Bazme Faizan-E-Raza

ALLAH Ta’ala Ki Zaat Wa Sifaat Ke Mutalliq Aqaid

“Tum Farmao Woh ALLAH Hai Woh Ek Hai. ALLAH Be Niyaz Hai. Na Uski Koi Aulaad Aur Na Woh Kisi Se Paida Hua. Aur Na Uske Jod Ka Koi.”
(Qur’an-E-Kareem, Para 30, Sure Ikhlas, Aayat 1-4, Tarzuma Kanzul Imaan)

ALLAH Ta’ala Ek Hai, Uska Koi Shareek (Partner) Nahin, Wahi Ibadat Ke Layaq Hai, Use Kisi Ne Paida Nahin Kiya Balki Wo Khud Hi Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega

Uski Zaat Wa Sifaat Ke Siwa Koi Cheez Na Thi, Phir Sab Cheezein Usi Ne Paida Ki, Ye Uncha Aasman, Wasi Zameen, Chamakta Damakta Suraj, Raushan Chand, Jhilmilate Sitare, Buland Wa Bala Pahad, Bade Bade Samandar, Darya, Sardi, Garmi, Mukhtalif Qism Ke Mausam, Hawayein, Baadal, Barish, Insan, Jinnat, Firishte Algarz Qayenat Ki Har Har Shay Usi Ne Paida Ki Hai

“ALLAH Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahi. Wah Aap Aur Auro Ka Qaaim Rakhnewala. Aur Na Ungh Aaye Na Nind. Usika Hai Jo Kuch Aasmano Mein Hai Aur Jo Kuch Zameen Mein. Wah Kaun Hai Jo Uske Yaha Sifarish Kare Be Uske Huqm Ke. Jaanta Hai Jo Kuch Unke Aage Hai Aur Jo Kuch Unke Piche. Aur Wah Nahi Paate Uske Ilm Mein Se Magar Jitna Wah Chahe. Uski Kursi Mein Samaye Huve Hai Aasman Aur Zameen. Aur Use Bhaari Nahi Unki Nigehbaani Aur Wahi Hai Buland Badhaaiwala.”
(Sure Bakrah, Para 2, Aayat 255, Ruku 34 Tarzuma: Kanzul.Imaan)

Wahi Sab Ko Paalne Wala Hai, Wo Kisi Ka Mohtaj Nahin Saara Jahan Uska Mohtaj Hai, Wo Jo Chahta Hai Karta Hai Koi Use Rok Nahin Sakta, Uske Irade Ke Bagair Koi Kaam Nahin Ho Sakta, Na Wo Kisi Ka Baap Hai Na Beta, Na Uski Koi Biwi Hai, Wo Aisi Tamam Cheezo Se Paak Hai

“Sunlo ALLAH Hi Ki Milq Hai Jitne Aasmano Me Hai Aur Jitne Zameeno Me Aur Kahe Ke Piche Ja Rahe Hai. Wah Jo ALLAH Ke Siwa Shariq Pukar Rahe Hai. Wah To Piche Nahi Jate Magar Guman Ke Aur Wah To Nahi Magar Atakale Daudate. Wahi Jisne Tumhare Liye Raat Banayi Ki Usme Chain Paao. Aur Din Banaya Tumhari Aankhe Kholta. Beshaq! Usme Nishaniya Hai Sunnewalo Ke Liye.”
(Sure Yunoos, Para 11, Aayat 65-67, Ruku 7 Tarzuma Kanzul Imaan)

Wo Hi Maut Aur Zindagi Ka Malik Hai, Wo Har Chahat Par Qadir Hai, Us Mein Har Kamaal Wa Khoobi Paayi Jaati Hai Aur Wo Har Tarah Ke Aib Se Paak Hai, Use Na Neend Aati Hai Na Oungh Na Uktahat Aur Wo Thakawat Jaisi Cheezo Se Bhi Paak Hai

Wo Har Zahir Wa Chhupi Huyi Cheez Ko Jaanta Hai, Har Halki Se Halki Awaaz Ko Sunta Hai Aur Har Baarik Se Baarik Cheez Ko Dekhta Hai Balki Wo To Dil Ke Raazo, Irado, Waswaso Aur Khayalaat Ko Bhi Jaanta Hai

