HadeesIslamic sms

Jumma Ki Hadees Aur Khutbe Ki Azaan Ka Jawaab

Hadees:

Nabi-E-Pak Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
MOMIN Ko Maut Is Tarha Aa Jaati Hai
Jis Tarha Peshani Par Pasina Aa Jata Hai
(Mishkat Sharif, Jild-1, Page No-342)

Hadees:

Nabi-E-Pak Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Har JUMMA Farishte MASJID Ke Darwazo Pe
Khade Rehte Hai
Aur MASJID Me Aanewalo Ke Naam Likhte Hai
(Bukhari Sharif)

Hadees:

Nabi-E-Pak Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Jo MUSALMAN Jumma Ke Din Ya RAAT Me
Inteqal Kar Jaaye
To ALLAH Use QABR Ke Fitne Se Bachata hain”
(Tirmizi Sharif: Hadees No:1074)

Hadees:

Nabi-E-Pak Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
JISNE Achhi Tarah Wuzu Kiya
Fir Namaz-E-Jumma Ko Aaya,
Khutba Suna Aur Chup Raha
Uski Magfirat Ho Jaayegi
(Muslim Sharif)

Masla:

Jumma Ke Khutbe KE Waqt Khatib Ke Saamne
Azaan Hoti Hai
Us Azaan Ka Jawab Ya Dua Sirf Dil Mein Kare
Zuban Se Kuch Na Kahe..
(Fatwa-E-Razviya)

Apni Nek DUAO Me Yaad Rakhe

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!