Nikah Ki Hadees | Hadith Of Marriage

Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta'ala Anho Se Riwayat he ke
Sarkar Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
"Aye Jawano, Jo tum me se Aurato
ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta he. To wo Nikah jarur kare
Kyunki Nikah Nigah Ko Zukata he
Aur Sharmgah ki hifazat karta he
Aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe. Kyunki ye Shahwat Ko kam karta he.
SUBHANALLAH
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52)
(Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya, Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do Aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba Muhammad Mustafa Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
"Nikah Meri Sunnat He"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913,
Safa 518)
ALLAH Rabbul izzat irshad farmata he
"Aur Nikah me lao, Jo aurate tumhe khush aaye"
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa'ad Radiallahu anhu se riwayat he ke
Nabi-E-Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam ne irshad farmaya
"Nikah karo chahe  (Meher dene ke liye)
Ek Lohe ki Anguthi hi ho
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)

Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan
ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
"Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho  Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta'ala Se Daro"
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)


Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post