Aqaid-E-Ahle SunnatDurood-O-Salaam

Darood Sharif Aur Salat-O-Saalam Ki Fazilat Hadees Se

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Ye Post Likhne Ke Piche Ka Maqsad Ye Hai Ke Hamare Bhai Beheno Ko Durood-O-Salam Padhne Ki Fazilate Maloom Ho Jaye. Aur Aap Durood-O-Salam Ki Azmat Aur Ahmiyat Ko Jaan Sake. Aajkal Ke 4 Din, 40 Din Chilla Kiye Badmazhab Log Aksar Durood-E-Pak Padhne Ko Biddat Kehte Hai. Inka Kehna Hai Ke Azaan Se Pehle Durood-E-Pak Padhna Biddat Hai. Salato Salaam Padhna Biddat Hai. Ab Ye Aise Makkar Aur Pakhandi Log Hai Ke Inke Nazdik Koi Neta Aaye Uski Tazeem Ke Liye Khade Hona Jaiz Hai. Par Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tazeem Ke Liye Inhe Khade Rehna Gawara Nahi. Dar Asl Haqiqat To Ye Hai Ke Jo Ye Biddat Ki Rat Laga Kar Awam Ko Gumrah Karte Hai. Biddat Ke Aad Me Ye Aapse Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Chin Rahe Hai. Aapko Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tazeem Se Rok Rahe Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Khud Qur’an-E-Kareem​ Me Irshad Farma Raha Hai Ke Mere Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Par Khoob Durood-O-Salam Bhejo. Ab Aap Khud Soche Jo Kisiko Durood-O-Salam Padhne Se Rok Rahe Hai Wo Kya Kar Rahe Hai Farmane Ilahi Ka Inkar Kar Rahe Hai. Jo Farmane Khuda Ka Munkir Ho Uska Kya Hashr Hoga. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ye Shaan Hai Ke Aap Ke Roza-E-Anwar Par 70,000 Farishte Din Rat Durood-E-Pak Padhte Hai. Agar Durood-O-Salam Padhna Shirko Biddat Hota Ma’zALLAH To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Attahiyat Me Kyu Padhne Ka Huqm Diya “Assalamu Alaika Ayyuhannabi Rehmatullahi Wa Barkatuhu” Kyu Qur’an-E-Kareem Me Wo Aayat Nazil Farmayi. Gaur Kijiye Dosto Ye Imaan Ke Chor/Lootere Kahi Aapka Imaan Na Le Jaye Shirko Biddat Ki Aad Me. ALLAH Ka Farman Bada Ya In 4 Kitabe Padhe Jaahil Makkar Namnihad Mullao Ka Kehna Sach Hai. Faisla Aapka.
ALLAH Rabbul Aalameen Ham Sabko Haq Par Amal Ki Taufiq Ataa Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Darood.

Rehmat-E-Aalam Shafi-E-Mehshar Imamul Ambiya Habeeb-E-Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Padhneka Huqm Khud ALLAH Rabbul Aalameen Ne Qur’an-E-Kareem​ Me Farmata Hai,

“Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Daroodo Salaam Bhejte Hai Us Gaib Batanewale Nabi Par, Aye Imaanwalo! Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo”
(Al Quran Surah Al Ahzaab, Para 22, Ayat 56, Ruku 7, Tarzuma Kanzul Imaan)

Is Aayate Mubaraka Ke Nuzool Ka Maqsad Ye Hai Ke Kuffar Aur Munafikeen Ki Toli Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dil Aazari Karte The Jiske Baad ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayate Mubaraka Nuzool Karke Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Wo Makam-O-Martaba Ata Kiya Aur Kaha Ke Agarche Ye Chand Log Hai Jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dil Aazari Karte Hai Jo Dardnaak Aazab Ke Mustahik Hai Par Huzoor-E- Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-O-Azmat To Khud Unka Paak Parwardigar Bayan Farma Raha Hai. Aur Farishto Ko Mukkarrar Kar Rakha Hai Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-E-Akdas Me Duroodo Salam Padhte Hai. Qayamat Tak Aanewale Musalmano Par Bhi Laazim Kar Diya Ke Uske Mehmboob Par Duroodo Salam Bheja Kare.

Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi Radiallahu Anhu Ne Apni Tafseer Ruhool Bayan Me Likha Hai Is Aayate Karima Ke Nuzool Ke Baad Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chehra-E-Mubarak Noor Ki Kirane Lootane Laga Aur Farmaya “Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo Aayate Mubaraka Ata Ki Gayi Hai Jo Mujhe Duniya Wa Maafiha (Yaani Jo Kuch Duniya Aur Isme Hai) Sabse Zyada Mehboob Hai” (Tafseer-E- Roohul Bayan, Volume : 07, Page : 223, Para 22 Surah Ahzab Ayat 56) Is Aayate Karima Me ALLAH Rabbul Aalameen Ka Durood Bhejna Bhi Hai Aur Farishto Ke Saath Saath Hum Musalmano Ko Bhi Durood Bhejna Hai.  Imam Baghawi Ash Shafai Alaihirrahma iske Maane Ko Bayan Farmate Hai “ALLAH Rabbul Aalameen Ke Durood Bhejna Hai REHMAT Naazil Farmana Jabki Farishto Aur Hamara Durood Dua-E-Rehmat Karna Hai” (As Shara Us Sunnah, Volume : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Page : 280)

Kya Pata Chala Ki Durood Aur Salaam Ka Huqm To Khud ALLAH Rabbul Aalameen Ne Diya Hai. Ab Wo Log To Munh Ke Bal Gire Hai Jo Salaam Ko Biddat Kehte Hai. Ma’zALLAH. Dar Asl Salaam Ke Liye Sirf Wahi Khada Hoga Jiske Dilme Apne Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Hogi.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai, 

“Nooh Par Salaam Ho Jahanwalo Me Salaam Ho Ibrahim Par Salaam Ho Moosa Wa Haroon Par Salaam Ho Iliyas Par Salaam Ho Rasoolo Par”
(Sure Saffat, Aayat 79,109,120,130,181, Para-23, Ruku 3-4-5 Tarzuma Kanzul Imaan)

Jab ALLAH Khud Apne Rasoolo Par Salaam Bhej Raha Hai To Hum Ummati Nabiyo Ke Sardar Sallallahu Alaihi Wasallam Par Salaam Bheje To Kaise Shirko Biddat Ho Sakta Hai.. Isiliye Mere Sarkar Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Fazile Bareilly Rehmatullah Alaihi Ne Likha

“Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salaam Shamme Bazme Hidayat Pe Lakho Salaam..”

Hadees No: 1
Hazrath Abdullah Bin Masood Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya Ek Martaba Maine Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ke Samne Namaz Padhi Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ke Saath Hazrath Umar Farooq Radiallahutalaa Anhu Aur Hazrath Abu Bakr Siddiq Radiallahutalaa Anhu Bhi The. Namaz Ke Baad Mai ALLAH TALAA Ki Hamd-O-Sana Ki Phir Durood-E-Pak Padha Phir Meri Jo Bhi Dua Thi Maine Mangi. Phir Huzoor Sallalahu Aaihi Wasallam Neh Farmaya Mango ALLAH  Ta’ala Ataa Farmayega. Mango ALLAH Ta’ala​ Ataa Farmayega.
(Trimizi, Mishkat Page: 87, Aab-E-Kauther English Version Page: 36)

Hadees No: 2
Sarware Qaynaat Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Duniya Se Parda Farmane Ke Baad Bhi ALLAH Rabbul Aalameen Ne Farishte Mukarrar Farmaye Hai Jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Duroodo Salaam Padhte Hai.

