Ramzan

Iftar Ki Fazilat Hadees Ki Roshni Me

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Sahl bin Sa’ad  رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
“Meri Ummat Ke Logon Me Us Waqt Tak Khair Baaki Rahegi Jab Tak Woh Iftar Karne Me Jaldi Karte Rahenge.”
Sahih Bukhari  : Hadees 1957
Book ref : 30, Hadees 64
Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 178
❤ » Hadees : 
Hazrat Salmaan Farsi (Radi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah ﷺ  Ne Irshad Farmaya –
“Jis Ne Halaal Khane Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya Tou Farishtay Maa-e-Ramzaan Ke Auqaat Me UsKe Liye Astaghfar Karte Hai,
Aur Jibreel (Alaihay Salam) Shab-e-Qadr Me Uss Ke Leye Astaghfar Karte Hai”.
(Tibrani Al Mo’ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162)
❤» Hadees : 
Rasool’Allah ﷺ  Farmate Hai Ke,
“Jo Rozdaar Ko (Iftari Me) Paani Pilayega ALLAH Usse Mere Houz Se Paani Pilayega Ke Jannat Me Dakhil Hone Tak Pyasaa Na Hoga”.
(Sahi Ibne Khuzaima, Jild:3, Page:192, Hadith-1887)
Hazrate Syyeduna Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Taajdare Madeena Sallallahu Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hai Ki ALLAH Rabbul Aalameen Ne Irshad Farmaya
” Mere Bando Me Muze Jyada Pyara Wo Hai Jo Iftar Me Jaldi Karta Hai”
(Tirmizi Shareef)
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Salman Farsi رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
“Jis Ne Halaal Khaney Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya Toh Farishtey Maahe Ramazan Ke Auqaat Me Uske Liye Istighfar Kartey Hain, Aur Jibraeil عليه السلام  Shab-E-Qadr Me Uske Liye Istighfar Kartey Hain”.
(Tibrani Al Mo’ajam Al Kabeer, Jild:6, Page:242, Hadith-6162
 Faizane Ramazan (Hindi), Safha 171,  Maktabatul Madina – Hind )
✒HADEES:
Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai… Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi uski Jaza Dunga… Banda apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai…
Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik iftar Ke WAQT Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke WAQT Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai… Aur Roza Dhaal Hai (admi ke liye Bachao ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-hudah Na Bake Na Chillaye… aur jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun
{مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959}
Like Us On Facebook:

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!