Ramzan

In Ramadan Is Taraveeh Rakah 8 Or 20 All The Proofs

Taraveeh 20 Rakat Hai. Khud Ahle Hadiso Ke Guru Ki Gawahi.

Imam Ibn Taimiya 728 Hij Farmaate Hai Ke
‎فَلَمَّا جَمَعَهُمْ عُمَرُ عَلَى أبي بْنِ كَعْبٍ كَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً ثُمَّ يُوتِرُ بِثَلَاثِ
Jab Hazrat Umar Rdh. Ne Sahaba Ikraam Rdh. Ko Hazrat Ubai Bin Ka’ab Rdh. Ki Iqtedaa me Jama’a Kiya toh wo Unhe 20 Rakaat Taraveh aur Phir 3 Witr Padhaate the.

(Majmua Al Fatawa : Jild 22 : Safa 272
)

Scan Page :

Mazeed Farmaate Hai Ke
Yeh Saabit Hochuki Hai Ke Hazrat Ubai Bin Ka’ab Rdh. Logo Ko 20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr Padhaate The Isiliye Jamhoor Ulama Ka Mazhab Yeh Hai Ke Yahi Tariqa Sunnat Hai Kyunke Ubai Bin Ka’ab Rdh. Ne Muhaajireen aur Ansaar Ke Darmiyaan Ispar Amal kiya hai aur Kisi Ek ne Bhi na Uska Inkaar kiya hai aur Na ispar Koi Nakeer ki.