Hadees No: 3
Hazrate Ka’ab Se Riwayat Hai Ki Har Din 70 Hazaar (70,000) Farishte Utarte Hai Aur Wo Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabre Anwar Ko Gher Lete Hai. Apne Par Biccha Dete Hai Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Shareef Padhte Rehte Hai. Yahan Tak Ke Jab Shaam Ho Jati Hai To Wo Chadh Jaate Hai (Aasman Par Lout Jate Hai.) Aur Inki Tarah Itne Hi Farishte Aur Utarte Hai Wo Bhi Isi Tarah Karte Hai. Yahan Kak Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Qabre Anwar Se Bahar Tashreef Layenge To 70 Hazaar (70,000) Farishto Ke Zurmooth Me Jalwa Farmayenge Aur Wo Farishte Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pahochayenge (Mishkat Babul Karamat Safa 546) Yahi Hadees Hazrat Nabeeh Bin Wahab Radiallahu Anhu Se Bhi Marvi Hai
(Imam Darmi Ne Sunan Darmi Jild 01 , Page :57 , Hadees : 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia Jild : 5 , Page :390)
(Imam Bahyaki Ne Shuabul Imaan Jild 03, Page: 1018, Hadees :537)
(Ibn kathir Me Tafseer ul Quran Al Azeem Tafseer Ibn Kathir Me Jild 05 Page : 518)
(Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Page : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya)

Is Hadees Ke Peshe Nazar Yaqeenan Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Qabre Anwar Me Ba-Kayeda Baa Hayaat Hai Isiliye To Ye Sab Ehtamam Farmaya Jata Hai Warna Jahan Mitti Ka Dher Ho Waha Farishte Kyun Aayenge.

Hadees No: 4
Kishi Ne Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Se Phucha Ki Kasrat Se Durood-E-Pak Padhneh Ki Aadat Banah Lo Toh. Is Par Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
ALLAH Ta’ala Tumhare Duniya-O-Akhirat Mai Kamiyab Karegha.
(Al-Qual-Ul-Badi Page: 119, Aab-E-Kauther English Version Page: 37)

Hadees No: 5
Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Beshak Tumhara Naam Ba-E-Shanakth Mujh Par Pesh Kiye Jaate Hai Lihaja Mujh Par Ahsaan (Yaani Khubsoorat) Alfaaz Me Durood-E-Paak Padha Karo.”
(Musannif Ibn Abdul Razzak, Volume : 02, Page: 140, Baab As Salato Alan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Hadees : 3116)

Hadees No: 6
Hazrath Abdullah Bin Umar Radiallahutalaa Anhu Ne Farmaya,
Jo Shaks Ek Martaba Durood-E-Pak Durood-E-Pak Partah Hai ALLAH Ta’ala​ Us SHAKS Par ALLAH Ta’ala​ Aur Us Keh Farishte 70 Rehmatein Nazil Farmate Hai
(Mishkat Page: 87, Al Qaul-Ul-Badi Page: 103, Aab-E-Kauther English Version Page: 37)

Hadees No: 7
Asim Bin Ubaidullah Radiallahu Anhu Bayan Famate Hai Unhone Abdullah ibn Amir Radiallahu Anhu Se Suna Ke Unhone Unke Walid Se Suna Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Jo Mujh Par Darood Bhejta Hai To Jab Tak Wo Mujhe Pe Durood Bhejte Rehta Hai Farishte Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe Ya Zyada”
(Sunan ibn Majah, Volume : 01, Page : 490, Kitab No 05 – Kitab Ikamat Al Salat Wa Sunnat, Hadees : 907)

Hadees No: 8
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jo Koi Mera Ummati Kasrat Se Durood-E-Pak Padhtah Hai ALLAH Ta’ala​ Us SHAKS Par 10 Rehmatein Nazil Farmate Hai, 10 Gunah Muaf Farmate Hai 10 Darjeh Buland Farmate Hai.
(Jami At Sagheer Volume: 1 Page: 7, Aab-E-Kauther English Version Page: 37)

