Biwi Se Sohbat Humbistari Ke Adaab

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Mas'ala:
Shari'at Me Aurat Se Sohbat ki koi Had Muqarrar Nahi
Magar Itna Ho ki Aurat ki Nazar Auron ki Taraf Na Uthe.
(Qanoon-E-Shariat)

Hakimo Ne Kaha Hai
Sohbat ke Faoran Baad Pani Na Piye
Isse Dama (Saa'ns) Ki Bimari Hone ka Khatra Hai

Tum Me Koi Apni Biwi Ke Paas Jakar Dubara Sohbat Ke Liye Jana Chahe To Use Chahiye Ke Wuzu Karle. Agar Sohbat Rat Ke Waqt Kar Rahe Hai To Sohbat Ke Bad Miya Biwi Dono Ba Wuzoo Soye. Aur Subah Jitna Jaldi Ho Sake Ghusl-E-Janabat Se Farig Ho. Namaze Qaza Hone Ke Sabab Gunah Bante Hai. Aur Jis Gharme Junoob Yani Napak Hote Hai Waha Rehmat Ke Farishte Dakhil Nahi Hote. Is Bat Ka Khas Khayal Rakha Jaye.

Raawi:
Hazrat Abu'sayid khudri Raziallahuanhu

Mubashirat ke waqt Mard Apni Bibi ke Siwa kisi 2sri Aurat ka Khayal Laye Toh Shakht Gunah He
Aur Ek Tarah Ka Chhoti Kism Ka ZINA He
(GAOS-E-AAZAM) 



Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.

Mas'ala:
Mubashirat (Sohbat) Ke Daoran Baat Karna Maq'ruh Hai
Balki Bacche Ke 'GUNGE' Ya Totle Hone Ka Khatra Hai. 

(Fatwa Razviya)

Mas'ala:
Mard Ne Aurat ki Chhati Chusi Aur DUDH Halak Me Utar Gaya Tab Bhi Nikah Na Tuta Lekin
Jaan-Bujh Ke Halak Me Lena Jaa'iz Nahi.
(DURRE MUKHTAR)

Mas'ala:
Sohbat Ke Waqt Mard Apni Aurat Ke Pistan (Chhati) Muh Me Le Sakta He.
Ha Agar Aurat DUDH Wali Ho Toh Chusna Nahi Chahiye


You Might Also Like:







Tum Me Se Koi Apni Bivi Se Sohbat Kare Toh Uski Farz (sharmgah) Ko Na Dekhe, Isse Aankho ki Roshni Khatm Ho Jaati He.
[MIMAMAZAM]

DAORANE Shohbat Aurat ki Sarmgaah Dekhne Se (nisyan) Bhulne ki Bimari Paida Hoti He.
(QANOON-E-SHARI'AT)






Nazarahmed Khan(Aashu)

Hello friends, I have created this blog to share all information about Ustad Alladiya khansaheb and about our family. I am grandson of Ustad Azizuddin khansaheb(Baba) Thanks for the visit. Please visit again

68 Comments

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

  1. AAKHRI INFO ADD KIYA AAPNE

    BHAI


    MOHSINKHAN

    ReplyDelete
  2. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatohu
    inshallah jald hi aur information bheji jayegi
    Humare website pe daily visit kare

    ReplyDelete
  3. @admin

    As salamualikum w. W.

    Jee yaha kuch log had se badh kar behayai comment kar rahe he in jahilo ko malum nahi ki yaha islam ke qanun wa shriat ki baat ho rahi he,,

    Aap ho sake to cpmment remove kar de

    ReplyDelete
  4. subhaan allah allah aap ko jaza e khair ata farmae

    ReplyDelete
  5. kya.. biwi ke sharmgah ko or Mard ke pain ko muu main lena jaiz hain... sohbat ke wakt... is ,ain roshni daalye plz...

    ReplyDelete
  6. kya biwi se sohbat karne ka koi tareeka hai ya har tareeke se kar sakte ho..yani kare hokar.. bait kar e.t.c

    ReplyDelete
  7. Nasir Baloch tmhre sawal e galt hain kya tm muslim nhi agr ho to
    Quraan shareef khol kar dakho tm ko tmhre insaan hone ka ehsaas ho jae ga ...i bat smj main agr na i to phr puch lena

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Mere Pyare Islami Bhaiyo.

      Yaha Aap Jo Bhi Sawal Puche Shariat Ke Dayre Me Rehkar Puche. Islamic Web Hai. Site Ka Adabo Ahtaram Kare. Koi Bhi Faaltu Sawalat Na Kare. Meherbani Hogi. Ye Site Ka Maqsad Sirf Logo Ko Sunnat Tariqe Se Islami Zindagi Basar Karna Sikhana Hai.

