyas Khan Dehlvi Tha 
Jisne 1926 Mein “Tablighi Jama’at” Banaya. Jo Deobandi Ka Propagative Branch Hai.
● Wo Abul Ala Maududi Tha 
Jisne 1942 Mein “Jamat e Islami” Firqa Paida Kiya.
● Wo Edip Yüksel Tha 
Jisne 1986 Mein “Ahle Qur’an” Firqa Paida Kiya.
Ye Tamaam Mardood Log The Jinhone Naye Naye firqe Banakar Muslims ko Divide Kiya Aur Ahle Sunnatul Jamaat Ko
Mushrik o kaafir Qaraar Diya.
Sunniyat To Alhamdulillah, 
1400 Saal Se Hai Aur Jabse Jo Chalraha Hai Jise Aaj Duniya Maslake Aala Hazrat Ke Naam Se Jaanti Hai Yahi Asl Hai Jo Sahaba Ki Sunnat Par Qaim Hai. Aur Hum Usi Par Qayam Hai Aur In sha ALLAH. …!
Ta Qayamat Tak Qayam Rahenge. Ab Aap Khud Hi Faisla Karle Ki Quan Haq Par Hai Aur Kisne Firqe Ijad Kiye Hai. In Firqo Ke Wazood Me Aane Ka Zikr Bhi Hadees-E-Pak Se Sabit Hai. 
Hazrat Irbaaj Bin Sariya Se Rivayat Hai
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Tum Me Se Jo Mere Baad Rahega Jarur Bahot Ektelaf Dekhega Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Lena.”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 42
Kitabu Sunnah,  Hadees : 4607

{English Version – Bookm 42 Hadees :

12}) Gair Mukallid k Albani ne bhi Sahi

Kaha Hai

(Jamai Tirmizi, Book No 41 Kitabul Ilm,

Hadees : 2676 {English : Book 41

Hadees : 32}) Hadees Sahi Hai

(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al

Mukaddama , Hadees : 44 and 45 )

Narration Yahya bin Abu Muta Farmate

hai maine  Irbaaz bin Sariya Se Suna Ke

Nabi Ne Farmaya

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad,

Vol 04, Pg : 127)

(Sunan Darimi Vol : 01, Hadees : 96)

(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg

: 164, Hadees 129)

(Mishkat Al Masabih, Vol : 01, Hadees :

157)
Hadees Se Maloom Hua ummat Ka Firqon Me TAQSEEM Hona Taye Ho Chuka Hai, Aur HAQ Par Eik BAQI Sab Batil Par…
Huzoor ﷺ Ne Ye Kyun Nahi Farmaya Jo Jannati Honge Wo Musalman Honge Unki Jamat Islam Hogi???
is Liye Aisa Nahi Farmaya Chunki Sabhi islam Ke Dawedar Honge Sabhi Ba’zome Khesh (Apne Khayal Me) Jannati Honge, To Zaroori Hua Ki Jannati Jamat Ko Eik Naam Diya Jaye Aur Usi Naam Ki Jamat Wale Afraad HAQIQATAN ISLAM Par Honge……
73 Firqon Wali Hadees Ki Sharah Ulmae Islam Muhaddiseen E izam Se Suniye Hujjatul islam Sayyedna imam Gazali رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Farmate Hain…
الفرقة الناجية هم الصحابة فانه عليه السلام، لما قال الناجى منها واحدة قالو يا رسول الله ومن هم قال اهل السنة والجماعة فقيل وما اهل السنة والجماعة قال ما انا عليه واصحابى
Tarjamah-
Sahaba Ki Jamat Firqah Naaji (Najat Pani Wali) Hai, is Liye Ki Jab Huzoor ﷺ Ne FIRQAH NAJIYE Ke Muta’alliq Farmaya To Sahaba Ne Pucha Wo Kaunsa Firqah Hai? To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ahlesunnat Wa Jamat Hai, Sahaba Ne Pucha Ahlesunnat wa Jamat Kaun Hain Huzoor Ne Farmaya Jis TARIQE Par Mein Aur Mere Sahaba Hain

{احياء العلوم جلد-٣، صفحه-١٦١، الملل والنحل للشهر ستانى، جلد-١، صفحه-١٣}

Aqaid-E-Ahle Sunnat Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein Jaane. Download Kijiye Is Nachiz Ki Likhi Ek Kitab “Imaan Ki Jaan Muhabbat-E-Rasool”

Kitab Ko Khoob Share Kare. Apne Sath Sabka Imaan Bachaye. 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!