Hadees No: 9
Huzoor-E- Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Beshak ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ek Farishta Meri Qabr Pe Mukkarar Farmaya Hai Jisko Tamam Makhlook Ki Awaazein Sunne Ki Takat Di Hai Pas Qayamat Tak Jo Koi Mujhpe Duroode Paak Padhta Hai To Wo Mujhe Uska Aur Uske Baap Ka Naam Pesh Karta Hai Aur Kehta Hai “Fula Bin Fula Ne Aap Par Is Wakt Durood-E-Paak Padha Hai”
(Musnad-E-Bajjar Volume : 06, Page : 200, Hadees : 1320)

Hadees No: 10
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Kasrat Se Durood-E-Pak Padhah Karo. Ba Roz-E-Qayamat Kasrat Se Durood-E-Pak Padnah Se Qayamat Keh Din Noor Hoga.
(Jami At Sagheer Volume 1 Page: 28, Aab-E-Kauther English Version Page: 40)

Hadees No: 11
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood Bheja ALLAH Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai”
(Sahi Muslim Volume : 01, Kitab No 04 – Kitabus Salat, Baab No 17, Page : 216, Hadees : 408)

Hadees No: 12
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Kasrat Se Durood-E-Pak Padhehga Us Shaks  Ko Pul Sirat Par Ek Noor Milega Aur Jiskoh Woh Noor Miljaye Woh Ahle Jahannumi Na Hoga.
(Dalailul Khariat Page: 9, Aab-E-Kauther English Version Page: 40)

Hadees No: 13
Ummool Momineen Ayesha Siddika Tahira Radi Allaho Anha Farmati Hai “Apni Majlis Ko Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Par Duroode Paak Padhke Aarasta Karo.”
(Khatib Bagdadi Ne Tarikh-E-Baghdad Volume : 07, Page :216)

Hadees No: 14
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Kasrat Se Durood-E-Pak Padhta Hoga Qayamat Ki Pareshani Se Bach Jayegha Jisneh Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhah Hoga.
(Al Shifa  Volume​ 2 Page: 76, Al Qaul-Ul-Badi Page: 121, Aab-E-Kauther English Version Page: 41)

Hadees No: 15
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Duroode Paak Padha ALLAH Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai Uske Namaye Aamal Me 10 Nekiya Likhta Hai”
(Jamai Tirmizi Volume 02, Page:28,Kitab No 03 -Kitabul Witr, Hadees : 485)

Hadees No: 16
Qayamat Keh Din Logo Ka Ek Giroh Aayega Hauz-E-Kauser Par Mai Unhe Phechan Longa Kyuki Woh Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhte The.
(Kashful Ghamma Page: 271, Al Shifa Volume​ 2 Page: 76 Al Qaul-Ul-Badi Page: 123, Aab-E-Kauther English Version Page: 42)

Hadees No: 17
Tajdare Madeena Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan hai “Mujh Par Durood Sharif Padh Kar Apni Majalis Aaraasta Karo Ke Tumhara Duroode Paak Padhna Baroze Qayamat Tumhare Liye Noor Hoga”
(Firdosul Akhbar Volume : 01, Page : 422, Hadees : 3149)

Hadees No: 18
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Mujh Par Din Mai 1000 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai Woh Jab Tak Nahi Maregha Tab Tak Ke Khud Ko Jannat Mai Na Dekhle.
(Al Qaul-Ul-Badi Page: 126, Jalaul Udham Page: 27, Al Tarheeb Wat Tarheeb Page: 501, Kashful Ghamma Page: 271, Aab-E-Kauther English Version Page: 46)

