Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam Ka Nasab Naama (Shazra-E-Nasab)

Huzoore Akdas Sallalahu Alayhi Wasallam Ka Nasab Sharif Walid Majid Ke Tarafse Hai.
Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam Bin Abdullah Bin Abdul Mutallib  Bin Hashim Bin Abde Munaaf Bin Kussa Bin Gaalib Bin Fehar Bin Maalik Bin Nazar Binnina Bin Khuzaima Bin Mudrika Bin Adnaan

Aur Walida Majida Ki Tarafse Huzoor Ka Shazra-E-Nasab Yah hai:

Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam Bin Aamina Binte Wahi Bin Abde Munaf Bin Zuhra Bin Kilab Bin Murrah.

Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam Ke Waldain Ka Nasab Nama Kilab Bin Murrah Par Mil Jaata Hai Aur Aage Chal Kar Silsila Ek Ho Jaata Hai "Adnaan."
Huzoor Akram Sallalahu Alayhi Wasallam Jab Bhi Apna Nasab Nama Bayan Farmate To "Adnaan" Tak Hi Zikr Farmate. Is Par Tamaam Mu'arrikhin Ka Ittifaq Hai Ki "Adnaan" Hazrate Ismail Alayhissalam Ki Aulad Me Se Hai Aur Hazrate Ismail, Hazrate Ibrahim Khalilullah Alayhissalam Ke Farzand Arzumand Hai.
>Sirate Mustafa

Like Our Official Fan Page:
www.facebook.com/HumareNabi

Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post