      Nasir Bhai Aapka Pehla Sawal Hi Galat Hai. Isliye Aaj Tak Jawab Na Diya Gaya. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Aapne Apni Pak Biwiyo Ki Sharmgah Ko Na Dekha. Ye Baat Hadeese Pak Se Sabit Hai. Jab Hadeese Pak Hume Sharmgah Ko Na Dekhne Ki Taleem De Rahi Ho To Koi Use Muh Me Leme Ki Gandi Soch Kaise Rakh Sakta Hai. Sharmgah Ka Na Dekhana Sunnat-E-Nabi Hai Aur Uspe Amal Karna Mustahab Hai. Jaha Se Gilazate Kharij Hoti Ho Use Koi Muh Me Lene Ki Kaise Soch Sakta Hai?

      Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.
      RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
      (Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)

      • Alag Alag Position Me Sohbat:
      Ji ha aap alag alag positions me sohbat kar sakte hai. Pakhane ke muqam se sohbat karna sakht najaiz-o-haraam hai.

      ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
      "Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah chaho. Aur apne bhale ka kam pehle karo."
      (Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

      Delete
    2. Koi Shakhs Apne Biwi Ki Sharmgah Ko Dekhe To Ye Gunah Nahi. Magar Sunnat Ko Tarq Karne Ke Sabab Sawab Se Mehroom Rahega.

      Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Gunahgar Ke Nam Karna Na Bhoole.

      Visit Karte Rahe.
      JazakALLAHU Khair.

      Delete
  8. allah aap ko taufeeq de khaas kar jaahilyat se nachne se

    ReplyDelete
  9. salam, agar biwi hamla he to hamal mein biwi k pas jana jayez he? agar hey to hamal kkitni mudat tak ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Insha ALLAH aapke sawal ka jawab mila to bhejunga.
      Talib-E-Dua

      Delete
  10. Kya ye hawale jo aap de rahe hain ye ahle sunnat ki kitaon se hai...q k mai doosre maslak ki kitabon ka aitbar nahi karta aaj kal bahot sari rivayaten gadhi hui milti hain...matlab khud se bana kar bheji jati hain..jiska kahin bhi zikr nahi hota

    ReplyDelete
    Replies
    1. Janab aapko Maslake Aalahazrat Ki Kitabo Ke Nam Shayad Pata Nahi Hai.
      Aap Upar Likhi Kitabe Padhe khud hi samajh jayenge
      JazakALLAHU Khair

      Delete
  11. Aur Jankari Ke Liye Nikah Page Par Visit Kare
    JazakALLAHU Khair

    ReplyDelete
  12. Hambistari ke baad gusul ke waqt kuch dua padhni chahiye...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ji nahi bhai gusl karne se pehle niyat karle.
      Niyat hi kafi hai.
      Koi dua gusl me nahi padhi jati.

      Delete
  13. Nazar bhai ap bht a6a kaam kr rhe hain....sach me hme in bato ka ilm nhi tha.....hum bistari ko lekr hum youngstrs me bht jahilana maghribi mulko ki knowledge bhari pdi hai......insha allah ye sb bate amal me laenge......allah zina se hifazat kre

    ReplyDelete
    Replies
    1. JazakALLAHU Khair Tariq bhai..
      Aap visit karte rahe aur doosro ko bhi site ke bare me bata kar sawb hasil kare.
      Yaha maine Nikah Namse alag page banaya hai
      Jaha Nikah se talluk sare ma'ale maujood hai.
      Talib-E-Dua.
      Nazarahmed Khan Qadri Razvi

      Delete
  14. Jesa ki aapne farmaya k aurat ki sharmgah dekhna jaeez nahi..to sohbat k wakht jab biwi apne kapde nikalegi to wo to zahiri taur par ham dekh hi sakte he.. To is halat me kya karna chahiye.. Zara is par please roshni daliye..

    ReplyDelete
  15. Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Daurane Sohbat Aapne Apni Biwi Ki Sharmgah na dekhi.
    Aurat ki sharmgah dekhna koi gunah nahi hai.
    Mene yaha sunnate nabi ka zikr kiya.
    Me niche bahawala hadees bhej raha hu.
    Aap apne biwi ki Sharmgah dekh sakte hai.
    Magar sunnate nabi pe amal karna mustahab hai

    Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.

    RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
    (Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)

    ReplyDelete
  16. Aap Tamam Visitors Se Guzarish Hai Ke Hamare Blog Ke Nikah Page Par Visit Kare.
    Yaha Har Masle Bayan Kiye Hai.
    Jazakallahu Khair.