Hadees No: 19
Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Baroze Qayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge “
(Jamai Tirmizi Volume 02, Page:28,Kitab No 03 – Kitabul Witr, Hadees : 484)
(Sahi Ibn Hibban Volume : 03. Page : 192, Hadees : 911)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Volume : 02. Page : 212, Hadees : 1563)
(Imam Daylami Al Musnadul Firduas Volume : 01, Page : 81, Hadees : 250)
(Imam Bukhari ne Tareekh Ul Kabeer, Volume : 05, Page : 177, Hadees : 559)
(Khateeb Tabrezi ne Mishkatul Masabeeh Volume : 01, Page : 278, Kitab us Salat, Baab No : 16, Hadees : 293)

Hadees No: 20
Jo Shaks 10 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai ALLAH Ta’ala Us Par 100 Rehmateh Nazil Farmata Hai. Jo Shaks 100 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai ALLAH Ta’ala​ Us Shaks Par 1000 Rehmateh Nazil Farmata Hai Aur Jo Shaks 100 Martaba Se Jyada Durood-E-Pak Padhta Hai Ba Roz-E-Qayamat Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Us Shaks Ki Shafa’at Karenge.
(Al Qaul-Ul Badi Page: 103, Aab-E-Kauther English Version Page: 46)

Hadees No: 21
Rahmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Jisne Kitab Par Mujhpe Durood-E-Paak Likha To Jab Tak Mera Naam Uspar Hoga Farishte Uske Liye Istagfaar Karte Rahenge”
(Imam Tabrani Ne Al Muajamul Ausaat Volume : 01, Page : 497, Hadees : 1830)

Hadees No: 22
Jo Shaks Mujh Par Ek Martaba Durood-E-Pak Padhe ALLAH Ta’ala Us Par 10 Rehmatein Nazil Farmata Hai Aur Jo Shaks 100 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai ALLAH Ta’ala Us Keh Sar Par Jahannum Ki Aag Haram Kar Deta Hai. Is Shaks Ke Sar Par Likh Detah Hai Aur Ba Roz-E-Qayamat Woh Shaks Shaheedo Mai Gina Jayega.
(Al Qaul-Ul-Badi Page: 103, Al Targheeb Wal Tarheeb Volume​ 2 Page: 495, Aab-E-Kauther English Version Page: 47)

Hadees No: 23
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya “Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Duroode Paak Padha ALLAH Uspar 10 Rehmatein Nazil Farmata, 10 Gunaah Mitata Hai Aur 10 Darjaat Buland Farmata Hai”
(Sunan Nasai Volume 03,Page :222, Kitab No 13 – Kitabus Sauh,  Baab No 55 Huzoor Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Par Salat O Salam Bhejne Ke Fazail, Hadees :1297)
(Imam Bukhari ne Al Adabul Mufrad Volume : 01, Page : 225, Hadees : 643) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Volume : 02, Page : 210, Hadees : 1554)

Hadees No: 24
Hazrath Abdur Rahman Bin Auf Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ek Martaba Mai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Ko Gaya Magar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Par Nahi Thay. Phir Maine Dekha Ki Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Sajde Mai Hai. Bohot Der Hogayi Mai Samjah Ki Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ka Wisal Hogaya Hai. Phir Kuch Waqt Baad Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Sajde Mai Se Yeh Keh Kar Uthe Ki ALLAH Ta’ala Ne Farmaya Hai Ki Jo Koi Ummat Mujh Par Ek Martaba Durood-E-Pak Padhe ALLAH Ta’ala​ Us Shaks Par 10 Rehmateh Nazil Farmayega. 10 Gunah Muaf Farmayega.
(Al Qaul-Ul-Badi Page: 105, Al Targheeb Wal Targheeb Volume 2, Page: 495, Aab-E-Kauther English Version Page: 48)

Hadees No: 25
“Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. Hazrat Aboo Darda Radiallahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wassalam!) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)? Aap Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ne Farmaya : “Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi, (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Phir ALLAH Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Ibn Maajah, Volume -01 , Page-524, Kitab No 06 – Kitab Al Janaiz, Hadith-1637)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Volume -10, Page-23, Hadith-2090)

