Ramzan

Roze Ke Makroohat Ka Bayan

Roze Ke Makruhaat:
Jisse Roze Me Kaharat Aur Sawab Me Kami Hoti Hai

Hadees:
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Roze Me Buri Baat Kehna Aur Uspe Amal Karna Na Chhode To Allah Pak Ko Uski koi Parwa Nahi Ki usne Khana Peena Chhod Diya Hai
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، باب من لم يدع قول الزور والعمل به في الصوم، ج-1، ص-228، الحديث-628}
Hadees:
Farmaya Allah Ke Pyare Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Roza iska Naam Nahi Ki Khane Peene Se Baaz Rahe
Roze Me To Lagu (bekar) aur Behudah (gandi) Baton Se Bacha Jaye
{المستدرك، للحاكم،  ج-2، ص-68، الحديث-1611}

Mas’ala:
Jhoot, Geebat, Chugli, Gali, Dena, Gandi Baat, Kisi Ko Takleef Dena, Ye Chizen waise Bhi Na-jayez O Haram Hai Roze Me Aur Ziyadah Haram Hai iski wajah Se Roza Makrooh Hota Hai
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-996}
Mas’ala:
Roze Me Aurat Ka Bosa (kiss) Lena Gale lagana Aur Badan chhuna Makrooh Hai jab Ki Is Baat Kar Dar Ho Inzal (mani) Ho jayega
Ya Jima Me Mubtela Hoga
Hont aur Zaban chusna Roze Me MUTLAQAN Makrooh Hai
{ردالمحتار، كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده، مطلب: فيما يكره للصائم، ج-3، ص-454}
Mas’ala:
Mooh Me Thook Jama Kar Ke Nigal Jana Bina Roze Ke Bhi Achchi Baat Nahi Aur Roze Me Kare To Makrooh Hai
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-998}
Mas’ala:
Sehri Khane Me Der Karna Aur Aftar Me Jaldi Karna mustahab (achcha) Hai Lekin Sehri me itni Der karna Ki Subah Hone Ka Ka Shak Ho makrooh Hai, Aur aftar Us WAQT Kare Jab Guroob Ka Guman Ho (suraj doob jane ka Yaqeen ho) jab Tak Gumane Galib Na Ho Aftar Na Kare, Agarche Mo’azzan Ne Azan Keh Dee Ho, aur Abar Ke Dino Me Aftar Me Jaldi Na Kare
{Raddul Mohtar, Volume-3, page-459}
Mas’ala:
Rozedar Ko Kisi Chiz Ka Chakhna Aur Chabana Makrooh hai.
Chakhne Ke Liye uzr (majboori) Ye Hai
Kisi Aurat Ka Shohar Bad-mizaj Ho Namak Kam O Besh Hoga To Naraz Hoga is Wajah Se Chakhne Me Harj Nahi,
Aur Chabane ka Uzr Ye Hai Ki Itna Chota Bachcha Jo Ki Roti Nahi Kha sakta Aur Koi Narm Giza Nahi Jo Use Khilai Ja sake aur wahan koi Be-Roza Nahi Jo Chaba Kar De To Us Bachche Ko Khilane Ke liye Chaba kar De Sakte Hain Isse Na Roza Tootega Na Makrooh Hoga
{Durre Mukhtar, Volume-3, page-453}
Aaj Kal chakhna Is tarah Samjha Jata Hai Ki Kisi Chiz Ka Maza Maloom Karne Ke Liye Thoda Sa Kha Liya Isse Roza Makrooh Nahi Balki Toot Hi Jayega
Chakhne Ka Ye Maana Hai Ki zaban Pe Rakh Ke Maza Malum Kiya Aur Thook Diya Usme Ka Kuch Bhi HALAQ Me Na Jaye.
Mas’ala:
Koi Chiz Kharidi Aur Uska Chakhna Zaroori Hai Agar Nahi Chakhega To Nuqsan Hoga To chakhne Me Harj Nahi.
Warna Bila Zarurat Chakhna Makrooh Hai
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-997}
MASLA:
MUH ME THOOK IKATTHA KARKE NIGAL JAANA BAGAIR ROZE KE BHI ACHCHHA NAHI AUR ROZE ME TO YE MAKROOH HE
(QANOON-E-SHARIAT)
BAAR BAAR
KULLI KARNA
YA
MISWAAK KARNA
YA
SAR & BADAN ME TEL KI MALISH KARNA
YA
SURMA LAGANA
YA
KHUSHBU SUNGHNA
MAKROOH NAHI
(AALAMGIRI)
Wuzoo Wa Gusl Ke Alawa Thand Pohochane Ki Garj Se Kulli Karna Ya Naak Me Paani Chadhana Ya Thand Ke Liye Nahana Balki Badan Par Bhiga Kapda Lapetna Makruh Nahi.
Ha Agar Pareshani Jaahir Karne Ke Liye Bhiga Kapda Lapeta To Makruh Hai Isliye Ke Ibadat Me Dil Tang Hona Achi Bat Nahi
(Qanoon-E-Shariat)
Roze Me Miswak Karna Makruh Nahi Balki Jaise Aur Dino Me Sunnat Hai,
Waise Hi Roze Me Bhi Sunnat Hai
(Qanoon-E-Shariat)
Gulab Ya Mushq Wagaira Sunghna Dadhi Much Me Tel Lagana Aur Surma Lagana Makruh Nahi
Magar Jabki Zeenat Ke Liye Surma Lagaya Ya Isliye Tel Lagaya Ki Dadhi Badh Jaye Halaaki Ek Musht (Mutthi) Dadhi Hai,
To Yah Dono Baate Bagair Roze Ke Bhi Makruh Hai Aur Roze Me Badarja Ula (Aur Badhkar)
(Qanoon-E-Shariat)
Aksar Logo Me Mashhur Hai Ki Dopahar Ke Baad Rozedar Ke Liye Miswak Karna Makruh Hai Ye Humare Mazhab Ke Khilaaf Hai
(Bahar-E-Shariat)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!