Madina Munawarrah Me Madafan Aur Shafa'at-E-Rasool

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Ibne Umar رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :
''Jis Se Ho Sakey Ki Woh Madina Me Marey Toh Waheen Par Marey Kyunki Jo Madina Me Marega Us Ki Mein Shafa'at Karunga.''
(Jamia Tirmizi : Eng ref. : Vol. 1, Book 46, Hadees 3917
Arabic ref. : Book 49, Hadees 4296)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Ibne Umar رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :- “Tum Me Se Jo Yeh Kar Sakey Ki Woh Madiney Me Aa Kar Marey To Woh Aisa Zaroor Kare Isliye Ki Mein Madiney Me Marney Waley Ke Haqq Me Gawahi Doonga.
(Sunan Ibn Majah :  Eng ref. : Vol. 4, Book 25, Hadees 3112
Arabic ref. : Book 25, Hadees 3231)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :- ''Jo shakhs Madiney Ki Bhookh Aur Sakhti Bardasht Karega Qayamat Ke Din Mein Us Ka Shafe'i Ya Gawah Banunga.''
(Jamia Tirmizi : Eng ref.  Vol. 1, Book 46, Hadees 3824 Arabic ref. : Book 49, Hadees 4303)

Bukhari Shareef Me Hai Ke Hazrate Zaid bin Aslam رضي الله تعالٰی عنه  Ne Apney Walid Se Suna Ki Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه  Ye Kaha Kartey They 
''Ya Allah Mujhe Tere Raastey Me Shahadat Naseeb Farma Aur Tere Rasool صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Sheher (Madina) Me Maut Naseeb Farma.''
(Sahih Bukhari : Hadees 1890
Book ref. : 29, Hadees 24 Eng ref. : Vol 3, Book 30, Hadees 114)

Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ki Dua Qubool Ho Gayi:

Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه Ne Apney Baad Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ko Khalifa Muntakhab Farmaya Aur 10 Baras 6 Maah 4 Din Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Takht-E-Khilaafat Par Raunak Afroz Ho Kar Jaa Nasheeni-E-Rasool Ki Tamam Zimmedariyon Ka Ba Husn-E-Wujuh Anjaam Diya.

26 Zul Hijjah 23 Hijri Ko Namaz-E-Fajr Me Abu Lulu Firoz Majoosi Kafir Ne Aap رضي الله تعالٰی عنه Ko Shikam Me Khanjar Mara Aur Aap Yeh Zakhm Khaa Kar Sharf-E-Shahadat Se Sarfaraz Ho Gaye.

Ba Waqte Wafaat Aap رضي الله تعالٰی عنه Ki Umr Shareef 63 Baras Ki Thi.

Hazrate Suhaib  رضي الله تعالٰی عنه  Ne Aap Ki Namaz-E-Janaza Padayi Aur Roza-E-Mubaraka Ke Andar Hazrate Siddiq-E-Akbar Ke Pehlu-E-Anwar Me Madfoon Huwey. 
(Al Kamaal Fi Asma ul Rijaal, Hurf Ul Ayn, Fasl Fi As'haabat , Safha 602)

(Karamate Sahabaرَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 73)

Ya ALLAH Hume Bhi Tere Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Shahar Me Madafan Ata Farma.
Aameen Ya Rabbul Aalameen.
Awwal Aakhir Durood.

Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post