Hadees No: 26
Hazrath Amir Bin Rabeea Radiallahu Anhu Ne Farmaya
Ek Martaba Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam  Ne Khutba Irshad Farmaya,
Unhone Khutba Mai Irshad Farmaya Jo Shaks Kasrat Se Durood-E-Pak Padhta Jataa Hai. Us Par ALLAH Aur Us Ke Farishte Rehmateh Nazil Farmateh Hai.
(Al Qaul-Ul-Badi Page: 114, Aab-E-Kauther English Version Page: 51)

Hadees No: 27
“Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : “Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai”
(Sunan Abu Dawood Volume : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Page : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Page : 101 Hadees: 1374)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume:1 Page: 216-217 Hadees: 589) (Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume 06, Book: As Salah Chapter : 795 Page : 40,Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 445 Hadees: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Page-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 345 Hadees: 1085)
(Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Volume: 26 Page:84 Hadees: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Page : 353 Hadees: 5993)

Hadees No: 28
Hazrath Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Maine Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Se Suna Ki Jo Shaks Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhte Honge Ba Roz-E-Qayamat Mai Us Shaks Ki Shafa’at Karonga.
(Aab-E-Kauther English Version Page: 53)

Hadees No: 29
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
“Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak ALLAH  Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Di Hui Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Uske Salam Ka Jawab Deta Hoon”.
(Sunan Abu Dawood, Jild-02, Page-218, Kitab No 11 – Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab – Ziyarate Kaboor, Hadith-2041)
Albani Ne Bhi Ks Hadees Ko Hasan Likha Hai.
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Page-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Page-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Page-245, Hadith-10050, & Shuab-ul-Iman, Jild-02, Page-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Page-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,  Jild-02, Page-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa’id, Jild-10, Page-162)

Hadees No: 30
Hazrath Aishah Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Qayamat Ke Din ALLAH Ta’ala​ Us Shaks Se Razi Aur Khush Hoga Jisne Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padha Hoga.
(Al Qaul-Ul-Badi Page: 122, Kashful Ghamma Page: 271, Sa’adat Ud Darain Page: 79, Aab-E-Kauther English Version Page: 54)

Hamare Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Roza-E-Anwar Me Ba Hayat Hai Aur Hamara Salaam Sunte Hai Aur Jawab Dete Hai. Imaame Ahle Sunnat Mujaddide Deeno Millat Imaam Ahmed Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Irshad Farmate Hai.
“Door-O-Nazdeek Ke Sunnewale Wo Kaan, Kaane Laale Karamat Pe Lakhon Salaam” “Hum Yahan Se Pukare Waha Wo Sune Mustafa Ki Sama’at Pe Lakho Salaam”

Hadees No: 31
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Agar Tum Kuch Yaad Na Aya Toh Mujh Par Durood-E-Pak Padho Tumhe Yaad Ajayega.
(Sa’adat Ul Darain Page: 57, Aab-E-Kauther English Version Page: 54)

Hadees No: 32
Hazrat Ali ibn Abu Talib Radiallahu Amhu Se Rivayat Hai Ke Shafi-E-Mehshar Imaamul Ambiya Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya ”Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha”
(Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 551, Kitab No 48 – Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3546)

Hadees No: 33
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Mera Ummati Kasrat Se Durood-E-Pak Padho Kyuki Qabar Mai Phela Sawal Mera Hi Bareh Mai Hogah
(Sa Adat Ud Darain Page :59. Kashful Ghamma Page :269 Aab E Kauther Page: 58)

Hadees No: 34
Ameerul Momineen Farooque-E-Aazam Radiallahu Anhu Irshad Farmate Hai
“Dua Aasman Aur Zameen Ke Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje”.
(Sunan Tirmizi, Volume : 02, Kitab No 03 -Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja’aa Fi Salatun Alan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Page : 29, Hadees: 486)

