Muharram

Khaaq-E-Karbala: Ahle Bait Se Muhabbat Ki Ehmiyat

Part-1:
Ahele Haram Ki Rikkat Angez Dastaan Jo Sirf Ashqbaar Aankho Se Padhi Ja Sakti Hai. Mujhe Apni Kam Ilmi Ka Bharpur Ehsaas Hai Kyuki Har Shakhs Dusro Ke Mukable Apne Aap Ko Jyada Janta Hai. Lehaza Apni Kam Ilmi Ka Iteraaf Karte Hue Ek Azeem Waqiya Jo Tareekh-E-Islam Ka Ek Bahot Hi
Ahem Tareen Waqiya Hai Is Par Likhne Ki Himmat Maine Ki ..

Himmat To Kar Li Hai Magar Ise Paaye
Taqmil Tak Pahuchana Allah Subhanahu
Wa Ta’ala Ke Zimme Karam Par Hai Ahele Ilm Se Guzarish Ke Kahi Koi Sharai Galti Nazar Aaye To Lillah Islah Farmaye..

✒ Ibtedaiyah:
Har Nabi Wa Rasool ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺍﻟﺴّﻼﻡ Ne Apne
Apne Waqt Me Apni Qaum Ko Tauhid-E-Baari Talah, Aheqame Ilahi Aur Apni Risalat Ki Tablig Farmayi Aur Saath Hi Ye Bhi Farmaya Ki Is Tabilg O Isa’at Ka Ajar Mai Tum Logo Se Talab Nahi Karta Balqi Is Ka Ajar Mai Allah Talah Se Lunga ….
Chunache Hazrat Nooh ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Jab Apni Qaum Ko Tauhid Ki Dawat Di Aur Unko Ek Khuda Ki Ibadat Karne Ki Tablig Farmayi Aur Un Ko Allah Ke Azab Se Daraya To Saath Hi Ye Bhi Farma Diya Ki ….
” Aye Meri Qaum Us Tablig Wa Isa’at Ke
Badle Me Mai Tujh Se Koi Maal Wa Daulat Nahi Mangta Balki Is Ka Sila To Mere Paas Hai Aur Isi Tarah Hazrt Hood ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Bhi Jab Apni Qaum Ko Aheqame Khudawandi Bataye Aur Ibadate Ilahi Ki Tablig Farmayi To Saath Hi Ye Bhi Farma Diya Ki ….
“Aye Meri Qaum Mai Is Tablig Ke Badle Me Tum Se Koi Sila Nahi Mangta Magar Is Ajar To Mere Allah Ke Paas Hai Jis ne Mujhe Paida Kiya “

Aur Phir Jab Sayeed Ul Mursaleen Hazrat Muhammad Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Waqt Aaya Aur Aap Ne Tauhid, Risalat Hisab-O-Kitab Hasr Wa Nasr Azab-O-Sawab Aur Unki Dawate Islam Di Aur Phir Patthro Ke Pujariyo Ko Ek Khuda Ka Parastar Banaya To Khuda E Talah Ke Taraf Se Huqm Hua ….
“Ki Aye Mere Maheboob Paak ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ In Se Kahe do Ke Is Tablig Wa Dawat Dene Aur Tum Ko Daulat-E-Iman Ata Karne Ke Sile Me Mai Tum Se Maal Wa Daulat Talab Nahi Karta Albatta Tum Ko Kalma Padhane Ka Ajar Mai Tum Logo Se Ye Mangta Hu Ki Meri Ahle Bait Se Muhhabbat Karo.”

Khuda-E-Talah Ke Taraf Se Huqm Hua….
“Ki Aye Mere Maheboob Paak ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ In Se Kahe do Ke Is Tablig Wa Dawat Dene Aur Tum Ko Daulat-E-Iman Ata Karne Ke Sile Me Mai Tum Se Maal Wa Daulat Talab Nahi Karta Albatta Tum Ko Kalma Padhane Ka Ajar Mai Tum Logo Se Ye Mangta Hu Ki Meri Ahelle Bait ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ ” Se
Muhhabbat Karo.