(Majmua Al Fatawa : Jild 23 : Safa 112)
Scan Page :
Taraweeh 20 Raka’at Padhna Sunnat Aur 8 Raka’at Padhna Khilaaf-E-Sunnat Hai,
Hum In’sha ALLAH Is Ka Saboot Quran-e-Pak Ki Tarteeb-o-Ahadees-e- Sahihya-o-Aqwaal-e-Ulama Aur Aqli Dalael Se Dete Hain..
1) Quran-e-Pak Me Surate’in Bhi Hain, Aayaten Bhi Aur Ruku Bhi,
Woh Mazmoon Jis Ka Koi Naam Rakh Diya Gaya Ho
Wo Surat Kehlaata Hai,
Aur Quran-e-Pak Ka Wo Jumla (Sentence) Jis Ka Koi Alehda Naam Na Ho Aayat Kehlaata Hai,
Magar Ab Dekhna Yeh Hai Ke Ruku Ko Ruku kyon Kehte Hain ???
Kyon Ke Surat Ke Mayne (Meaning) Hain Ihaata Karne Waali Cheez Aur Aayat Ke Mayne (Meaning) Hain Nishaani, Surat Chunkey Ek Mazmoon Ko Ghee’rey Hoti Hai..
Jaise Sheher Panah (سورہ البدل), Aur Aayat Qudrat-e-Ilaahi Ki Nishaani Hai Is Liye In Ke Yeh Naam Huway,
Magar Ruku Ke Mayne (Meaning) Hain Jhukna,
Dekhna Yeh Hai Ke Qurani Ruku Ko Ruku Kyon Kehtey Hain,
Qutub-e-Qir’at Se Maaloom Huwa Ke Hazrat Umar-o-Usman (Razi ALLAH Anhu) Taraweeh Me Jis Qadar Qur’an Padhkar Ruku Farmaate They Us Hissay Ka Naam Ruku Rakha Gaya,
Yaani In Hazraat Ke Ruku Karne Ke Muqaam Itna Quran Padhkar Ruku Huwa,
Aur Chunke Taraweeh 20 Ruku Padhi Jaati Thi Aur 27th Ramazan Ko Khatam Hota Tha,
Is Lihaaz Se Quran-E-Kareem​ Ke Qul 540 Ruku Honey Chahiyen,
Lekin Khatam Ke Baad Ba’az Rakaton Me Choti Choti 2 Soorten Padh Li Jaati Thin,
Is Liye Quran-E-Kareem Ke 557 Roku Huway,
Agar Taraweeh 8 Raka’at Hoti To Ruku 216 Hone Chahiye They,
Qurani Ruku’aat Ki Taadad Bata Rahi Hai Ke Taraweeh 20 Raka’at Honi Chahiyen,
Kiya Wahaabi 8 Raka’at Taraweeh Maan Kar Ruku’aat-e-Quran Ki Wajah Bata Sakte Hain ??
Taraweeh Jama Tarweeiyah Ki Hai Jis Ke Mayne (Meaning) Hain Jisam Ko Raahat Dena,
Chunkey In Me Har 4 Raka’at Par Kisi Qadar Raahat Ke Liye Baithte Hain Is Baithne Ka Naam Tarweeiyah Hai, Isi Liye Is Namaz Ko Taraweeh Kaha Jaata Hai Yaani Raahaton Ka Majmoo’a Aur Taraweeh Ka Jama Hai,
Jama Kam Az Kam 3 Par Boli Jaati Hai
Agar Taraweeh 8 Raka’at Hoti To Is Ke Darmiyaan Me Ek Tarweeiyah Aata,
Pher Is Ka Naam Taraweeh Na Hota, 3 Tarweehon Ke Liye.
Kam Se Kam 16 Raka’at Taraweeh Chahiye,
Jin Me Har 4 Raka’at Ke Baad Ek Tarweeha Ho Aur Witr Se Pehley Koi Tarweeha Nahin Hota,
Taraweeh Ka Naam Hi 8 Raka’at Ki Tardeed (Inkaar) Karta Hai..
“TARAWEEH 20 RAKA’AT”
Har Din Me 20 Raka’at Namaz Zaroori Hai,
17 Farz..
Aur 3 Witr,
2′ Farz Fajar Me,
4′ Zohar Me,
4′ Asar Me,
3′ Maghrib Me,
Aur 4 E’sha Me,
Ramazan Shareef Me RAB TA’ALA Ne In 20 Raka’aat Ki Takmeel Ke Liye 20 Raka’at Taraweeh Muqarrar Farma Di,
Jis Ki Har Raka’at In Ki Har Raka’at Ki Takmeel Kare,
Ghair Muqallid Shayad Namaz-E-Panjgaana Bhi 8 Raka’at Hi Padhte Hongey..
Warna 8 Raka’at Ko In 20 Raka’at Se Kiya Nisbat?
Khayal Rahe Ke Huzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Namaz-e-Taraweeh Pabandi Se Ba’jama’at Ada Na Farmaai Sirf 2 Din Ada Kiye,
Aur Baad Me Farma Diya Agar Is Ki Pabandi Ki Gai To Farz Hojaane Ka Andesha Hai, Jis Se Meri Ummat Ko Dushwaari Hogi, Lihaazah Tum Log Apne Ghar Hime Me Namaz Padh Liya Karo, Baaz Log To Kehte Hain Ke Yeh Namaz-E-Tahajjud Hi Thi Jo Maah-E-Ramazan Me Eh’tamaam Se Ada Karai Gai Isi Liye Sahaba Sehri K Aakhri Waqt Is Se Faarigh Hote,
Zamana-E-Siddiqui Me Bhi Is Ka Ba-Qaidah Intizaam Na Farmaaya Gaya,
Log Muttafarriq Tor Per Padh Lete They,
Umer (Razi ALLAH Anhu) Ne Is Ka Eh’tamaam Farmaya Aur 20 Raka’at Taraweeh Muqarrar Farma’in,
Aur Ba-Qaedah Jama’at Ka Intezaam Kiya, Lihaazah Sahih Yeh Hai Ke Asal Taraweeh Sunnat-E-RASOOL ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam) Hai,
Magar Is Ki Pabandi-E-Jama’at 20 Raka’at Sunnat-E-Faarooqi Hai,
Chunkey Huzoor ﷺ Ne Na To 8 Raka’at Ka Hukum Diya Aur Na Is Par Pabandi Farmayi, Balke Haq Yeh Hai Ke AAP Ka 8 Raka’at Taraweeh Padhna Saraahatan Kahi Se Saabit Hi Nahin Huwa, Lihaazah Sahaba Ka 20 Raka’at Par Ittefaaq Karna Sunnat Ki Mukhaalifat Nahin,
Humen Hukum Diya Gaya Ke
علیکم بسنتی وسنت الخلفاء الرشدین۔

Sunan Ibn-e-Majah, Jild 1, Page no 15 to 16, Raqam Ul Hadees 42 to 43, Matboo’a Dar-Ul-Fikar, Beroot)