Hadees No: 35
Kasrat  Se Durood-E-Pak Padhne Ki Fazilat Yeh Hai Ki Durood-E-Pak Padhte Padhte Gunah Muaf Hote Rehte Hai.
(Dalail Ul Khariat Page: 13, Aab-E-Kauther English Version Page: 58)

Hadees No: 36
“Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya”.
(Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Volume : 03, Page : 128, Hadees : 2887)

Hadees No: 37
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Kasrat Se Durood-E-Pak Padhoo Ba Roz-E-Qayamat Mai Us Shaks Ki Shafa’at Karunga.
(Al Targheeb Wal Tarheeb Page: 504, Aab-E-Kauther English Version Page: 59)

Hadees No: 38
Ameerul Moineen Sher-E-Khuda Maula Ali Karmallahu Wajjuhal Karim Radiallahu Anhu Farmate Hai “Har Shaks Ki Dua Parde Me Hoti Hai Yaha Tak Ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Aale Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood-E-Paak Padhe”.
(Imam Tabrani – Al Majmaul Ausat Volume :01, Page : 211 Hadees : 271)

Hadees No: 39
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Agar 2 Dost Milte Hai Haath Milte Waqt Mujh Par Durood-E-Pak Padhteh Hai To Woh Dono Ki Maut Se Phele Unke Gunah Maaf Hojate Hai.
(Nauzhat Un Nazireen Page: 31, Sa’adat Ul Darain Page: 77, Al Zawajir Page: 117, Aab-E-Kauther English Version Page: 60)

Hadees No: 40
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya “Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya”.
(Sunan Ibn Majah, Volume : 01, Page : 294, Kitab Iqamat-Us-Salat Was-Sunnah Fiha Hadees : 908)

ALLAHU Akbar ! Duroodo Salaam Padhne Se Roknewale Gouro Fikr Kare

Hadees No: 41
Hazrath Zaid Radiallahut Anha Ne Farmaya Ek Martaba Mai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ke Saath Tha. Aapki Bargah Me Ek Aadmi Aaya Aur Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Se Musaafa Kiya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mai Dekh Raha Hu Ki Jannat Mai Farishte Bohot Khush Ho Rahe Hai. Tumne Aisa Kya Padhah. Is Par Us Shaks Ne Kaha Durood-O-Salam Padh Raha Hu Aap Par Ya RasoolALLAH Sallalahu Alaihi Wasallam.
(Sa’adat Ud Darain Page: 64. Aab-E-Kauther English Version Page: 61)

Hadees No: 42
“Hazrat Fadalah Bin Ubayd Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ek Martaba Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Hamare Darmiyan Tashrif Farma They Ki Achanak Ek Shakhs Aaya Aur Usne Namaz Ada Kee Aur Ye Dua Maangi : “Aye ALLAH ! Mujhe Bakhs De Aur Mujh Par Raham Farma.” To Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Aye Namazi ! Tune Jaldi Kee, Jab Namaz Padh Chuke To Phir Sukoon Se Baith Jaao, Phir ALLAH Ta’ala Kee Shayan-E-Shan Us Kee Hamdo Sana Karo, Aur Phir Mujh Par Durood-O-Salam Bhejo Aur Phir Duaa Maango. Raawi Bayan Karte Hain Ki Phir Ek Aur Shakhs Ne Namaz Ada Kee, To Us Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Sana Bayan Kee, Aur Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood-o-Salam Bheja To Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ne Farmaya : “Aye Namazi ! (Apne Rab) Se Maango Tumhein Ata Kiya Jaayega.”
(Sunan Nasai,  Volume : 03, Page : 44, Kitab No 13 – Kitab As Sauh, Baab No 47 Nabi Pe Durood Bhejne Ke Fazail Ka Bayan, Hadees : 1284)
Imam Nasai Ne Is Hadees Ko Sahi Kaha Hai.
(Imam Nasai Al Sunan Al Kubra, Volume : 01, Page: 380, Hadees : 1207) (Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 516, Kitab No 48 – Kitab ud Dua, Baab  No 64, Hadees : 3476)
(Sahi ibn Khuzaima Volume : 01, Page : 351, Hadees : 709)

Akhumdulillah Hum Ahle Sunnat Yani Maslake Hanafi Ka Yahi Tareeqa Hai.

