Ramzan

Aurato Ke Liye Roze Ke Masle

Haiz:
Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte he.
Istehaza:
Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.
Nifas:
Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.
Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 188
Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi. Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
(Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar)
Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
(Aalamgiri)
Aurat Ko Jab Haiz Wa Nifas Aa Gaya To Roza Jata Raha
(Sunni Bahishti Zewar)
Aurat ko khas tarikh par Haiz aata tha aur Aaj Haiz aane ka din tha aur usne yah soch kar ki aaj Haiz aayega chah kar roza tod diya aur Haiz na aaya to kaffara maf ho gaya.
>Durre Mukhtar
Haiz wa Nifas wali Aurat Subah sadiq ke bad pak ho gayi agarche Jahvae Kubra (Dopahar se) pehle pehle hui aur Roza ki niyat kar li to yah roza na hua.
>Durre Mukhtar
Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
>Sunni Bahishti Zewar,Safa 188, Jauhra
Haiz wa Nifas wali Aurat Pak ho gayi to jo kuch din baki reh gaya he use Roze ki tarah guzarna Wazib he aur uski kaza farz he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar
Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
>Aalamgiri
Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
>Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Safa 194
Aurat ko yah jaiz nahi ke apne Haiz Shohar se chupaye aur kahi wah anjane me sohbat na kare. Jaisa ki yah jaiz nahi ki wah khudko haiz wali jahir kare halaqi wah haiz wali nahi.
>Marakilfalaah,Sunni Bahishti Zewar
Haiz Ya Nifaswali Aurat Pak Ho Gayi To Jo Kuch din baki raha Use Roze Ki tarha Gujarna Wajib He Aur Us Roze Ki Kaza Farz He
(Qanoon-E-Shariat)
HAIZ aur NIFAAS KI HAALAT ME AURAT KO ROZA RAKHNA “HARAAM” HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT)
Haiz,Nifas Ki Halat Me Namaz Roza Haram He or aisi Halat Me Namaz Roza Sahi Hota Hi Nahi Or Tilawat Bhi Mana He
(Bahare Shariat Hissa-2)
Hamalwali (Pregnant) Aur Doodh Pilanewali Ko Agar Apni Jaan Ya Bachche Ka Sahi Khatra Hai To Ijazat Hai Ki Us Waqt Roza Na Rakhe.
Chahe Doodh Pilanewali Bachche Ki Maa Ho Ya Daai.
(Raddul Muhtar)
Haiz Wa Nifas wali Ke Ikhtiyar Hai Ki Chupkar Khaye Ya Jahiran.
Rozadar Ki Tarah Rehna Us Par Jaruri Nahi.
(Jauhara)
Magar Chup Kar Khana Aula Hai Khususan Haiz wali Ke Liye
(Bahar-E-Shariat)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!