Ramzan

Ramzan Me Sohbat Hambistari Karna Kaisa

Assalamo Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Aap Sabhi Ko Ramzan Mubarak. ALLAH Ta’ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Hum Sabki Ibadaton Aur Rozon Ko Apni Bargah Me Qubool Farmaye. Is Mubarak Mahine Me Jyada Se Jyada Nekiya Karne Ki Aur Gunahon Se Bachne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Jab Roze Hum Par Farz Hue To Halat-E-Roza Me Hum Par Khane Pine Aur Biwi Se Sohbat Yani Humbistari Se Roka Gaya. Roze Ki Halat Me Hume Inhi (Khana Pina Aur Sohbat / Humbistari) Tino Chizon Ko Chhod Dena Hai. Halate Roza Me Humbistari Se Roza Toot Jata Hai Aur Kaffara Lazim Ho Jata Hai. Uska Bayan Bhi Aage Kar Raha Hu. Isse Bache Ki Ye Bohot Bada Gunah Hai.
Ramzan Ki Raton Me Humare Liye Apni Biwiyon Se Sohbat Karna Halal Hua. Yani Isme Koi Harz Nahi. Yahan Tak Ke Halate Janabat Yani Napaki Me Sehri Karne Ki Ijazat De Di Gayi Hai. Magar Jitna Jald Ho Sake Ghusl Karle. Namaze Qaza Hone Se Gunah Me Izafa Hoga. Napaki Halat Me Jyada Waqt Guzarna Gunah Ka Sabab Hai Aur Jis Ghar Junoob Yani Napak Ho Us Ghar Rehmat Ke Farishte Dakhil Nahi Hote. Lihaza Behtar Yahi Hai Ke Jald Se Jald Paaki Hasil Kare.
ALLAH Rabbul Aalamin Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai
“Rozo Ki Raato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Taubah Qabool Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo Aur Talab Karo Jo ALLAH Ne Tumhare Nasib Me Likha Ho Aur Khaao Aur Piyo. Yaha Tak Ki Tumhare Liye Jaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pou Fat Kar. Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjido Me Etikaf Se Ho. Yah ALLAH Ki Hade Hai Unke Paas Na Jao. ALLAH Yuhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhejgari Mile.”

(Sure Bakrah, Para  2, Aayat 187, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Roze Ki Halat Me Apni Biwi Se Dayre Me Rahenge To Behtar Hai Ke Ye Ek Shaitani Aur Nafs Ka Vasvasa Hai. ALLAH Ta’ala Hum Sabko Shaitan Aur Nafs Ke Shar Se Mehfooz Rakkhe. Aameen. Halate Roza Me Agar Kisine Humbistari Ki To Miya Biwi Dono Ka Roza Toot Gaya Aur Un Par Kaffara Lazim Ho Gaya.
Roze Ki Haalat Me Mard, Aurat Ne Sohbat Ki To Roza Toot Gaya. Ya Mard Ne Aurat Ka Bosa (Kiss) Liya, Gale Lagaya Aur INZAAL (Yani Mard Ki Mani Nikli) Hua To Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya. Jaanbuz Kar Aurat Se Sohbat Kiya Chahe Mani Nikle Na Nikle Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya
(Qanoon-E-Shariat, Jild 1, Safa 135-137)
Ehtlam (Night Fall) Ho Jane Ya Humbistari Karne Ke Bad Nahaya Nahi Aur isi Halat Me Pura Din Guzar Diya To Wah Namazon Ke Chod Dene Ke Sabab Sakht Gunahgar Hoga Magar Roza Ho Jayega.
(Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees)
JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki Balki Agarche Saare Din Junub (Be Gusul) Raha Roza Na Gaya.
(Durr-E-Mukhtaar Jild: 3, Safa: 372)
Apne Haath Se Agar Kisi Rozdar Ne Mani Nikali To Uska Roza Toot Jaata Hai.
(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119)
Aurat Rozdar So Rahi Thi. Sote Me Usse Sohbat Ki Gayi To is Surat Me Uspar Sirf Kaza Lazim Hai. Kaffara Nahi.
(Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar)

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki
Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ki Khidmat Me 1 Shakhsh Hajir Hua Or Usne Arz Ki Ya RasoolAllah Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasllam Mai Halak Ho Gaya
To Huzoor Ne Farmaya “Ki Tujhe Kis Shae (Chiz) Ne Halak Kiya”?
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Roze Ki Halat Me Tha Ki Mai Apni Biwi Se Majama’at Kar Baitha Hun To Nabi-E-Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya Ki
“Gulam Aazad Kar”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai Gulam Aazad Nahi Kar Sakta”
Fir Huzoor Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Ki 2 Mahine Musalsal
Roze Rakh”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai
Yah Bhi Nahi Kar Sakta”
Huzoor Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne FIR Farmaya Ki
“60 Miskinon Ko Khana Khila De Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai To Khud Miskin Hun”
To Nabi E Kareem
Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Baith Ja”
THODI Der Ke Baad 1 Tokra Khujooron Ka Aaya
To Aap Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya Ki
“Sawal Karne Wala Kahan Hain?”
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Hajir Hun”
Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya Ki
“Yah Khujooron Ka Tokra Le Ja Or Madeena Munwwara Ke Gareebon Me Taqseem Kar De
To Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Fir Arz Kiya Ki
“Ya RasoolAllah Madeena Munwwara Me Mujhse Jyada Gareeb Or Miskin Or Kaun Ho Sakta Hain”
To Pyare Aaqa MUSKURAYEN Or Farmaya Ki
“Ja Apne Bchhon Ko Khilade Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
(Bukhari Sharif Jild 1 Page 259, Mishkat Sharif Page 176)
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi4u
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Ramzan Are Available On Ramzan Page)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!