Hadees No: 43
Hazrath Abdur Rahman Bin Samrah Radiallahutalaa Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Aaj Raat Khwab Mai Ek Ajeeb Manzar Dekhah Ki Mera Ek Ummati Pul Sirat Par Gir Raha Hai Maine Pehchan Liya Ki Wo Durood-E-Pak Padhnewala Hai Phir Maine Us Shaks Ka Haath Pakada Aur Pul Sirat Paar Kara Diya.
(Al Qaul Ul Badi Page: 124. Sa’adat Ul Darain Page: 66, Aab-E-Kauther English Version Page: 62)

Hadees No: 44
“Jo Log Apni Majlis Me ALLAH Ka Zikr Kare Aur Nab-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudar Murdaad Se Uthe”.
(Imam Bayhaqi – Volume 02 Page : 210 Hadees: 1070)

Hadees No: 45
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Aye Meri Ummat Mujh  Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padho.  Mujh Par Durood Padhna Ba Roz-E-Qayamat Pul Sirat Par Noor Milhega.
(Sa’adat Ul Darain Page: 68 Aab-E-Kauther English Version Page: 62)

Hadees No: 46
Hazrat Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “Jisne Maahe Ramzan Ko Paaya Aur Iske Roze Na Rakhe Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai.”
(Majma Ul Zawaid – Volume 03, Page : 340, Kitab-Us-Saum,Hadees : 4773)

Hadees No: 47
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Neh Farmaya Aye Meri Ummat Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak​ Padhoo ALLAH Ta’ala Tumhari Dua Khobool Farmayega.
(Sa’adat Ul Darain Page: 68 Aab-E-Kauther English Version Page: 63)

Hadees No: 48
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Habeeb-E-Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha, Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan Ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali, Halaak Ho Wo Shaks Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unki Khidmaat Kar Jannat Na Paa Li”.
(Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 551, Kitab No 48 – Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545)

Hadees No: 49
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Neh Farmaya Agar Koi Shaks Kitab Mai Durood-E-Pak Likhtah Hai Jab Tak Woh Durood-E-Pak Kitab Mai Rahehgah Farishte Uskeh Liye Duwaa Karteh Rahenge.
(Sa’adat Ul Darain Page: 83, Nazhatun Nazireen Page: 31. Aab-E-Kauther English Version Page: 67 )

“Padhe Durood Aap Par Mili Zubaan Isiliye Fida Ho Uske Deen Par Hai Tan Me Jaan Isiliye,
Jo Iske Waste Na Ho Wo Zindagi Fizool Hai, Gulaam Hai Gulaam Hai Rasool Ke Gulaam Hai.”

Hadees No: 50
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Agar Koi Shaks Kitab Mai Durood-E-Pak Likhta Hai To Jab Woh Kitab Padhi Jayegi Us Shaks Ko Sawab Milta Jayega.
(Sa’adat Ul Darain Page: 83, Aab-E-Kauther English Version Page: 67)

Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Gunahgaar (Nazarahmed Khan) Aur Mere Pyare Dost Muhammed Ajaz Quadri Sahab Ke Naam Karna Na Bhoole. Ye Post Likhne Me Ajaz Sahab Ki Badi Madad Hui. Unke Haq Me Khasul Khas Dua Farmaye.

Darood-E-Pak Ki 100 Fazilate Wa Barkate

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!