Muharram

Khaaq-E-Karbala: Sayyeduna Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ka Maqaam Aur Shaan

Part: 3
Sayyad Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki
Paak Beti, Sayyed ul Awaliya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Muhataram Biwi, Sayyed us Shohda Imam Hussain-O-Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﻤﺎ Ki Mua’zziz Maa….
Khatun-E-Jannat Hazrat Fatema Tuzzahara ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ki Kadmo Ki Khakh Par Qurbaan , Unke Paao Ke Nisano Par Fida Aur Unki Chadar-E-Tatheer Par Nisar…
Kaun Khatun-E-Jannat?? ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Ahele Bait-E-Atha’ar Ki Izzat ,
Saltanat-E-Islam Ki Muqaddas Sahezadi, Chadar-E-Tatheer Ki Malika, Rajas Wa Najas Se Mubarra Aur Haiz-O-Nifas Se Paak…

Kaun Fatima Zahara??? ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
🏻Jisne Apne Narm Wa Nazuk Aur
Paak Haatho Se Chakki Pees-Pees Kar Aur Qura’an E Paak Ki Loriya Suna-Suna Kar Apne Shezaado Ko Pala Aur Jis Ki Sharm Wa Haya , Iffat Wa Asmat Aur Taharat Wa Paakizagi Jannat Ki Hooro Ke Liye Bhi Ba’ies-E-Rassq Thi…

Kaun Fatema Zahara??? ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
🏻Jo Shadi Ke Baad Apne Safiq Aur
Pyare Walid Ke Noorani Hujre Se Rukhsat Hui To 70000 Jannati Hooro Ki Jamat Ka Hifazati Dasta Zuhara-E-Paav Ki Dhool Chumta Ja Raha Tha Aur Jannat Ki Hoore Raste Me Apni Iffat Ki Chadar Bichati Jati Thi Aur Rizwan-E-Jannat Aasman Se Phulo Ki Barish Karte Ja Rahe The….

✒Tirmazi Sharif Jild 2 , Safa No. 227 Me
Hai..
Hazrat Aayesa Siddiqa ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Farmati Hai Ki Mai Ne Khatun-E-Jannat ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Se Badh Kar Aur Kisi Ko Khane-Peene, Bolne – Chalne Aur Utne -Baithne Me Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Musabah Nahi Dekha Ki Jab Bhi Hazrate Fatima Zuhra ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Khidamat Me Hazir Hoti To Huzoor ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Khade Ho Jaya Karte The Aur Peshani Mubarak Ko Bosa Diya Karte. The Aur Apni Majlis Me Bithaya Karte The Aur Jab Bhi Nabi-E-Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Unke Ghar Tasreef Late To Aap
Tazim Ke Liye Khadi Ho Jati….
Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Apni Beti Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ki Izzat Afzai Ke Liye Khade Ho Jana Koi Mamuli Baat Nahi Hai Balki Yu Samzieye Ki Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Khade Hone Se Saari Qaynaat
Khadi Ho Jaya Karti Thi To Jis Ki Izzat Ke Liye Nabi-E-Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Khade Ho Jaye, Nahi Nahi Balqi Nabuwwat Khadi Ho Jaye To Phir Uske Makam Wa Aheteraam , Izzat Wa Aabru Aur Taharat Wa Nifasat Ka Kya Thikana Ho Sakta Hai Aur Phir Ho Bhi Kyu Na Jabki Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Khud Hi Farmaya Hai…

✒Miskat Sharif Page No. 568 ; Tirmazi
Sharif Jild 2, Page No.227; Muslim Sharif
Jild 2, Page no.2901 Me Hai….
Hazrat Miswar Bin Makhrama ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Ki Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Ki
“Fatema Meri Jigar Ka Tukda Hai Aur Jis Ne Fatema Ko Naraz Kiya Us Ne Mujhe Naraz Kiya…”

“Aao Dar-E-Zahara Par Failae Hue Daman
Ye Nasl Kareemo Ki Lajpaal Gharana Hai”

Sayyeduna Fatema Zahra ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Paikar-E-Sharm-O-Haya,,Mujassam-E-Iffat Wa Ismat,Tasweer-E-Taharat Wa Nifasat Aur Aayina-E-Akhlaq-E-Muhammadi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Izzat Wa Aabaru Aur Tazim Wa Taqreem Ki Is Se Badh Kar Aur Kya Dalil Ho Sakti Hai Ki Duniya Me Basnewale Har Insan Ki Rooh To Malkul Maut ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Qabz Kare Lekin Jab Khatun-E-Jannat ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ki Baari Aayi To Unki Rooh
Khuda Ne Khud Qabz Ki…

