Ramzan

Roze Ki Jaza Aur Rozedar Ki Khushi Hadees Se

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Aye Imamwalon Tum Pe Roza Farz Kiya Gaya.
Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..
Taki Tum Gunaho Se Bacho, Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha admi Ya aisa bimar jiske tandurust Hone ki ummid na Ho) Wo Fidya Den,
Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187}
Roze ki fazilat Me Ba-kasrat Hadeesen Aain Hai Huzoor Sarkare Do Aalam Janabe Muhammadur Rasulullah Sal’lallahu Alaihi Wasallam ke Muqaddas irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain
Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur
Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain
{صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}
Hazrat ibne ABBAS Se Riwayat Hai
Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur
Har Mangne Wale Ko Ata Farmate
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}
Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain..
{صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257}  
Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Farmatey Hain :
”Aadmi Ke Har Nek Kaam Ka Badla Dus (10) Se Saat Sau (700) Guna Tak Diya Jata Hai. ALLAH عزوجل Ne Farmaya Siwaay Rozey Ke Ki Roza Mere Liye Hai Aur Is Ki Jaza Me Khood Doonga. ALLAH عزوجل Ka Mazeed Irshaad Hai,
Banda Apni Khwahish Aur Khaane Ko Sirf Meri Wajah Se Tark Karta Hai. Rozadaar Ke Liye Do (2) Khushiyan Hai. Ek Iftar Ke Waqt Aur Ek Apney Rabb عزوجل Se Mulaqat Ke Waqt. Rozadaar Ke Moonh Ki Boo ALLAH عزوجل Ke Nazdeek Mushk Se Zyada Pakeeza Hai.”
(Sahih Muslim : Hadees 1151)
Faizane Ramazan (Hindi), (Maktabatul Madina-Hind, Safha : 102)
Hazrate Sayyiduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ki Mahbube Rabbe Aalamin, Sayyidul Ambiyaae Wal Mursalin, Shafiul Muznibin, Janabe Rahmatullil Aalamin صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ka Farmane Dil Nashin Hai, ALLAH عزوجل Mahe Ramazan Me Rozana Iftar Ke Waqt 10 Lakh Aise Gunahgaaron Ko Jahannam Se Azad Farmata Hai Jin Par Gunahon Ki Wajah Se Jahannam Wajib Ho Chuka Tha, Neez Shabe Jumua Aur Roze Jumua (Yaa’ni Jumarat Ko Gurube Aftab Se Le Kar Jumua Ko Gurube Aftab Tak) Ki Har Har Ghadi Me Aise Dus (10) Dus (10) Lakh Gunahgaaron Ko Jahannam Se Azad Kiya Jata Hai Jo Azaab Ke Haqdaar Karaar Diye Ja Chuke Hote Hai.”
(Kanzul Ummaal, Jild: 8, Safa: 223, Hadees: 23716)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :  ”Rozadaar Ke Moonh Ki Boo (Jo Bhook Ki Wajah Se Hoti Hai) Allah Ta’ala Ke Nazdik Mushk Ki Khushboo Se Bhi Behtar Hai.”
(Sahih Bukhari : Hadees 7492
Book ref. 97, Hadees 118)
(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 10)
”Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Logo Me Sab Se Badh Kar Sakhee Hain”
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Farmatey Hain : ”Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Logo Me Sab Se Badh Kar Sakhee Hain” Aur Sakhawat Ka Darya Sab Se Ziyada Us Waqt Josh Par Hota Jab Ramazan Me Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Se Jibraeil Ameen عليه السلام Mulaqat Ke Liye Hazir Hotey, Jibraeil Ameen عليه السلام (Ramzanul Mubarak Ki) Har Raat Me Mulaqat Ke Liye Hazir Hotey Aur Rasool-E-Kareem  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Un Ke Saath Quran-E-Azeem Ka Daur Farmatey” Pas Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Tezz Chalney Wali Hawa Se Bhi Ziyada Khair Ke Mua’mley Me Sakhawat Farmatey.
(Sahih Bukhari : Jild 1, Safha 9, Hadees 6)(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 34)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!