Jami-Ut-Tirmizi, Jild 2, Page no 92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)
Lihaazah Ab Hum Sahaba-E-Karam Ka Amal Pesh Karte Hain, 
Ghair Muqallidon Ko Chahiye Koi Ek Hadees Marfoo Sahih Aysi Pesh Kare’in Jis Se Taraweeh Ki 8 Raka’at Saraahatan Saabit Hon,
In’hsa ALLAH Kabhi Bhi Na Kar Saken Gey, Khair Ab Hamari Ahadees Aur Ulama-E-Ummat Ke Aqwaal Mulaahi’zah ho:
1) Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Ne Apne Zamana-E-Khilaafat Me 20 Raka’at Taraweeh Ki Ba-Qaedah Jama’at Ka Intezaam Farmaaya,
Isi Per Sahaba-E-Karam Ka Ijma Huwa,
Mota Imam-E-Maalik Me Hazrat Saaeb Ibn-E-Yazeed (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat Ki Hai Ke
قال کنا نقوم فی عھد عمر بعشرین رکعۃ رواہ البیھقی فی الفرقتہ باسناد صحیح۔

Mota Imam-e-Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild 1 PAGE no 115,

Raqam Ul Hadees 252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)
2) Imam Maalik (Alaih Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma:
“Hazrat Yazeed Bin Romaan Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Umar Bin Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ke Daur Me Log (Witr Ke Saath) 23 Raka’at Padhte They”

Mota Imam-e-Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild 1, PAGE no 115,

Raqam Ul Hadees 252,

Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)

Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496, Raqam Ul Hadees 4394,

Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah..

Shu’ab Ul Iman Lil Baihaqi, Jild 3, Page No 77, Raqam Ul Hadees 3270,

Matboo’a Dar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Fath Ul Baari, Jild 4, Page no 253, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)
3) Imam Ibn-e-Hajar Asqalaani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma:
Huzoor ﷺ Ne Logon Ko Do Raaten 20 Raka’at Namaz-e-Taraweeh Padhai,
Jab Teesri Raat Log Phir Jama Hogay To Aap ﷺ Un Ki Taraf
(Hujra-E-Mubarak Se Baahir)
Tashreef Laaey,
Phir Subah Aap ﷺ Ne Farmaaya Mujhe Andesha Huwa Ke (Namaz-E-Taraweeh Tum Par Farz Kar Di Jaegi Lekin Tum Is Ki Taaqat Na Rakhogey.

(Talkhees Ul Habeer, Jild 2, Page no 21, Matboo’a Al Madinah Tul Munawwarah)
4) Ibn-e-Shaiba Aur Tabarani Kabeer Me Aur Baihaqi-o-Abd Ibn-e-Hameed-o-Bagwi Ne Riwaayat Ki
Tarjuma:
Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Karte Hain Ke Huzoor ﷺ Ramazan Ul Mubarak Me Witr Ke Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Padha Karte They”

Musannaf Ibn-e-Abi Shaiba, Jild 2, Page no 164, Raqam Ul Hadees 7692,

Matboo’a Maktaba Tur Rasheed Ur Riyaaz)

Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496, Raqam Ul Hadees 4391,

Matboo’a Makatab Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah.
Is Se Maloom Huwa Ke Khud Huzor ﷺ  
20 Raka’at Taraweeh Padhtey They.
5) Imam Tirmizi (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma:
Aksar Ahl-E-Ilm Ka Mazhab 20 Raka’at Taraaweeh Hai Jo Ke Hazrat Ali, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhuma) Aur Huzoor ﷺ Ke Deegar Ashaab Se Marwi Hai Aur Yahi (Taa’baeen) Sufiyan Souri Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Sha’fai (Rehmahullah) Ka Qaul Hai Aur Imam Sha’fai (Rehmatullah Aleh) Ne Farmaaya Maine Apne Sha’her-e- Makkah Me
(Ahl-E-Ilm Ko) 20 Raka’at Taraweeh Padhte Paaya.