Wo Jism Se Paak Hai, Wo Jise Chahe Izzat De Jise Chahe Zillat De, Wo Achhe Kaamo Se Khush Aur Bure Kaamo Se Naraaz Hota Hai

Wahi Mazloomo Ki Madad Karta Hai Aur Bimariyo Ko Shifa Deta Hai, Uske Ghazab Se Har Dum Darna Chahiye Ke Uski Pakad Bahut Sakht Hai

Wo Kisi Par Zarra Barabar Bhi Zulm Nahin Karta Aur Uska Har Kaam Hikmat Bhara Hai, Wo Maa Baap Se Zyada Meherban Hai, Uski Rehmat Dukhi Dilo Ka Sahara Hai
(بہار شریعت، حصہ1، علامہ مفتی امجد علی اعظمی علیہ الرحمہ)

ALLAH Ta’ala Har Kamaal Wa Khoobi Ka Jaame Hai Aur Har Aib Se Paak Hai Jaise Jhoot Bolna, Dagha, Khayanat, Zulm Aur Behayai Waghaira
(المسامرت بشرح المسایرت، ص393)

Uski Sifaat Zaati Hai Yaani Kisi Ne Ata Nahin Ki Uska Dekhna Aankh Se Nahin, Uska Sunna Kaan Se Nahin,
Uska Kalaam Karna Moonh Se Nahin Wo Jism Se Paak Hai
Har Past Se Past Awaaz Ko Sunta Hai
Har Baarik Se Baarik Cheez Ko Dekhta Hai
(اللہ لا الہ الا ھو الحی القیوم، پ3، ال عمران:2)
(وھو علی کل شیءٍ قدیر، پ7، المائدہ:120)
(ان اللہ ھو السمیع البصیر، پ24، المؤمن:20)

Uski Sifaat Ki Tarah Uska Kalaam Bhi Qadeem Hai
(الفقہ الأکبر، ص28)

Uska Kalaam Na Haadis Hai Na Makhlooq, Jo Quraan Ko Makhlooq Maane Humare Imam-E-Aazam Abu Hanifa Wa Deegar Ayimma Ne Use Kafir Kaha
(منح الروض الأزھر، ص26)
(فتاوٰی رضویہ، ج15، ص384)

Uska Kalaam Awaaz Se Paak Hai
(منح الروض الأزھر، للقاری، ص17)

ALLAH Ta’ala Ghaib Wa Shahadat (Poshida Aur Zaahir) Sabko Jaanta Hai
(ھو اللہ اللذی لا الہ الا ھو علم الغیب والشهادة، پ28، الحشر:22)

Uska Ilm Zaati Hai Aur Ye Uska Khaasa Hai,
Jo Shakhs Ilme Zaati Kisi Ghaire Khuda Ke Liye Saabit Kare Kafir Hai
(الدولت المکیہ بالمادت الغیبیہ، ص39)
(فتاوٰی رضویہ، ج29، ص436)

Wahi Har Shay Ka Khaliq Hai, Sab Usi Ke Paida Kiye Huye Hain
(اللہ خالق کل شیءٍ، پ13، الرعد16)

Haqeeqatan Rozi Pahunchane Waala Wahi Hai, Firishte Waghairahum Sirf Ek Waseela Aur Zariya Hai
(ان اللہ ھو الرزاق ذوالقوت المتین، پ27، الذريت:58)
(فالمدبرات امرا، پ30، النازعات:5)

Har Bhalayi, Burayi Usne Apne Ilm Se Jaan Kar Muqaddar Farma Di, Jaisa Hone Waala Tha Aur Jo Jaisa Karne Waala Tha Usne Apne Ilm Se Jaana Aur Wahi Likh Diya
Ye Nahin Ki Jaisa Usne Likh Diya Waisa Humein Karna Padta Hai Usne Humein Majboor Nahin Kiya
(الفقہ الأکبر، ص40)
(شرح النووی، کتاب الایمان، ج1، ص27)
(شرح السنہ، للبغوی، ج1، ص140)
Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -e- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!