Ramzan

Ramzan Ka Roza Quran-E-Kareem Ki Roshni Me

“ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai”
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ كُتِبَ عَلَيْكُمُ ٱلصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ أَيَّامًا مَّعْدُودَٰتٍ ۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ ۚ وَعَلَى ٱلَّذِينَ يُطِيقُونَهُۥ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ ۖ فَمَن تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهُۥ ۚ وَأَن تَصُومُوا۟ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ…..
Aye imanwalo Tum Par Roza Farz Kiya Gaya..
Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..
Taki Tum Gunaho Se Bacho,
Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe),
Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha Aadmi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone Ki Ummid Na Ho) Wo Fidya Den,
Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai,
Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187, ترجمہ، کنزالایمان،  از-اعلی حضرت علیہ الرحمہ}
Ramzan Ka Mahina Jisme Quran Utra. Logo Ke Liye Hidayat Aur Rehnumai Aur Faisle Ki Roshan Bate To Tum Me Jo Koi Ye Mahina Paye Jaroor Iske Roze Rakhe. Aur Jo Bimar Hai Ya Safar Me Hai To Itne Roze Aur Dino Me, ALLAH Tum Par Aasani Chahta Hai Aur Tum Par Dushwari Nahi Chahta Aur Isliye Ki Tum Ginti Puri Karo. Aur ALLAH Ki Badhai Bolo Is Par Ki Usne Tumhe Hidayat Ki Aur Kahi Tum Haq Guzar Ho.
(Sure Bakrah, Para 2, Aayat 185, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!