(Sunan Tirmizi Kitaab Us Soum, Jild 3, Page no 169,

Raqam Ul Hadees 806, Matboo’a Dar Ul Ehya Ut Turas Ul Arabi, Beroot)
6) Imam Tabarani
(Aleh Rehmah) Likhte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Karte Hain Ke Huzoor ﷺ Ramazan-ul- Mubarak Me Witr Ke Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Padha Karte They”

(Tabarani Auwsat, Jild 1, Page no 243,

Raqam Ul Hadees 798, Matboo’a Daar Ul Haramain, Al-Qaahirah, Misar)

Tabarani Kabeer, Jild 11, Page no 393, Raqam Ul Hadees 12102,

Matboo’a Maktaba Tul Uloom Wal Hakam Al Mosal)

Maj’ma Uz Zawaid, Jild 3, Page no 172, Matboo’a Dar Ul Kitab Ul Arabi, Beroot..
7) Imam Abdur Razzak (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya Ke Hum Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Ke Zamaane Me Fajar Ke Qareeb Taraweeh Se Faarig Hote They Aur (Witr Mila Ke) 23 Raka’aat Padhtey They”

(Musannaf Abdur Razzaak, Jild 4, Page no 261, Raqam Ul Hadees 7733, Al-Maktaba Tul Islaami, Beroot)
8) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
“Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Umar Bin Al Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ke Uhad-E-Mubarak Me Sahaba-E-Karam (Razi ALLAH Anhum) 20 Raka’at Taraweeh Padhtey They Aur In Me 100 Aayaat Waali Sooraten Padhte They Aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) Ke Uhad-E-Mubarak Me Shiddat-E-Qiyaam Ki Wajah Se Woh Apni Laathiyon Se Tek Lagate They”

(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 32, Page no 496,

Raqam Ul Hadees 4393,

Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)
9) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Abu Khaseeb (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain Ke Hame Hazrat Suwaid Bin Gafla Maah-E-Ramzan Me Namaz-E-Taraweeh, 5 Tarweeihyon (20 Raka’at) Me Padhaate They”

(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496, Raqam Ul Hadees 4395,

Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma:
Hazrat Abu Abdur Rehman Salma Se Marwi Hai Ke Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ne Ramazan Ul Mubarak Me Qaariyon Ko Bulaaya Aur Un Me Se Ek Shakhs Ko 20 Raka’at Taraweeh Padhaane Ka Hukum Diya,
Aur Khud Hazrat Ali (raziALLAHanha) Un Ko Witr Padhaate They”

(Sunan-ul-Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page 496, Raqam Ul Hadees 4396,

Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
10) Imam Ibn-e-Abi Sheba (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Shateer Bin Shakal Se Riwaayat Hai Ke Woh Hazrat Ali
(Razi ALLAH Anhu)
Ke Ashaab Me Se They Ke Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ramazan Me 20 Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witr Padhaatey They.

(Musannaf Ibn-e-Abi Shaiba. Jild 2, Page no 163, Raqam Ul Hadees 7680,

Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaaz)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma:
Hazrat Yahiya Bin Saeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Umar Bin Al-Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ne Ek Shakhs Ko Hukum Diya Ke Woh Unhen (Musalmaanon Ko) 20 Raka’at Taraweeh Padhaey”

(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild 2, Page 163,

Raqam Ul Hadees 7682, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma:
Hazrat Naafey Bin Umar (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain Ke Ibn-E-Abi Milkiya Hame Ramazan-ul-Mubarak Me 20 Raka’at Taraweeh Padhaya Karte They”

(Musannaf Ibn-e-Abi Shaiba, Jild 2, Page no 163,

Raqam Ul Hadees 7683, Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
Ek Aur Jagah Aata Hai:
Tarjuma:
Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Hazrat Abi Bin Ka’ab (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwarah Me Logon Ko Ramazan-ul-Mubarak Me 20 Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witr Padhaatey They”

(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild 2, Page no 163, Raqam Ul Hadees 7684,

Matboo’a Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
Credit:
Sunni Hanafi Organisation Team.
Jilani Group
Hazrat Maulana Muhammad Ibrahim Misbahi Qadri.
Aijaz Ahmed Sahab.
ALLAH Rabbul Aalameen Isse Jude Har Ek Bande Ko Sawab Ata Farmaye. Unke ILM Me Rozi Me Aur Umar Me Barkat Ataa Farmaye. Aur Awam Ko Haq Sun Kar Haq Ko Taslim Karne Ki Taufiq Ataa Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!