Namaz Ke Liye Jagah Ki Nahi Niyat Ki Jarurat Hai

Jahide Be-Aman Naaz Takhwa Na Jar,
Yu Namaze Dikhana Jaruri Nahi.
Dil Agar Na Jhuke Sajda Bekar hai..
Sirf Sar ko Jhukana Jaruri Nahi..

Jo Mere Mustafa ka Wafadaar Hai,
Bas Wahi Baag-E-jannat Ka Haqdar Hai,
Dushman-E-Mustafa Tu Kahan Jayega,
Sabka Jannat Me Jana Jaruri Nahi..

Gous Ka Fatiha Tum Karo Shaan Se,
Shirni Batna Log Pahchan Ke,
Kawwa Khane Ki Lat Padi Ho jise,
Usko Murga Khilana Jaruri Nahi..

Maslaq-E-Aala Hazrat Ka Elaan Hai,
Haan Yahi Ishq Ahmad ki Pahchan Hai,
Dil Me Bugz-E-Nabi Leke Jo Mar Gaya,
Uski Maiyat Me jana Jaruri Nahi..

Us Siyasat Se Matlab Hame Kuch Nahi,
Deen-O-Mazhab Ka Jisse Nahi Fayda,
Sochiye Shurkharoo Kaise islam Ho,
Sirf Jhanda Uthana Jaruri Nahi..

Masjid-E-Babri Se Ye Aayi Sada,
Har Ilaqe ki Masjid ko Aabad kar,
Apne Sazdon ki Pahle Hifazat To Kar,
Khali Masjid Banana Jaruri Nahi..

Roja-E-Mustafa Jab Ho Pesh-E-Nazar,
Aisa Sajda Karo Jo Na Aaye Nazar,
Dil Ka Sajda Nigahon Se Ho Jayega,
Apne Sar Ko Jhukana Jaruri Nahi..

Please Dosto Is Baat Ko Jyada Se Jyada Share Karo
Or
Sabko Batao Ki Namaz Ke Liye Jagah Ki Nahi.
Srif Niyat ki Zarurat Hai.
So Please Namaz Kayam Karo..

Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post