    ReplyDelete
  17. Hambistri karne ke bad turant nahna chahiye ke fir subah uth kar nahwe to chale

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hambistari Karne Ke Bad Ratme Ba Wazoo Soye Aur Subah Jaldi Gusl Karle.
      Jyada Der Napaki Me Na Rahe Kyunki Hadeese Pak Me Hai Ke Jis Ghar Me Junoob Yani Napak Aadmi Ho Us Ghar Me Fatishte Nahi Aate

      Delete
  18. Bhai mera sawal ek sawal he ki jis ladki se nikah hone wala he or usse nikah ke pehle mill liye ho to kya ye sahi he ya galat

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shariat Ke Dayre Me Reh Kar Aap Ladki Se Mil Sakte Hai.
      Nikah Ke Talluk Se Sare Masle Jane Hamare Nikah Page Par
      JazakALLAHU Khair

      Delete
  19. MASHAALLAH
    Nazar bhai kahi ap ko nazar na lag jay ALLAH ap ko or hidayat de ham logo ko sikhane ki
    nazar bhai mera sawal hai
    ki period ke kitne din bad sohobat kani chahiye plz reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aameen
      Period Me Khoon Aana Band Ho Jaye To Aurat Gusle Janabat Kare Tab Tak Sohbat Jaiz Nahi Hai.
      Haalate Haiz Yani Period Me Sohbat Haram Hai.

      Aurat Ko Jab Haiz Ka Khoon Aana Ruk Jaye To Use Gusl Karna Farz Hai.
      Gusl Karne Ke Baad Aap Sohbat Kar Sakte Hai..

      Delete
  20. assalamualaikum
    bhai agar nikah ki raat biwi sohbat karne ke raazi na ho wo kuch waqt(din) baad sohbat karna chahe toh kya nikhan qubool hojaye ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

      Miya biwi ka us raat tanhai me ek kamre me rehna kaafi hai. Usi raat sohbat karma farz hai aur na ki to nikah na hua aisa baaz logo ne man ghadat banai baat hai. Jab aap dono raazi ho tab sohbat kar sakte hai. Nikah qubool ho jayega. Aapki tamaam zindagi me apni biwi se kamse kam ek martaba sohbat karna jaroori hai.

      ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
      "Tumhari Aurate tumhare liye
      khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah
      chaho. Aur apne bhale ka kam pehle
      karo."
      (Kanzul iman Para 2,Surah
      Bakar,Aayat 223)

      Aap hamare "Nikah" page ko visit kare. Bohot ilm hasil hoga. Nikah se jude tamaam masle masail waha maujood hai.
      JazakALLAHU Khair.

      Delete
    2. Kya pichhe sohbat ki ho to nikah toot jata he

      Delete
    3. Pakhane Ke Muqam Se Sohbat Karna Sakht Haram Hai.Peechhey se yaAni pakhaney ke maqam me soHbat sakht najaiz o Haram hai. Lekin isse nikaH nahi toota. Haan agar usko Halal o Jaiz jana to nikaH kya Imaan bhi gaya
      (Maulana Hazrat Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

      Hazrat Abizar Radiallahu Anhu Se
      Riwayat Hai Ke
      Rasoolallah Sallallaho Alaihi
      Wasallam Ne Irshad Farmaya
      " Pakhane Ke Muqaam Me Aurat
      Se Sohbat Karna Haraam Hai"
      (Munsade Imaame Aazam Safa
      223)
      Ek Aur Hadees Hai Ki Momeen
      Rehtehue Koi Piche Ke Muqam
      Se Sohbat Kar Nahi Sakta..
      Ye Sakht Haraam Hai.
      Ek Hadees Me Ise Kufr Ke
      Barabar Bataya Gaya Hai..
      ALLAH Hum Sabko Is Gunah Se
      Bachaye Rakhe.
      Aameen

      Delete
    4. Agar Aap Ye Gunah Kar Chuke Hai To Sachche Dilse Bargahe Khudawandi Quddus Me Tauba Kare. Aainda Hargiz Aisa Na Kare. ALLAH Ta'ala Bada Meherban Rehemwala Hai. ALLAH Aapko Nek Taufiq De.
      Aameen
      (Awwal Aakhir Durood)

      Delete
  21. Assalamo Alaykum warahmatullahe wabarkatahu
    Mashaallah bahot acchi tarbiyat de rhe ho bhai Allah aap ko kamiyabi ataa farmae
    Mera sawal ye he ki out of contry se kam chutti aane par hamal rakhna bahot muskil hota he to iske liye koi bahetrin amal quran ir hadees ki roshni se ilm me izafa kre
    Or aap k nikah blog. Kese milega.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

      Aameen Summa Aameen.
      Ji filhal mere pas koi aisa amal nahi hai agar mila to jaroor post karunga. InshaALLAH.
      JazakALLAHU Khair.
      Visit Karte Rahe. Nikah Page Ki Link Post Ke Aakhir Me Hai. Us Link Ko Click Karne Par Aap Nikah Page Par Redirect Ho Jayenge.

