Hadees-E-Nabwi

Hazrate Usman Ibne Affan Radiallahu Anhu Ki Fazilat

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Hadees No: 1
Hazrate Usman رضي الله تعالٰی عنه Ka Ek Laqab “Jame’ul Quran” Bhi Hai. Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه  Ne Apney Ahad Me Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar Farooq-E-Aazam رضي الله تعالٰی عنه  Ke Mashware Se Mutafarriq Maqamaat Se Quran-E-Paak Ke Tamam Sahaif Jama Kar Liye The, Magar Is Me Teen (3) Kaam Baaki The.
• Jama Kiye Gaye Sahaif Ko Ek Musahaf Me Naql Karna,
• Phir Ek Musahaf Ke Mukhtalif Nuskhe Islami Mumalik Ke Badey Badey Shehron Me Taqseem Karna Aur
• Sab Lahja-E-Quraish Par Padhney Ka Huqm Dena.
Yeh Teeno (3) Kaam ALLAHعزوجل Ne Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه Se Liye Aur Quran-E-Azeem Ka Jama Karna Wa’da-E-ILahiyya Ke Mutabeeq Tam’m Wa Kaamil (Yani Muqammal) Huwa. Is Liye Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ko “Jame ul Quran” Kehte Hain.
(Sahih Bukhari : Hadees 7191
Book 93, Hadees 53
Eng ref. : Vol. 9, Book 89, Hadees 301)
(Sahih Bukhari : Hadees 4987
Book 66, Hadees 9
Eng ref : Vol. 6, Book 61, Hadees 510)
(Fatawa Razawiyya : Jild 26, Safha 452)
(Faizane Siddiq-E-Akbar  رضي الله تعالٰی عنه  (Hindi) ,  Maktabatul Madina-Hind : Safha 417 Mulakkhasan)
(Shaan-E-Usman-Ghani  رضي الله تعالٰی عنه  (Hindi) : Safha 9)

Hadees No 2
Hazrate Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ka Ek Aur Laqab Mujah’haz-O-Jaisheel U’srah Bhi Hai, Jis Ka Maana Hai “Tangi Wale Lashkar Ki Maali Mua’wanat Karne Wala”.
Jung-E-Tabuk Ke Muaqey Par Jo Islami Lashkar Tayyar Huwa Tha Usey Jaish Ul U’srah Kaha Jata Hai Kyun Ki Jung-E-Tabuk Nihayat Hi Dushwar Maqaam Aur Shadeed Garmi Ke Mausam Me Huwa.
Hazrate Sayyeduna Abdur Rehman Bin Khabbab رضي الله تعالٰی عنه  Se Marwi Hai Ki Mein Baargah-E-Risalat صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Me Hazir Tha Aur Nabi-E-Kareem صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Ko Jaisheel U’srah (Gazwa-E-Tabuk) Ki Tayyari Ke Liye Targheeb Irshaad Farma Rahe The. Hazrate Sayyeduna Usman bin Affan  رضي الله تعالٰی عنه  Ne Uth Kar Arz Ki :
Ya Rasool ALLAH صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم  وسلم  Palan Aur Deegar Muta’lliqa Saman Samet Sau (100) Oont Mere Zimmey Hain.
Huzoor صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ne Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم Se Phir Targheeban Farmaya. Toh Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Dobara Khadey Huwey Aur Arz Ki :
Ya Rasool ALLAH صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Mein Tamam Saman Samet Do Sau (200) Oont Hazir Karne Ki Zimmedari Leta Hoon.
Nabi-E-Kareem صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ne Sahaba-E-Keeram Se Phir Se Targheeban Irshad Farmaya Toh Hazrate Sayyeduna Usma Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ne Arz Ki :
Ya Rasool Allah صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Mein Me M’a Saman Teen Sau (300) Oont Apney Zimmey Qubool Karta Hoon.
Yeh Sun Kar Pyaare Aaqa صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Bahot Khush Huwey. Isliye Aap رضي الله تعالٰی عنه  Ko Mujah’haz-O-Jaisheel U’srah Yaani Tangi Wale Lashkar Ki Maali Mua’wanat Karne Wala Kehte Hain.
(Jami’a Tirmizi : Jild. 1, Kitab 46, Hadees 3700)
Arabic ref. : Kitab 49, Hadees 4065
(Shaan-E-Usman-Ghani  رضي الله تعالٰی عنه (Hindi), Maktabatul Madina-Hind,  Safha : 10)
Hadees No: 3
Hazrat Abdullah Bin Mughaffal Radiallahu Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
“Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey ALLAH Ta’ala Sey Daro,
ALLAH Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney ALLAH Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney ALLAH Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb ALLAH Ta’ala Usey Pakreyga.”
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696, Book No 49 Kitab Manakib Ana RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees-20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525) Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko Hasan Likha HaPanah.Ab Aap Hi Gaur Karo Ke Koi Hazrate Usman Ghani Radiallahu Anhu Ke Shaan Me Ya Kisi Sahaba-E-Kiram Ya Khulfa-E-Rashideen Ki Shaan-E-Akdas Me Gustakhiya Karta Ho To Uska Hashr Kya Hoga?
ALLAH Ki Panah
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!