Is Aayate Paak Par Gaur Karo Ki Kis Pyare Andaz Me Khuda Ki Taraf Se Nabi ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ ke Kalma Padhane Aur Daulate Iman Ata Karne Ka Seela Aur Duniya Walo ko
Zalalat wa Gumrahi Ke Andhero Se Nikal Kar Rusth O Hidayat Ki Rausni Me Lane Ka Badla Muhabbat E Ahle Bait ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Gulami-E-Itrat- RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Ishqe Imame Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ Ki Surat Me Talab Kiya Ja Raha Hai…..
Aur Phir Is Aayat-E-Mubarka Ke Peshe
Nazar Ye Haqiqat Bhi Khul Kar Samne Aa Jati Hai Ki Agar Koi Muslman Kalma bhi Padhta Hai Roze Bhi Rakhta hai Aur Namaz Ka Pabannd Bhi Hai Haj-O-Zakat Bhi Ada Karta Hai Aur Saari-Saari Raat Mussalle Par Baith Kar Nafil Par Nafil Padhta Hai Lekin Us Ke Dil Me Ahle Bait Ki Muhabbat Nahi Hai To Na Phir Is Ke Kalme Par Koi Aitebaar Hai
Aur Na Hi Us Ke Iman Ki Kimat….
Aur Phir Hazrat Sayyed ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Is Haqiqat Ko Aur Bhi Khol Kar Bayan Farmaya Hai….
“KI WOH SHAKHS JO AHLE BAIT KI
MUHBBAT ME MARA WOH MOMIN MARA AUR JO BHI AALE RASOOL ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ KI MUHBBAT ME FAUT HUA WOH SAHEED FAUT HUA”…..
“AUR WOH INSAN JO ISHQ-E-ITRAT-E
-PAIGAMBAR ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ME MARA TO KHUDA TALAH US KI QABAR KO RAHEMAT KE FARISTO KE LIYE MAZAR BANA DENGA”….
“AUR WO AADMI JO AHLE BAIT-E-AT’HAAR KI MUHABBAT ME MARA MAUT KA FARISTA USKI JAAN QABZ KARNE SE PAHELE PAHELE US KO JANNAT KI KHUSKHABRI DEGA”….
AUR FARMAYA KI..
“JIS NE MERI AHLE BAITH PAR ZHULM
KIYA US PAR ALLAH TALAH NE JANNAT
HARAM KAR DI”…..
✒( Nuzhat ul Majalis,Jild 2,Page
no-222;Tafsir e Rooh ul Bayan Jild 3,Page
No-534)
Gaur Karo Ki Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Kaise Wazeh Alfaz Me Kisi Ke Iman O Kufr Kisi Ke Jannati Wa Jahhannami Hone Ka Daro Madar Ahle Bait Ki Muhabbat Aur Dusmani Par Rakkha Hai…..
Phir Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ne
Muhabbat-E-Ahele Baith Ko Ahele Sunnat Wa Jamat ke Saath Wabasta Kar Ke ye Wazeh Kar Diya Ki AHELE SUNNAT WA JAMAT hi Ek Aisa Firqa e Haq Hai Jo Sahi Ma’no Me Muhibb e Ahele Baith Hai……
Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Farmate Hai….
“WOH SAKHSH JO AHELE BAITH KI
MUHABBAT ME MARA WOH AHELE SUNNAT WA JAMAT KE AQIDE PAR MARA”.

Ab Sawal Ye Paida Hota Hai Ki Ahele Baith-E-Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Itrat-E-Paigambar ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Kaun Hai?
To Is Ke Jawab Me Aao Apne Hi Nabi
Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Hi Puche……..

✒Muslim Sharif Jild-2, Page No.278;
Tirmazi Sharif Jild 2, Page No.214; Miskat Sharif Page no.568 Me Hai Ki….

Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ Farmate Hai Ki Jab Isaiyo Ka Muqabla Karne Ke Liye Aayat e Mubahila Nazil Hui To Nabi E Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Hazrat Ali Wa Hazrat Fatema Aur Hasan-O-Hussain
ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Ko Bulaya Aur Arz
Ki ke Aye Mere Allah Ye Meri Ahle Bait Hai….

✒Muslim Sharif Jild – 2,Page no.283;
Misqat Sharif Page no. 568; Tirmazi Sharif Jild 2, Page no.219 Me Hai…

Hazrat Aayesha Siddiqa ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Farmati Hai ki Ek Din Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Bahar Nikle Is Halat me Ki Aap ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Upar Kala Kambal Tha Pas Imam-E-Hasan ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ Aa Gaye To Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Unhe Kambal Me Dakhil Kar Liya Aur Phir Imam Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ Tasrif Laye Aur woh Bhi  Us Kambal Me Dakhil Ho Gaye Phir Khatun-E-Jannat ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Tasrif Le Aayi To
Nabi E Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Un Ko Bhi Us Kambal Me Dakhil Kar Liya Aur Phir Hazrat Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ Tasrif Le Aaye To Rasool-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Unko Bhi Kambal Me Dakhil Kar Liya Phir Ye Aayat Tilawat Farmayi…
“AYE MERE ALLAH YAHI MERI AHLE BAIT HAI PAS TU INKO PAAK KAR DE AUR INKI NAJASAT KO DOOR FARMA”….
🏻Mazqoora Bala A’Hadees-E-Nabvi Aur
Aayate Qur’aani ki Tafseer-E-Paigambar Se Haqiqat Puri Tarah Wazeh Ho Jati Hai ki Ahele Bait-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Yahi Nufus-E-Kudsiya Hai (In Ke Ilawa Ummahatul Momineen Bhi Ahle Bait Me Dakhi Hai Aur Digar Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Ristedaar Bhi Jin Ka Tazqira Ulma Bayan Kar Chuke Hai)

Ilahi Bahaqqe Bani Fatema….
Ki Bar Qaul-E-Ima(n) Quni Fatema!!!!!
Agar Dawatmarad Quni War Qubool….
Man Wa Dast Damane Aale Rasool!!!! ﺻﻠﻰﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!