      Delete
    2. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

      Aameen Summa Aameen.
      Ji filhal mere pas koi aisa amal nahi hai agar mila to jaroor post karunga. InshaALLAH.
      JazakALLAHU Khair.
      Visit Karte Rahe. Nikah Page Ki Link Post Ke Aakhir Me Hai. Us Link Ko Click Karne Par Aap Nikah Page Par Redirect Ho Jayenge.

      Delete
  22. Assalamo Alaykum warahmatullahe wabarkatahu
    Masha Allah bahot acchi tarbiyat de rhe ho bhai Allah aap ko kamiyabi ataa farmae
    1 baat he k sohbat ki jo dua he ye har baar padhni chahiye jab bi sohbat kre...
    Jazakallaho khaira

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

      Aameen Summa Aameen.
      Saware Qaynat, Habeebe Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi
      "Bismillah, Allahumma jannib nash
      Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
      razaq tana"

      Tarzuma:
      "ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"

      "Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt
      Padhega (Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
      To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha
      Sakega"
      (Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
      Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)

      Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
      Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.

      Visit Karte Rahe.
      JazakALLAHU Khair.

      Delete
  23. Mashaallah
    Bahot accha kaam kr rhe ho bhai
    Allah aap ki iska azar dega

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aameen.
      JazakALLAHU Khair bhai.
      Visit karte rahe aur apne dost, rishtedaro ko bhi site ke bare me bata kar khidmate deen me hissa le.

      Delete
  24. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  25. Jazakallah khair bahut hi umda information shukriya Allah apko jazaye gair Dr ameen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aameen.
      Aapka Bohot Bohot Shukriya Feedback Ke Liye.
      Hamare Blog Ke Bare Me Dusro Ko Bata Kar Un Tak Bhi Ilm Pohochaye Aur Khidmate Deen Me Hamara Sath De.

      Delete
  26. Assalam walaikum

    Bahot bahot sukriya aap sab ka

    Allah aap ki jahiri aur bateeni dua qubool kare ameen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walelum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
      Aameen Ya Rabbul Aalameen
      JazakALLAHU Khair Aapke Feedback Ke Liye.
      Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Site Ke Bare Me Bata Kar Sawabe Darrain Hasil Kare.

      Delete
  27. Kya nazar ka ghusl humbistari k baad kar sakte hain? Ya phir Uske liye paak hona zaroori hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamu Alaikum Janab Sidique Sahab

      Aap Apna Sawal Mukammal Likhe. Insha ALLLAH Jawab Diya Jayega. Aapne Likha Sawal Samajh Nahi Aa Raha.
      Visit Karte Rahe.
      Dua Ki Guzarish.

      Delete
  28. Assalamo alaikum bhaijaan
    Mera shaadi hone wali hai..mere ek dost ne bataya ki ladki ke pure kapde nahi utaar sakte...sharmgaah nahi dekh sakte..aur sirf ek position (ladki ke kamar ke niche pillow rakh kar) me hi signature kar sakte hain . Kya ye baatein sahi hai ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Shahid Bhaijaan

      Aapko Meri Tarafse Mubarakbad Ke Aapke Sar Sehra Bandhega. Nikah Aadha Deen Mukammal Karta Hai. ALLAH Aapko Tamaaam Khushiyo Se Nawaze.
      Aameen
      (Awwal Aakhir Durood)

      Jaisa Ke Aapne Sawalat Kiye Hai Unke Jawabat Hazir Hai.

      • Behrana Haalat Me Sohbat:
      sohbat k time kya sohar biwi dono pure kapde nikal kar sohbat kar sakte hai?
      -Haan. Tamam kapdey nikal kar sohbat Jaiz hai lekin Uper se koi chader odh lena chahiyye. Khulle me sohbat na kare.
      (Hazrat Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

      • Daurane Sohbat Sharmgah Dekhna:

      Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Daurane Sohbat Aapne Apni Biwi Ki Sharmgah na dekhi. Aurat ki sharmgah dekhna koi gunah nahi hai. Mene yaha sunnate nabi ka zikr kiya. Me niche bahawala hadees bhej raha hu. Aap apne biwi ki Sharmgah dekh sakte hai. Magar sunnate nabi pe amal karna mustahab hai.

      Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.
      RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
      (Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)

      • Alag Alag Position Me Sohbat:
      Ji ha aap alag alag positions me sohbat kar sakte hai. Pakhane ke muqam se sohbat karna sakht najaiz-o-haraam hai.

      ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
      "Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah chaho. Aur apne bhale ka kam pehle karo."
      (Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

      Apni duao ke chand alfaz is nachiz ke naam karna na bhoole. Nikah se talluq sabhi masle padhne ke liye hamare Nikah page par visit kare. Apne dosto, rishtedaro ko hamare weblog ke bare me bata kar khidmate deen me hamara sath de.
      JazakALLAHU Khair.

      Delete
  29. اسلام علیکم بھت خوب علم دی جارھی ھیں اللہ ھماری مسلم قوم کو حدایت عطا کریں آمین

    ReplyDelete
    Replies
    1. *جزاك الله خيرا*
      Aameen Summa Aameen.
      Thank you for your feedback.
      Keep Visiting & Sharing...
      Remember me in your precious dua.

      Delete
  30. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.... Biwi ki sharmgaah pe hath fer sakte
    h kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Muhammad Shafee Sahab,

      Hadees-E-Pak Ke Tahat Apni Ahliya Ke Satar (Sharmgah) Ko Na Dekhna Sabit Hai. Sharmgah Par Hath Pherne Se Sukoon Milta Hai Isliye Isme Koi Harz Nahi. Magar Sharmgah Ko Choomna, Choosna Sakht Galiz Kaam Hai. Isse Parhej Kiya Jaye. Sharmgah Se Gilazate Kharij Hoti Hai. Kai Hakimo Ka Ye Bhi Kehna Hai Ke Sharmgah Ko Dekhne Se Bhoolne Ki Bimari Hoti Hai.

      Delete
  31. Sohbat ke bad gusl ka koi time hai to kitna hai agar ham or gusl ke bagair kuch khana pena jaiz hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

      Sohbat Ke Bad Ghusl Ka Koi Khas Waqt Mukarrar Nahi. Hai Par Behtar Hai Ke Hum Jis Waqt Napak Ho Uske Agle Waqt Ki Namaz Se Pehle Paki Hasil Karle. Taki Namaz Qaza Na Ho Aur Gunah Se Bach Sake.

      Aur Agar Rat Me Sohbat Ki Hai To Sunnat Yahi Hai Ke Miya-Biwi Dono Wuzoo Karke Soye Aur Subah Ghusl Karke Namaze Fazr Ada Kare.

      Napak Yani Junoob Jis Ghar Me Hote Hai Wahan Farishte Dakhil Nahi Hote. Lihaza Paki Zaroori Hai. Jyada Waqt Barbad Na Kare Aur Ghusl Karle.

      Napaki Ke Halat Me Kulli Karke Khane Me Koi Harz Nahi Hai.

      JazakALLAHU Khair.
      Visit Karte Rahen

      Delete
  32. Assalamu alaikum,

    Agar biwi ne sohar ki saramgah par hath phera ya soharne biwi ki saramgah par hath phera aur inzal hogaya dono mese kisiko bhi, to aisa hojana kesa he? Kya isme koi harj he?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

      Jaisa Ke Aapne Pucha Hai Ke Shohar Aur Biwi Ek Dusre Ke Sharmgah Par Hath Pher Sakte Hai. Isme Koi Harz Nahi Hai. Ye Beshaq Jaiz Hai. Aur Nek Niyat Ke Sabab Mustahab Wa Sawab Hai.
      (Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 46)

      JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye. Visit Karte Rahe Aur Hamare Site Ko Dusro Ko Bhi Share Kare. Khidmate Deen Me Mera Sath De. Play Store Se Hamare Nabi Application Bhi Download Kare. Is Nachiz Ko Apni Anmol Duao Me Yaad Rakhe.

      Delete
  33. Agar Biwi apne mayeke ga e hai aur shohar ki hajat shohbat ki ho kya kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

      Aapko Sabr Karna Lazmi Hai. Agar Fir Bhi Shahwat Ka Galba Rehta Ho To Din Ka Nafli Roza Rakhle. Roza Shahwat Ko Kam Karta Hai.

      Beshaq. Zina (Extra Marital Physical Relationship) Sakht Haram Wa Jahannam Ka Rasta Hai. ALLAH Hum Sabko Xina Se Bachne Ki Nek Taufiq De.

      Behtar Hai Ke Ho Sake To Apni Jauza Ko Jald Wapis Bula Len.

      Delete
Post a Comment
Previous Post Next Post