✒ Tafseer e Ruhul Bayan Jild -3 ; Page No. 403
“ALLAHU YATTWAFFAL ANFUSS IN
“MAUTIHA
is Aayate Mubarka ke Tahet Hazrat Allama Ismail Haqqi ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻠﯿﮧ Likhte Hai. Jab Khuda Ne Malkul Maut ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ko Hazrat Fatema Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye Bheja Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Is Par Raazi Na Hui To Phir Khuda Ne Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ki Rooh-E-Paak
Khud Qabz Ki…
Malum Hota Hai Ki Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ki Kisi Dua Ka Natija Hai Kyuki Quran-E-Paak Me Jahan Kahi Bhi Insani Rooh Qabz Karne Ka Ziqr Hai Wahan “MAUTEKUHU” Hai Yaani Zameer Muzakkar (Male) Hai Lekin Yahan “MAUTIHA” Zameer Mua’nnas (Female) Hai To Sayyad Kisi Waqt
Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Bargah-E-Ilahi Me Dua Ki Ho Ki Aye Mere Parwardigar Tune Kisi Mua’nnas Ki Rooh Qabz Karne Ki Nisbat Apni Taraf Ki Hai Aur Us Ka Zuhur Bhi Honga Aur Mai Ne Jab Se Hosh Sambhala Hai Meri Aakho Ne Kisi Gair Mard Ko Nahi Dekha Aur Izzrail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Agarche Farista Hai Lekin Mere Liye Woh Bhi Gair Hai Is Liye Meri Maut Ke Waqt Meri Rooh Khud Hi Qabz Kar Lena Taaki Aayat Ke Mutabiq Teri Is Nisbat Ka Zuhur Bui Ho
Jaye Aur Mera Parda Bhi Rahe Jaye …
Sayyad Ul Murasleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Wisal-E-Paak Ka Yani Likaye Khudawandi Ka Waqt Aaya To Binte RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Sayyeda-E-Do Jahan Hazir-E-Khidmat Hai Darwaze Par Dastakh Hui. Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Pucha
Kaun Hai?
Jawab Aaya
Ek Aarabi Hu….
Jigar Gosh-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Pucha Kyu Aaye Ho?
Arz Ki Gayi Khulasae Kayenaat ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Iyadat Ko Aaya Hu…
Kahatun-E-Jannat ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne
Farmaya Kal Aana…
Aanewala Laut Gaya Dusre Din Kasana-E-Nabuwat Par Phir Dastakh Hui Hazrat
Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Phir Pucha
Kaun Hai?
Jawab Mila..
Ek Aarabi Hu…
Hazrat-E-Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne
Farmaya Kyu Aaye Ho??
Jawab Aaya Apne Aaqa Ki Mijaz Pursi Ke Liye Bahut Door Se Aaya Hu Andar Aane Ki Ijazat Chahta Hu Khatun-E-Jannat ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Farmaya Abhi Mere Abbu Jaan Ki Tabiat Thiq Nahi Hai Kal Aana…
Aanewala Phi Laut Gaya
Darwaza-E-Nabuwat Par Dastak Denewala Aur Phir Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Kahene Par Wapas Jane Wala Izra’il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Tha Jis Ne Ibtedaae Aafrinash Se Le Kar Aaj Tak Kisi Se Andar Aane Ki Ijazat Talab Nahi Ki Thi Aur Na Hi Qayamat Tak Karega Lekin Yahan Woh Janta Tha Ki Darwaza-E-Risalt Me Baithi Hui Paikar-E-Iffat-O-Ismat Aur Tasweere Sharm Wa Haya
Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Hai Agar Mai Ijazat Ke Bagair Andar Chala Gaya Aur Meri Nazar Us Ke Masum Chahere Par Padh Gayi To Ho Sakta Hai Ki Daftare Malaika Se Mera Naam Kat Jaye …..

Shayad Isi Liye Kisi Shayar Ne Kaha 🏻
“Mai Un Ki Baat Karu Ye Kahan Meri
Aukat
Ke Shaan-E-Fatema Zahara Huzoor Jante Hai…”
‏( ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Wa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ‏)

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!